Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 10

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Tariqat ki Asl Tareef
Jahil logon ne Maslak AhleSunnat ko badnaam kar ne ke liye Jihalat ka Naam Tariqat Rakh diya, Chars, Bhang, Naach, Gaane, Satte ka Number Batane Walo aue Ja'ali Aamilon ka Naam Tariqat rakh diya aur Mua'azallah yah Buhtan Ala Hazrat Imam e AhleSunn Harat  Hafiz Qari Alim Mufti Faqih Imam Ahmad Raza par lagaya jata hai ki yah unhone ne sikhaya hai. Imam Ahle Sunnat ki Talimaat ka Muta'ala kiya jaye to Haqeeqat Sanne Aa Jati hai Chunanche Aap Farmate hain ki " Tariqat Naam hai Usool e Ilallah Ka" Mahaz Junoon o Jihalat hai do Harf Padha huwa Janta hai Tareeq Tareeqa Tariqat Raah ko Kahte hain na ki Pahunch jane ko…. to Yaqeenan Tariqat bhi Raah hi Kaa Kam hai. Ab agar woh Shariat se Juda ho to Bisharat Qauran e Azeem Khudaa tak naa Pahuchegi Bilki Shaitan tak le jayegi Jannat me Naa Le Jayegi Bilki Jahannam me ki Shariat ke Siwa Sab Rahoon ko Quraan e Azeem Batil o Mardood Farmaa chukaa.              (Maqaalul Efa Bi Ezaz Page 07)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Tanbe Aur Peetal ki Taweez
"Taanbe o Peetal K Taweez Makrooh Hen, Soney Chandi K Taweez Mard Ko Haraam Jbke Aurat Ko Jaiz Hen".
(Malfuzat page No. 328)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Imam Zamin Ka Paisa
Aaj kal Aek Riwaj chal pada hai ko jab bhi koi Shakhs Safar me jata hai Ya Kisi Ki Jaan ki Hifazat Maqsood Hoti hai to Auraten Us ke Baazu par aek Sikka Kapde me Lapetkar Bandh deti hain aur Us ka Naam "Imam Zaamin" rakha gya hai jo ki Bilkul Khud Sakhtaa Kaam hai na is ki koi Asal hai naa kahin iskaa Hukm hai. Ba'az Bad lagaam log isko bhi Ahle Sunnat o Jamat k Khate me Daal dete hain aur Kahte hain k Ya Barailviyon ke Imam ka Kaam hai Halanki Imam Ahle Sunnat Syedi o Murshadi Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Alaihirrahman ka Is Kaam se Koi wasta nhi Balki aap se Puchha gya Ki Kya Imam Zaamin ka jo Paisa Bandha Jata hai iski koi Asl hai ???
Aap (Rahmatullah Alaih) ne Irshad faamaya ki Kuch Nahi.
(Malfuzat Page 328)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
GhairuAllah Se Madad
      Ghairullah Se Istigasa aur Madad ke Muta'aliq Masulmano par yeh ilzam lagaya Jata hai ko Huzoor () aur Auliya e Kaam Rahimahumullah Ma'bood (Ibadat ke Laiq) Maan kar Unse Madad Mangte hain jo ki Khulaa Buhtan hai Musalmanaane Ahlus Sunnat Buzuragaan deen ko Allah Ta'alaa ki Sifaat ka Mazhar Jankar Un se Madad Magte hain, Is mamle me Ala Hazrat Imam Raza Khan ko Khoob Badnaam kiya Jata hai aur Muaazallah Mushrik aur Baddati tak kaha aur Mash'hoor bhi kiya jata hai.
Aye Kash ! Aese Log Aala Hazrat Imam Ahmad Imam Ahmad Raza (AlaihirRahmah) ki Kitabon ka Muta'ala karte to aesi Bad Gumani Na Phailate.
Aap Farmate hain:
 "Huzur () Aur Auliya Ko ALLAH Ka Banda Aur Uski Baargah Me Wasila Jaaney. Unka Madad Karna ALLAH Ke Izn Se Maaney Aur Aetmad Karley Ki Be Hukm e Khuda Zarra Nahi Hil Sakta, ALLAH Ke Diye Bagair Koi Ek Hissa Nhe De Sakta".                                (Ahkaam e Shariat 1/4)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Nafal Ya Mustahab Ko Farz Par Foqiat
Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan (AlaihirRahmah)   Farmate Hen ki "Agar Farz Ki Adayegi Se Qabl Sunan o Nawafil Me Mashgool Ho To Sunan o Nawafil Qubul Nahi Hoti Balke Mojib e Ihanat Hoti Hen".
    (Ayizzul Iktinah Fi Sadaqati Mani'iz Zakaat Page10)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Sone ki Angothi
Mard ko sona pahanna haram hai sirf aek nag ki chandi ki angothi 4.5 maashe se kam ki, iski ijazat hai
(Durr e Mukhtar jild 9 Page 596)
Jo sone ya tanbe ya loohe ki angothi yaa chandi ki 4.5 maashe se zyadah ki ya kayi angothiyan Agarche sab mil kar 4.5 maashe se kam ho pahne us namaz makrooh e tahrim Wajibul EiAada hai.                    (Al Malfooz 2/309)
Tanbe ya loohe ki Angothhi mard o aurat dono ke liye makrooh hai.                                     (Al Malfooz 3/325)
Khilaal Yani Daant Kuredne ka aalaa tanbe  petal ka gale me latkaana naa jaiz hai.                 (Al Malfooz 3/351)


Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Jashn E Wiladat Ka Charaagaan
Sahib Tafseer Kashaaf Sura e Furqan Ayat 67 Ke Tehat Farmate hain "Israaf Me Koi Bhalayi Nahe, Aur Bhalai Ke Kaamo Me Kharch Karne Me Koi Israaf Nahi.
(Tafsir Kashaaf 3/293)
Jis Shai (Cheez) se Tazeem Zikr Sharif Maqsood ho HarGiz Mamnoo nahi Ho sakti.         (Malfuzat Page174)
Hujjatul Islam Hazrat Imam Ghazali Ki Ahyaaul Uloom Me Bi Is Se Muta'alliq Tazkira Milta Hai ki… Jaisa ki Imam Ghazali ne Hazrat Syed Abu Ali Rodbari Alaihirrrahman se Naqal kiya hai ki Aek Banda Salih ne Majlis Zikr Sharif Tarteeb di ha aur usme Aek Hazaar Shamayen ( Chiraagh) Roshan kee. Aek Shakhs Zahir e Been Pahunche aur yah kaifiyat dekh kar wapas jane lage , Baani e Majlis ne Hath Pakda aur Andar le Jakar farmaya ki jo Shamaa me Ne Ghairullah ke liye Roshan ki woh Bujhaaa dijiye.  Koshish ki Jati theen aur koi Shamaa Thhandi Na hoti.                                                                      (Ahyaaul Uloom 2/26)


No comments:

Post a Comment