Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 06

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Masjid me Sawaal karna
Sawal: Masjid ke ander Suwal karna apne ya ghair ke waste aur sail (Sawaal: karne wale) ko dea is key a ghair ke waste jaiz ai ya nahi ?
 Jawab: Yah jo masjid me ghul (shaor) machete hain, namaziyon ki namaz me khalal dalte hain logon kigardanen phalangte huwe safon me phirte hain mutlaqan haram hai apne liye mange khwah dosron ke liye Hasdis me hai
جنبوا مساجد کم صفیاکم ومجانینکم ورفع اصواتکم
"Masjidon ki bachhon aur pagalon aur buland awaazon se bachao.
رواہ ابن ماجہ واثلۃ بن الاسقع وعبدالرزاق عن معاذ بن جبل رضی اللہ تعالی عنھما
Jis ne juma ke din logon ki garden phalangen un se jahannam tak pahunchne ka apne liye pul  banaya
من تخظی رقاب الناس یوم الجمعۃ اتخذ جسرا الی جھنم
رواہ احمد الترمذی  وابن ماجہ عن معاذ بن انس رضی اللہ عنہ
Jo kisi ki masjid me apni gumi huwi cheez daryaft karte sune us se kahe allah tujhe woh cheez naa milaaye masjiden isliye naa banen
Jab itni baat manaa hai to bheek mangni khusoosan aksar bila zaroorat bataure peshaa khud hi haram hai
من سمع رجلا ینشد فی المسجد صالۃ فلیقل لا اداھا اللہ الیک فان المساجد لم تبین لھذا ۔رواہ احمد و مسلم و ابن ماجہ عن ابی ھریرۃ رضی اللہ عنہ

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Firqaa e Wahabia/ Ghair Muqallid
Sawaal: Ghair Muqallid jo Apne Aap ko Ahle Hadis kahte hain Hindustan me kab zahir huwe ?
Jawaab: Un ke paida huwe abhi so baras nhi guzre 1233 hijzri me aek shakhs ismail* ne yeh nayaa mazhab nikala aur Hindustan ko daar Al Harb bata kar jihaad ka jhandaa qayim kya.
*Yeh aek naya firqaah hai jo 1209 Hizri me Paida huwaa is mazhab kaa bani Muhammad bin Abd Wahab tha jis ne tamam arab khosusan Haramain Sharifen me Bahut Shadeed fitne failaye, Ulaama ko Qtl kiya, Sahaba karaam o Aaimaa e Ulamaa Shuhdaa ki Qabr khod daalen, Razaa e Anwar ke Naam Sanam Akbar rakhaa tha yani " Badi But (Big Idol) aur tarah tarah ki Zulm kiye jaisa ki Sahih Hadis me Huzoor Sallallahu Alaihi W sallam  ne khabar di thi ki Najd me (Now Riyadh) se fitne uthenge aur shaitan ki giroh nikle gaa woh giroh barah se baras baad yeh zahir huwaa, Allama Ibn Abedeen Shami Alaihir Rahmaah ne usy Kharji batayaa hai, us Abd Al Wahhab ke Bate ne aek kitab likhi jis ka naam Tauheed rakhaa, iska tarjumaa Hindustan me ismail dehlawi ne kiya jis ka naam "Taqwiyatul Iman" rakhaa aur Hindustan me isi ne wahabiyat phailai.  In wahabiya aek bahut bada aqeedah yah hai ki jo in ke mazhab par naa ho woh kafir, Mushrik hai yahi wajah hai ki baat baat par Mahaz bila wajah musalman pr Hukm e Shirk o Kuft lagaaya karte hain aur tamam duniya ko mushrik batate hain.                     (Izharul Haqueqil Jalee Page 07)
Zyadah Jaan ne ke liye in kitabon ka Mutala Zarur kren:
1.    Humphrey ke aitrafat
2.   Tarikh e Najd o Hijaz
3.   Jaa al haque wa Zahaqal Batil Etc  
Sawaal: is se pahle Sunniyon me Hindustan ke Tamam Musalma Kis Mazhab par the aur Salateen kis Mazhab par the???
Jawaab: Tamam Musalman, Ri'aaya o Salaateen Sab Muqallid Sunni Hanafi the. Isi liye Government Hanafi Mazhab ko is mulk ke sunni musalmano ka mazhab maan kar isi mazhab ki kitaben "Hidaya, Qazi Khan, Durr e Mukhtaar wagairah Eglish me translate karaayin aur inheen kitabon me muqaddamaat faisal hote hain. Ghair Muqallid ki Koi kitab naa translate huwi aur naa is par faislaa huwaa.
(Izharul Haqueqil Jalee Page 09)
Swaal: Rasool Allah Sallahu ALaihi wa sallam aur sahaba e karaam  ke zamane Me aam muslamano ka mazhab Hanafi, Shafa'I, Maaliki, Hanbali tha ya nahi ?
Jawaab: in charo mazhab kaa ma'aakhuz wahi mazhab hai jo zamaana e Risalat aur sahabaa me the agarche koi istalaahi naam baad ko haahis (Nikalna) huwaa howa ho jaise Aqaid me 1. Ash'ari 2. Matareedi
1.    Hazrat Imam Abu Al Hasan Asha'ri RadiAllahu Anh k peerwi karne walo ko asha'ari kahte hain.
2.   Imamul Hudaa Hazrat Abu Mansoor Matreedi ke maan ne walo ko maatareediya kaha jata hai Ahnaaf Aqaaide Fara'eiya me unhain ke Muqallid hain.
Aur Gair Muqallid ap ne aap ko Ahle Hadis kahte hain aur  Dawaa karte hain ki yahi Mazhab Sahabaa ke Zamaane me tha. Halanki koi mazhab apne naam se pukaraa na jata tha.                                         (Izharul Haqueqil Jalee Page 46)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Hurmat e Mazaamir
       Mazaamir Yani Aalat e Lahw o La'ab Bila Shuba Haraam Hen Jin Ki Hurmat Auliya Aur Ulama Key Kalimaat Me Wazeh He. Unkey Sunn'ney Sunaaney Ke Gunah Hone Me Shak Nahi. Aur Saadaat e Chisht Ki Taraf Unki Nisbat Iftera Hai.                                      (Fatawa Razawiya 10/54)

       "Nashaa Haram Hai, Nasha Ki Cheezen Peena Jis Se Nashe Baazo Ki Munasibat Ho Ye Bi Gunah Hai."
(Ahkam e Shariat Part2)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Tasweer Ki Hurmat
"Jandaar Ki Taswiren Banana Khawa Hath Se Ho Ya Aksi Haraam He Aur Ma'abudaan e Kuffaar Ki Taswiren Banana Sakht Haraam He, In Sab Logo Ko Imam Banana Gunah He Aur Inke Peeche Namaz Makruh e Tehrimi Qarib ul Haraam He".                         (Fatawa Razawiya 3/190)

Musalmaan ko gaali dene wale aur buraa kahne wala fasiq hai.                       (Bukhari Sharif Jild 1 Page 30 Hadis 84)

(Ref: Izharul Haqueqil Jalee Page 25)

No comments:

Post a Comment