Mazaar Par Hazri Ka Tariqa ( Roman Urdu)


1-Auraton ka mazar par jana mana hai,Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Alaihe Rahma farmate hain 

"Jis Waqt Aurat (Mazar Par Jane Ke Liye) Ghar Se Irada Karti He La'nat Shuru Hojati He Aur Jab Tak Wapis Aati He Malaika La'nat Krte Rehte Hen. Siwaye Roza e Rasool SqlAllaho alaihe wasallam Ke Kisi Mazaar Pr Jane Ki Ijazat Nahi, K Wo Zarya e Magfirat Hai" 
(Malfuzat P#240) 

2-Har giz har giz kisi bhi mazar ko ya kisi bhi gair Allah ko sajdah na karen ye shirk hai.Momin ka sajdah sirf Allah Ta'ala ke liye hai. 
Ala Hazrat Alaihe Rahma farmate hain 

"Sajda ALLAH K Siwa Kisi K Lye Nhi, 
Gairullah Ko Sajda e Ibadat Shirk Aur Tazimi Haraam" 
(Azzubdatu zZakiyya... P#5) 

3-Mazar Pe Haazri Ka Tariqa: 
Ala hazrat farmate hain 
"Paainti (Qadmon) Ki Taraf Se Jaaye, 
Kam Az Kam Chaar (4) Haath Ke Faasley Par Mawajeh Pr Khara Ho, 
Ba Adab Salam Arz Karey. 
3 Baar Alhamd Sharif, 
1 Martaba Ayat ul Kursi, 
7 Martaba Sura e Ikhlas Tilawat Karey. 
(Fatawa Razawiya 9/522) 

4-Mazaar Pr Dua Ka Tariqa: 
Ala Hazrat farmate hain 
"Fatiha Ke Bad Zaair Sahib e Mazaar Ke Wasiley Se Dua Karey Aur Apna Jaaiz Matlab Pesh Karey. 
Phir Salam Krta Hua Wapis Aye. 
Mazaar Ko Na Hath Lgaye Na Bosa Dey. 
Tawaf Bil Ittefaq Na Jaaiz He Aur Sajda Haraam He. 
(Fatawa Razawiya 9/522) 

5-"Mazar ya qabr Par Phoolon Ki Chaadar Daalne Me Shar'an Harj Nahi Bulke Niyyat e Hasan Se Hasan He 
Jese 
Quboor Par Phool Daalna Ke Jb Tak Wo Tarr Rahen Ge Tasbih Karen Ge Is Se Mayyit Ka Dil Behalta He Aur Rehmat Utarti He. 
Fatawa Alamgiri Me Hai: 
Qabro Par Phoolo Ka Rakhna Acha He" 
(Fatawa Hindiya 5/351) 
Deegar Hawala Jaat: 
(Fatawa Imam Qazi Khan) 
(Imdadul Miftah) 
(Raddul Mukhtar 1/606) 
(Fatawa Razawiya 9/105) 

6-Mazaarat Par Chaadar Chadhana: 
Ala hazrat farmate hain 
"Mazaar Par Jab Chaadar Mojud Ho, 
Kharab Na Hui Ho Badalne Ki Haajat Nahi Tu Chaadar Charhana Fuzul Hai, 
Bulkey Jo Daam Is Me Sarf Karen, ALLAH Ke Wali Ko Esaal e Sawab Karne K Lye Kisi Mohtaj Ko Den" 
(Ahkaam e Shariyat 1/42) 

Aj hum ne chadar chadhane ko hi sab kuch samaj liya hai aur dhol taashe ke sath chadar lekar jate hain ye gair sharai aur galat hai. 

7-Mazaar Sharif Ko Bousa Dena Aur Tawaf Karna: 
Ala Hazrat Alaihe rahma farmate hain. 
"Mazar Ka Tawaf Baneyat Tazeem Najaiz Hai, 
Tawaf Sirf Kaabe Ke Liye Makhsus Hai, 
Bousa Dene Se Bachna Chahiye, 
Ulma Ka Is Masle Mein Ikhtalaf He, 
Aastana Bousi Aur Aankho Se Lagana Jaiz He" 
(Fatawa Razawiya 4/08) 

8-"Farzi Mazaar Banana Aur Uske Sath Asal Ka Sa Muamla Karna Na Jaaiz Aur Bid'at He" 
(Fatawa Razawiya 9/425) 

Allah humen sidhe raste par chalaye yani Anbiya,shohda,siddiqeen,saleheen aur auliya karam ke raste par chalaye aur shariat ka paband banaye-Ameen


11 comments:

  1. kisi ahle biddat ne yahan gaali nahi di.. is par hairat hai...

    ReplyDelete
  2. Hazrat khwaja garib nawaz r.a.k mazar pe ziyarat ka sahi tarika bataye.

    ReplyDelete
  3. Aslaamwalekum wa rehmatullahi wa baraktehu


    Aapne bataya dargah me

    3 Baar Alhamd Sharif padde

    Alhamd sharif b bateye puri pleaseeee

    ReplyDelete
    Replies
    1. Search on google Surah Fatiha it's Alh'amdu shareef only

      Delete
  4. Alhamd shareef ka matlab Surah Fateha hai

    ReplyDelete