Kalaam e Ala Hazrat (Roman Urdu)

Kalaam e Ala Hazrat
قدس سرہ النورانی
Rukh Din Hai Ya Mehre Samaa, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Shab Zulf Ya Mushk e Khuta, Ye Bhi Nahi Woh Bhi Nahi

Mumkin Me Yeh Qudrat Kaha, Waajib Me Abdiyat Kaha
Haira(n) Hoo Ye Bhi Hai Khata, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Haq Ye Ki Hai Abde Ilah Aur Aalam E Imkaa(n) Ke Shah
Barzakh Hai Wo Sirre Khuda, Ye Bhi Nahi Woh  Bhi Nahi

Bulbul Ne Ghul Unko Kaha, Kumree Ne Sarve Jaanfiza
Hairat Ne Jhunjhla Kar Kaha Ye Bhi Nahi Woh Bhi Nahi

Dar Tha Ki Isyaa(n) Ki Sazaa Ab Hogi Ya Rouze Jazaa
Dee Unki Rehmat Ne Sadaa Yeh  Bhi Nahi Woh Bhi Nahi

Koyi Hai Naaz o Zuhad Par Ya Husne Tauba Hai Sipar
Yaa(n) Hai Faqat Teri Ataa Ye Bhi Nahi Woh Bhi Nahi

Din Lahv Me Khona Tujhe, Shab Subha Tak Sona Tujhe
Sharme Nabi Khaufe Khuda Ye Bhi  Nahi Woh  Bhi Nahi

Rizq E Khuda Khaya Kiya, Farmaan E Haq Taala Kiya
Shukre Karam Tarse Sazaa Ye Bhi Nahi Woh Bhi Nahi


Hai Bulbule Rangi Raza Ya Tutiye Nagmaa Saraa
Haq Yeh Ki Wasif Hai Tera Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

No comments:

Post a Comment