Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 08

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Gyarween Ka In'eqaad
       "Mehbuban e Khuda Ki Yaadgari Ke Lye Beshak Din Muqarrar Karna Jaiz He Huzur Har Saal Ke Ikhtimam
Par Shuhada e Uhad Ki Qabro Par Tashrif Le Jaatey
                                                       (Ibn e Jareer)
Mashaikh Ke Urs Manana Is Hadis Se Sabit Hai.
(Ham'aat 11 By Shah Abdul Aziz)"
"Oonchi Qabar Banana Khilaf e Sunnat Hai.
(Raddul Mukhtar 3/168)

Haan Mashaikh Ki Qabro Par Imaarat Banana Jaiz Taa Ki Logg Ziyarat Karen Sarkar Sallallahu Alaihi wa Sallam Aur Sahaba Ke Mazaar Pr Agle Zamane Me Qubbey Tameer Kye Gaye.                             (Kashf ul Getaa Page 55)
(Fatawa Razawiya 9/418)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Waqt Dafan Azan Kahna
"Azaan Dene Se Shetan Roha Tak (Madina Se Taqriban 36 Mile Door) Bhaagta Hai.          (Muslim Hadis. 388 Page. 204)

Lihaza Qabr Par Ya Waqt e Tadfin Azaan Keh Saktey Hen Aur Is Se Mayyat Ka Dil Bhi Behalta He Aur Bi Buhat Se Fawaid Hen".                         
(Malfuzat Page 526)
(Fatawa Razawiya 23/374)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Eisaal e Swaab
       "Fatiha, Esaal e Sawab Ka Name He Aur Momin Ke Amal e Naik Ka Ek Sawab Uski Niyyat Karte Hi Haasil Ho Jaata He Aur Amal Karne Par Das Gunaa Milta He, Khaana Saamne Na Ho To Sawab Na Puhnche Ga, Ye Gumaan Galat He Sirf Baargah e Ilahi Me Dua Karna Ki Wo Sawab Mayyit Ko Puhnchaye".           (Al Hujja tul Fatiha Li Page14)

       "Apni Zindagi Me Khud Apne Lye Esaal e Sawab Kar Sakta Hain."                     
(Malfuzat Page 48)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Quran Khawani Ki Ujrat
       Ala Hazrat RadiyALLAH Anhu Ne Qur'an Khuani Ke Lye Ujrat Lene Aur Dene Ko Na Jaiz Qarar Dya.
(Fatawa Razawiya 4/318)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Aatish Baaazi Karna
"Aatish Baazi o Gaane Jo Shadi Wagera Me Raaij,
Beshak Haraam He, Us Taqrib Me Bi Sharik Na Hon"
                                                (Haadiyun Naas Page 3)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Ghair Aalim ka Wa'az  kahna
Aap se pucha gya ki
Ghair Alim ko wa'az kahna haram hai
Kya waa'ez (mazhabi bayaan karne wale) ka aalim hona zaroori hai ?
Ghair Alim ko wa'az kahna (mazhabi baton ka bayan karna) haram hai.                                  (Al malfooz 1/58)
Mazeed Aap farmate hain:
Jahil Urdu Khan Agar Apni Taraf Se Kuch Na Kahe Balki  Aalim Ki Tasneef Padh Kar Sunayen To Isme Harz Nahi Ki Is Waqt  Woh Jahil Safeer E Mahaz (Pahunchane Wala) Hai Aur Haqeeqatan Waaz Us Aalim Ka Hai Jis Ki Kitab Padhi Jaye.                                                                                                       (Fatawa E Razviya Jild 23 Page 409)
Kutub Beeni (Kitaben Padhne) Hi Se Ilm Hota Hai?
Yahi Nahi Balki Ilm "Awfaahe Rijaal" (Ilm Walon Se Guftago) Se Bhi Hasil Hota Hai.
Aap Farmate Hain: Sanad Koi Cheez Nahi Bahutere Sanad Yaafta Be Bahraa (Ilm E Deen Se Khali) Hote Hain Aur Jinhon Ne Sanad Na Li In Ki Shagirdi Ki Liyaqat Bhi Un Sanad Yaafton Me Nhi Hoti, Ilm Hona Chahiye.
(Fatawa E Razaviya Jild 23 Page 683)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Dhobi Ke Yahan Khana Khaanaa
Dhobi Ke Yahan Khane Me Koi Harz Nhi, Yah Jo Jahilon Me Mash'hoor Ki Dhobi Ke Yaahan Khana Napak Hai Mahaz Batil Hai, Haan Fahishaa Ke Yahan Khana Jaaiz Nahi.
(Malfoozat Ala Hazrat 1/63)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Naam e Muhammad ke Fazail
Huzoor Salallahu Alaihi Wa Sallam Farmate Hain: Jo Meri Muhabbat Ki Wajah Se Apne Ladke Ka Naam Muhammad Ya Ahmad Rakhe Gaa Allah Ta'alaa Baap Aur Bete Dono Ko Bhakhshegaa.
(Kanzul Umaal Hadis 4515 Jild 16 Page 175)
Note: Jab ki Momin ho aur momin Urf e Quran o Hadis aur sahaba me usi ko kahte hain jo sunni sahihul Aqeedah ho warna bad Mazhab ke liye to hadisen yeh irshad farmati hain ki woh jahannam ke kutte hain  un ka koi amal Qubool nahi.                                             (Ahkam e Shariat)
Aek Riwayat Me Hai: Qiyamat Ke Din Malaaikaa (Farishta) Kahen Ge Ki Jin Ka Naam Muhammad Ya Ahmad Hai Jannat Me Chale Jaao".
       (Firdausul Akhbaar Delmi Hadis 8515 Jild 2 Page 503)
Aek Riwayat Me Hai Malaaikaa (Farishte) Us Ghhar Ki Ziyarat Ko Aate Hain Jis Me Kisi Ka Naam Muhammad Ya Ahmad Hai
Aek Riwayat Main Hai: Jis Mash'ware Me Is Naam (Muhammad/Ahmad) Ka Aadmi Sharik Ho Us Me Barkat Rahki Jati Hai. (Kanzul Umaal  Hadis 45216 Jild 16 Page 175)
Aek Riyawat Me Hai: Tumhara Kya Nuqsaan Hai Ki Tumhare Ghharon Me Do Ya Teen Muhammad Hoon.
(Al- Tabqaat Al Kubra Hadis 622 Jild 5 Page 40)
(Al Malfooz 1/74)
Tabrani Kabeer Me Hazrat Abdullah Bin Abbas Se Riwayat Hai Ki Huzoor Ne Farmaya:
من ولد لہ ثلثہ اولاد فلم یسم احدا منھم محمد فقد جھل
Jis Ke Teen Beête Hoon Aur Woh Un Me Kisi Ka Naam "Muhammad" Na Rakhe Zaroor Jahil Hai". (Ahkam Shariat)
Ameerul Momineen Maula Ali Se Riwayat Hai Ki Huzoor Ne Farmaya:
اذا سمیتم الولد محمد افاکرموہ واوسعوالہ فی المجلس ولاتقبحو لہ وجھا
Jab Ladke (Boy) Ka Naam Muhammad Rakho To Us Ki Ezzat Karo Aur Majlis Me Us Ke Liye Jagah Kushadah Karo Aur Usy Burai Ki Nisbat Na Karo Ya Us Par Burai Ki Duaa Na Karo.
Hazrat Abu Raaf'e Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Ne Farmaya
ازاسمیتم محمد فلا تضربوہ ولا تحرموہ

Jab Ladke Ka Naam Muhammad Rakho Usy Naa Maaro Naa Mahroom Karo.                                         (Ahkam Shariat)

No comments:

Post a Comment