Hajj Karne Ka Tariqa (Roman Urdu)

 Hajj karne Ka Tariqa 
……………………
Hadeese Nabawi :
(1) Hajj aur Umrah karne wale ALLAH ta’ala ke mehman hain. ALLAH ta’ala ne inhe bulaya ye haazir hue, unho ne sawaal kiya aur usne inhe diya.
(2) Hazrte Abdullah ibne Mas’ood se riwyat hai ke
Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya
‘Hajj aur Umrah mohtaaji aur gunaho ko aise door karte hain jaise bhatti lohe, chandi aur sone ke mail ko door karti hai aur Hajje mabroor ka sawaab Jannat hi hai.
(Tirmizi, Ibne Maajah, Ibne Khuzema)
(3) Hajj un gunaho ko khatm kar deta hai jo paishtar hue.
(4) Jis ne Hajj kiya aur Rafs (fahash kalaam) na kiya aur fisq na kiya to gunaho se paak hokar aise lauta jaise us din maa ke pait se paida hua.
(Bukhari)
(5) Ek Umrah dusre umrah tak un gunaho ka kaffara hai jo darmiyan me hue aur Hajje mabroor ka sawaab jannat hi hai.
(Ibne Maajah)
(6) Haaji ki magfirat ho jaati hai aur haaji jis ke liye kare uski bhi.
(7) Haaji apne ghar walo me se 400 ki shafa’at karega.
(8) Jo Hajj ke liye nikla aur faut ho gaya to Qayamat tak uske liye Hajj ka sawaab
likha jaayega aur Jo Umrah ke liye nikla aur faut ho gaya uske liye Qayamat tak Umrah ka sawaab likha jaayega.
(Shoibul Eimaan)
Hadees Sharif
Jo Hajj Ke Liye Nikla Aur Margaya. Qayamat Tak Us KeLiye Hajj Karney Ka Sawan Likha Jaeyga Aur Jo Umra KeLiye Nikla Aur Margaya Us KeLiye Qayamat Umrah Karnye Ka Sawab Likha Jaeyga Aur Jihad Me Gaya Aur Margaya Us Ly Liye Qayamt Tak GhaziKa Sawab Likha Jaeyga.
(9) Jo us raah me (Hajj ya Umrah) ke liye nikla aur mar gaya uski paishi nahi hogi, na hisaab hoga aur kaha jaayega tu jannat me daakhil ho ja.
(Tibrani, Bayhaqi)
Hajj 9 Hijri me Farz hua. Is saal Huzoore akram Rasool Allah sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrate Abu baqr Siddeeq radiAllahu ta’ala anhu ko Ameerul Hujjaj banakar Sahaba e kiraam ke saath Hajj ke liye bheja.
10 Hijri me Huzoore akram RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne Hajj ada kiya. Ye hajj ‘Hajjatul Wida’ ke naam se mashhoor hai.
Kyun ki is Hajj me aap ne apne ashaba se farmaya ‘Mujh se Hajj ke ahkam sikh lo ke is ke baad main Hajj na karunga.’
Aap ne is hajj ke dauran kai maqamat par apne ashaba ke sawaalo ke jawab diye aur unko Hajj aur Shariate islaam ke baare me baaten batai.
Isi dauran Surah al-Maidah ki aayat 3 ‘Al yauma akmaltu lakum deenkum wa atmamtu alaikum niamati wa radeetu lakumul islaam deenan.’ aur Surah al-Nasr naazil hui.
Aur ALLAH ta’ala Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ki dua se Arfat me Huqooqullah aur Muzdalifah me Huqooqul ibaad muaf karne ka waada farmaya hai.

Hajj ka bayan
ALLAH ta’ala ki ibaadat ke liye Ehram ke saath Niyyat karke Zil Hijja ke 5 din me ya’ni 8we chand se 12we din tak Mina me qayaam karke musalsal muqarrar din ko muqarrar waqt par muqarrar maqam par tarteeb ke saath muqarrar arqan ya’ni Wuqoofe Arafa, Wuqoofe Muzdalifa, Rami e Jimaar, Qurbani, Halaq ya Takseer aur Tawaafe Ziyarat ada karne ko ‘HAJJ’ kehte hain.

Masaa'il
(1) Hajj us musalman par farz hai jo Aaqil, Baaligh aur Saahibe isteta’at hai. 
Saahibe isteta’at se murad wo shakhs hai jis ke paas itna maal hai ke wo Hajj ke safar ka kharch kar sake aur saath me uske ahlo ayaal aur jin ki parwarish unke zimme hai hajj ke safar se waapas aane tak unki zaroorat ke liye maal chhod sake.


(2) Musalman par Hajj sirf ek baar hi Farz hai. Is ke baad jab bhi karega ‘Nafl’ hoga.
(3) Jab Hajj ke liye jaane par qaadir ho gaya foran ya’ni usi saal me hajj farz ho gaya aur ab taakhir karna gunah hai. Chand saal tak na kiya to Faasiq hai aur uski gawahi mardood hogi.
Magar jab karega ada hi hai, Qaza nahi.

Hadeese Nabawi
Jo shakhs (Hajj farz Hone ke baad) Hajj kiye bagair mar jaaye to wo chahe to Yahudi hokar mare ya Nasrani hokar mare. (Tirmizi, Jild -1 Safa -167)
(4) Jis ki ijazat lena waajib hai bagair unki ijazat Hajj ka safar makrooh hai jaise Waalidain ya Shohar, unhe raza-mand kar len. Agar maa-baap na ho to Daada-daadi ke liye bhi yahi hukm hai.
Agar ijazat na mile tab bhi farz hajj ke liye chale jaayen.
Nafl hajj ho to mutlakan waalidain ki ita’at karen.
(5) Aurat ke saath uska Shohar ya Maharam hona laazmi hai. Maharam use kehte hain jis se uska nikah hamesha ke liye haraam hai.
(Bagair maharam ke hajj karegi to Hajj ho jaayega magar har qadam par gunah likha jaayega.)
(6) Hajj ke safar ka maqsad sirf ALLAH ta’ala ki raza aur ishqe Rasool sallallahu alaihi wasallam hona chahiye, Riyakaari (dikhawa0 aur fakhr nahi.
(7) Saamane safar Halaal maal se len warna Hajj qubool hone ki ummid nahi, agarcher farz ada ho jaayega.
(8) Agar Gusl, Wuzu, Namaaz, Roza wagairah ke sahih masail ma’aloom na ho to sikh len.

Hajj ki Qisme
Hajj ada karne ke 3 tareeqe hain :
(1) Hajje Ifraad
(2) Hajje Tamattu’
(3) Hajje Qiraan.
(1) Hajje Ifraad
Meeqat aur hudoode haram ke  darmiyan rehne wale log Hajje Ifraad karte hain. Is me sirf Hajj ka Ehram baandha jaata hai aur is me Umrah saamil nahi hai.
Mufrid (Hajje Ifraad karne wale) par Qurbani waajib nahi balke mustahab hai. (Agar mufrid ki niyaat Qurbani karne ki hai to qurbani karne ke baad Halaq ya kasar karaye aur Ehram utar de.)

(2) Hajje Tamattu’
Meeqat ke bahar se aane wale Hajje tamattu’ ada kar sakte hain. Is me Meeqat se pehle sirf Umrah ki niyyat ki jaati hai. Umrah ada karne ke baad Halaq ya taksir karwa ke Ehram khol diya jaata hai aur Zil Hijja ke 8we chand tak Makka shareef me qayam kiya jaata hai. Zil Hijja ke 8we chand phir se Masjide Haram se Ehram baandh kar Hajj ki niyyat ki jaati hai.

(3) Hajj e Qiraan
Ye Hajj sab se afzal hai aur is ka sawaab ziyada hai.
Is me Umrah aur Hajj ka ehram ek saath baandha jaata hai ya’ni dono ki niyyat ek saath ki jaati hai.
Qaarin Umrah ke baad jo pehla tawaaf karta hai use ‘Tawaafe Qudoo’ kehte hai, jo Sunnat hai. Tawwafe Qudoom ke saath Saee karne ka irada ho to pehle 3 fero me Ramal aur Iztibah bhi karen.
Qaarin ko Umrah pura hone par Halaq ya kasar nahi karana hai aur Ehram bhi nahi utarna hai. Qaarin Ehram ki haalat me hi hone ke sabab use 8wi Zil Hijja ko Hajj ka Ehram baandhne ki zaroorat nahi.
Qaarin 10 Zihl Hijja ko bade shaitaan ki Rami karne ke baad Qurbani kare aur Halaq ya kasar karaye. Is ke baad Ehram ki pabandi khatm ho jaati hai. Yaha tak ehram ki tamam pabandiya jaari rahegi.
Hajje Qiraan karne wale se koi Jurm (galti) ho jaye to use Dugna jurmana (kaffara) ada karna hoga.

Manasik e Hajj
8 Zilhijja :
Hajj ka pehla din : Yaume Tarwiyyah
Ehram ke saath Niyyat karke Mina pahunchna. (Shart)
Mina me Zohar, Asr, Maghrib, Isha aur 9wi Zilhijja ki Fajr ki namaz padhna. (Sunnat)

9 Zilhijja :
Hajj ka dusra din : Yaum-ul Hajj
Suraj nikalne ke baad Arfat me jaakar rookna. (Farz)
Zohar aur Asr ki namaz padhna.
Suraj guroob hone ke baad bagair Maghrib ki namaz padhe Arfat se nikalna. (Waajib)
Muzdalifa pahunchkar Maghrib aur Isha’ ki namaaz ek saath padhna. (Waajib)
Phir Rami ke liye kankadiya  (Small Stone) chunna.
10 Zilhijja :
Hajj ka teesra din : Yaum-un Nahar
Fajr ki namaaz padhkar suraj nikalne ke thodi der tak Muzdalifa me rookna. (Sunnat)
Phir Mina me jaakar bade shaitan ko 7 kankariya marna. (Waajib)
Phir Qurbani karna. (Waajib)
Phir Sar ke baal mundwana ya katarwana. (Waajib)
Phir Gusl karke Ehram ka libaas utarna.
Phir Tawaafe Ziyarat karna. (Farz)
(Is Tawaaf ke saath Saee bhi karna hai.)

11 Zilhijja :
Hajj ka chotha din : Yaume Tashriq
Zawal ke baad Teeno Jamrat ki Rami karna. (Waajib)
Qurbani aur Tawaafe Ziyarat agar 10wi Zilhijja ko na kiya ho to aaj karna hai.

12 Zilhijja :
Hajj ka 5wa din : Yaume Tashriq
Zawal ke baad Teeno Jamrat ki Rami karna. (Waajib)
Qurbani aur Tawaafe Ziyarat agar agle 2 dino me na kiya ho to aaj karna hai.
▪▪► Tawaafe Ziyarat ka waqt 12wi Zilhijja ko guroobe aaftab se pehle tak hi hai.

▪▪► 12 Zilhijja ko tamam umur se faarig hokar aap Makka aa sakte hain,
Magar behtar hai ke aap Mina hi me rook kar 13 Zilhijja ko bhi Rami karke Makka aayen.
Tawaafe Wida (Tawaafe Rukhsat)
(Meeqat ke bahar se aane wale Haajiyo par Waajib hai.)

Hajj ke Faraiz
(1) Ehraam ke saath Hajj ki Niyyat karna.
(2) Wuqoof -e-Arafaat ya’ni 9wi Zil hijja ko Zawaal ke baad se Arafaat me thehrna.
(3) Tawaafe Ziyarat.
(4) Arqan ki tarteeb.
(5) Har farz ko uske waqt par ada karna.

Hajj ke Waajibat
(1) Meeqat se Ehraam bandhna.
(2) Wuqoof -e-Arafaat me sooraj dub jaaye waha tak thehrna.
(3) Wuqoof -e-Muzdalifah.
(4) Muzdalifah me aakar Maghrib wa Isha’ ki namaaz ikttha ada karna.
(5) Muzdalifah se Mina aakar Rami e Jimaar karna ya’ni 10wi ko bade shaitaan ko kankariya maarna (Tuloo e aaftab se zawaal tak ka waqt Sunnat hai.) aur 11wi aur 12wi ko Zawaal ke baad teeno shaitaano mo kankariya maarna.
(6) Bade shaitaan ki Rami ke baad Qurbani karna aur baad me Halaq ya Kasar karana.
(7) Qaarin aur Mutamatti’ par Qurbani waajib hai.
(8) Wuqoof -e-Arfaat ke baad se sar mundane ya baal katrwane tak Jima’a na karna.
(9) Tawaafe ziyarat ke pehle 4 chakkar farz aur baaqi 3 chakkar waajib hai.
(10) Saee ya’ni Safa-Marwa ke darmiyan 7 chakkar lagana.
(11) Tawaafe Wida (Tawaafe Rukhsat)
(Meeqat ke bahar se aane wale Haajiyo par Waajib hai.)

Hajj ki Sunnaten
(1) Tawwafe Qudoom (Mufrid aur Qaarin ke liye Sunnat hai.)
(2) Tawaafe Farz ya Tawwafe Qudoom me ramal karna.
(3) Saee me Safa-Marwa ke darmiyan jo Malain akhzarain hain unke darmiyan mardo ko daudna.
(4) Hajj ke liye 8we chand namaaze Fajr ke baad Makka shareef se rawan hona aur Mina me 5 namaaze padhna.
(5) 9wi raat Mina me guzarna aur aaftab nikalne ke baad Mina se Arfaat ko rawana hona.
(6) Wuqoof -e-Arafaat ke liye Gusl karna.
(7) Arafaat se waapasi me Muzdalifah me raat thehrna aur aaftab nikalne se pehle Muzdalifah se mina ki taraf rawana hona.
(8) Qurbani aur Halaq ya taksir ke baad gusl karke ehram utar dena.
(9) Mabeet ya’ni 11wi, 12wi aur (13wi ko rookna ho to) 13wi raat Mina me guzarna.
Aashiqane Mustafa ko sab se badi khushkismati ye haasil hogi ke Makka me Hajj ke arkan ada karne ke baad  Ya Pahle who (Kuch logon ko Pahle Madeena Sharif Ki Hazri Phir Makka Shaif) Madeena munawwara me Roza e Rasool sallallahu alaihi wa sallam par haazir hokar Ziyarat aur Salaam paish karenge.
Hajiyo Aao Shahanshah () Ka Roza Dekho
Kaba to dekh chuke ho Kabe ka Kaba dekho

Aur Masjide Nabawi me Ibaadat aur Dua karenge. Khas kar kar Qadam Qadam me Adab aur Tazeem Ke Sath Kyuki
..
Allah Kareem nay Quran e Majeed Furqan e Hameed main irshad farmaya hay ki:
AE IMAAN WALOON: APNI AWAZAIN OONCHI NA KARO US (GHAIB BATANAY WALAY) NABI KI AWAZ SAY AUR UN K HUZOOR BAAT CHILLA KAR NA KAHO JAISA K AAPAS MAIN AIK DOOSRAY KA SAMNAY CHILLATAY HO K KAHEN TUMHARAY AMAL AKARAT NA HOJAIN AUR TUMHAIN KHABAR NA HO

(PARA NO. 26, SURA E HUJRAAT, AYAT NO. 2, TRANSLATION OF KANZUL IMAN BY ALA HAZRAT ALAIH REHMA)
is ayat ka shan e nuzool samajh lain, Allah Kareem apnay fazl o karam say us k mehboob ki shaan main gustakhi say bachaye.
Jab log Huzoor Pur Noor Sallallaho Alaihay Wasallam k hujray k bahar atay to bahar say aap ko oonchi awazoon say mukhatib kartay jo k beshak Allah Kareem k samnay intihai nagawar baat hay k koi uskay habib e labib ko is tarah pukaray to yeh ayat nazil huwi
aba is ayat ka nazil honay k baad ka waqia sunain k jib yeh ayat nazil huwe to aik Sahabi jin ki awaz doosron say kahen oonchi thee woh khof ki waja say Huzoor Pur Noor Sallallaho Alaihay Wasallam k darbar e Risalat Muab main anay say ruk gaye k kahen unki oonchi awaz ki waja say woh apnay amaaloon k akarat na kar bethain
Jab do teen din guzar gaye to Aqa Kareem Sallallaho Alaihay Wasallam nay sahaba kiram Ajmayeen say poocha k falan sahabi kahan hain jao aur unko bula k lao Jab woh agaye to Aap Sallallaho Alaihay Wasallam k samnay unhon nay sara majra sunaya to Aap Sallallaho Alaihay Wasallam be Intiha khush huwe aur aap Razi Allaho Aanho ko jannat ki basharat di. 
Lehaza jisnay aap say is qisam ka gustakhana sawal kia hay beshak woh Allah Kareem k samnay to gunah ka murtakib huwa he kyun k aisay logon k dilon pay Allah Kareem nay qufl laga diye hain aur inhi k liye aya hay SUMMUMM BUMUN yani YEH LOG GONGAY AUR BEHRAY hain. 
Allah Kareem apnay mehboob ka hum sab ko adab ata farmaye aur hamray sahih aqeeday ki hifazaat farmaye aur Qiamat k din apnay Habib e Labib Sallallaho Alaihay Wasallam ki shifaat e kubra say hum sab ko feziyaab farmaye. Ameen
Aashiqane Mustafa se guzarish hai ki Is Blogg ko bhi oepn karke puri post padhen Aur Like, Comment aur Share  Bhi karen.
Neki ki baat sikhane wala bhi neki karne wale jaisa hai.
ALLAH ta’ala apne Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me Sab ko Ka’abatullah aur Roza e Rasool ki ziyarat ki sa’adat ata farmae.
Jis Tarah Hayate Zahiri me Huzoor Ka Adab Wajib tha Theek Usi Tarah Ab Bhi Wajib Hai Kyunki Mere Aqaa Sallallahu Alihi Wa Sallam Ab bhi Zinda hai Hamari Ankh Is Qabil Nahi ki Ham Dakh sake. Ala Hazrat Farmate hain:
Tu Zinda hai Wallah Tu Zindaa Hai Wallah
Mere Chasme Aalam se chhup jane wale
Aur jo khushnaseeb Mo’min aur Mominat Hajj ke liye jaa rahe hain unki Hajj, Umrah, Tawaaf aur Ibaadat ko qubool farmae.
Aur unki tamam jaiz duaen qubool farmae Sath Sath Tamam Momim Mominat ki Maghfirat Farmaye. Aameen.
Talib e Duaaa
Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al- Qadri
Kingdom of Saudi Arab