Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 13

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Zalzalaa Kyun Aata hai ?
"Zalzala Aane Ka Asli Baais Aadmiyon Ke Gunah Hen Aur Paida Yun Hota He Ke Ek Pahar Tamam Zamin Ko Muheet He, Iske Raishey Zamin Ke Andar Sab Jaga Pheley Hue Hen Jese Barey Darakht Ki Jaren Door Tak Andar Anadar Phelti Hen, Jis Zamin Par MuazALLAH Zalzaley Ka Hukum Hota He, Pahar Us Jaga Ke Raishey Ko Junbish Deta He Aur Zamin Hilne Lagti He".       (Fatawa Razawiya 27/93)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Kya Ghaus Paak Pahle Hambali the ???
"Ghous e Paak Hamesha Se Hambli They. Jab Mansab e Ijtehad Hasil Hua Aur Mazhab e Hanbal Kamzor Hota Dekh Kar Uskey Mutabiq Fatwa Dya K Huzur Mohiuddin Aur Deen e Mateen Ke Ye Charon Sutoon Hen, Jis Sutoon Me Zouf Dekha, Taqwiyat Farmayi".    (Fatawa Razawiya 2/433)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Tash aur Shatrang ka Khelna
"Taash o Shatranj Donu Na Jaiz Hain Aur Taash Zyada Gunah o Haraam Ke Is Me Tasaweer Bhi Hain".
                                 
(Fatawa Razawiya 24/113)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Anbya e Karaam Ke Fuzlaat e Sharifa
       "Anbya e Karaam Ke Na Sirf Fuzlaat e Sharifa (Jism Se Kharij Hone Wale Zaayed Maaddey Misl e Boul o Baraz Wagera) Paak Bulke Inke Waldain Kareemain Ke Wo Nutfey Bi Paak Hen Jin Se Ye Hazraat Paida Hue"
 (Shifa Sharif V1 Page 168)
 (Zurqani V1 Page 194)
 (Malfuzat Page 456)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Payinche Takhne Se Niche Rakhna
"Payinche Takhne Se Niche Rakhna Bhi Makrooh e Tanzihi Hai Yani sirt Khilaf e Ulaa Jabki Ba niyyate Takabbur Na ho".                 (Fatawa Razawiya 27/93)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Aek se Ziyadah Angothi Pahanna
       "Mard Ko Anguthi Sirf Chandi, Ek Nag, 4.5 Masha Se Km Wazan Ki, Ek Waqt Me Ek Pehana Jaiz He"
(Ahkam e Shariat 2/30)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Sadat e Karam ko Zakat dena
"Zakaat Saadaat e Karaam w Saa'ir Bani Hashim Par Haraam e Qat'ai Hai Jis Par Ijmaa Hai"
 (Meezan ul Kubra 2/13)       
(Fatawa Razawiya 10/99)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Sheikhen ka Gustakh
"Sheikhen (Abubakr o Umer) Ka Gustakh Mutlaqan Kafir Hai" "Siddiqu e Akbar Ki Sahabiat Ka Munkir Kafir He"
(Durr e Mukhtar 1/83)
"Inki Khilafat Ka Munkir Kafir Aur Maula Ali RadiAllahu Anh Ko Sab Se Afzal Janne Wala Gumrah Hai".
(Khazana tul Muftin 1/28)

(Fatawa Razawiya 14/250)

No comments:

Post a Comment