Salaam ke Fazail aur Ahkam (Roman Urdu)


4 Surah An Nisa’, Aayat 86 :
Aur jab salaam ke zariye tumhari takreeem ki jaaye to tum jawab me us se behtar (alfaz ke saath) salaam paish karo ya wo hi (alfaz) lauta diya karo, beshak ALLAH har chiz ka hisab lene wala hai.

Hadees Sharif:
(1) Wo shakhs ALLAH ta'ala ke bahut qareeb hai jo pehle Salaam karta hai.
(Tirmizi)

(2) Logo ko Salaam karo aur khana khilao aur aapas me bhai-bhai ban jaao, jaise ke ALLAH ta’ala ne hukm diya hai. (Ibne Maajah)

Musalman jab bhi ek dusre se mile ya baat kare to pehle salaam karna chahiye aur behtar hai ke saath me Musafa (ek doosre se haath milana) aur Muaneqa (Gale milna) bhi kare. Koi musalaman salaam kare to use jawab me utne alfaz lautana zaroori hai.

Salaam ke behtareen alfaz is tarah hain :

اسلام عليكم ورحمة الله وبركاته
‘Assalaamu alaikum wa rehmatullahi wa barkaatuh.’


Ya’ni ‘Tum par salamati ho aur ALLAH ki rehmat aur barkaat ho.’
‘May peace, mercy & blessings of ALLAH be upon you.’

Aur uske jawab ke behtareen alfaz is tarah hain :

وعليكم اسلام ورحمة الله وبركاته

Wa alaikum assalaam wa rehmatullahi wa barkaatuhu.’

Ya’ni ‘Aur tum par bhi salamati ho aur ALLAH ki rehmat aur barkaat ho.’
‘And May peace, mercy & blessings of ALLAH be upon you too.’
Aur Mukhtsar me Salaam is tarah kahe ‘Assalaamu alaikum’ (May peace be upon you).
Aur iske jawab me ‘Wa alaikum assalaam’ kahen (May peace be also upon you). 
Salaam aur uske jawab me alfaz ki adayagi me khas khayal rakhen.
Kyun ke sahi alfaz ada na ho to uska ma’ana badalkar bahut bura ho jaata hai.

Some Meaning of Salam Word

Saamu alaikum =
Tum barbaad ho jaao (Destruction be on to you).
Asaamu Alaikum =
Tum ko maut aa jaaye (Death be imposed upon you).
Assa-e-kum =
Tum khushi ke liye tarso (Pleasure be ceased upon you).
Salam-laikum =
Tum pe la’anat ho (Curse be upon you).

Salaam karne wale liye 70 neki hai aur Jawab dene wale ke liye 1 neki hai.
Salaam karna sunnat hai aur Salaam ka jawab dena wajib hai aur jaan-buz kar na denewala ya der karne wala gunahgar hai.
Jaan-buz kar salaam ka jawab na dene me Takabbur ka gunah bhi samil hai. Is ke liye use tauba karni hogi aur jis ke salaam ka jawab nahi diya ho use milkar muafi bhi mangni hogi. 
Koi aa raha ho to jab wo qareeb aaye tab use salaam karen. Isi tarah aane wala bhi qareeb aakar hi salaam kare. Door se chillakar ya zor se salaam na karen.
Kisi majlis me log jama ho (bethe ho yak hade ho) aur koi aane wala salaam kare to ek shakhs jawab de to kaafi hai, Agar ek se zyada log jawab de to behtar hai. 
Mard aurat ko salaam kare ya aurat mard ko salaam kare to salaam aahista se kare aur uska jawab bhi aahista se de. Agar ghar band ho ya us me koi na ho tab bhi dakhil hote waqt Salaam karen ke farishte uska jawab dete hain. Aise mauqe par ye kahen

السلام علیک یا ایھا النبی
‘Assalamu alaik ya ayyuhan nabiyyu’.

Agar koi kisi aur ki taraf se salaam kahe to is niyyat ke saath jawab dena hoga ke salaam kehne wale aur salaam bhejne wale dono par salaam ho.
Koi likhkar salaam kare to uska jawab likhkar dena hoga.
Ya’ni message ya e-mail ke zariye salaam kare to message ya e-mail se salaam ka jawab dena hoga. Aur khat me salaam ho to khat padhte waqt zaban se jawab de den aur jab jawabi khat likhen to likhkar salam ka jawab den.
Khat me ya Msg me ya E-mail me ya Fb par post ya comment me jab salaam likhen to Pura salaam likhen ya mukhtsar me ‘Assalamu alaikum’ likhen Magar Urdu Ya Arabi me .
‘As wr wb’ ya ‘Assalamu alaikum wr wb’ na likhen.
Aur jawab bhi pura likhen ya ya mukhtsar me ‘Wa alaikum assalam’ likhen. ‘Ws wr wb’ ya ‘Wa alaikum assalam wr wb’ na likhen Siwaye Urdu Ya Arabi me. 

Baaz awqat par aur kuchh logo ko salaam karna mana hai :
(1) Jo Namaz padh raha ho
(2) Jo Tilawate Qur’an majeed kar raha ho
(3) Jo Khana kha raha ho
(4) Jo Toilet me ho ya istinja kar raha ho
(5) Jo Gusl ya Wuzu kar raha ho
(6) Jo So raha ho
(7) Jo Jima’a (sohabat) kar raha ho
(8) Jo sharab (nasha), jua ya zina jaisi badkari me mubtila ho
(9) Majnoon (pagal) ko
(10) Jab Azan ya Iqamat ho rahi ho
(11) Jab Khutba ho raha ho. 

Kaafir ko aur Bad-mazhab ko Salaam na Karen.
Agar koi gair-muslim salaam kare to use jawab me ‘Wa alaikum assalam’ na kahen,
Balke use is tarah jawab den
‘Wa alaikum assalaam ala manit tab’al huda.’
Ya’ni ‘Uske liye salamati ho jis ne hidayat paai hai’.
Agar ye sab yaad na rahe sirf ‘Assalaam’ keh den, Aage ‘Wa alaikum’ na kahen. 


ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me
Sab ko sahi ilme deen hasil karne ki aur sahi tareeqe se salaam karne aur salaam ka jawab dene ki taufiq ata farmae aur sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur sab ko dunya aur aakhirat me bhalai aur kaamyabi ata farmae. Aameen. 

No comments:

Post a Comment