Aala Hazrat Aur Radd e Bid'at Qist. 02

Ameer al Momineen (رضی اللہ عنہ)  ke Hukm se lashkar un ke qatl par majboor huwa, Aen Ma'arke me Khabar aayi ki woh Nahar ke us Paar gaye. Ameer Al Momineen (رضی اللہ عنہ) ne farmaya: Wallah in me se das us paar naa jaa payenge sab isi tataf Qatl honge. Jab sab Qatl ho chuke Ameer Al Momineen (رضی اللہ عنہ) ne logon ke dilo se unke Taqwe o Taharat o Tahajjud o Tilawat ka woh Khadshaa Dafaa (door) karne ke kiye farmaya: "Talaash karo, agar in me (ذوالثدیہ) (Yani Pistaan wala) Paya jaye to Tum ne Bad tareen Ahle Zameen ko Qatl kiya aur Agar na ho to tum bahtareen Ahle Zameen ko Qatl kiya". Talash kiya gya, Lashoon ke Nichee Niklaa Jiskaa Aek Hath Pistan e zan (Aurat ki Doodh) ke Mushabah tha.
Ameer Al Momineen (رضی اللہ عنہ)  ne Takbaar kahi aur Hamd e Ilahi bajaa laye aur Lashkar ke Dil ka Shubaah es Ghaib ki Khabar Batane Wale aur Mutabiq Aane wale Zaail ho gya. Kisi ne kaha: Hamd hai usy jis ne un ki Najasat se Zameen ko Paak kiya". Ameer Al Momineen (رضی اللہ عنہ)  ne Farmaya ki Kya Samajhte ho ki yeh log Khatm ho gaye??? Hargiz nhi, in me se kuch Maa ke Pet me hain kuch Baap ke Peeth me me. Jab in se aek Giroh Halaak ho gaa dosraa sar Uthaa ye gaa.                    (Ref: Al Kasais Al Kubra Jild 2 Page 250)
حتی یخرج اخرھم مع الدجال
Yahaan tak ki in ka Pichhlaa Giroh Dajjal ke Sath Nikle gaa.
 (Ref: Musnad Imam Ahmad Hidith: 19829 Jild 7 Page 189)

Wahabiyaa ki Alaamaten
Yahi woh Firqaa hai ki har zamane me naye rang se zahir hota rahaa aura b akheer waqt me wahabiya ke naam se paidaa huwa in ki jo jo alaamaten Hadison me irshad farmaai hain sab in me maujood hain.
تحقرون صلاتکم مع صلاتھم وصیامکم مع صیامھم واعمالکم مع اعمالھم
Tum unki Namaaz ke Aage Apni Namaaz ko Haqeer Jano ge aur Un ke Rozon ke Aage apne Rozon ko aur unke Aamal ke Aage apne aamal ko.
(Muatta Imam Malik Hadis 487 Jild 1 Page 190)
یقرءون القران لا تجاوز تراقیھم
Quran Padenge un ke Galon se Neeche Nhi Utre gaa
یقولون من قول خیرالبریۃ
Ba zahir woh Baat kahen ge ki sab ki Baton se Achhi Maloom ho ya
من قول خیرالبریۃ
Baat Baat Par Hadis ka Naam lenge
(Tirmizi Sharif Kitab Al- Fitn Hadis 2195 Jild 4 Page 80)
Aur Haal Yeh hoga ki
یمرقون من الدین کما یمرق السھم من الرمیہ
Deen se Nikal Jayenge Jaise Teer Nishana se
سیما ھم التحلیق
Unki Alaamat yeh hai ki un me se Aksar Sir Mundhe
(Ref: Musnad Imam Ahmad Hadis 19804 Jild 7 Page 183)
مشمری الازر
Ghutni Azaaron wale.
Inke Peshwaa Ibn Abd Al Wahhab ko Sar mundhe me Yahan tak Gullu (Israr) tha ki Aurat us ke deen e Napaak me Dakhil hoti us ka sir Munda deta ki Yeh Zamana e Kufr ke Baal hain inhain Door karo. Yahan tak ki Aek Aurat ne kaha jo Mard Tumhare Deen me Aate hain un ki Dadhiyaan (Beard) Mund waa diya karo ki woh bhi to Zamana Kufr ke Baal hain, Us waqt se Baaz Aaya aur Ab wahabiya ko Dekhiye in me Aksar wahi Sir Mundaane aur Ghutne Payinche wale hain.

Gustakh e Rasool
Isi Silsile me Aap ne farmaya ki……
Gazwa e Hunain me Huzoor Aqdas ne Jo Ganayim    (Ghanimat ki Jaama) Taqseem farmaye is par aek Wahabi ne kaha main is Taqseem me Adl (Insaf) nahi pataa kyuki kisi ko Zyadah kisi ko Kam ataa farmaya. Is par Farooque Azam (رضی اللہ عنہ)  ne arz kiya ki Ya Rasool Allah  Ijazat Dijiye ki Main is Munafiq ki Gardan Mar doon . Farmaya ki ise rahne do ki ise iski nasl se aese aesa log paida hoe wale hain (wahabiya ki taraf Isharah farmaya) us se farmaya: Afsos agar main tujh par adl naa karon to kaun adl karegaa, aur farmaye Allah raham farmaye mere bhai Musaa Alahissalam par ki is se zaaid (zyada) izaa diye gye.
(Sahih Muslim Kitab Al Zakat Hadis 1062-1063 Pg 531)

Namazi Ka Qatl
Aek Roz Bargah Risalat me Sahaba e Karam   hazir huwe aek Shaks hazir aaya aur kinar e Majlis Aqdas par Khade ho kar Masjid me chala gyaa? Irshaad farmaya ki kuan hai ki ise Qatl kare. Yaar e Ghar Khalifa e Akbar  Syeduna Siddique Akbar uthe aur Jakar dekha woh Nihayat Khusoo o Khuzoo se Namaz Padh rhaa hai. Siddiqu e Akbar ka Hath na Uthaa ki Aese Namazi ko Aen Namaaz ki Halat me Qatl Karen. Wapas Hazir huwe aur Sab Majraa Arz kiya. Irshaad farmaya ki kaun hai ki ise qatl kare? Hazrat Farooque Azam uthe aur unhain bhi wahi waqiya pesh aaya. Huzoor ne Phir Irshad farmaye: kaun hai ki ise Qatl kare? Maulaa Ali Uthe aur Arz kiya ki Yaa Rasool Allah main. Farmaya haan tum, agar tumhain mile magar tum usy naa paaoge, Yahi huwaa Maulaa Ali jab tak jayen woh Namaz padh kar chal ta huwaa. Irshad farmaya: agar tum usy Qatl kar dete to ummat par se Badaa fitnaa uth jata".
(Musnad Imam Ahmad Bin Hambal)
              (Musnad Abu Saeed Hadis 11118 jild 4 page 33)
Yeh tha Wahabiya ka Baap jiski Zahiri o Ma'nwi   Nasl Aaj duniya ko Gandaa kar rhi hai usne Majlis e Aqdas ke Kinare par Khade ho kar Aek Nigaah sab par ki aur dil me Yeh kahta huwaa chalaa gyaa tha ki mujh jaisaa in me aek bhi nahi, yeh Garoor tha us Khabis ko Apni Namaz o Taqaddus (Parhezgaari) par aur naa jaana ki Namaaz ho ya koi Amal e Salih woh sab Sarkar ki Ghulami o bandage ki Far'aa hai jab tak Ghulaami na ho le koi bandage Kaam nahi de sakti Yani Huzoor jaan e Aalam  ki Ghulaami Misl' Jad' hai aur Amaal e Salihaa Misl' Shakh' aur pur Zahir ki Shakh bagair Jad ke Mahaz Batil o Bekar.
(Malfoozat e Ala Hazrat Page No. 119-123)
Bargaahe Risalat me Sab se Pahle Gustakhi ka Irtikaab karne wale Kharji/Wahabi aur intihaa Pasandon ke ke Sardar Zu Al-Khawesrah Tamimi ke Bare me Ahaadith me Byan huwa hai ki Kasrat Riyazat o Ibaadat ke Asaar (Nishan) uske Chehre se Numaya the aur uski Bahut Ghani Dadhi (Beard) thi.

(Sahih Bukhari 4/1581- Raqam 4094)

No comments:

Post a Comment