Sultan Salah Uddin Ayyubi Rahmatullahi Aalih ( Roman Urdu )


Khaudaye Buzurg wo bartar Rahmaan o Raheem ka ham naa tawan pe karod ha karod ihasan ki usne hamain daulate iman aur daamane Nabi Sallahu Alaihi wa salam jaise Ni’mat se nawaza. Alla Rabul Izzat Jalla jalalahu ne insaan ki bhalai ke liye Ambiya o Ru’sul (Pease Be Upon Him)ko mab’ooth farmaya in pakeezah hastiyun ne insaan ko Khaliq e lam yazil ki ita’at wo farma bardari ki Dawat di. Imbiya wo Rusul ki tashrif aawari ka ye silsila chalta raha aur Khatimul Marsaleen ki Bi-ith-t sharif pr khatm ho gya phir Dawat-e- islam ka kaam ummate Muhammadi ke zimme me aa gya. Musatafwi paigaam ko aam krne ke liye Allah ne Shaikh Abdul Qadir jilani (R.A)jaisi Azeem hasti ko paida farmai jinki Faiz ka Jhalak Hazrat Sultan Salah uddin Ayyubi hai. 
 Full Name          : Salah Uddin Yusuf 
Father’s Name      : Najm Uddin Ayyub
Birth Year         : Islamic year 1139 Hijri
Birth Place        : Tikrit, Mesopotamia
Spiritual Master   : Ghhaus-e- Azam Shaikh Abdul Qadir Jilan(Bagdad Sharif)
Chief Advisor      : Imam Mawaffaq ad-Din Ibn Qudama Al Maqdisi Al hanbali (Student & Khalifa Sakrar Ghhaus-e- Azam)
Predecessor        : Nur ad-Din Zingi
Successor          : Al-Afdal (Syria)& Al- Aziz Uthman (Egypt)
Consort            : Ismat ad Din Khatoon
Religion           : Islam (Ahlus sunnah)
Died Year          : Islamic Year 1193 (Aged 55)
Buried             : Umayyad Mosque Damascus (Syria)


 Hazrat Sultan Salahuddin Ayubi Rehmat ul Allah Alaihe nay farmaya "
1. Mujhe naheen maloom k Islam Talwar say phaila ya Ikhlaq se magar main is baat ko bakhoobi jaanta hoon ke Islam ki hifazat k liay talwar ki zaroorat padti hai.
2. Hukmaran jab apni jaan ki hifazat ko tarjeeh dene lagen to who Mulk aur Qaum ki Hifazat ke Qabil nahi rahte.
3. Jahan roti mazdoor ki tankhaah se mahangi ho jaye wahan do cheez sasti ho jati hai. (1) Aurat ki Izzat (2) Mard ki Ghairat.
4. Musalman ki talwaar pr jab Aurat aur Sharaab ka saya pad jaye to yeh loohe ka bekaar tukda (Piece) ban jati hai.
5. Ager kisi Qaum ko Bagair Jang ke Shikasht deni ho to uske No jawanon me fahashi phaila do.
6. Saltanat e Islamia ki koi had nahi tum ne jis din apne aapko aur khuda ke is Azeem Mazhab e Islam ko sarhadon me paband kr liya us roz se yah samjo ke tum apne hi Qaed ho ja o ge phir tumhari sarhad sukadne lagain ge.

Kiya aap Jante hain:-
Sultan Salah ad-Din Ayyubi ne jis Army ke zariye Baitul Muqdas Fatah kiya us Army ke bhari Aksariyat Huzur Sayyiduna Ghhause Azam Shaikh Ab dul Qadir Jilani Al hanbali (R.A)
Ke talamizah (Students) ki thi jo fozla wa Alim e deen the aur baqi kuch Army Hazrat Imam Ghhazali ke madarsa Nizamiya ke the aur jo Chief Advisor sulatan ke jinka naam Imam Muwaf faq ad- Din Ibn Qadamah Al Maqdisi Al hambali hain woh bhi Huzur Sayyiduna Ghhause Azam Shaikh Ab dul Qadir Jilani Al hanbali (R.A) ke Shagird, (Student) Mureed aur khalifa hain.
Note: Jo Tarikh me Sunhara baad Sultan Salah ad- Din ne Raqam ki who faiz Huzur Sayyiduna Ghhause Azam Shaikh Ab dul Qadir Jilani Al hanbali (R.A)ka tha.


 Do you Know:-
Sultan Salahuddin Ayubi was on his death bed, someone asked him Oh Ayubi you are a great warrior of Islam, you have been fighting in the path of Allah for such a long time but you weren’t martyred, you weren’t blessed with martyrdom, Sultan Salahuddin Said ‘’Throughout my life I was yearning to be martyred in the path of Allah, but did you know that the sword of the enemy could not touch my neck’’, he said why Oh Sultan Salahuddin, why couldn’t the sword of the enemy touch your neck ? Sultan Salahuddin Ayubi said ‘’In my childhood my father took me to Shaykh Abdul Qadir al-Jilani and Shaykh Abdul Qadir al-Jilani placed his hand on my neck, how could the sword of the enemy touch my neck when my neck was touched by the blessed hands of Shaykh Abdul Qadir al-Jilani Rahimahillah.


Aakhri baat:
Sultan Salah ad-Din Ayyubi faa-t-he Baitul Maqdas ( Misjid e Aqsa) Filisten,Shaam, Yaman, Lebnan, Urdun,Iraq, Egypt aur Hijaz ke jab intiqal huwa to unke Kafan ke liye Qarz Hasil kr ke unki tadfeen kiya gya. Unki wafaat ke baad jab zati maal o mailkiyat ka hisaab kiya gya to (1.) Aek Ghoda (Hourse)(2.) Aek Talwaar (3.) Aek zirah (4.) Aek Dinaar Aur chabbis(26) Dirhum ke ilawa kuch bhi nahi tha AApki shadeed khawahish ke bawajood Hajj na kr sake kyunki Hujj ke liye itni Raqam na thi.
Ibn Khlkan Kahte hain: unki Maut ka din itna takleef deh din tha ki aesa takleef deh din Islam aur musalmanon pr khulfaye Rashedeen ki Muat ke baad kabhi nahi aaya.
Allah unhain Jannatul firdos me jagah ataa farmaye aur unki sadqe hamari magrirat kre… Ameeeen…..