Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 07

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Taaziya Dari Karna
Alam, Taziyah, Sawari, Mehandi Jaise Tareeqe
Jaari Karna Bidat Se Islaam Ki Shaan Bhadti
Nahin Hai. Taziya Ko Hajat Ko Poora Karne Wala
Manana Jahalat Hai Iss Ki Mannat Bewakoofi Hai
Aur Na Karne Me Nuksaan Janna Vaham Hai.
Musalmaan Ko Aisi Harkat Se Bachna Chahiye.
                     (Risala Moharram Va Tajiyadari Page 59)
Taziya Aataa Dekh Kar Nazaren pherlen, Uski
Taraf Dekhna Hi Nahi Chahiye.      
(Irfan-e-Shariat Part 1 Pg 15)
       Kuch Utaara Baaki Toda Aur Dafan Kar Diye,
Yah Har Saal Maal Ki Barbaad Karne Ke Jurm Me
Do Gunaah Judaa gaana Hai, Taziadari Iss Galat
Tareeqe Ka Naam Hai, Bilkul Bidat Wa Najayez
Wa Haram Hai”.                          
(Kitab Tajiyadari Page 4)
       Taaziye Par Chadha Khana Na Khana Chahiye,
Agar Niyaz Dekar Chadhaayen, Ya Chadhaakar
Niyaz Den Toh Bhi Uske Khane Se Parhez Karen”.
(Kitab Tajiyadari Page 11)
Sawal: Taziya Banana Aur Us Par Nazar Wa
Niyaz Karna, Zaruraten Poori Hone Ki Ummeed
Me Mannate Latkana Aur Acchi Bidaton Ki Niyat
Se Use Bhalai Janna Kaisa Gunah Hai?
Jawab: Ye Saare Kaam Jis Tarah Logon Me Aaj Ke
Zamane Me Mashhoor Hain, Bidaten Aur Haram
Wa Najayez Hain.          
       (Irfan-e-Shariat Page 15 16)
       Isi Tarah Muharram Ki Dusri Bidat Marsiya
Padhne Ke Baare Me “Irfan-e-Shariat” Ke Pahle
Part Page No. 15, 16 Par Ek Sawal Wa Jawab Yah Hai ki
Sawaal: Muharram Shareef Me Marsiya Padhne
Me Shirkat Jayez Hai Ya Nahi??
Jawaab: Najayez Hai, We Gunahon Se Bhare Hote
Hain. “Muharram Me Siyaah Ya Sabz (Black or Green) Kapde Gham Ki Nishani Hai Aur Gham Haraam Hai”
(Ahkam Shariat Page 171)
Sawaal: Kuch Ahle Sunnat Wal Jamat Muharram Ke
Dinon Me Na Toh Din Bhar Roti Pakaate Hain Na
Jhaadu Dete Hain, Kahte Hain Dafan Karne Ke
Baad Pakaayi Jayegi.
 2.  Inn 10 Dinon Me Kapde Nahi Utaarte.
3. Maahe Muharram Me Koi Shaadi-Biyah Nahi Karte.
Jawaab: “Teeno Baatein Gham Hain, Aur Gham
Haraam Hai”.                
(Ahkam Shariat Part 1 Page 171)
Sawaal: Muharram Me Taziya Dari Karna Seena Pitna Kaisa Hai?
Jawaab: Taziya Dari Wa Seena Kubi Haraam. Wallahu Taala Ilma.                        (Fatawa Ridwiya J 24 P 141)

       Kisi ne agar 'Taaziye' par Mannat maani to ye Nazar baatil aur najaiz hai.         (Fatawa Razawiya, 24/501)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Taaziya Aur Tamaasha
"Na Jaiz Baat Ka Tamasha Dekhna Bi Na Jaiz He Jis Tarah Bandar Nachana.                         (Malfuzat Page 286)
       "Buth Ka Charhawa (Parsaad) Gair e Khuda Ki Ibadat He Iska Khana Musalmano Ke Lye Haraam Aur Taaziye Ka Charhawa Bi Na Khaye. Agar Chey Taaziya Daari Bi Haraam He Magar Musalman Ke Nazdik Donu Barabar Nahi".
                                         (Fatawa Razawiya 21/246)
Sawaal: Shia Ki Sabeel Se Paani Peena Aur Chanda Dena Kesa Hai?
Jawaab: "Ye Sabeel Shia Ke Majmae Ke Lye He Jo Tabarra O La'nat Ka Majma He. Ye Na Jaaiz O Gunah He Aur Unhe Chanda Dena Gunah He. Aur Un Me Shamil Hone Walon Ka Hashr Unke Sath Hoga." (Fatawa Razawiya 21/246)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Shion Ki Majalis Me Jana
       Rawafiz (Shion) Ki Majalis Me Jana Aur Marsiya Sun'na Haram He. Unki Niyaz Najasat He. Aur Unki Majalis Me Haazri Sakht Mal'oon He. Aur Us Me Shirkat Mojib e La'nat He. Muharram Me Siyah (Black) Kaprey Sogg Hen Aur Sogg Haraam He.                  (Fatawa Razawiya 23/756)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Wafaat ke Mauqe Par
       "Wafaat Ke Moqey Par Shaadi Ke Se Takalluf Karna, Umda Farsh Bichana Ye Baatein Be Jaa Hen Aur Ye Aqida Bhi Galat K Sawab Teesrey Din Puhanchta He Ya Ek Din Zyada Ya Kam Puhnchey Ga Na Khas Chaney Bantna Zaruri He"              (AlHujjatul Fatiha LitTayyibit Ta'ayyun... P14)
" Ye Cheezen (Soyem ka Khana) Ghani Na Le, Faqeer Ley. Jo Iske Na Milney Se Naraz Ho Uska Qalb Siyah Hota Hai. Ye Hukum Aam Fatiha Ka He, Niyaz e Auliya Tabarruk He, Wo Sab Le Sakte Hen. Behtar Hai Ki Chehlam, Barsi Ka Khana Bhi Ghani Na Khaye".            (Fatawa Razawiya 4)
       "Mayyat Par Phoolon Ki Chaadar Daalne Me Shar'an Harj Nahi Bulke Niyyat e Hasan Se Hasan He Jese Quboor Par Phool Daalna Ke Jab Tak Wo Tarr Rahen Ge Tasbih Karen Ge Is Se Mayyit Ka Dil Behalta He Aur Rehmat Utarti He. Fatawa Alamgiri Me Hai:
Qabro Par Phoolo Ka Rakhna Acha He".
                                                (Fatawa Hindiya 5/351)
Deegar Hawala Jaat:
1.    Fatawa Imam Qazi Khan
2.   Imdadul Miftah
3.   Raddul Mukhtar 1/606

4.   Fatawa Razawiya 9/105

2 comments: