Gunaho Ka Anjaam (Roman Urdu)


Kab tak ( Nek) a'amaal me susti karogy ? aur kab tak jhhothi Khawahishaat ki takmeel ki hirs rakhogy ? tum muhlat se dokha khate ho aur maut ky hamle ke yaad nahi karte ho jise tum ne janaa hai ( Aulad ) Woh matti ke liye hai aur jo kuch tamer kiya ( Makaan) Woh weeraan hone ke liye hai aur jo kuch tum ne jamaa kiya hai (  Maal o Daulat )Woh  khatm hone ke liye hai aur tumhare amal qiyamat ky din ky liye aek aamaal name me mahooz hain.
Poem Tranalate:
(1)    Agar ham marne ky baad yunhi chhod diye jayen to phir maut har zinda ky liye raahat ban jaye….

(2)    Magar jab ham mar jayengy to do bara uthaye jayengy aur iske baad har shai (Cheez) ke baare me ham se puchha jayegaa….

Gunahoon ke 10 Nuqsanaat:
Ameerul Momeneen Hazrat Syyeduna Umr Bin Khattab Radiallah Anh ne farmaya ki tum Allah ke is farmaan se hargiz dhoke me na padnaa..
Taraslation:
Jo 1 (One) neki laaye to us ky kiye us jaise 10(Ten)hain aur jo buraai laye to usy badla na milegaa magar us ke barabar….
Kyunki Gunaah agarche aek hi ho apne saath 10 buri khaslatain ly kar aata hai….
(1)    Jab banda Gunaah karta hai to Allah ko Gazab dilata hai aur Woh usy pura krne pr qudrat rakhta hai.
(2)    woh(Gunahgaar)Iblees maloon ko khush karta hai.
(3)    Jannat se door ho jata hai
(4)    Jahannam se qareeb ho jata hai.
(5)    woh apni sabse pyari cheez yani apni jaan ko takleef deta hai.
(6)    Woh apne batin ko napaak kar baithta hai halanki woh  paak hota hai.
(7)    Aamaal likhne wale Firiston ya Kiraman Katebin ko izaa deta hai.
(8)    Woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wa Alihi wa sallam ko Roaza e Mubarkah me ranjeeda kar deta hai.
(9)    Zameen aur Asmaan aur tamam makhlooq ko apni nafarmani par gawaah bana leta hai.
(10)  Woh tamam insaanon se Khiyanat aur Rabbul Alameen ki nafarmani kara hai.