Namaz Ka naqsha (Roman Urdu)


 •• Sharaite, Faraize, Wajibate, Namaz, Sunnate ••

Namaz har musalman mard aur aurat par farz hai.
Namaz deen ka sutoon hai.
Namaz ke beshumar fazail aur barkaat hain. 
Is liye mo’min ke liye zaroori hai ke Namaz ke Sharait, Faraiz, Wajibat aur Sunnate jan le aur agar namaz me koi galti ho to kya karna hai ye bhi jan le take namaz sahi tareeqe se ada kar sake aur iske barkaat hasil kar sake. 


Sharaite Namaz : 
Namaz ke liye 6 sharait hain :
Inke bagair namaz hogi hi nahi ya’ni phir se dohrani padegi.


(1) Taharat (2) Satre aurat (3) Waqt (4) Istikbale qibla (5) Niyyat (6) Takbeere tehrima


(1) Taharat – Ya’ni Namazi ka badan, kapde aur namaz ki jagah har qism najasta se paak ho aur namazi begusl aur bewuzu na ho.

(2) Satre aurat – Ya’ni badan ke jis hisse ko chupana zaroori hai wo dhanka hua ho. Pura badan dhanka ho ye behtar hai. Mard ka badan kam se kam naaf se lekar ghutno ke niche tak dhanka, ghutne khule na rahe.
Aur aurat ka tamam badan dhanka hona siwa e munh aur hatheliya aur paanv ke talwo ke. Sar ke latkate hue baal, dono kaan, gardan, kalaiya aur takhne bhi dhankana zaroori hai.

(3) Waqt – Ya’ni Namaz ke liye jo waqt muqarrar hai wo namaz usi waqt me padhi jaae aur Makrooh waqt me koi namaz na padhi jaae.
(4) Istikbale qibla – Ya’ni Ka’aba shareef ki taraf munh karna.

(5) Niyyat – Ya’ni jis waqt ki jo namaz (Farz, wajib, sunnat ya nafl ya Kaza) padhna ho dil me uska pakka irada karna ke ‘ye namaz padh raha hu’.
▪▪►In pehli 5 sharto ka takbeere tehrima se pehle aur khatme namaz tak maujood rehna zaroori hai warna namaz na hogi.
(6) Takbeere tehrima – Ya’ni Niyyat ke baad kaano tak haath uthakar ‘Allahu akbar’ kehna.
Iske saath hi namaz shuru ho jaaegi, Ab agar namazi koi kaam khilafe namaz kiya ya kisi se kuchh baat ki ya kuchh bola ya kuchh khaya ya piya to namaz tut jaaegi. 


Faraize Namaz : 
Namaz me 7 chize farz hain, Jin me se kisi 1 ke bhi chhutne par namaz na hogi aur fir se sahi tarah padhna hoga.



(1) Takbire tehrima – Pehli takbir (Allahu akbar) kehte hue namaz shuru karna.
(2) Kayam – Itni der khada rehna jitni der me farz Qira’at ada ho.
(3) Qira’at – Tilawate Qur’an (Kam se kam 3 chhoti aayate ya 1 badi aayat padhna).
(4) Rooku – Itna jhukna ke hath badhae to ghutno tak pahunch jaae.
(5) Sujood – Mathe ka zameen par is jamna is tarah ke sath me kam se kam dono paanv ki 1-1 ungli ka pet zameen se laga ho.
(6) Qa’ada e aakhirah – Namaz ki rak’ate puri karne ke bad itni der bethna ke puri ‘attahiyyat’ padhi ja sake.
(7) Khurooje bi-sun-ihi - Ka’ada e aakhirah ke bad apne irade wa amal se ya’ni Salam ke saath namaz khatm karna. 


Wajibate Namaz : 
▪▪►Takbeere tehrima me lafz ‘Allahu akbar’ kehna.

▪▪►Puri Surah Fatiha (Alhamdu shareef) padhna. Har rak’at me Qir’at se pehle ek hi martaba Alhamdu shareef padhna.
▪▪►Surah Fatiha ke baad Surah ya Aayat milana. (Farz ki sirf 2 rak’at me aur Witr, Sunnat aur Nafl ki har rak’at me).
▪▪►Farz namaz me teesri aur chothi rak’at me sirf Surah Fatiha tak hi padhna, Qir’at na padhna.
▪▪►Alhamdu aur Surah ke darmiyan Aameen aur Bismillah ke siwa kuchh aur na padhna.
▪▪►Witr me Qir’at ke bad Takbire Qunoot aur Dua e Qunoot padhna.
▪▪►Qira’at khatm karke foran Rukoo karna.
▪▪►Rukoo ka har rak’at me ek hi baar hona.
▪▪►Kauma yani rukoo ke baad sidha khada hona.
▪▪►Sajde me har paanv ki 3-3 unglio ka pet zameen par lagna.
▪▪►Jalsa ya’ni 2 sajdo ke darmiyan sidha bethna.
▪▪►Ek sajde ke baad doosra sajda hona ke dono sajdo ke bich koi rooqn na aane paaye.
▪▪►Sujood ka har rak’at me 2 hi baar hona.
▪▪►T’adile arqan ya’ni Rukoo, Kauma, Sujood, Jalsa me kam se kam 1 bar subhan allah ke barabar thehrna.
▪▪►2 farz ya 2 wajib ya wajib wa farz ke darmiyan 3 baar subhan Allah kehne ke barabar der na karna.
▪▪►Qa’ada e ula (Agarche nafl ho).
▪▪►Har Qa’ade me pura Tash’hhud padhna. Farz, witr aur sunan rawatib me Qa’ada e ula me tash’hahud se aage na badhana. 
▪▪►Doosri rak’at se pehle Qa’ada na karna. Char rak’at me teesri rak’at me qa’da na hona.
▪▪►Dono salam me lafz ‘Assalaam’ ka hona, (sath me ‘Alaykum’ kehna sunnate mo’akkida hai).
▪▪►Aayate sajdah padhi ho to sajda e tilawat karna.
▪▪►Sahu hua to sajda e sahu karna.
▪▪►Har farzo –wajib ka uski jagah par ada hona yani jo pehle ho wo pehle aur jo piche ho wo piche hona.

Agar jama’at se namaz padhta ho to :

▪▪►Imam ka har johari namaz me buland aawaz se aur gair-johri namaz me aahista qir’at karna.
▪▪►Imam jab qir’at kare buland aawaz se ya aahista muqtadi ka kahmosh rehna.
▪▪►Siwa e qir’at ke tamam faraizo wajibat me (Takbeere tehrima se lekar Salaam tak) Imam ki pairwi karna. 
▪▪► Eidain ki namaz me 6 takbire. Eidain me doosri rak’at me takbire rukoo ke liye ‘Allahu akbar’ kehna.


Namaz ki Sunnate : 
Namaz me taqriban 51 baate sunnat hain, Un me se kuchh is tarah hain :

Takbeer se pehle haath kaano tak uthana aur phir ‘Allahu akbar’ kehna.
Sana, Ta’awwuz, aur Tasmiyah aahista se padhna.
Alhamdu sharif padhne ke bad aahista se ‘Aameen’ kehna.
Ta’adile arqan me Takbeerate inteqal (Allahu akbar) kehna. Aur Rooku se khade hote waqt 'Sami’allahu liman hamidah' aur 'Rabbana laqal hamd' kehna.
Rooku me Tasbih ‘Subhan rabbiyal azeem’ aur Sujood me Tasbih ‘Suubhan rabbiyal a’ala' padhna.
Qa’ada e aakhirah me Duroode Ibrahimi aur phir Dua e masurah padhna. 


SAJDA E SAHAW : 
Jo chize namaz me wajib hai unme se agar koi wajib bhule se chhut jaae to uski kami ko pura karne ke liye Sajda e sahaw wajib hai.


Tareeqa :
Namaz ke aakhir me Qa’ada e aakhira me Attahiyyat padhne ke baad dahini taraf salaam fer kar 2 sajde kare aur phir Qa’ada me shuru se Attahiyyat wagairah sab padhkar salaam fer de.


Masail : 
(1) Agar koi wajib bhule se chhut gaya aur uske liye sajda e sahaw na kiya aur namaz khatm kar di to phir alag se sajda e sahaw kaafi nahi, balke namaz dohrana wajib hai.
(2) Agar qasdan koi wajib chhod diya to sajda e sahaw kaafi nahi, balke namaz dohrana wajib hai.
(3) Ek namaz me kai wajib chhut gae to ek hi baar 2 sajda e sahaw kaafi hai, alag alag zyada sajda e sahaw karne ki zarooarat nahi.
(4) Jo baate namaz me farz hai agar unme se koi baat chhut gai to namaz na hogi aur sajda e sahaw se bhi ye kami puri ki ja sakti, balke phir se padhna farz hai.
(5) Jo baate sunnat ya mustahab hai inke chhutne se bhi sajda e sahaw zaroori nahi balke namaz ho gai, lekin inko qasdan chhodna nahi chahiye.
(6) Namaz me koi galti ki wajah se sajda e sahaw wajib hua ho, aur bhul jaae aur Qa’ada e aakhira me Attahiyyat , Duroode Ibrahimi, Dua e Mashura padhkar salam fer diya to agar foran sajda e sahaw kare aur phir Qa’ada me Attahiyyat wgairah sab padhkar salam fer de to namaz ho jaaegi.
(Agar koi aisa kaam nahi kiya jo namaz ko faasid karne wala ho, ya’ni wuzu nahi toota ya kuchh kalaam nahi kiya ya kuchh khaya piya nahi ya apni jagah se chala nahi, Aur agar salaam ferne ke baad aisa koi kaam kar liya to wo namaz phir se puri dohrani padegi. 








No comments:

Post a Comment