Aala Hazrat Aur Radd e Bid'at Qist. 01



K
uchh Sunni Muslaman Sahi ilm e deen na hone ki wajah se sahi Aqeede par hone ke bawajood sahi amal nahi karte aur khilaaf e shariat amal karte hain, Jis se Bad-mazhabon (Deobandi, Wahabi, Salfi, Ahle Khabis, Nadvi, Shia, Qadyani, Kharji etc) ko Yeh kehne ka Mauqa milta hai ki Sunni Log Shirk karte hain, Yeh Biddati hain, Sunnaton ka tarik hain Wagirah Wagairah.
       Hamain un ko sahi baat narmi ke saath samajhani hain. Lekin un Nadaan Sunniyon ki wajah se koi Imame Ahle Sunnat Ala Hazrat Ash-Shah Imam Ahmad Raza Khan Qadri Alaihirrahman aur Maslake Aala Hazrat ko galat nahi keh sakta. Ab kuchh aisi baaten gaur se padhkar samajh len Jis me Imame Ahlesunnat Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi ne Apni kitaabo me buri bid’aton ko Sakhti ke Sath radd kiya hai aur un se bachne ka hukm diya hai.
Lihaza Ham es Risale me Un tamam Ghair Shara'i Rasoomat aur Khurafaat Jin ki Nisbat Imam Ahlsunat Ash-Shah Imam Ahmad Khan Alaihirrahman ki Taraf ki Jaati hai Aap Hi ki Kutub se iski Mukhalfat Sabit Krenge Taki Aam Musalmanon par Sachchi Baat wajah ho jaye ki in Tamam  Khuraaf aur BidAat ka Imam Ahmad Raza Alaihirrahman aur Unke Sachhe Maslak se koi Ta'alluq nhi.

Bid'at Kya Hai ???
Bid'at nayi baat ko kehte hain. Shar'yi istilah me bid'at us baat ko kaha jata hai. Jiski asal Quran o Sunnat me na mile. Yaa isse Muraad kisi Aesi Cheez ka Ejaad karna hai ki isse Qabl na woh cheez Takhleeq ki gyi ho aur naa hi uska Zikr o Maritat ho Aur Iski Do (2) Qismen Hen:
Bidat e Hasana
Bid'at e Sayyi'a
1. Bid'at e Hasana (Jaiz, Mustahab Bulke Baaz Martaba Wajib) Wo Bid'at Hai Jo Kisi Sunnat Ke Mukhalif Na Ho.
Jeise Ba Jama'at Tarawih Deeni Madaris Qayem Karna, Quran O Hadees aur Deni Kutub ka Chhapwana , Khaas Raato Me Shab e Bedari, Azaan Se Pehle Aur Jummah Me Salat o Salam, Chehlum o Barsi Wagairah.
 2. Bid'at e Sayyi'a (Mazmuma w Qabeeha) Wo Bid'at He Jo Sunnat Ke Mukhalif Ho. Ye Makrooh o Haraam Hai.
 Mas'ala ye he k Aala Hazrat par ilzamaat lagaye jate hain ki unho ne bid'at ko riwaj diya.

Bad Gumani Se Bachna
"Aye Imaan Walo !! Buhat Se Gumano Se Bacho Beshak Baaz Guman Gunaah Ho Jata Hai". (Surah Hujrat Ayat12 P26)

Mafhum e Hadees:
"(Bure) Gumaan Se Dur Raho Ke (Bura) Gumaan Sub Se Barh Kar Jhooti Baat He".       (Bukhari 3/117 Hadis 6066)

Musalaman ka Khoon, Maal aur use Bad Gumani (Dosre Musalaman Par) Haram hai.
(Ref: Sha'abul Iman Hadis 6706, Jild 5 Page 297)
Hujjatul Islam Hazrat Allama Imam Muhmmad Ghazali Alaihir Rahmah Farmate hain: Musalman se Bad Ghumani Bhi Isi Tarah Haraam hai Jis tarah Zubaan se Buraai Karna Haram hai Lekin Bad Ghumani se Muraad yah hai ki Dil me kisi ke Baare me Buraa Yaqeen Kar liye jaye.
Bad Ghumani ki Pukhtaa hone ki Pahchan yeh hai ki Maznoon (Jis ki Bad Gumani ki Gyi)  ke bare me Tumhari Qalbi Kaifiyet Tabdeel ho jay, Tumhain us se Nafrat Mahsoos hone lage to yeh Bad Gumani hai. Allah Ta'laa Farmata  hai:
ان السمع والبصر والفواد کل اولئک کان  عنہ مسئولا
Beshak Kaan aur Ankh aur Dil in sab se sawaal hona hai.
(Kanzul Iman Surah Bani Israil 36)
Is Ayat ke tahat Allama Muhammad Bin Ahmad Ansari Qur tabi "Tafseer Qurtabi" Me Likhte hain. Yani In se Har aek se Iske Istimaal ke Baare me Suwaal hoga Chunanche Dil se Puchha Jayegaa ki Iske Zariye kayaa sochaa gya aur Phir Kya Itiqaad rakhaa gya Jabki Kaan aur Ankh se Puchha jayegaa Tumhare Zariye Kya Dekha Aur Kyaa sunaa gya.
(Al Jami li Ihkam Quraan Jild 5/128)
ان السمع والبصر والفواد کل اولئک کان  عنہ مسئولا
Shaikhul Islaam Allama Syed Madani Miyan Al Ashrafi Al- Jilani "Tafseer Ashrafi" me Farmate hain:
Besha Kaan aur Ankh aur Dil in sab ki Baaz purs hogi Yani un se Puchha Jayegaa ki Tum jis ke Kaan, Ankh aur Dil ho un se kyaa mamla kya thaa ya kaan se Suwaal ho gaa ki tum ne kya sunaa, aur kyu sunaa, Aankh se Puchhenge ki Tum ne kya dekha, aur kyun dekha, dil se Puchha Jayegaa ki tum ne kyaa jaana aur kyu jaana.
Is se Zahir hota hai ki Allah Ta'alaa in sab ko sunne samjhne aur bolne ki Qudrat ataa farmayegaa. Phir in se Suwaal farmayegaa,
Al- Hasil ! Us cheez ki Gawaahi do jis ko tumhari Aakhon ne dekha ho aur tumhari Kaano ne sunaa ho aur tumhare dil ne yaad rakha ho. Lihaza Zan o Takhmeen ke Buniyaad Par Naa koi Faislaa karo Na hi Apne Gumaan se Kisi Par Buhtaan lagao. Isliye jo apne Gumaan ki Buniyad par Kisi par Buhtaan lagayegaa us par Azaab hogo.
(Tafseer e Ashrafi 5/265)
یومئذ  تحدث اخبارھا
Us din bata degi woh apni Khabren. (Surah Zilzal 99/4)
Allah Ta'alaa Zameen ko Goyai (Bolne ki Salahiyat) Ataa farmayegaa aur woh Khabar Bayaan karegi.
(Tafseer Ashrafi 10/336)

Huzoor ke Zamaane Me
Firqah e Wahabiyah
Sawaal: Khulafa e Rashideen ke Zamane me bhi Firqaa e Wahabiya tha???
Jawaab: Haan Yahi woh firqah hai jise Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Anhuma ne Ameerul Momineen Sher e Khuda Hazrat Ali کرم اللہ وجہہ الکریم se fahmaish (Nasihat) ki ijazat Chahi thi aur Ba hukm e Ameer Al Momineen  (رضی اللہ عنہ) tashrif le gaye aur un se poochha: kya baat Ameer Al momineen (رضی اللہ عنہ)  ki tum ko Na Pasand Aayi? Unhone ne kahaa waqia Saffain me Abu Moosa Ash'ari   (رضی اللہ عنہ) KO Hakam (Insaf karne wala) banaya yah Shirk huwa ki Allah Ta'ala Farmata hai:
ان الحکم الا للہ
Hukm nahi magar Allah ke liye (Surah Yusuf)
Ibn e Abbas (رضی اللہ عنہما) ne farmaya: isi Quran me aek aayat yah bhi to hai:
فابعثواحکما من اھلہ حکما من اھلھا
Zan o Shohar (Aurat aur Mard) me Khasoomat (Jhagda) ho aek Hakam us ki taraf se bhejo aek hakam iski taraf se.
(Surah Al Nisa)
Agar yah dono islaah chahenge to Allah in me meil (Milap) kar dega. Dekho wahi tariqaa e istidlaal (Daleel Pakadne ka Tariqa) jo wahabiya ka hota hai ki ilm o imdad wagiarahuma me zati (kisi ke diye bagair Hasil hone wali Cheez) o Ataai (Allah ki Ataa se Hasil Hone wali Cheez) ke Farq se Aankh band aur nafi ki Aayaton par Dawaa e Iman aue ithbaat (Iqrar) ki Aayaton se kufr. Es jawab ko sun kar un me se Panch hazaar Taayib (Yani Tauba karne wale) aur Panch Hazar ke sar par maut sawaar thi, woh apni shaitanat (Burai) par Qayim rahe. Ameer Al Momineen ne un ke Qatl ka Hukm Farmaya. Imam Hasan o Imam Hussain aur deegar Akabir (رضی اللہ تعالی عنہم) ko unke Qatl me ta'ammul huwa (Jijhak Mahsoos huwi) ki yah Qaum raat bhar Tahajjud aur Din Raat Tilawat me basar karti hai ham kyunkar in par talwaar uthaayen magar Ameer Al Momineen (رضی اللہ عنہ)  ko to Huzoor e Aalam ما کان ومایکون ﷺ  (Yani Maazi aur Mustaqbil ka Haal janne wale) ne Khabar di thi ki Namaaz Rozaa wagairah Zahiri Aamaal ke Ba Shiddat Paband honge, in sab ke ba wa jood deen se aesaa nikal jayenge jaise Teer Nishane se Quraan Padhenge magar un ke Galoon se Neeche Nahi Utre gaa.

(Tirmizi Sharif Hadith 2195 Jild 4 Page 80)

No comments:

Post a Comment