Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 14

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Yazeed Ko Paleed Likhna Jaiz hai
"Yazid Beshak Paleed Tha, Isey Paleed Likhna Aur Kehna
Jaiz Hai au ise Rehmatullahi Alaih Na Kahegaa magar Naasbi ki Ahle Bait Risalat ka Dushman hai.
(Fatawa Razawiya 14/603)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Hinduon ke Mele me Shirkat
Kuffar ke Mailon Maslan Dashara Wagiarah dekhne ke liye jana Mulaqan Najaiz hai Agar inka Mazhabi melaa hai jis me woh Apne Mazhabi Nuqna  Nazar se Kufr o Shirk karenge, Kufr ki Awaaz se Chillayenge to Zahir hai aesi surat me Jana Sakht Haram hai Agar Yahi Mazhabi Melaa nahi lawh o La'ab (Khel Kood) ka hai Jab bhi Naa mumkin o Mukarat o Qabaa'ah se Khali ho aur Mukaraat ka Tamasha Banana Jaiz nhi.                         (Irfan e Shariat 1/27)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Moonchein Lambi karna
"Moonchein Itni Barhana Ke Mun Me Aayen, Haraam o Sakht Gunaah Aur Mushrikon Ki Mushabihat Hai".
(Ahkaam e Shariat V2)
Note: Hazrat Allama Muhammad Shahzad Turabi Qadri ki Kitab "Bidaat ke Khilaaf 100 Fatwe" ka Zaroor Muta'alaa kren.
Baarga Khudawandi me Duaa hai ki  ham sakbo Shariat o Sunnat Par Amal karne aur Dosron Tak Haq Baat Pahuchane ki Taufeeq de. Is Choti se Risal me kahin koi Galati Qasdan ya Sahwan ho gyi ho Ay Hamare Rab hamain Muaaf kar de aur iska Swaab Kul Momin wal Mominaat ke Arwah me Pahuchaa.
اللھم اغفرلی ولکل مومن ومومنہ
SHAJRAH E Qadria Barkatia Razvia Nooria
Bismillah hir rahman nir raheem
Ya  Ilahi Rahem  Farma Mustafa   Ke   Waaste
Ya Rasoolallah Karam Ki’jiye Khuda Ke Waaste.
Mushkile Hal kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waaste
Kar  Balaa-e-Rad  Shaheede  Karbala Ke Waaste
Sayyid-e-Sajjaad Ke Sadqe me Saajid Rakh Mujhe
I’lm-e-Haq de Baaqir-e-I’lm -e- Huda  Ke Waaste
Sidqe  Saadiq  Ka  Tasadduq   Saadiqul  Islam   Kar
Be Ghazab Raazi ho  Kaazim aur Raza Ke  Waaste
Bahre  Ma’roof wa  Sirri  Ma’roof de  Be’khud   Sirri
 Jund-e-Haq me Ghin Junaid-e-Baa Safa Ke Waaste
       Behre Shibli Shere Haq  Duniya Ke Kutto Se Bacha
                     Ek  ka Rakh  Abde-Waahid    Be Riya  Ke   Waaste
Bul Farah Ka Sadqa Kar Ghum ko Farha de Husn o Sa’ad
Bul   Hassan aur  Bu  Saeede  Sa’ad-e-zaa  Ke   Waaste
Qaadiri Kar Qaadiri Rakh  Qaadiriyo  me ut’ha
Qadre Abdul Qaadire Qudrat Numa Ke Waaste
Ahsanal laahu Lahu Rizqan se de Rizqe Hassan
Banda’e   Razzaaq   Taajul Asfiya   Ke  Waaste
Nasraabi Saaleh Ka Sadqa Saaleho Mansoor Rakh
De Hayaat-e-Deen Muhiy’ye Ja Fizaa Ke Waaste
Toor-e-Irfaan wa Uloo wa Hamd wa Husna wa Bahaa       De Ali Moosa  Hassan  Ahmad   Bahaa  Keh    Waaste
Bahr-e-Ibraheem Mujh Par Naar-e-Ghum Gulzaar Kar
Bheek De Daata  Bhekaari   Badshaaah   Ke   Waaste
Khana’e Dil ko Zia De Roo’e Imaan Ko Jamaal
Sheh Zia Maula Jamaalul Awliya  Ke  Waaste
  Deh Muhammad Keh Liye Rozi Kar Ahmad Keh Liye
  Khaane Fazlullahaaa  se  Hissah  Gadaa Ke Waaste
Deeno Duniya Ki Mujhe Barkaat de Barkaat se
Ishqe Haq de Ishqi-e-Ishq Intima  Keh  Waaste
Hubbe Ahle Bait  de  Aale  Muhammad  Ke  Liye
Kar Shaheede Ishqe Hamza Peshwa Ke Waaste
  Dil Ko Ach’cha Tann Ko   Sutra Jaan Ko Pur  noor Kar
  Achchhe Pyaare Shamsuddeen Badrul Ulaa Ke Waaste
Do Jahan me Khaadime Aale Rasoolullah  Kar
Hazrat e Aale Rasool e Muqtadaa Ke Waaste
   Noor-e-Jaan wa Noor-e-Imaan Noor-e-Qabro Hashr De
   Bul  Husain-e   Ahmad   e   Noori   Liqaa     Ke   Waaste
Kar ‘Ata Ahmad Raza eh Ahmade Mursal Mujhe
       Mere Maula Hazrat e Ahmad  Raza  Ke Waaste
Sadqa in A'ayan ka de Chhe Aen Ezz, ilm o Amal
Afw  o  irfaan  Aafiyat  is  be  nawaa ke waste

امین بجاہ حبیبہ الکریم صلی اللہ علیہ وعلی الہ واصحابہ وازواجہ وسلم

No comments:

Post a Comment