Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 09

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Dauraan e Safar me Quaran Sharif ka rakhna
Aap se puchha gayaa ki agar Quraan Sharif Sindouq me band ho aur Rail ka safar ho ya kisi dosri sawaari me safar kar rahaa hai ar tangi jagah ke baais (wajah) majboori hai aese surat me sindoq niche rakh sakta hai ya nahi ???
Aap ne farmaya: Hargiz naa rakhe insaan khud majbooriyan paidaa kar leta hai warnaa kuch dushwaar nahi jis ki dil me Quran Azeem ki Azmat ho woh har tarah se iski tazeem ka khiyaal rakhe gaa.                               (Malfooz 1/124)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Namaz ke Baad Musafahaa karna
Namaaz e Jumaa ya Namaaz e Eidean Ya Baad Salat e Panjganaa Musafahaa karnaa Jaiz hai.
Naseem Al-Riyaz jild 1 Page 13 me hai
الاصح انھا بدعۃ مباحۃ
Ziyadah Sahih Baat yeh hai ki yeh jaiz bid'at hai.
(Al malfooz 1/136)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Nasab Par Fakhr Karna
Nasab Par Fakhar Karna Ya Dusre Musalman Ke Nasab Par Ta'an Karna Jaiz Nahi. Kisi Musalama Ya Kafir Zimmi Ko bhi Bilaa Ijazat e Sharai Aese Alfaaz se Pukarna Jis se Uski Dil Shikni ho Usy Ezaa Pahunche Shara'an Na Jaiz o Haram hai Agarche Baat Fi Nafsahi Sachhi ho.
(Irada tul Adab Li Faazilin Nasab Page 3)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Peer Aur Mureeda Ke Darmaiyan Parda
       Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Farmatey hain!
"Beshak Har Gair Mehram Se Parda Farz Hai Jiska ALLAH Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihi Wa sasllam) Ne Hukam Dya He. Beshak Peer Mureeda Ka Mehhram Nahee Ho Jaata, Un Se Bhi Parda Laazim He".        
(Masail e Sima'a Page 32)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Jaali Aamilo Ka Faal Kholna
       "Jaali Faal Naamey Jo Awam Me Mash'hur Aur Akabir Ki Taraf Mansub Hen Be Asal O Baatil Hain aur Quran e Azeem se Faal Kholna Mana hai. (Fatawa Razawiya 23/327)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Hayat e Ambiya Aur Auliya
       Ambiya Karam AlaihimusSalaam Ki Hayaat Haqiqi Hassi Dunyawi Hai.                        (Ibn e Maja 2/291 Hadis. 1637)

       Anbya o Auliya Par Mahaz Ek Aan Ko Mout Taari Hoti He Phir Unko Wese Hi Hayaat Ataa Farma Di Jaati Hai.
                                        
(Hashya Tafsir Saawi 1/340)
       Imam Muhammad Ibn Alhaj Makki Mudkhal aur Imam Ahmad Qustulani (Rahimahumullahu Anhum) Mawahibe Ladunya me Aue Aimma e Deen Rahimahumullah  Farmate hain: Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Hayat o Wafat me is Baat me Kuch Farq Nahi ki woh Apni Ummat ko Dekh rahe hain aur inki Halaton aur inki Niyyaton, inke Iradon, inke Dilon ke Khiyalon ko Pahchante hain aur Yeh Sab Huzoor Par Aesa Roshan hai Jisme Aslan Poshedgi (Hide) Nahi.
(Al Mudkhal Laa Bin Al-Haj Fasl Fi Ziyaratul Quboor 01/152)
Inhein Aimma e Karam ki Perwi Karte huwe hi to Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahman Farmate hain.
Tu Zindah Hahi Wallah Tu Zindah Hai Wallah
Mere Chashme Aalam se Chhup Jaane wale
(Hadaiqe Bakhshish)
Sarkar Haqiqi Jismani Hayaat Se Wese Hi Zinda Hain Jese Wafaat Se Pehle The.      (Fatawa Razawiya 10/764)
Auliya e Karam Ki Zindagi Dunyawi Zindagi Se Afzal o Aala Hai. (Zurqani 7/364)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Huzoor Ka Ilme Ghaib Ataa'i
Allah Ta'ala Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Ilme Enayt Farmaya Khud Rab jaljalahu Farmata hai:
وما ھو علی الغیب بضین ۔سورہ التکویر 30/24) )
Yeh Nabi (Peace Be Upon Him) Ghaib Batane me Bakheel Nhi.
Sarkar Ka Elm e Gaib Ataayi He :
Tafseer Muaalim Attanzeel Aur Tafseer Khazin me hai Yani Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Ilme Ghaib Aata hai woh Tumhanin bhi Taleem Farmate hain.
(Tafseer Khaazin 4/357 Surah Takwir 30/24 k Tahat)
"ALLAH Aur Huzur Ka Elm Barabar To Darkanar, Agar Tamam Elm Ko Jama Bi Kya Jaye To Bhi Is Elm Ko Elm e Ilahi Se Wo Nisbat Hargiz Nhe Hosakti Jo Ek Qatre Ke Karorwen Hisse Ko Karor Samandar Se He Ke Ye Mutanahi (Mehdood) He Aur Wo Gair Mutanahi He. (Malfuzat Page 93)
Ghaib Ka Ilm Allah Ta'laa ko Hai Phir us ki Ataa se Us ke Habeeb (Peace Be Upon Him) ko hai. (Fatawa Razawiya 27/233)
 
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Peer o Murshid
"Hamesha Sunni Sahih ul Aqeeda Aur Paband e Shariat Peer Sa Bait Ki Jaye, Jo Masail Jaanta Ho Aur Us Ka Silsila Huzur Alaihissalatu Wassalaam Tak Muttasil Ho, Aur Bila Shuba Jaahil Faqeer Ka Mureed Hona Shetan Ka Mureed Hona He".                                      (Malfozat Page 297)
Bai'at ke Char Shara'et hain
Bai'at Us Shakhs se karna chahiye jisme Chaar Baaten hoon warna Bai'at Jaiz naa hogi…
1.    Sunni Sahiul Aqeeda ho.
2.   Kam az Kam itna ilm Zaroori hai ki Bila kisi ki Imdad ke Apni Zaroorat ke Masail Apni Kitab se Khud Nikal seke.
3.   Uska Silsilaa Huzoor () tak Muttasil Yani Mila huwa ho Munqataa Yani Toota huwa na ho.
4.   Fasiq e Mulin na ho.
Talab aur Bait me farq yah hai ki Talib hone me Talab Faiz hai aur Mureed ke maani (meaning pure Taur se bikna.

(Al Malfooz 2/228) 

No comments:

Post a Comment