Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 12

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Naame Nabi () Adab se Pukarnaa
"Adab Ka Taqaza Ye He Ke Sarkar Ko Aapke Zaati Name Se Na Pukara Jaye Na Hi Naat Me Parha Jaye. Bulke Ya Rasoolallah, Ya Habiballah Keh Kar Nida Di Jaye,
Kahin Masajid, Posters Wagera Me Bi "Ya Muhammad" Ki Jaga  Ya RasoolAllah, Ya Habeeballah, Ya Nabi Allah aur Ya Rahmatul lil Alameen hi Tahreer kiya Jaaye taki Huzoor
() ka Adab Malhooz rahe. (Fatawa Razawiya 15/171)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Mard ko Chotti Rakhna Haram hai
Un Mardon Par La'nat Farmayi Gayi Jo Aurton Se Mushabihat Karen, Aur Isi Tarah Un Aurton Par Jo Mardon Se Mushaabihat Karen.
(Musnad Imam Ahmed 1/727 Hadis 3151)
(Bukhari Hadis 5885 Page 4)

"Mard Ko Baal Barhanaa Jahaalat Aur Chotti Rakhna Haraam Hai".                           (Malfuzat Page 281, 297)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Allah ko Ashiq kahna
"ALLAH Ko Aashiq Aur Huzur Ko Ma'shooq Kehna Na Jaaiz Hai. Ye Lafz Shan e Ilahi Ke Laaiq Nahi".
(Fatawa Razawiya 21/114)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Madina Tayyiba ko Yathrab Kahna
"Madina Tayyiba  Ko Yasrab Kahna Naa Jaiz o Mamnoo o Gunah hai aur Khane wala Gunahgaar, Huzoor () Farmate hain jo Madina ko Yasrab kahe Us Par Taubaa Wajib hai.  
Madina TAABA Hai
Madina TAABA Hai"
Raawi : Baraa Bin (Razib RadiAllahu Anhu) Iski Sanad Sahee Hai.
(Masnad Ahmed 4/285)
(Fatawa Razawiya 21/116)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Madina Tayyiba ko Yathrab Kahna
Madina Manwwara Makkatul Mukarrama se Bhi Afzal Hai
Sawaal: Huzoor Ka Mazar e Aqdas Bilki Madina Tayyiba Arsh o Kursi o Kabaa se Afzal hai ya Nahi???
Jawaab: Aap farmate hain ki Turbat e Ather Yaani woh Zameen Ki Jisme Anwar se Mutasil (Touch) hai Kaba Muazzama Balki Arsh e Azam se bhi Afzal hai.
(Maslak Mutaqist Maa Irshad al Sari Page 336)
Baqi Mazar Masharif Ka Balaai Hissa isme Dakhil Nahi ki Kaba Muazzama Madina se Afzal hai Haan isme ikhtilaaf hai ki Madina Manuwwara Siwa e Mauja e Turbat e Athar aue Makka Muazzama Siwa e Mukarrama in dono me kaun Afzal hai, Aksar Janib sani hain aur apna maslak awwal aue yahi Mazhab Farooq e Azam RadiAllahu Anh hai.
Tibrani Sharif ki Hadis Sharif me Tasreeh hai ki Madeena Munawwara Makka Mukarrama se Afzal hai
(Al Mua'jam Al Kabir Hadis 4450 4/228)

(Fatawa Razawiya 10/711)

No comments:

Post a Comment