Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Sachhhe Majzoob
ki Pahchaan
Sachhhe Majzoob ki Pahchaan
yah ki Shariat e Mutaahira ka kabhi muqabila naa karegaa.
(Al malfooz 2/278)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Taaqon me Shaheed
Mard
Kuch log kahte hain ki Fahan
Darakht (Tree) me Shaheed mard rahte hain aur us darakht aur Taaq pr jakar har
jumerat ko chawal, Sheerni wagairah Fatihar Dilate hain, Haar (Maala) Lagate
hain Lubaan Sulgaate hain aur Muraden Mangete hain???
Aala Hazat Imam e Ahle Sunnat Maulana Imam
Ahmad Raza Khan Alaihir Rahman Farmate hain ki Yeh Sab Wahiyat, Khurafaat aur
Jahilana Himaqat aur Batalat hain inka izaala Lazim. (Ahkam e
Shariat 1/13)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Auliya Allah ko
RadiAllahu Anhu kahna
"SAHABA Ke Name Ke
Sath RadiyALLAHu anhu Aur Baad Wale ULAMA Ke Sath Rehmatullah Alaihi Kehna Ya
Likhna Mustahab He Aur Iska Ulat Bhi Jaiz He, Bahijjatul Israr Wa Jumla Tasanif
Me Raaij He."
(Durr e Mukhtar Sharah
Tanwirul Absar 2/350)
(Fatawa Razawiya 23/390)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Qabar Ya Qabr ki
taraf Namaz Parhna,
"Qabar Par Namaz
Parhna, Qabar Ki Taraf Namaz, Musalman Ki Qabar Par Paun Rakhna, Qabron Par
Masjid Banana Sab Haraam. Agar Masjid Me Koi Qabar Ajaye To Charo Taraf Thori
Diwar Qaim Kar Ke Us Par Chatt Bana Len, Ab Deewar Ki Taraf Bi Jaiz He. (Irfan e
Shariat V2)
Mazaraat Par Hazri Ka Tariqa
Mazaraat e Sharifa Par
Hazir hone me Paayinti Qadmoon ki Taraf Se Jaye Aur Kam Az Kam Chaar Hath ke
Fasle pr Mawajih me Khada ho aur Mutawassit ( Halki Kalki) Ba- Awaz Baa-Adab
Salaam Arz kare. Assalamu Alaikum Yaa Syedi wa Rahmatullahi W Barkatuh, Phir
Durood e Ghusiya Teen Baar, Alhamd Sharif Aek Baar, Ayatal Kursi Aek Baar,
Surah Ikhlas Saat Baar aur Phir Durood Ghausiya Sath Baar aur Waqt Fursat de to
Surah Yaseen Aur Surah Mulk bhi Padh kar Allah Ta'aala se Duaa kare ki Ilahi es
Qara'at par Muhe itna Swaab de jo tere Karam ke Qabil hai, naa Itna jo mere
Qabil hai au rise meri taraf se is banda e Maqbool ki Naz'r….. Phir Apna jo
Matlab Jaiz Sharai ho, Us ke liye Duaaa kare Aur Sahibe Mazar ki Rooh ko Allah
Ta'alaa ki Bargaah me Apnaa Waseelaa Qarar de, Phir isi tarah Salaam kar ke
Waapas Aaye, Mazaar ko naa Hath Lagaaye Na Bosaa de (Adab Isi Me hai) aur
Tawwaf bil Ittifaq Naa Jayez hai Aur Sajda Haraam.
(Fatawa Razaviya 09/522)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Mazaarat Par Chaadar Charhana
Mazaarat Par Chaadar Charhana
"Mazaar Sharif Par Jab Chaadar Maojud Ho, Kharab Naa Hui Ho
Badalne Ki Haajat Nahi To Chaadar Charhana Fuzool Hai, Bulkey Jo Daam es Me
Sarf (Karch) Karen, ALLAH Ke Wali Ko Esaal e Sawab Karne K Liye Kisi Mohtaj Ko
Den". (Ahkaam e Shariyat 1/42)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Auraton Ka Mazaron Par Jana
Auraton Ka Mazaron Par Jana
Jis waqt Aurat (Mazar par
jaane ke liye) ghar se irada karti hai la'anat shuru ho jaati hai aur jab tak
wapis aati hai, mala’ika la'anat karte rehte hain. Siwaye Roza e Rasool ke kisi
mazaar par jaane ki ijazat nahi, Ke wo Zarya e Magfirat hai. (Malfuzat,
Page 240)
No comments:
Post a Comment