Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan (Roman Urdu)



Mukhtasar Ta'aaruf
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan
رحمۃ اللہ علیہ
A
ala Hazrat, Imame  Ahle Sunnat, Wali Nimat, Azeemul Barkat, Azeemul Martabat, Parwana E Shamme Risalat, Mujaddide Deen O Millat, Haami E Sunnat, Maahi E Bid'at, Aalim E Shariat, Peer E Tariqat, Baai Se Khair O Barkat, Hazrat Allama Maulana Alhaj Al Hafiz Al Qari Shah Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ علیہ Apne waqt ke Jayyad Aalim Fazil the. Allah ta'alla ne Apki Zaat me Baik waqt Bahut si Khususiyat Jamaa Farma diya tha.

Wiladat e Ba Sa'aadat
10 Shawwal 1272 Hijri Mutabik 14 JUN 1856 Esvi Sanicher(SaturDay) ke Din Johar Ke Waqt Mohalla Jasoli Bareli Me Paida Hue. Aala Hazrat  ka Paidaisi Naam "MOHAMMAD" Aur Tarikhi Naam ALMUKHTAR Aur Aapke Dada Ne Aapka Naam "Ahmad Raza" Rakha.
                                         (Sawwaneh Ala Hazrat)
Aala Hazrat ko ALLAH Pak Ne Daolate ILM Ke Saath Daolate Duniya Bhi khoob Ata Ki thi. Aapke Khandan ke Bujurg Mugal Daor(time) me Bade Aohdo Par Fa'iz The Aala Hazrat  Ke Walid Moulana Naki Ali Khan Bahot Bade Aalim Gujre hai Aur Dada Raza Ali Khan Bhi Bahot Bade Aalim Aur Ba-Karamat Wali Gujre Hai Aala Hazrat  Ne 21 uloom Apne Walid Se Hasil kiye. Aala Hazrat Ne 4 saal ki Choti Si Umar Me QURAN-SHARIF Naazra khatm Kiya Aur 6 saal ki Umar Sharif Me Ek Bade Ma'zme Ke Saamne Milaad Sharif Padhi. 6 Saal ki Umar Sharif Me Aala Hazrat  Ne Bagdaad Sharif ki Sim't Maloom ki Fir Aapne Aakhiri Dum tak Bagdaad Sharif ki Jaanib Pa'nw Na Failaye. Kisi Ne Aala Hazrat ko Hafiz Likha Aapne Farmaya:
Main Kis kis ko Hafiz Kehne Se Mana Karu Lihaza Aapne Sirf 01 mahine me Pura Qur'an Hif'z Kiya 8 Sal Ki Umr Me Arbi Zaban Me 1 Kitab Likh Kar Sab Ko Hairan Kar Dia. Aap 13 saal,10 Maah, 5din ki Uamr Sharif Me 19/11/1869 ko Aalim-O-Mufti Ban Gaye the. 13 Sal 10 Mah Ki Umr Me Pahela Fatwa.
Aala Hazrat Imam Ahmad ke Uloom ki Fehrist ke Muta'alaa se Qabl Qarieen ke Ilm me yah Baat Zaroor Honi chahiye ki Fazil Barailvi Alaihirrahma ne Hafiz e Kutub Al -Shaikh Ismail Khaleel Makki ko jo Arabi me Sanad e Ajazat di hai Us me 55 Uloom o Funoon ki Fahrist ka Zirk hai. Hazrat Muhaddis Barailvi ke Apne Qalam Faiz Raqam se Mundarja 55 Uloom o Funoon ki Fehrist Nihayat Jaame hai Jis me Kuch Uloom Fi Zamana Kayi Baraches me Sho'boon me Taqseem ho gye hain lihaza kul Milakar 120 Uloom w Funoon yaah pr Bayan kiye jate hai.




Aala Hazat Ki
 ilmi o Tahqqiqi Sitaron ki Fahrist
*Recitation of the Holy Quran *Phonograph Spelling
*Explanation of Quran           *Principal of Explanation
*Writership In Different style of Quranic letters
*Tradition of the Holy Prophet       Principal of Allah's *Messenger's Tradition       *Judging Merits *Literature
*Documentary Proof of Traditions Citation of Authorities
*Cyclopedia of Narrator Tradition Branch of knowledge *Critical Examination       *References to Traditions
*Colloquial Language of Traditions  *Islamic Law *Polemic
*Islamic Jurisprudence   *Legal Opinion Judicial Verdict
*Law of Inheritance and Distribution *Scholastic Philosophy *Article of Faith *Metaphor *Rhetoric *Figure of Speech *Dialectics *Etymology Morphology
*Syntax - Arabic Grammar *Science of Prosody *Knowledge of Land and Oceans *Arithmetic *Mathematics *Astronomical Tables *Fractional Numeral Maths *Geometry *Algebra *Trigonometry *Greek Arithmetic *Almanac *Logarithm *Numerology Cum Literology *Geomancy *Reckoning of Time *Astrology *Study in form of Heavens *Geology *Geodesy Survey – Mensuration *Geography *Physics *Metaphysics *Chemistry *Mineralogy *Indigenous System of Medicine *Pharmacology *Botany – Phytonomy *Statistics *Political Economy *Economics *Finances *Trade –Commerce *Banking *Agricultural Study *Phonetics- Phonology *Ecology – Environment *Politics – Strategy *Meteorology *Weighing *Civics *Practical-ism *Biography of Holy Prophet *Citation *Composition *Scholia *Detailed Comments *Research Study *Critique Philosophy *Rejection *Poetry *Hamd - wa – Naat *Philosophy *Logic *Compose Chronograph *Knowledge of days *Interpretation of Dreams *Typography *Figuratio *Orator *Letter *Articulate *Homi *Prayers and Supplication *Matrices, Amulets, Symbol *Comparative Religion *Refutation of the Music *Sociology *Biology *Manaqib *Genealogy *Preference Study *Horoscopes *Sulook *Mysticism *Spiritual Study *Ethics *History & Biography *Journalism *Zoology *Physiology *Cosmology *Psychology *Science Dealing with Rhetorical – Devices *Linguistics - Languages, Philology *Arabic, Persian & Hindi Poetry *Arabic, Persian & Hindi Composition *Old & Modern Astronomy *Geo Physics *Cytology *Law *Take & Put References of Ordinances *Physiognomy *Molecular Biology.
Mu'aaarif ka Samundar Mojazan hai jis ke Seeeeeeeene me
Woh Maqbool dare Khairul Bashar Ahmad Raza tum ho

Aala Hazrat Imam e Ahsunnat Al Shah Imam Ahmad Raza Fazil Barelvi Alaihir Rahma ko…………….
2 Bhai, 2 Bahen,
2 Bete, 5 Betiyan,
3 Pote, 10 Potiyan,
3 Fufiya'n Thi.
Aapka Silsila Auolad Aapke Bete Haamid "Raza khan" Se Chala. Aala Hazrat Ne Apne Tamam Beto Aur Bhatijiyo'n Ka ek Hi Naam Rakha tha "MUHAMMAD" Aur
Urfiyat (Pehchan) Alag Rakhi thi.
(Ref: Tazkira Aala Hazrat)
Aala Hazrat Ke Bade Bete Hazrat Hamid Raza Ka
INTEQAL Halate Namaz Me Hua Tha Aap Huzoor Ala Hazrat Ashrafi Kichhauchhwi Ke Khulaafa me se the.
Unke Bare Me Aala Hazrat Ne Farmaya "Hamid Mujh
Se Hai Aur Mai Hamid Se Hun." Aala Hazrat ke Mizaz Takrir-Tahrir Me Jo Sakhti thi Wo Sirf Huzoor ke Gustakho ke Liye Huzoor ke Wafadaro ke Liye To Aap Abre- karam the Aala Hazrat ka Jaahir-O-Baatin Ek Jaisa tha Jo DiL Me Hota Wahi Juban Se Jahir Farmate Aapki kisi Se Dosti Dushmani Sirf ALLAH-O- RASOOL Ke Liye Hoti Ek Rafzi (shiya) Haidrabad Se Huzoor Aala Hazrat Ko Milne Aaya Aapne Uski Jaanib Dekhna Bhi Pasand Na Farmaya Chu'nki Wo Sahaba ka Gustaakh tha. Jab Aala Hazrat ke Yaha "Mahfile Milaad" Hoti To Aap Sayyado ko Dugna "NAZRANA" Ata Farmate.
Aala Hazrat Hamesha Sayyado ka Ehtaraam Farmate
the Aap Mureed Bhi Hue To "Mehra Sharif" me Huzoor Sayyad Aale Rasool Ahmadi se hue.
Aala Hazrat ke Peer Ne Farmaya: Qayamat me ALLAH Pak Puchhege Ay Aale Rasool Tu Kya Laya Hai Main
Kahunga. ALLAH Main Ahmad Raza (Aala Hazrat) Laya
Hoon.
Aala Hazrat ki Mulaqat
Ham shabeeh e Ghaus e Azam se
Imam Ahl e Al- Sunnat Imam Ahmad Raza Fazil Bareilvi ko Jab maloom huwa ki Unke Peer o Murshid Hazrat Aale Rasool Alaihir Rahmah ki Tabee'at Zyadah Nasaaz hai to Aap Khud Bagarze Mizaj Pursi Marehira Sharif tashrif le gaye. Hazrat Aale Rasool AlaihirRahmah Aala Hazrat Fazil Barailvi ko dekh kar Farmaya ki mere paas Sarkar e Ghause Azam RadiAllahu Anhu ki Amanat hai jise Aulad e Ghause Azam me Shabeeh (Aek Jaisa dikhna wala) Ghause Azam Maulana Al- Shah Syed Abu Ahmad Muhammad Ali Hussain Ashrafi Miyan Kichhauchhwi ko Sonpni aur Pesh kar deni hai aur woh is waqt Shaikh Al Mashaikh  Mahboob e Ilahi Hazrat Nizam Uddin Chishti RadiAllahu Anhu ke Aastana Par hain Mehraab e Masjid me Mulaqaat hogi.
Chunanche Al Sha Imam Ahmad Raza Khan Fazil Barailvi Delhi Tashreef le aaye. Hazrat Mahboob e Ilahi ke Aastane Par Hazri di Phir Masjid me Tashrif laaye to waq-ee Peer ki Nishandehi ke Ba maujib Aala Hazrat Ashrafi Miyan Kichhauchhwi Alaihirrahmah ke Mihraab e Masjid me Paya aur Barjasta Fil badeeha yeh She'ar kahe:
اشرؔفی اے رخت آئینہء حسن خوباں
اے نظر کردہ و پروردہء سہ محبوباں

Ay Ashrafi Miyan Sarkar! Aap ka Chehraa e Anwaar Husn o Khubi ka Aayinaa hai.
Aap Teen Mahboobeen ke Parwardaaa aur Nazar kardaah hain.
1.    Mahboob e Sub'hani Shaikh Abdul Qadir Jilani
2.   Mahboob e Ilahi Shaikh Nizam Uddin Auliya Chishti
3.   Mahboob e Yazdani Syed Ashraf Jahangir Simnani
Phir Arz  kiya. Aala Hazrat Ashrafi Miyan Kichhauchhwi me Mariheraa Sharif me Hazri di Aur Khilafat Bakhshi Aur Yah Farmaya ki Jiska Haq tha us tak yeh Amaanat Pahuncha di. Iske Baad Hazrat Aale Rasool Alaihir Rahmah ke Aala Hazrat Ashrafi Miyan Kichhauchhwi Khatimul Khulafaa Kahlaye.
(Sahaif e Ashrafi, Ala Hazrat Ashrafi Miyan)

Galat Fahmi Ka Ezalaa
Aala Hazrat Ashrafi Miyan Kichhauchhwi AlaihirRahmah ko Syed Aale Rasool Marharwi Alaihirrahmah se 2/4/1296 Hizri ko Khilafat o Ijazat  Hasil huwi aur 18/12/1296 ko Unka Wisal huwa. Khandan e Barkaat me Hazrat Syed Shah Marharwi ne Hazrat Maulana Ahmad Raza Fazil Bareilvi ko Khatimul Khulaafa Tahreer Farmaya hai Jab ki Hazrat Fazil Barelvi ko 25/6/1294 Hizri me Bait ka Sharf aur Ijazat o Khifat ki Nimat Hasil Huwi.
(Ref: Hayat e Makhdoomul Auliya)
Huzoor ki Tazeem Unki Aal (awalad) Se Mohabbat Unse Judi Har Cheez Se Pyar Aala Hazrat ka Maq'sade Zindagi thi Aur Yahi Sachche Aashiq ki Pehchan Hai.
Bargahe Ala Hazrat me
Syed Muhaddis Azam Hind ki Hazri
Aek Roz Sultanul Waeizeen Alim Rabbani Syed Ahmad Ashraf Ashrafi Al jilani Kichhauchhwi Alahir Rahmah Tashraf laye huwe the. Rukhsat ke waqt unhone ne arj kiya ki mualvi syed Muhammad Sahab Ashrafi (Huzoor Muhaddise Azam Hind Kichhauchhwi) apne bhanje ko, main chahta hoon ki Huzoor ki khidmat me hazir kardoon, huzoor jo munasib khilya Karen un se kaam len, Irshad huwaa: Zaroor Tashreef laaye yahaan fatwa likhen aur madarse me dars den,. Radde wahabiya" aur iftaa" yah dono aese fan hain ki tibb ki tarah yah bhi sirf padhne se nahi aate in me bhi tabeeb e haziq  ( Mahir Tabeeb) ke matab me baithne ki zaroorat hai. Main bhi aek tabeeb e Haziq ke matab me saat baras (saal) baithaa, mujhe woh waqt, woh din, woh jagah, woh masail aur jahan se woh aaye the achhi yaad hain. Main ne aek baar aek nihayat pecheeda hukm ko badi koshish o janfishani (jaan tod mihnat) se nikala aur iski taeedaat me tanqeeh (zayid kalaam nikalne ke baad) Aathh (Eight warq jamaa keen magar jab hazrat walid majid (quddus Sirrah) ke huzoor me pesh kiya to unhone aek jumla me aesaa farma ki is se yah sab warq radd ho gye. Wahi jumlaa ab tak dil me pade huwe hain aur qalb me ab tak un ka asar baaqi hai. Khud sataai ( apni muhn se tareef karna ) jaiz nhi magar waqt e Hajat, izhar haqiqat tahdees nimat hai yani Zaroorat ke waqt haqiqat ke izhaar ke liye apni tareef khud karne ki ijazat par amal hai.
Syedunaa Yusuf Alahis Salaam ne badshaah misr se farmaya:
قال اجعلنی علی خزائن الارض  انی  حفیظ علیم
Zameen ke khazane mere hath me de de beshak hifz wala hoon aur ilm wala hoon. (Surah Yusuf 55)
Bafazl e Rahmat ilahi Phir bauoon o Enayat risalat panahi ()  Yani Allah ke rasool ki madad se wo enayat se iftaa aur radd wahabiya ke dono kamil fan nihayat aali fan inhain se achha in sha Allah hidusdustan me kahin naa payegaa. Ghair mumalik ke babat (bare me) main to har shakhs ko ba tabeeb e khatir ( ba khoshi) sikhane ko tayyar hoon. Syed Muhammad Ashrafi sahib to mere shahzade hain, mere paas jo kuch hai hai inhein ke jaad Amjad Yani Syedunaa Huzoor Ghausul Azam RadiAllahu Anhu ka Sadqaa hai.                              (Ref: Malfooz 1/142)
 Jab Huzoor Muhaddise Azam hind ne Bargah e Ala Hazrat Azeemul Barkat Mujjadide deeno millat Hazrat Allama Shah imam Ahmad Raza khan me Quaran e Kareem ke Turjumaa ka ibatidaai hissa Pesh kiya to Mulahizaa farmaya aur irshaad farmaya:  Shahzade Aap Urdu me Quran likh rahe ho.        (Tafseer e Ashrafi Jild 01 page 08)
Deeni Kamo Se Fursat Ke Baad Jab Aala Hazrat Aaram Farmate To Sone Ka Andaaz Yeh Hota Ki Hath Ke Angothe Ko Shahadat Ki Uugli Par Rakh Lete Taki Ungliyon Se Lafz "Allah" Ban Jaye, Aap Alaihir Rahma Per (Leg) Phaila Kar Kabhi Na Sote Balki Dahini Karwat Let Kar Dono Hathon Ko Milakar Sir Ke Nechhe Rakh Lete Aur Paaon Samet Lete Is Tatah Jism Se Lafz "Muhammad" Ban Jata.
(Hayat e Ala Hazrat jild 01 Page 99)

Kanzul Imam
Aala Hazrat ne Quran-aE-Pak ka Tarzuma 1911 me "Kanzul Imaan" Naamse kiya Aapne Maolana Amzad Ali Azmi ki Gujarish Par Ye Tarzuma kiya tha. Qur'an ka Tarzuma karne ke liye Sirf ILM Hi Kafi Nhi Balki ALLAH ki Taraf se Tauofiq Bhi Chahiye Or Sachcha "ISHQ-E-NABI" hona Chahiye Jo Aala Hazrat  ke Paas tha. Farzind e Ghase Azam Qutub e Zaman Hazrat Allama Syed Shah Muhammad Ashraf Al- Maroof Muhaddise Aazam-E-Hind Ashrafi Al- Jilani Kichhauchhwi AlaihirRahmah Farmate Hain ki  Aala Hazrat  Ka Tarzuma e Qur'an ILHAMI hai Yani Allah ki Janib se Aisa Likha gaya hai jo Aapke Dil Me Dala Gaya Tha. Quran E Pak Ka Urdu Zaban Me Bahetrin Tarjuma KANZUL IMAN Qaum ko Ataa kia. Aala Hazrat ne Apne Tarzume me ALLAH-O- RASOOL ki Shan-E-Azmat ka Bahot Lihaz kiya Jabki Devbandi Wahabi Salafi Qadyani Rafzi Mullao Ne Quraan Ke Tarjume me bhi HUZOOR ki Taohin ki.
 Aala Hazrat  kabhi HADEES Sharif ki kitaab Par koi kitaab Na Rekhte Aap NAMAZ Hamesha Maszid Me Ada karte Aur "Amama" Sharif ke Saath Ada Farmate.
Jab koi Haji Aala Hazrat ke Pas Aata to Puchhte: Kyaa Madina Sharif Hajri di ??? Ha'n kehta to Kadam Choom lete Or Na kehta to Uski taraf Tavajjoh na Farmate. 55 se Ziada
Uloom Par Taqriban 1000 Kitabe Likhi. 30 Jildon Par Mushtamil Fatawa Razviya Likh Kar Fiqh E Hanfi Ki Zabardast Khidmat Anjam di.
Aap ka Har Amal Allah aur Uske Rasool ke Rizaa ke liye hoti. Aapne Logo ko Gustakhe Rasool Se Door Rahne ke liye Barha Elan karte aur Logon ko Khub samjate the ki
HUZOOR Ki Adna Si Gustaakhi karne Wala
Tumhara kaisa hi Aziz kyu Na ho. Usy Dil Se Aise Nikaal Fenko Jaise Doodh Se Makkhi.
ISHQ-E-NABI ne Aala Hazrat ko Wo Taqat Ata ki thi
Jisse Aap kisi Duniyadar Se na Dare Na Dabe. Jo Haq tha Farma Diya Chahe Achha lage Na Lage. Aap Alaihir RAhmah  farmate hain:
Kya Dabe jis pe Himayat ka ho Panjaa tera
Sher ko Khatne me laata nhi kutaa teraaa
Jinke talwo ka dhowan hai Aabe hayat
he woh jaane maseehaa Hamara NABI

       Rampur ke Angrezi Court me Aala Hazrat  par Case kiya Gaya tha Aapne Farmaya: "Ahmad RAZA to Door Ahmad Raza ki JUTI Bhi Angrezi Court me Nahi Jayegi" Angrez ke Wafadar (wahabi/devbandi) Mulla Aala Hazrat  par Ilzam Lagate hai, Jabki Aala Hazrat  Angrezi Huqumat ke
Shakht Khilaaf The. Devbandi Mulla Jo "NABI" ke
Gaddar Hai wo Vatan ke Wafadar Kya Ho Sakte Hai
Inke Mulla Thanvi ko Angrezi Huqumat 600 Rupiya
Deti thi.
Sawal: Hazrat Ye Deobandi kehte hyn k Tumhare A'la Hazrat or Hamare Thanvi sahab Ek Sath Darul Uloom deoband me padhe hen the... Hazrat kiya ye sahi hai Jawab inayat farmaen..
Jawab:
بسم الله الرحمن الرحيم
الجواب بعون الملك العزيز العلام
Wahabi Devbandi Bad Mazhab jo Apne Aqaide Batila ke Sabab sab Kafir o Murtad Hain, jab Khud Unka Khuda Jhoot Bol Sakta Hai to ab Samajh Jaeye ki Yeh Khud Wahabi Khabis Kitna Bada Jhoota Hoga...
Unke Aqaid ki Bunyad Jhoot or Makkari par Hai In ka Maqsad Sunniyon ko Gumrah Karna Hai.
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza AlaihirRahman Ne……...
ê 4 Sal ki Umr Sharif me Quran ki Takmil Farmai
ê 6 Sal ki Umr Sharif me Milade Mustafa SALLLAHU ALAIHE WASALLAM Par 2 Ghanta Tafsili Tahqiqi Bayan Kiya...
8 Sal ki umr Sharif Me HIDAYATUN NAHU Ki Arabi me Sharah Tasnif Farmai
ê 10 Sal ki Umr Sharif me Aham Tarin Kitab MUSALLIMUS SuBOOT ki Arabi Sharah Tahrir Farmai 
ê 14 Sal ki Umr Sharif me SARKARE A'LA HAZRAT Ko Apke Walid Majid ne Masnade Ifta par Mutmakkin Farma Diya or jab SARKARE A'LA HAZRAT 14 Sal ki Umar Sharif me Masnade Ifta par Jalwa Farma hogaye to Uswaqt DEOBANDIYON KA HAKIMUL AMAT ASHARR FELI Thanvi ne us Darul Uloom DEO BAND me Admission hi Nhi Liya Tha Jaisa k Tarikhe Paidaish se Zahir Hai k A'LA HAZRAT Ki Paidaish 1272 hijri me Hoowi or Farigut Tahsil Ho Kar 1287 hijri me Masnade Ifta par Ronaq Afroz ho Gye Yani 14 Sal ki Umar Fatwa Dena Shuroo Kar Diye The or Thanvi 1280 hijri Paida Hua Devband me Dakhila 1295 Hijri me Liya or 20 Sal Bad Farig Hooa Shaitani tarke ke Ilm se...
Us waqt Mere A'LA HAZRAT 100 Kitabain Likh Chuke The. Alhamdulillaah A'LA HAZRAT Faraagate Ilm ke Bad Jab Mufti Ban Chuke The Us Waqt Imamush Shayatin Thanavi Be Hayaai Ke Sath Khel Kood Raha Tha...
Yeh Wahabi Devbandi Mar Jayenge or Yaqinan Apne Thikaane Jahannam Me Chale Jayenge Lekin Yeh Jhoot ko Sach Nahi Sabit kar Sakenge...
ALLAH Ta'ala In Bad Mazhabon ke Shar Se Har Sunni k Imaan o Aqeede ki Hifazat Farmaye..
آمِيّنْ آمِيّنْ آمِّيْنَ يَا رَبَّ الْعَالَمِيْنَ
Muhtaram Qarian e Karam!
Zyadah Jankari Ke liye Hazrat Maulana Muahammad Abd Al Sattar Hamdani Sahab Qibla ki Kitaab Padhen Mazeed Jankari Hasil hogi.  ان شاء اللہ تعالی

 Ilm e Fiqah me Ala hazrat ka Muqam
Aapke Ilm e fazl aur khas kar ilm e Fiqah me tabhar ka aetaraf to un ahle ilm ne bhi kiya hai jinhain maslak o mashrab se ikhtilaf hai. Jaise Malik Ghulam Ali Sahab jo Syed Abul ala maododi sahib ke ma'awin hain apne aek bayan me jise haft rozah "shahaab" Lahore ne 25 November 1962 AD ki isha'at me darj kiya hai likhte hain:
"Haqiqat yah ki maulana ahmad raza khan sahib ke bare me ab tak ham log sakht galat fahmi me mubtalaa rahe hain. In ki ba'z tasaanif aur fatawaa ke muta'alaa ke baad is nateejah par pahunchaa hoon ki jo ilmi gahraai me ne in ke yahan paayi woh bahut kam ulaama me paayi jati hai aur ishq khudaa aur rasool to in ki satar satar (Jumle Jumle) se photo padta hai.
Isi tarah Azamgarh district U.P se shayi hone wala Mahnama Mujallah "Muaa'rif" raqamtarz hai: " maulana Ahmad Raza Khan Sahab Marhoom apne Waqt ke Zabardast Aalim, Musannif aur Faqeeh the. Unho ne chhote Bade Sekdon (100 se Adhik) fiqhi Masail se muta'aliq risale likhe hain. Quran Azeez ka salees Tarjuma bhi kiya hai in ilmi Karnamon ke sath sath Hazar ha Fatwon ke Jawabat bhi unhon ne diye hain".
Yah Aaraa (Raay ki Jama) Yeh Sachchi Baat un logon ki hain jis se maslaki Iktilaaf hain aur jo maslak me muttahid hain unki Aaraa ka Shumaar nahi kiya jaa sakta hai. Phir bhi ham chand kalimaat Ulaama e Rabbaniyeen  o Uzmaa e Harmain Taiyibeen ke is maoqe par Arz kar dena Faidy se Khali naa hogaa. Ab tak Tazkiron me Jin Jin Ulamaa ke naam Pesh kiye giye hain galiban yah naam un se judaa gaana hain:
1.    Shawaaf'e ke mufti aur imam, naqeeb al Ashraf aur shaikhul Sadaat Fil Madina Al munawwarah syedi Al syed Alwi bin al syed ahmad baa faqeeh irshad farmate hain:
افضل الفضلاء انبل النبلاء فخر السلف قدوۃ الخلف الشیخ احمدرضا

2. Ahnaaf ke mufti o imam Al Syed Ismail bin Khaleel Madni farmate hain:
شیخنا العلامۃ المجرد شیخ الاساتذۃ علی الاطلاق الشیخ احمدرضا

3.   Hambaliyon ke imam o mufti aur masjid e nabvi me Mudarris Imam Abdullah AL Hanbali Irshad farmate hain:
العالم العامل الھمام الفاضل محررالمسائل وعویصات الاحکام ومحکم بروج الادلۃ بمزید اتقان وریادۃ اجکام سید الشیوخ والفضلاء الکرام قاضی القاضاۃ الشیخ احمد رضا خاں

4.   Maliki Hazraat ke imam o mufti, madina me darul ifta ke aalaa nigraan o hakim syedi Ahmad Al Jazayeri ibn Al Syed Ahmad Al Madni irshad farmate hain:
علامہ الزمان و فرید الاوان ومنبع العرفان وملحظ النظار سید عدنان حضرت مولانا الشیخ احمد رضا خان

Yeh chaar Shahadeten Muftiyaan Mazahib e Arbaa, Ahnaaf, Shawaafe, Hanabilaa aur malikeen madina manawwarah ki hain. Chaar hi mazahib e Arbaa ke muftiyaane karaam Ulaama e Ezaam o Mudarriseen baitullah Makkah Makurrama ki Pesh e Khidmat hain.
Hanafiyon ke imam o mufti, Allam Al Zamaan Mulana Syed Abdullah bin Maulanaa Al Syed Al Siraj Mufti e Hanafiya Makka Mukurramaa Tahreer Farmate hain.
العامۃ الفھامۃ الھمام والعمدۃ الدراکۃ الامام ملک العلماء الاعلام الشیخ احمد رضا خاں

Malikiyeen ke imam o qazi o muddaris masjid e haram ke khas al khas mufti hazrat syedi imam Muhammad bin hussain al malki mufti o mudarris diyar harmiya arqaam farmate hain:
ونشرت اعلام الانتصار علی منبر الھدایہ فی جامع الافتخار وقامت تشبت فضائل منشیھا وتنص علی مناھل مصطفیھا وکیف لا وھو احمد المھتدین رضا             لا زالت             شموس  تحقیقات المرضیۃ طالعۃ فی سماء الشریعہ السمحۃ المحمدیۃ


Salat o Salaam
 Aala Hazrat Ka Likha Hua Pyara "Salam" "Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakho Salam" Wo "Salam" Hai Jo Duniya Me "Namaz" Ke Baad Sabse Zyada Padha Jaata Hai.
Aap Ke Natiya Kalam Ki Sari Duniya Me Dhoom Hai. Aapne Pure 54 Saal Tak Deen Ki Azeem Khidmat Anjam Di. Aapne 1300 kitabe Likhi.       
(Ref. Tazkira Raza)
Ham yahan par Husool e Barkat ke liye Kuch kitabon ke Naam Likh rahe hain taki Jankari me mazeed Izafa ho aur ho Sake to Padhne ki bhi Koshish Karen Aap ko Yeh Tamam Kutub Aasani se Dastiyab ho jayegi. ان شاء اللہ تعالی
 1. Ajallā al-Iýlām anna’l Fatwā Muţlaqan álā Qawl al-Imām
 2. At-Ţirs al-Muáddal fī Ĥaddi Mā al-Mustaámal
 3. Jumān at-Tāj fī Bayāni’s Şalāti Qabl al-Miýrāj
 4. Nahju’s Salāmah fi Ĥukmi Taqbīli’l Ibhāmayni fi’l Iqāmah
 5. Īdhānu’l Ajr fī Adhāni’l Qabr
 6. Ijtināb al-Úmmāl án Fatāwā al-Juhhāl
 7. Awfa’l Lumáh fī Ādhāni Yawm al-Jumuáh
 8. Surūru’l Ýīd as-Saýīd fī Ĥilli’d Duáa Baáda Şalāti’l Ýīd
 9. Wishāĥu’l Jīd fī Taĥlīl Muáānaqati’l Ýīd
 10. Al-Ĥarfu’l Ĥasan fi’l Kitābati ála’l Kafan
 11. Al-Minnatu’l Mumtāzah fī Dáwāti’l Janāzah
 12. Badhlu’l Jawāyiz ála’d Duáāyi Baáda Şalāti’l Janāyiz
 13. An-Nahy al-Ĥājiz án Takrāri Şalāti’l Janāyiz
 14. Ihlāku’l Wahabiyyīn álā Tawhīni Qubūri’l Muslimīn
 15. Barīqu’l Manār bi Shumūýi’l Mazār
 16. Jumal an-Nūr fī Nahyi’n Nisā’a án Ziyārati’l Qubūr
 17. Ityān al-Arwāĥ li Diyārihim baád ar-Rawāĥ
 18. Jalī as-Şawt li Nahyi’d Dáwati Amām al-Mawt
 19. Ţuruq e Isbāt e Hilāl
 20. Dar’a al-Qubĥ án Darki Waqti’s Şub’ĥ
 21. Al-Árūs al-Miýtār fi Zamani Dáwati’l Iftār
 22. Şayqalu’r Rayn án Aĥkāmi Mujāwarati’l Ĥaramayn
 23. Anwāru’l Bishārah fī Masāyil al-Ĥajji wa’z Ziyārah
 24.
An-Nayyiratu’l Wađiyyah Sharĥ al-Jawharatu’l Muđiyyah
 25. Izālatu’l Áār bi Ĥijri’l Karāyim án Kilābi’n Nār
 26. Iýlām al-Aálām bi anna Hindustān Dār al-Islām
 27. Dawāmu’l Áysh min al-Ayimmah mina’l Quraysh
 28. Radd ar-Rafađah
 29. Al Mubīnu Khatam an-Nabiyyīn
 30. Al-Jabal at-Thānawi álā Kulliyati’t Tahānawi
 31. Sub’ĥān as-Subbūĥ án Kadhibi Áybin Maqbūĥ
 32. Damān e Sub’ĥān as-Subbūĥ
 33. Qahru’d Dayyān álā Murtadd bi-Qādiyān
 34. Al-Jurāz ad-Dayyānī ála’l Murtadd al-Qādiyānī
 35.
Al-Kawkabatu’sh Shihābiyyah fī Kufriyyāti Abi’lWahābiyyah
 36.
Sall as-Suyūf al-Hindiyyah álā Kufriyyāti Bābā an-Najdiyyah
 37. Kifl al-Faqīh al-Fāhim fī Aĥkāmi Qirţās ad-Darāhim
 38. Ad-Dhayl al-Manūţ li Risālatu’n Nūţ
 39. Kāsiru’s Safīh al-Wāhim fī Ibdāli Qirţāsi’d Darāhim
 40. Subul al-Aşfiyā’a fī Ĥukmi’dh Dhabĥ li’l Awliyā’a
 41. As-Şāfiyah al-Mūĥiyah li-Ĥukmi Julūdi’l Uđĥiyyah
 42. Jalī an-Naşş fī Amākin ar-Rukhaş
 43. Barakātu’l Imdād li Ahli’l Istimdād
 44.
Fiqh e Shahinshāh wa anna Al-Qulūb bi Yadi’l Maĥbūb bi Áţā’yillāh
 45. Badru’l Anwār fī Ādāb al-Āthār
 46.
Shifā al-Wālih fi Şuwar al-Ĥabīb wa Mazārihi wa Niáālih
 47. Maqāl al-Úrafā bi Iýzāzi Shar’ýin wa Úlamā
 48. Al-Yāqūtatu’l Wāsiţah fī Qalbi Íqd ar-Rābiţah
 49. Murūju’n Najā li Khurūji’n Nisā’a
 50. Şafāyiĥ al-Lujayn fi Kawni’t Taşāfuĥ bi Kaffay al-Yadayn
 51. Az-Zubdatu’z Zakiyyah li Taĥrīmi Sujūd at-Taĥiyyah
 52. Lamátu’d Đuĥā fī Iýfā’yi’l Liĥā
 53.
Radd al-Qahţ wa’l Wabā’a bi Dáwati’l Jīrāni wa Muwāsāti’l Fuqarā’a
 54. Irā’atu’l Adab Li Fāđili’n Nasab
 55. Hādiyi’n Nās fī Rusūmi’l A’árās
 56. Al-Adillatu’t Ţāýinah fī Adhāni’l Malāyinah
 57. Ĥakku’l Áyb fi Ĥurmati Taswīdi’sh Shayb
 58. Khayru’l Āmāl fī Ĥukmi’l Kasabi wa’s Su’āl
 59. Masayil e Samāá
 60. Al-Ĥaqq al-Mujtalā fi Ĥukmi’l Mubtalā
 61. Taysīri’l Māúūn fī Ĥukmi’t Tāúūn
 62. Al-Ĥuqūq li Ţarĥi’l Úqūq
 63. Mashálatu’l Irshād fi Ĥuqūqi’l Awlād
 64. Aájabu’l Imdād fi Mukaffarāti Huqūqi’l Íbād
 65.
A’áālī al-Ifādah fī Táziyati’l Hindi wa Bayāni’sh Shahādah
 66. Al-Áţāyā al-Qadīr fī Hukmi’t Taşwīr
 67. An-Nūr wa’d Điyā’a fī Aĥkāmi Báađ al-Asmā’a
 68. Ĥaqqatu’l Marjān li Muhimmi Hukmi’d Dukhān
 69. Ash-Sharīátu’l Bahiyyah fī Taĥdīdi’l Waşiyyah
 70. As-Şamşām álā Mushakkiki fī Āyāti Úlūmi’l Arĥām
 71.
Al-Fađl al-Mawhibī fī Mána idhā şaĥĥa’l ĥadīthu fa huwa madh’habī
 72. Nuzūl e Āyāt e Furqān ba Sukūn e Zamīn O Āsmān
 73. Muýin e Mubīn Bahr e Daur e Shams o Sukūn e ZamīN
 74. Fauz e Mubīn dar Radd e Ĥarkat e Zamīn
 75. An-Nayyiratu’sh Shihābī álā Tadlīsi’l Wahābī
 76. As-Sahmu’sh Shihābī álā Khadāýi’l Wahābī
 77. Daf’áy e Zaygh e Zāgh
 78. Al-Ĥujjatu’l Fāyiĥah li Ţībi’t Ta-áyyuni wa’l Fātiĥah
 79. Aţāyibu’t Tahānī fi’n Nikāĥi’t Thānī
 80. Izākhatu’l Áyb bi Sayfi’l Ghayb
 81. At-Taĥbīr bi Bābi’t Tadbīr
 82. Thalju’s Şadr bi Īmāni’l Qadr
 83. Tajallī al-Yaqīn bi anna Nabiyyanā Sayyida’l Mursalīn
 84. Shumūl al-Islām li Usūli’r Rasūli’l Kirām
 85. Tamhīd e Īmān ba Āyāt e Qur’ān
 86. Al-Amn wa’l Úlā li Nāáti’l Muşţafā bi Dāfiýi’l Balā’a
 87. Nafyu’l Fayy Ámman Istanāra bi Nūrihi Kulla Shayy
 88. Al-Hidāyatu’l Mubārakah fī Khalqi’l Malāyikah
 89. Ismā’a al-Arbaýīn fī Shafāáti Sayyidi’l Maĥbūbīn
 90.
Al-Qawl al-Masúūd al-Maĥmūd fī Mas’alati Waĥdati’l Wujūd
 91. Ad-Dawlatu’l Makkiyah bi’l Māddati’l Ghaybiyyah
 92. Al-Waīfatu’l Karīmah
 93. Al-Mīlād an-Nabawiyyah fi’l Alfā ar-Riđawiyyah
 94. Ĥaqīqat e Bay’át
 95. At-Tabşīr al-Munjid bi anna Şaĥna’l Masjid Masjid
 96.
Mirqātu’l Jumān fi’l Hubūţi án Minbari li Mad’ĥi’s Şulţān
 97.
Riáāyatu’l Madh’habayn fi’d Duáāyi bayna’l Khuţbatayn
 98. Al-Hādi al-Ĥājib án Janāzati’l Ghāyib
 99. Ĥāyatu’l Mawāt fī Bayāni Samā’áyi'l Amwāt
 100.
Al-Wifāqu’l Matīn bayna Samāáyi’d Dafīn wa Jawābi’l Mubīn
 101. Tajallī al-Mishkāh li Ināri As’yilati’z Zakāh
 102. A-ázz al-Iktināh fī Raddi Şadaqatin Māniý az-Zakāh
 103. Rādiýu’t Ta-ássuf áni’l Imām Abī Yūsuf
 104. Afşaĥu’l Bayān fī Mazāriý Hindustān
 105. Az-Zahr al-Bāsim fī Ĥurmati’z Zakāti álā Banī Hāshim
 106.
Azkā al-Ihlāl bi Ibţāli mā Aĥdatha’n Nāsa bi Amri’l Hilāl
 107. Al-Budūr al-Ajillah fī Umūr al-Ahillah
 108. Al-Iýlām bi Ĥāli’l Bukhūri fi’s Şiyām
 109. Tafāsīru’l Aĥkām bi Fidyati’s Şālāti wa’s Şiyām
 110. Hidāyatu’l Jinān bi Aĥkāmi Ramađān
 111. Úbāb al-Anwār an Lā Nikāĥa bi Mujarradi’l Iqrār
 112. Māĥī ad-Đalālah fī Ankiĥati’l Hindi wa’l Bangālah
 113. Hibatu’n Nisā’a fī Taĥqīqi’l Muşāharati bi’z Zinā
 114. Al-Jalī al-Ĥasan fī Ĥurmati Waladi Akhi’l Laban
 115. Tajwīz ar-Radd án Tazwīj al-Ab’ád
 116.
Al-Basţ al-Musajjal fī Imtināýī’z Zawjati Baád al-Waţyi li’l Muájjal
 117. Raĥīq al-Iĥqāq fī Kalimāti’t Ţalāq
 118. Ākidu’t Taĥqīq bi Bābi’t Tálīq
 119. Al-Jawhar ath-Thamīn fī Ílali Nāzilati’l Yamīn
 120. Nābighu’n Nūr álā Su’ālāti Jabalfūr
 121. Al-Maĥajjah al-Mu’taminah fī Āyāti’l Mumtaĥinah
 122. Anfasu’l Fikar fī Qurbāni’l Baqar
 123. Abĥās e Akhīrah
 124. Ad-Dalāyil al-Qāhirah ála Al-Kafarah an-Nayāshirah
 125. Tadbīr e Falāĥ o Najāt o Işlāĥ
 126. Al-Qamú’l Mubīn li Āmāli’l Mukadh’dhibīn
 127. Bāb al-Áqāyid wa’l Kalām
 128. As-Sū’u wa’l Íqāb álā Al-Masīĥ al-Kadh’dhāb
 129. Ĥajb al-Úwār án Makhdūmi Bihār
 130. Jazā’a Allāh Áduwwah bi Ibānati Khatmi’n Nubuwwah
 131. Jawwāl al-Úluww li Tabyīn al-Khuluww
 132. At-Taĥrīr al-Jayyid fi Ĥaqqi’l Masjid
 133. Ibānatu’l Mutawārī fi Muşālaĥati Ábd al-Bārī
 134. Anşaĥu’l Ĥukūmah fī Faşli’l Khuşūmah
 135.
Al-Hibatu’l Aĥmadiyyah fi’l Wilāyati’s Sharýiyyah wa’l Úrfiyyah
 136. Fat’ĥ al-Malīk fī Ĥukmi’t Tamlīk
 137. Ajwadu’l Qirā Li Ţālibi’s Şiĥĥati fī Ijārati’l Qurā
 138. Kitābu’l Munā wa’d Durar liman Ámada Money Order
 139. Hādī al-Uđĥiyyah bi’sh Shāt al-Hindiyyah
 140.
Ar-Ramz al-Muraşşaf álā Suāli Mawlānā As-Sayyid Āşīf
 141. Naqā’a as-Sulāfah fī Aĥkām al-Bayáti wa’l Khilāfah
 142. An-Namīqatu’l Anqā fī Farqi’l Mulāqī wa’l Mulqā
 143. Al-Hanī’i al-Namīr fi’l Mā’a al-Mustadīr
 144.
Ruĥb as-Sāĥah fī Miyahin lā Yastawī Wajhuhā wa Jawfuhā fi’l Misāĥah
 145. Hibatu’l Ĥabīr fī Úmqi Mā’ayin Kathīr
 146. An-Nūr wa’r Rawnaq li Isfāri’l Mā’a al-Muţlaq
 147. Áţā’a an-Nabiyy li Ifāđati Aĥkāmi Mā’a as-Şabiyy
 148. Ad-Diqqati wa’t Tibyān li Ílmi’r Riqqati wa’s Saylān
 149. Ĥusn at-Támmum li Bayāni Ĥadd at-Tayammum
 150. Samĥu’n Nudarā fīmā Yūrithu’l Ájza Mina’l Mā’a
 151. Aafar li Qawli Zufar
 152. Al-Maţar as-Saýīd álā Nabati Jins as-Şaýīd
 153. Al-Jidd as-Sadīd fī Nafyi’l Istiýmāl áni’s Şaýīd
 154.
Qawānīn al-Úlamā’a fī Mutayammimin Álima índa Zaydin Mā’a
 155. At-Ţalabatu’l Badīáh fī Qawli Şadru’sh Sharīáh
 156. Mujalli’sh Shamáh li Jāmiýi Ĥadathin wa Lumáh
 157. Salabu’th Thalb áni’l Qāyilīna bi Ţahārati’l Kalb
 158. Al-Aĥlā mina’s Sukkar li Ţalabati’s Sukkari Rūsar
 159. Ĥājizu’l Baĥrayn al-Wāqī án Jāmiýi’s Şalātayn
 160. Munīr al-Áyn fī Ĥukmi Taqbīl al-Ibhāmayn
 161. Al-Hādi’l Kāf fī Ĥukmi’đ Điáāf
 162. Hidāyatu’l Mutáāl fi Ĥaddi’l Istiqbāl
 163. Niýmu’z Zād li Rawmi’d Đād
 164. Iljām as-Şādd án Sunani’d Đād
 165. An-Nahyi’l Akīd áni’s Şalāti Warā’a Ádda’t Taqlīd
 166. Al-Qilādatu’l Murassa-áh fī Naĥri’l Ajwibatu’l Arba-áh
 167.
Al-Quţūf ad-Dāniyah liman Aĥsana’l Jamāáh ath-Thāniyah
 168. Tījān as-Şawāb fī Qiyāmi’l Imām fi’l Miĥrāb
 169. Anhāru’l Anwār min Yammi Şalāti’l Asrār
 170. Az’hāru’l Anwār min Şabā Şalāti’l Anwār
 171. Waşşāfu’r Rajīĥ fī Basmalati’t Tarāwīĥ
 172. Al-Jūd al-Ĥuluww fī Arkān al-Wuđū’u
 173. Tanwīr al-Qindīl fī Awşāf al-Mindīl
 174. Lumaá al-Aĥkām án lā Wuđū’u Mina’z Zukām
 175.
At-Ţirāzu’l Málam fīmā huwa Ĥadathun min Aĥwāli’d Dam
 176. Nab’hu’l Qawm Anna’l Wuđū’u Min Ayyi Nawm
 177. Khulāşah Tibyān al-Wuđū’u
 178. Al-Aĥkām wa’l Ílal fī Ishkāl al-Iĥtilāmi wa’l Balal
 179. Bāriqu’n Nūr fī Maqādīri Mā’a at-Ţuhūr
 180. Barakātu’s Samā’a fī Ĥukmi Isrāfi’l Mā’a
 181. Irtifāá al-Ĥujub án Wujūhi Qirā’ati’l Junub
 182. At-Ţayyib al-Wajīz fi’l Amtiáti’l Waraqi wa’l Ibrīz
 183. Abarr al-Maqāl fī Istiĥsāni Qiblati’l Ijlāl
 184. Al-Kashfu Shāfiyā Ĥukmi Fūnūjrāfiya (phonograph)
 185. Al-Fiqhu’t Tasjīlī fī Ájīni’n Nārjīlī
 186. Al-Maqşadu’n Nāfiý fī Úşūbati’s Sinf ar-Rābiý
 187. Ţayyibu’l Imáān fī Táddudi’l Jihāti wa’l Abdān
 188. Tajliyatu’s Silm fī Masāyilin min Nişfi’l Ílm
 189. Nuţq al-Hilāl bi-Arkhi Wilād al-Ĥabīb wa’l Wişāl
 190. Jam-úl Qur’ān wa bima Ázzūhu li Úthmān
 191.
Iqāmatu’l Qiyāmah ála Ţāyini’l Qiyāmi li Nabiyyi’t Tihāmah
 192. Kashf e Ĥaqāyiq o Asrār e Daqāyiq
 193. Maqāmiý al-Ĥadīd álā Khaddi’l Manţiq al-Jadīd
 194.
Al-Kalimatu’l Mulhamah fi’l Ĥikmati’l Muĥkamah li Wihā’yi’l Falsafati’l Mash’amah
 195. Ĥusām al-Ĥaramayn álā Manĥari’l Kufri wa’l Mayn
 196. Waşāyā Sharīf
 197. Aĥkām e Sharīát
 198. Írfān e Sharīát
 199. Malfūzāt e Ālāĥazrat
 200.
Shamāyim al-Ánbar fi Adabi’n Nidā’a Amām al-Minbar
 201. Fatāwā Karāmāt e Ghawsiyah
 202. Az-Zulāl al-Anqā min Baĥri Sabqati’l Atqā
 203. Ţard al-Afāýī án Ĥimā Hādi Rafá’r Rifāýī
 204.
Tanzīhu’l Makānatu’l Ĥaydariyyah án Wasmati Áhdi’l Jāhiliyyah
 205. Ghāyatu’t Taĥqīq fī Imāmati’l Áliyy wa’s Şiddīq
 206. Qawāriýu’l Qahhār ála’l Mujassamati’l Fujjār
 207. Khālişu’l Iýtiqād
 208. Inbā’a al-Muşţafā bi Ĥāli Sirrin wa Akhfā
 209. Anwāru’l Intibāh fi Ĥilli Nidā’yi Yā RasūlAllāh
 210. Sharĥ al-Maţālib fī Mabĥathi Abī Ţālib
 211
. Iýtiqād al-Aĥbāb fī Al-Jamīl wa’l Muşţafā wa’l Āli wa’l Aş’ĥāb
 212. Umūr e Íshrīn [Dar Imtiyāz e Áqāyid e Sunniyyīn]
 213. Rimāĥu’l Qahhār álā Kufri’l Kuffār
 214. Munyatu’l Labīb Anna’t Tashrīý Bi Yadi’l Ĥabīb
 215. Munabbih
al-Munyah Bi Wuşūl al-Ĥabīb ila’l Árshi wa’r Ru’yah
 216. Şallāt as-Şafā’a fī Nūri’l Muşţafā
 217. Qamru’t Tamām fī Nafyi’z illi án Sayyidi’l Anām
 218. Hadyu’l Ĥayrān fī Nafyi’l Fayy án Sayyidi’l Akwān
 219. Al-Ijāzātu’l Matīnah li Úlamāyi Bakkah wa’l Madīnah
 220. Aţāyib as-Sayyib álā Arđ at-Ţayyib
 221. Sayf al-Muşţafā álā al-Adyān al-Iftarā
 222. An-Nuktah álā Mirāyi Kalkatta
 223. Charāgh e Uns
 224. Qaşīdatān Rāyiyatān
 225. Zikr-e-Aĥbāb O Duáā-e-Aĥbāb
 226. Ih
ār al-Ĥaqq al-Jaliyy
 227. Masāyil e Miýrāj
 228. Fatāwā Āfrīqah
           (Ref: http://www.alahazrat.net)
Aap Ka Wisal 25/2/1921 Ko Azane Juma ke Dauran Hua. Sari Zindagi Deen ki Khidmat Aur Ishqe Mustafa ki Daulat Taqsim Karne Me Lage Rahe Magar Kuch Johlaa logon ki Wajah se Badnaam kiya ja rhaa hai Kash Ki Aala Hazrat AailhirRahmah ki Talimat ko Padh late to BadGumani jaise Azeem Gunah na Karte.

Allah Ta'alaa Ham sab ko Ala Hazrat ki Talimat Par Amal karne ki Taufeeq Aur Hasideen e Ala Hazrat ko Hidayat Ataa farmaye Ameeeen………..

15 comments:

  1. The biography of Ala Hazrat taught us a lesson of love, unified love for the beloved Prophet. We should be acquainted with the life of Ala Hazrat...

    ReplyDelete
  2. AALA HAZRAT kitne iswi me mureed hue

    ReplyDelete
  3. Exposing wahabism

    FikreRaza - If you are looking at the AalaHazrat teachings, then we provide the AalaHazrat teachings by AlaHazratBarelvi. We are the classical teachings of Islam through peace.

    to get more - http://radd-e-wahabiyat.com/about-us/

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  5. Masha Allah Great Work Ala Hazrat Arabic Book Read and Donwood
    Visit Link: الإمام أحمد رضا خان مفخرة الإسلام

    ReplyDelete
  6. He is a great Mujadid, matchless.

    ReplyDelete
  7. The Department of Arab Affairs of the Islamic Da’wah Center presents to you the most beautiful content that includes educational and guidance collections, by the venerable Imam and the famous renewed scholar, Sheikh Ahmad Reda Khan al-Hindi al-Hanafi al-Maturidi, may God Almighty have mercy on him, which contains several links that you can access to the original by simply clicking.

    ReplyDelete