Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 03


Huzoor Sallallahu Alaihi wa Sallam ne in Dahshat Gard Khawarij ke Aek Giroh ki Alamat Yeh Bhi Farmai hai ki Yeh log Kam Umr (Age) honge aur Dahshat Gardi ke liye Dimaghi Taur par Naa Pukhtaa (Braine Washed) kam Urm Ladko ko Istimaal kiya jayegaa.
(Sahih Bikhari, Shahih Muslim, Musnad Imam Ahmad)

Zahiri Deen Daari se
Dhokaa na Khayen
Yeh log Tilawate Quran aur Namaz Roze ke Shakt Paband hai in ki Guftagoo me Duniya ki Be Sabati, Zuhd o Taqwaa ki Targheeb w Tahrees, امرباالمعروف و نھی عن المنکر  ka Bahut Zyadah Ihtimam aur amarat aur Uhdaa Qabool karne se Uzr o Gurez aese Umoor hain ki in umoor ka Paya Jana kisi bhi Shaks ko Zahiran Deen daar aur muttaqi Samajh ne ke liye kafi hota hai. Jaisa ki Imam Ibn Ma'zaa aur Ahmad Bin Hanbal Hazrat Abu Salma Se Riwayat karte hain. Hazrat Abu Salma Bayaan karte hain ki….
قلت لابی سعید الخدری : ھل سمعت رسول اللہ یذکر فی الحروریۃ  شیئا ؟
فقال : سمعتہ ٰیذکر قوما یتعبدون (وفی روایۃ احمد: یتعمقون فی الدین ) یحقر احدکم صلاتہ مع صلاتھم وصومہ مع صومھم۔                                                                                                                           ٭صحیح البخاری والمسلم٭
Main ne Hazrat Abu Saeed Al Khudri se Daryaft kiya: Aap ne Rasool se Hurooriya (Khawarij / Wahabiya) ke Mutaalliq koi Hadis Suni hai? Unhone Farmaya: haan Aap ne aek Giroh ka Zikr farmaya jo Khoob Ibadat karegaa. Imam Ahamd ki Aek Riwayat me hai ki woh deen me Intihaai Pukhtaa Nazar Aayenge) Yahan tak ki Tum Apni Namazon aur Rozon ko un ki Namazon aur Rozo ke Muqabila me Kamtar Samjhoge".
Yahi Sabab hai ki Khud Kayi Sahaba e Karam Ko unke Mamle me Shubaa (Hichkichahat) hota tha. Hazrat Abdullah Bin Abbas Jaise Shaks kahate hain ki..
Aese Zahid o Aabid log main ne kabhi nahi dekhe.
Aala hazarat Imam e Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Khan Alaihur Rahmah Farmate hai.
Suna Jangal Raat Andheri Chhai  Badli  Kaali hai
Sone walo! Jagte Rahiyo Choron ki Rakhwali hai
Yeh Jo tujh ko Bulata hai  yeh Thag  hai Maar Hi rakhegaa
Haaye Musaafir Dam me naa Aana  Mat Kaise matwaali hai
Shahad Dikha ye Zahar Pila ye Qatil, Dayin, Shohar Kush
Is Murdaar pe Kiyaa Lalchaana Duniyaa dekhi Bhaali hai
Suna Jangal Raat Andheri Chhai  Badli  Kaali hai
Sone walo! Jagte Rahiyo Choron ki Rakhwali hai

ینطلقون الی آیات نزلت فی الکفار فیجعلوھا علی المومین (من قول ابن عمر)
Woh Kuffar ke Haq me Nazil hone wai Aayat ka itlaaq (Thhopna) Musalmanon par Karenge. Is tarah woh dosre Musalmanon ko Gumrah Kafir Mushrif aur Bid'ati Qaraar denge taki unka Najaaiz Qatl Kar Saken
(Ref: Sahih Bukhari 6/2539)
ویقتلون اھل الاسلام ویدعون اھل الاوثان
Woh Musalmanon ko Qatl Karenge Aur But Paraston ki Chhod Denge.
(Sahih Bukhari 6/20702 Raqam 6695)
یقولون من خیر قول البریۃ
Woh Bazahir Badi Achhi Baaten Karenge
(Bukhari Sharif 6/ 2539 Raqam 6531)
Yani Deeni Naare (Slogans) Buland Karenge aur Islami Mutalbaah karenge.
یقولون من احسن  الناس قولا
Unke Naare (slogans) aur Zahiri Baaten dosre Logon se Acchi hongi aur Mutassir karne wali hogi.
(Al Tibrani 6/186 Raqam 6142)
یسیئون الفعل
 Magar woh kirdaar ke lihaz se Bade Zalim, Khunkhar aur ghinone log honge.
(Abu Dauod 4/243 Raqam 4765)
ھم شرالخلق والخلیقۃ
Woh tamam Makhlooq se Badtareen log honge
(Sahih Muslim : 2/750 Raqam  1067)
انھم کلاب النار
Yeh Jahannam ke Kutte honge
(Tirmizi Sharif 5/226 Raqam 3000)
Yeh tamam Pashangoiyan jo Pesh ki gayin hain kis Jaamat me Payi jati hai ? Kya Aaj Pure Duniya me Naam Nihad Musliman Be Qasoor Logon ko Bumb aur Bandooq se Udaa dete hain kya yahi Islam hai ? Hargiz nhi, yeh log Muslimon me se nhi Khawarijiyon me se hain Jaise ki Aap ne inki Nisaniyan Jaan li Jo Hadis se Sabit hai. Yeh Khabees Firqaa Duniya ke Tamam Mumalik me Sargarm hain. Mission Sab ka Aek hai Aur Naam Alag Alag hain isliye Farmane Rasool ko Madde Nazar Rakhte huwe ise Khawarij hi Kaha Jaye to Zyadah Bahter hai.
Tujhe Apne Husn kaa Ihsaaas nahi Khaarjiyo
Aayina Sanme Rakh don to Paseena Aaja ye
Baat Baat Par Shirk Aur Bad'ati ka Fatwaa lagaane walo Juhlaa logon ki to Pol khul hi gyi ab Aayiye Sufi Sunni ke Tajadar Aala Hazrat Imam Ahle Sunnat Maulana Shah Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahah Ki Talimaat Se Kuch seekhen, Samajhe, Amal Kren Aur Dosron ko Bhi Batayen.

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
    Allah miyan kahna Jaiz nahi hai
Zabaan e Urdu me lafz miyan ke teen maani (meaning) hain, in me se do aese hain jin se shaan e ulohiyat paak o munazzah hai aur
Aur aek ka sidq ho sakta hai to jab lafz khabees manoon me aur aek achhe maani (Meanig) me mushtarak thhahraa aur shara'a me warid nhi to zaate baari pr is kaa itlaaq mammon hoga. Is ke aek maani maulaa Allah ta'aalaa beshak maulaa hai dosre maani shauhar, teesraa maanaa zina ka dalal ko zani aur zaniya me mutawassit ho
(Al malfooz 1/174)
Swaal: Wahdatul Wajood kise kahte hain?
Jawab: Wajood aek aur Maujood aek hai Baqi Sab is ke Zille (Aks) hain.                              (Al Malfooz 1/172)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Mazaar Sharif Ko Bousa Dena Aur Tawaf Karna
"Mazar Ka Tawaf Baneyat Tazem Najaiz Hai, Tawaf Sirf Kaabe Ke Lye Makhsus He, Bousa Dene Se Bachna Chahiye, Ulma Ka Is Masle Mein Ikhtalaf He, Aastana Bousi Aur Aankho Se Lagana Jaiz He". (Fatawa Razawiya 4/08)
Jab Ke Paish e Nazar Jaliyaan Hon: "Khabardar Jaali Sharif (Huzoor Ke Mazaar) Ko Bosa Dene Ya Hath Lagane Se Bacho Ke Ye Khilaf e Adab He Bulkey 4 Hath Faasley Se Zyada Qarib Na Jao, Ye Un Ki Rehmat Kya Kam He Ke Apne Huzur Bulwaiya"                    (Fatawa Razawiya 10/765)

       "Roza e Anwar Ka Na Tawaf Karo Na Sajda, Na Itna Jhuko Ke Ruku Ke Barabar Ho, Huzur Ki Tazeem Unki Ita'at Me He".                              (Fatawa Razawiya 10/769)

No comments:

Post a Comment