Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Maale Haram
"Maal e Haraam Qabil e Qubool Nahi, Na Isey Raah e Khuda me
Sarf Karna Rawaa, Na Is Par Sawab Hai Balki Naraa Wabaal hai". (Fatawa
Razawiya 21/105)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Maahe Safar ke
Ayyam
"Aksar Log Safar Ki Kuch Makhsus Taarikhon Jaise 03,13,23
Ya 08,18,28 wagairah Tawrikh aur
Panjshanba, EkShanbah o Chahaar Shanba Me Shaadi Wagera Nahi Kartey, Ye
Sab Batil o Be Asal He". (Fatawa Razawiya 23/272)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Akhri Budh ki
Sharai Haisiyat
"Safar Ki Aakhri Budh Ki Koi Asal Nahi Na Is Din Huzoor (ﷺ) Ki Sehat
Yaabi Ka Koi Suboot He".
(Fatawa Razawiya 10/117)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Yazeed Paleed le
liye Maghfirat ke Namaz Be Asl hai
"Imam Zainul Abdin RadiAllahu Anh Ne Yazid Paleed Ko
Magfirat K Liye Koi Namaz Nahi Batayi, Ye Riwayat Be Asal Hai". (Fatawa Razawiya 10/117)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Ghause Azam aur
Malikul Maut
Hazrat Ghaus e Azam RadiAllah Anh ka Malikul Maut se Zanbeel
(Thaila) Chheen lene wala Waqia Khurafa e Jahaal se hai, Syedne Ezrail
Alahissalam Malaika se hain aur Rasul Malaika Auliya e Bashar se Bil Ijmaa
Afzal hain to Musalmano ko Aesi Abateel Wahiya se Ahtaraaz lazim hai.
(Fatawa Razawiya 28/ 419
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Roza Mushkil
Kushaa ke Naam ka
Roza Khas Allah ke liye hai Agar Allah Ta'ala ka Roza rakhen aur
iska Swaab Maulaa Ali RaziAllahu Anh ki Nazr Karen to Harj nahi Magar is me yah
karti hain ki Roza Aadhi Raat tak Rakhti hain, Sham ko Iftar Nhi karti, Aadhi
Raat ke baad Ghaar ka Kiwad ( Darwaza) khol kar kuch Mangti hain Us waqt Roza
iftar karti hain Yeh Shaitani Rashm hai.
(Fatawa Razviya 4/66)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Daarhi Mundwane
Wala Shakhs Faasiq
"Daarhi Mundwane Aur Katarwane Wala Shakhs Faasiq e Mo'lin
He, Usko Imam Banana Gunaah He"
(Ahkaam e
Shariat 2/321)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Kala Khizab Haram
hai
Khizaab e Siyaah ya is ki misl Haram hai
(Ash'atul lam'aat jild 3
Page 409)
من خضب باالسواد سود اللہ
وجھہ یوم القیمۃ
Jo siyah Khizaab karegaa Allah Ta'aalaRoze Qiyamat uska munh kaala
karegaa.
(Majma'al' Zawaid hadis 8814 jild 5 page 293)
الصفرۃ خضاب المومن
والحمرۃ خضاب المسلم والسواد خضاب الکافر
Zard Khizaab Momin Ka Hai Aur Surkh Muslim Ka Aur Siyah Kafir Ka.
(Majma'al' Zawaid Hadis 8815 Jild 5 Page 293)
ان اللہ یبغض الشیخ الغریب
Allah Dusman rakh ta hai Buddhe kawwe ko
(Kanz Al Ummal Hadis 17331
jild 6 page 284)
اول من اختضب بالسواد فرعون
Sab se pahle jis me siyah (Black) khizaab kiya firuon tha.
(Firdause Al Akhbar
delaimi Hadis 47 jild 1 page 35)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Gaiso/Lambe Baal
Rahkhna
Shanon tak gaiso jaiz hain balki sunnat se sabit hain aur
shaanon se niche baal karna auraton se khas aur mard ko haram hai. (Ahkam Shariat)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Khade Hokar Khana
Khana
"Dawato Me Log Khare Hokar Khate Hen. Huzur Ne Beth Kar Aur
Jootey Utaar Kar Khane Ka Hukum Dya"
(Fatawa Africa Page38)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Khade Hokar Pishab
karna
"Huzoor Sallallahu Alaihi w Sallam Ne Farmaya!
Be Adabi Aur Bad Tehzibi He Ke Admi Kharey Hokar Peshab
Karey". (Fatawa
Africa Page 09-10)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Qabron Par Joota
Pahan kar Chalna
Imam Ahmed Raza Khan Alaihirrahma Ne Joota Pehan Kr Qabron Par Chalne Ko Ahl
e Quboor Ki Touheen Qarar Dya.
(Fatawa Razawiya 4/107)
Aala Hazrat Aur
Radde Bid'aat
Bijli kya cheez hai ???
Bijli kya cheez hai ???
"ALLAH Ne Badalon Ke Chalane Ke Lye Ek Farishta Muqarrar
Kya He, Jiska Name Ra'ad He, Uska Qadd Buhat Chota He, Uske Haath Me Ek Buhat
Bara Koraa He, Jab Wo Koraa Badal Ko Maarta He Uski Tari Se Aag Jharti He Uska
Name BIJLI He." (Fatawa
Razawiya 27/23)
No comments:
Post a Comment