Hazrat
ummay Salma radi Allah anha farmati hain ke mein ne jinnaat ko Hazrat
Hussain Radi Allah anho per Nooha kerte suna wo keh rahe the:
“aey
hussain ko jahalat se qatal kerne walo!
Tumain
azaab o saza ki basharat ho, tamam ahle aasman , Nabi, Musil aur log tumaray
khilaaf bad’dua ker rahe hain, tum hazrat daood, hazrat Moosa aur sahib e
anjeel alaihemussalam ki zuban se lannat ki gai hai. Al.bidaya wan.nahaya,
vol 8, page 257.
YAZEED
KA KIRDAR:
In
logoon ne madina aa ker ahle madina ke samne yazeed ko sab o shitam krna shuru
kiya. Kaha ke ham aik aise shakhs k pass se ho kr aaeye hain jo koi deen
he nhe rakhta hai. Sharab peeta hai. Tanboora bajata hai. Us ki sohbat mein
gana gane waliyan gana gaya bajaya krti hain. Kuttoon se khailta hai. Lachon
aur londion se sohbat rakhta hai. Tum sab log gawa rho. Ham ne ussay khilafat
se mazool kiya. Ye sun kr aur sab logoon ne bhi un ki ittabah ki.
(is wafd mein Abdullah bin hanzla
ansari ghusail malaika radi Allah anho aur Abdullah bin umroo makhzoomi aur
munzar bin zubair aur bahut se log ishraf madina mein se un k sath the.in sab
ko inhaam diya gia aur munzar bin zubair ko aik lakh dirham inham diya
gia.) Tareekh tabri jild 4
page 252
Munzar
kaha krta tha Wallah yazeed ne aik lakh dirham mujhe diye hain. Us ka ye salook
mujhe is baat se nhe rok sakta ke us ka haal tum se na kahoon aur sach sach na
bayan kron. Wallah who sharab peeta hai. Aisa mast ho jata hai ke namaz ka bhi
hosh nhe rehta
Tareekh
Tabri Jild 4 page 253
Rawayat
hai ke yazeed ganay bajane ke aalaat, sharab noshi kerne, raag alapne, shikar
krne, ghulam aur londiyaan banana, kuttay palne, maindhon aur reechhoon aur
bandroon ke larrane mein mash’hoor tha, her subah ko wo makhmoor hota aur wo
zaindar gorray per bander ko zain se bandhta aur wo ussay chalata aur Bandar ko
sone ki topi pehnata aur yehi haal ghulamoon ka tha.
Aur wo
gorr dorr krata aur jab koi Bandar mer jata to us per gham kerta.
Al.bidaya
wan’nahaya Vol 8, Page 298
Yazeed
ganay bajane aur kuttoon bandron aur cheetoon ka dildada aur sharabnosh tha aik
roz wo shughal may’noshi ke liye baitha to us ke baeen (left) janib ibn ziyad
baitha tha, aur ye hazrat Hussain ke qatal ke ba’d ka waqia hai, wo apne saqi k
pass a ker kehne laga
“mujhe
wo sharab pila jo meri narm narm hadiyoun ko bhi sairab ker de, phir ibn ziyad
ko bhi aisa he jam bher de jo mere nazdeek mera hamraz aur amen hai……………..
Phir us
ne singers ko hukam diya ke wo un ash’aar ko gaeen, pas unhoon ne gana shuru
ker diya, yazeed ke as’haab yazeed ki tarah bad’kirdar thy aur us ke zamanay
mein Makkah aur Madina mein ganay ka dor dora tha.khail kood ke aalat istamal
hone lagy aur logoon ne khullay bandoon sharaab noshi shuru ker di, us ke pass
aik Bandar tha wo bhi mehfil may’noshi mein mojood hota aur ussay takiya laga
ker deta aur wo barra khabees Bandar tha.
Tareekh
E Masodi ,Vol 4, Page 98″
AHLE
MADINA KA BAIT TORRNE KA SABAB
AHLE
MADINA KE BAIT MANSOOKH KERNE KA YE SABAB HUA KE YAZEED NE GUNAHOON MEIN BAHUT
HE ZIYADATI SHURU KER DI THI, CHUNANCHAY WAQDI BA’SANAD ABDULLAH BIN HANZLA BIN
GHUSEEL RADI ALLAH ANHO RAWAYAT KERTE HAIN KE HAM NE US WAQT TAK YAZEED KI BAIT
FASAKH NHE KI YAHAN TAK KE HAMAIN YAKEEN NA HOGIA KE AASMAN SE PATHHAR BARSAIN
GAY . YAHAN TAK NOBAT POHANCH CHUKI THI KE LOG MAOON (MOTHERS), BETIYOUN AUR
BEHNOON SE NIKAH KERTE THY AUR SHARAB PEETAY THY AUR NAMAZ WAGHAIRA CHHORR
BAITHY THY.
TAREEKH-UL-KHULAFA
PAGE 301
Marwan
ke ghar ka muhasira (mukhtasar qissa)
Yazeed
ko khalafat se mazool kr ke ahle madina ne Abdullah bin ghaseel malaika se jab
bait kr li to usman bin Mohammed bin abi sufian aur is k sath he tamam bani
umiya aur un k mawali aur ham khayal quraish mein se jitney madina mein mojood
the sab per (ahle madina ne) hamla kr diya. Ye sab hazar admi hongy wahan se
nikal kr marwan k ghar ki taraf aeye. Logoon ne us ka muhasra kr liya. Aur ye
muhasra bahut kamzor tha. Bani ummiya mein se marwan aur umer bin usman bin
afaan radi Allah anho ne habeeb bin karah ko bula bheja. Us waqt marwan he woh
shakhs tha jo in sab ka sarkarda tha. Umer bin usman to aik kamsin larka tha
uski roy na thi. Yazeed ko khat mila. Yazeed ne umroo bin saeed ko
logoon ko le kr us tarf jane ka hukam diya. Us ne inkar jaisa jwab diya.
Tareekh
Tabri jild 1 page 254
Yazeed
ne muslim ko Madina per hamla ka hukam diya
Yazeed
Ne Abdullah Ibne Ziyad Ko Madine Per Charhai Karne Aur Makkah Mein Abdullah Bin
Zubair Ka Mahasra Karne Ka Paigam Bheja Tu Us Ne Kaha Ke:”Khuda Ki Qasam!! Mein
Is Fasiq (Yazeed) Ke Liye Ibne Rasool Ko Qatal (Jo Phele Kar chuka Hun) Aur
Ka’be Mein Larai Dono Ko Apne Liye Jama Nahi KarunGa”To Us Ne Mazrat
Kardi.{Ibne Aseer:4/45}
Yazeed
ne muslim bin uqba se kaha ke tumara bhala ho un logoon ke ba’d (jo madina mein
qaid hain) zindagi ka kiya maza! Uttho aur logoon ko le kr rawana ho aur
apni khabar mujhe dete rehna. Gharz ye elaan hua ke logo Hijaz (makkah aur
madina ke area ko hijaz kehte hain) ki taraf rawana ho. Aao apna apna
wazeefa pora pora le lo isk alawa so so dinar her shakhs k hath mein ba’tor e
ehanat diye jaeengy. Gharz bara 12 hazar admi hijaz mein jane k liye uthh
kharry hoey. Aur ibn ziyad ko yazeed ne likha tha ke tu ibn Zubair radi Allah
anho se larrne ko rawana ho, us (ibn ziyad) ne kaha k is faasaq ke liye mein ye
do do 2 2 gunah apne sar na loonga. Aik to Rasoolallah Sallallahu Alaihe
Wasallam ke Nawasay ko qatal kron dosra khana ka’ba per hamla kron.
Phir ye
lashkar Muslim bin uqba ki sarkardagi mein yazeed ki taraf se rawana
hua.
Tareekh
Tabri vol 4 page 255
Yazeed
ne muslim bin uqba ki nigrani mein shaami fauj ko Madina ki taraf bheja, Muslim
ne ahle Madina ko khaufzada kiya loota aur qatal kiya aur wahan ke logoon ne is
baat per bait ki ke wo Yazeed ke ghulaam hain aur us ne Madina ka naam (natna)
“badbu’dar” rakhha halanke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne is ka naam
taiyyeba (Pak saaf) rakhha.
Tareekhe
Masodi Vol 3, Page 99.
YAZEED
KI MUSLIM BIN UQBA KO INSTRUCTION:
Yazeed
ne muslim bin uqba ko hukam diya ke tum per kuch ban jaey to lashkar ka raees
hasain bin numair ko bana. Aur logoon ko 3 din tak mohlat dena. Maan jaeen to
maan jaeen warna un se qataal krna. Jab tum ko ghalba ho jaey to 3 din tak
madina ko lootna. Wahan ka rupaiya aur hathiyar aur ghala sab lashkar waloon ka
hai. 3 din k ba’d lootna band krna aur Ali Bin Hussain radi Allah anho se
rahayat (concession) krna. Un ke sath naiki krna. Unko apne pass baithana.
Logoon ne jo mujh se mukhalifat ki woh us mein shareek na the. Mere pass unka
khat aya tha.
Tareekh
Tabri vol 4 page 256
Yazeed
ne Muslim bin uqba se kaha ke (ahle madina) ke logoon ko 3 bar dawat dena, ager
wo rajooh karain to un ki baat qabool kerna aur un se baz rehna, basoorat e
digger Allah se madad talab kerna aur un se jung kerna aur jab tu un per ghalib
aa jaey to 3 roz tak madina ko mubah ker dena phir logoon se baz rehna.
Al.bidaya
wan’nahaya vol 8, page 279.
Ahle
madina aur uqba ki jung
Hirah
ya hurrah ki jung
Muslim bin uqba ne apne sab logoon ko sath le kr zameen
sarah ki taraf harkat ki aur koofa ki rah per pohanch kr apna sara parda nasab
kiya. Phir sawaron ka rasal bhej kr ibn ghaseel (ahle madina) ke muqable mein
bheja. Ibn ghaseel ne apne as’haab ko sath le kr sawaroon per hamla kiya.
Phir ahle shaam (yazeedi fauj) ne ahle madina per hamla kia. Aisi gumsaan ki
jung hoi k us zamane mein aisi kam he hoi hogi. Teeroon ka meena ahle madina
per barasna laga.(kitne sahaba e karam yazeedion ke hathoon shaheed hoey)
Tareekh Tabri vol 4 page 260
Muslim bin uqba (aur uski army) madina ke mashriq harah
mein utter gia aur 3 roz tak us ne wahan ke bashindoon ko dawat di. Lakin sab
ne jung ke siwa kisi baat ko tasleem kerne se inkar ker diya.(3 din k ba’d
sulah kalam hoi lakin baat na bani). Yazeediyoun aur ahle madina ke darmiyan
shadeed jung hoi. Phir ahle madina ne shikast khai. Donoon taraf se bahut se
sadat wahiyan qatal hoey. Jin mein Hazrat Abdullah bin mateeh aur un k 7 betay
unki ankhoon ke samne qatal hoey. Aur Hazrat Abdullah bin hanzilatul naseel aur
un ke maa jaey bhai Mohammed bin sabit bin shimaas aur Mohammed bin umroo bin
hazam qatal ho gaey. Jab wo bichhray parray thy to marwan aap ke pass se guzra
aur kehne laga Allah aap per reham kray, kitne he satoon hain jin ke pass mein
ne aap ko taweel qayyam o sajood kerte dekha hai.
Al.bidaya wan’nahaya vol 8, page 280.
Yazeedi fauj ke leader Abdullah bin mateeh al’adadi aur
Abdullah bin hanzla al’nasil ansari thy. Is azeem jung mein bani hashim aur
deeger Quraish, ansaar aur doosry logoon mein se beshumaar qatal hoey.
Aale abi talib mein se jo log maray gay un mein Abdullah
bin abi jaffar bin abi talib aur jaffar bin Mohammed bin ali bin abi talib thy.
Aur aale abi talib ke alawa bani hashim se fazal bin abbas bin rabia bin haris
bin abdul matlib, aur hamza bin Abdullah bin nofal bin haris bin abdul matlib
aur abbas bin utba bin abi lahab bin abdul matlab maray gaey. Aur digger
Quraish se 90 se ziyada admi aur itne he ansaar ke admi maray gaey aur jo log shumaar
mein nhe aa sake un ko chhorr ker digger logoon mein se 4000 admi maray gaey.
Aur logoon ne is per bait ki ke wo yazeed ke ghulam hain aur jis ne is baat ko
man’ne se inkaar kiya us ne Ali bin hussain Bin Ali aur Ali bin Abdullah bin
Abbas ke siwa talwar ki dhar per rakh lia.
Aur jung hura ya hira ke baray mein Mohammed bin aslam
kehta hai:
Ager tum ne hira ke roz hamain qatal kiya to ham islam ki
khatir qatal hone wale pehle log hain ham ne tumain badr ke roz zaleel ker
chhorra tha aur ham apni talwaroon ko is haal mein le ker lotay thy ke wo
tumaray khoon se badbudar ho gain thien.
TAREEKH E MASODI VOL 3, PAGE 100
MADINA
MEIN 3 DIN TAK LOOT MAAR
AUR
AURATOON SE ZINA KERNA YAZEEDI ARMY KA
Muslim
bin uqba ne 3 din tak madina ki loot shaamiyoun ke liye jaiz (mubah) ker di.
Logoon ko qatal phhirte the aur un ka maal loot lete the.
Tareekh
Tabri Vol 4 page 261
Muslim
bin uqba ne jissay salf masraf bin uqba kehte hain Allah is buray aur jahil
insane ka bhala na kray yazeed ke hukam ke mutabiq madina ko 3 din ke liye
mubah ker diya. Allah yazeed ko iski naik jaza na de aur us ne bahut se amwaal
ko aur qarah ko qatal ker diya aur madina ke bahut se amwaal ko loot liya. Aur
jaisa ke bahut se morkheen(historian) ne bayan kiya hai ke bahut sa shar o
fasad paida hogia aur jin logoon ko us ke samne bandh ker qatal kiya gia un
mein hazrat ma’qal bin sanan bhi thy.
Almadaiyni ne
bayan kiya ke muslim bin uqba ne madina ko 3 din k liye mubah ker diya aur wo
jis shakhs ko pate ussay qatal ker dete aur amwaal ko loot lete. Auratoon se
zana kiya. Kehte hain ke in ayaam mein khawand ke baghair aik hazar auratoon ko
hamal (pregnant) hogia.
Almadaiyni ne ba’hawala abi qurta bayan
kiya hai ke hishaam bin Hassaan ne bayan kiya hai ke mar’raka(adventure) harah
ke ba’d ahle madina ki aik hazar auratoon ne khawand ke baghair bachoon
ko jannam diya. Aur sadaat sahaba radi Allah anhum ki aik barri jamaat ro’posh
ho gai.
Ansaar
aur muhajreen ke 700 sarkarda log, aur mawali ke sarkarda log aur jin azad aur
ghulam waghairham ko mein nhe janta wo 10 hazar thy.
Al.bidaya
wan’nahaya vol 8, pages 280.281,282
63 ad mein
yazeed ko khaber mili ke Ahle Madina ne us ki bait fasakh ker di aur us se
baghi ho gaey hain . us ne forum aik lashkar jarar un se larrne ke liye rawana
ker diya aur kaha un se larrne ke ba’d Makkah mein Ibn Zubari radi Allah anho
se jung krain , chunanchay Madina ke baab taiyyaba per jung herah hoi aur jung
bhi kaise hoi is ka zikr krte hoey aik dafa Hassan basri kehte hain koi shakhs
aisa na tha jo is lashkar ke gazand se mehfooz raha ho.
Bahut
se Sahaba radi Allah anhum aur digar log bhi is jung mein shaheed hoey. Madina
munawra ko loota gia aur sharam o hayya ke daman chalk kiye gaey . Inna Lillahe
Wa Inna Ilaihe Raji’oon. Halanke Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ka
irshad hai jis ne Ahle Madina ko khauf’zada kiya , Allah usko khaufzada kray ga
aur us per Allah ta’ala , us ke tamam farishtoon aur tamam logoon ki lannat
hogi.
Rawah
muslim
Tareekh-ul-Khulafa
page 301
Madina
mein 700 hifaaz aur 300 as’haab shaheed hoey
Abdullah
bin wahb ba’hawala Hazrat malik rahmatullah alaihe bayan kerte hain ke hurrah
ke roz 700 haafiz e Quran shaheed hoey, mera khayal hai ke Aap ne farmaya
300 Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ke as’haab thy. Aur ye waqiyah
yazeed ki khilafat mein paish aaya.
(yazeed
ke hukam per muslim bin uqba ne Madina per hamla kia.
Al.bidaya
wan’nahaya Vol 6, Page 316
Yazeed
k lashkar ne Hazrat Abu SAEED KHUZRI nabeena the unki dadhi pakad k thappad
mare masjid-e-nabwi me azan muattal kardiikamat muattal kar di namaz muattal
kar di 3 din MUSTAFA (saw) k mazar par Azan nhi hui aur har kitab me ALBIDAYA
WANnnihaya,Tareekhe Tabri me Tareekhe khulafa me IBNEASEER me tareekhe GALOOM
me TAREEKHE ZAHBI me har seerat ki aur TAREEKh ki kitab me darj hai
MUSLIM
BIN UQBA KI MAUT.
Muslim
bin uqba merte waqt ibn numair ko wasiyat krta hai k khabron ko chhupaey
rakhna, kisi Quraishi ki baat kabhi na sunna. Ahle shaam ko dushman ke muqable
se kabhi hatne na dena. Ibn zubair radi Allah anho faasaq se larrne mein 3 din
se ziyada dair na krna. Is k ba’d kaha:
Khuda
wand! Shahadat “La Ilaha Illallah Mohammedur Rasoolallah” ke ba’d
ahle madina se qatal krne se barh ker koi aisa amal e khair aisa mein ne nhe
kiya jis per mujhe naaz ho aur jis per akhirat mein mujhe bharosa ho.
Tareek
Tabri vol 4 page 264. 64ad
Yazeed
ke hukam ke mutabiq Muslim bin uqba Makkah per hamla kerne ke liye nikla to wo
qadeem muqam per pohancha to muslim bin uqba mer gia……………………………………
TAREEKH
E MASODI VOL 3 PAGE 102
Ibn
Numair ki makkah per fauj kashi
Muslim
ke merne k ba’d ibn numbair lashkar ko liye hoey ibn zubair radi Allah
anho se larrne ko makkah ki taraf rawana hua. Aur yahan tamam ahle makkah aur
ahle hijaz(ibn zubair) se bait kr chukay the
Ibn
zubair radi Allah anho ne apne bhai munzer radi Allah anho ko kuch logoon k
sath qataal krne k liye rawana kiya. Aik sa’at tak unhon ne bahut shaded jung
ki. Isi asna mein aik shaami ne unhain apne muqablay ke liye bulaya. Shaami
khachar per sawar tha. Munzer radi Allah anho uski taraf barhay. Aik ne dosry
per hamla kiya. Donon ke waar kari par gay. Donon be’jan ho ker gir pary. Is k
ba’d ahle shaam ne bahut sakht hamla kiya. Ibn zubair radi Allah anho sabit
qadam rhe. Is k ba’d ahle shaam maah muharam aur aur kul maah safar tak
ibn zubair radi Allah anho se qataal krte rahe.
Tareekh
Tabri Vol 4 Page 265
KHANA
KA’BA PER SANG BARI:
Rabi’ul awal 64 ad ki teesri 3 tareekh roz’shanba in logoon (yazeedion)
ne khana ka’aba per manjaneeq se pathhar barsaey aur aag laga di aur ye rajarr(shair)
parhte jate the “ye manjneeq aik shutter mast hai ke ham is se ka’ab per
nishana laga rhe hain”
umroo
bin aws sidohi yehi kehta jata tha.
Zara
ummay faroha ko dekhna ke safa wa marwah ke darmiyan logoon ko nishana
bana rahe hai.
Ummay
farwah us ne manjneeq ka naam rakhha hua tha.
Muslim ke dafan hone k ba’d ibm numair muharam ki taisween 23 ko makkah
ki taraf rawana hua aur muharam ki chhobees 26 ko makkah pohancha. 64 din
tak Ibn Zubair radi Allah anho ka muhasra kiye rakhha azza rabi’ul akhir ko
yazeed ke merne ki khabar sun ker muhasira uthha liya.
Tareekh
Tabri Vol 4 Page 265
Unhoon
(yazeediyoun) ne ka’aba per manjneeq nasb ker dein aur un se aag ke golay bhi
phhainkay aur hafta(Saturday) ke roz Baitullah shareef ki diwarain jal gaien.
Ye qol waqdi ka hai aur wo kehte hain
ke:“is ka gophhan phhatti hoi
jhaag’dar cheez ki manind hai jis se is masjid ki diwaroon per sang’bari
ki jati hai.
Aur
umroo bin hotatus sadosi kehta hai:“tu ne ummay farwa
ki karwai ko kaise paya us ne inhain safa o marwa ke darmiyan pakar
liya.Ummay farwa aik manjneeq ka naam hai.
Al.bidaya
wan’nahaya vol 8, page 286.
Pass
manjneeqooon ke pathhar pe dar pe baitullah per barasne lagay aur pathhroon ke
sath aag aur matti ka tail (oil) aur kataan ke tookray aur digar jalne wali
cheezain phainki jane lagi, ka’aba gir gia aur is ki amarat jal gai aur aik
bijli giri jis ne manjneeqoon ko chalane wale 11 admiyoun ko jala ker rakh diya
aur baz kehte hain ziyada admiyoun ko jala diya.
Ye waqiya
yazeed ki maut se 11 din pehle ko hua. Ibn zubair aur ahle Makkah ki halat
bahut kharab ho gai. Aur pathhroon, aag aur talwar se musalsal aziyat di ja
rahi thi. Is baray mein abu dajza madni kehte hain
Ibn
numair ne bahut he bura kaam kiya us ne muqaam aur musalla ko jala diya hai. TAREEKH
E MASODI VOL 3 PAGE 102
KHANA
KA’ABA MEIN AATISH ZANI:
Khana
ka’aba ke jalne ka incident yazeed ke merne ke 29 din pehle hua. Log us ke ird
gird aag sulgaya krte the. Hawa chali.
Aik
changarri urr ker ghulaf e ka’aba per ja parri. Chobina jal gia.
Roz’shanba rabi’ul awal ki teesri 3 ko ye waqia guzra.
Urwa
bin azeena ussi din apni maa ke sath makkah aeye the. Unhoon ne ka’aba ko
be’libas aur rukan hateem ko jhalsa hua aur teen 3 jagah se tarka hua dekh ker
logoon se pochha ke ye kiya museebat ka’aba per I hai? Unhoon ne ibn zubair
radi Allah anho as’haab mein se aik shakhs ki taraf ashara ker ke
kaha “us shakhs ke sabab” se ye hadsa hua. Us ne burchhi ki noke se aik angara
ko utthaya aur hawa ussay urra le gai. Ghulaf e ka’aba mein rukne yamani wa
aswad ke darmiyan aag lag gai.
Tareekh
Tabri Vol 4 Page 266
Baz ka
qol hai masjid ki diwarain is liye jal gaeen ke ahle masjid ka’aba ke ird gird
aag jalane lagay, pas ka’aba ke aik parday ko aag lag gai jo iski lakriyoun aur
chhattoon tak ponch gai.
Al.bidaya
wan’nahaya vol 8, page 286.
Manjneeqoon
ke pathar pe dar pe Baitullah per barasne lagay aur pathroon ke sath aag aur
matti ka oil aur kattan ka tookray aur diggar jalne wali cheezain phhainki jane
lagi, Ka’aba mun’hedum ho gia aur us ki amarat jal gai
Tareekh
Masaudi Page 102.
Yazeed
ne us ki jagah kisi aur shakhs ko ameer banaya. Akhir 64 hijri maah safar mein
unhoon ne Makkah ka muhasira ker liya aur ibn zubair radi Allah anho se jung
shuru ker di aur manjneeq se pathar marne lagy aur un ki aag ke sholoon se
Ka’aba ke parday, chhat aur us danba ke seeng jal gaey jo Hazrat Ismail
Alaihessalam ka fidya bana ker bheja giya tha. Aur jo us zamanay se Ka’aba ki
chhat per latkay chale aate thy.
Tareekh-ul-Khulafa
Page 302
Yazeedion
aur kharjion mein koi farq nhe hai
Ibn
Zubair radi Allah anho ne ibn numair se kaha qareeb a mien tujh se kuch
batain kronga. Aur ye us se batain kr rhe the k un k gorron mein se kisi gorray
ne laid ki, haram ke kabooter laid per giray. Ibn numair gorray se utter kr
kabootron ko bachane laga. Ibn zubair radi Allah anho ne kaha ye kiya ker rhe
ho?
Kaha
aisa na ho ke haram ka koi kabooter gorray ki top se kuchal jaey.. kaha wah
kabooter ke qatal se to perhaiz hai aur musalmanoon ke qatal per amada
hai.
Tareekh
Tabri Vol 4 Page 266
KIYA
WO UMMAT JINHOON NE HUSSAIN KO QATAL KIYA:
Logoon
ka aik groh aik ghazwa mein bilad e room ki taraf gia to unhoon ne aik kaleesa
mein likha dekha:
“kiya
wo ummat jinhoon ne Hussain Radi Allah Anho ko qatal kiya hai, yaum e hisaab ko
un ke Nana ki shafa’at ki umeed rakhti hai?
Inhoon ne un se pocha ye shair kis ne likha hai, unhoon ne kaha ye aap ke Nabi
ki ba’sat se 300 saal pehle ka likhha hua hai, rawayat hai jin logoon ne aap ko
qatal kiya unhoon ne wapas aa ker sharab noshi kerte hoey raat guzari aur sar
un ke pass tha to aik ahni qalam un ke samne namoodar hua aur us ne un ke
liye diwar per ye shair likhha:
Kiya wo
ummat jis ne Hussain Radi Allah Anho ko qatal kiya, yaum e hisaab ko un ke nana
ki shafa’at ki umeed rakhhti hai?”
Al.bidaya
wan.nahaya vol 8, page 256
Hazrat
ibn abbas Radi Allah Anho bayan kerte hain ke mein ne do’pehar ko khawab mein
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko para’ganda mu ghubar aalood halat
mein dekha aur Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke Pass aik sheeshi hai jis mein
khoon hai, mein ne kaha Ya Rasoolallah Sallallah Sallallahu Alaihe Wasallam
mere maa baap aap per qurban hoon ye kiya hai? Aap Sallallahu Alaihe Wasallam
ne farmaya ye Hussain aur un ke as’haab ka khoon hai mein musalsal us roz se
ussay jamah ker raha hoon.
Al.bidaya
wan.nahaya, vol 8, page 257
QATLEEN
E HUSSAIN DUNIYA MEIN BHI MUSIBAT MEIN PHHANSAY:
Aur aap
ke qatal ke baray mein jo ahadees aur fittan bayan kiye gaey un mein se aksar
sahih hain aur jin logoon ne aap ko qatal kiya hai un mein se koi kam he duniya
mein aafat aur musibat se bacha hai. Aur wo us waqt tak is duniya se nhe gia
yahan tak ke ussay marz la’haq hua aur un ki aksariyat ko junoon hogia.
Al.bidaya
wan.nahaya vol 8, page 258.
Note:
Yahan
un logoon ke daway ki takzeeb ho jati hai jo kehte hain ke yazeed qatal e
hussain mein mulawis nhe tha kion ke yazeed bhi dard e qolanj ki wajah se
tarrap tarrap ker mara, jaise is ke aur sathi marray koi payas ki waja se mara
to koi kis waja se. yazeed ke man’ne waloon ko jo bidaya wan.nahaya kehte kehte
nhe thakte hain kabhi is book per ghaur to ker lete. Kiya yazeed dard e qolanj
mein mubtala ho ker nhe mara? Yes offcourse wo isi dar e qolanj ki wajah se he
mara.
YAZEED
KA GUMRAHI WALA SHAIR
Yazeed
ne jo ash’haar ghazwa e uhad ke baray mein kahay, wo kehta hai:
“kash mere shayookh badar mein naizoon ke parrne se khazraj ki gabrahat ko
dekhte jab wo un ke sehan mein utartay to unhoon ne untoon(camels) ko betha
diya aur abdul ash’hal mein khub khoon raizi hoi aur ham ne un(musalmanoon) ke
dugnay ashraaf ko qatal ker diya ham ne badar ki kujji(dagh ko )darust ker diya
aur wo darust ho gai.”
Aur baz
rawafaz ne in mein ye izafa bhi kiya:
”hashim ne hakoomat ke sath khail kiya pas ussay na hakoomat mili
na wahi nazil hoi”
Al.bidaya
wan’nahayah vol 8,page 285
“kaash
mere bazurg badr mein naizoon ki chot per khazraj ke gabrahat ko dekhte, unhoon
ne awaz buland ki aur khushi se chamak utthay phir unhoon ne mujhe kaha na poch
jab un ke oontoon ke sehan mein takrao hua aur abdul-assal mein khub qatlaam
hua, ham ne tumaray dugnay sardaroon ko qatal kiya hai aur ham ne badr ki
kajji ko seedha ker diya hai pas tub bhi seedha ho ja.
(in
shairon mein yazeed kehta hai ke mein ne tumaray badr k muslim k hathoon
hone wale kaafiron ka badla liya hai…ASTAGHFIRULLAH)
Al.bidaya
wan.nahaya vol 8, page 246
IMAM
IBN KATHEER KA YAZEED PER TABSARA
Yazeed
ka muslim bin uqba ko ye kehna mein ke wo madina ko 3 din tak mubah ker de,
fahash ghalti thi aur ye aik bahut barri qabeeh ghalti hai. Aur is ke sath
bahut se sahaba aur un ke betoon ka qatal bhi shaamil hai aur pehle bayan ho
chukka hai ke us (yazeed) ne Hazrat Imam Hussain aur aap ke as’haab ko
ubaidullah bin ziyad ke hathoon qatal kiya aur 3 ayaam mein madina
munawra mein be’haddo be’hisaab mufaasid roo’numa hoey. Jinhain Allah ke siwa
koi nhe janta aur us ne muslim bin uqba ko bhej ker apni hakoomat aur
iqtadar ko mazboot kerne aur jhagra kerne wale ke baghair apne ayaam ko dawam
bakhashna chaha magar Allah ta’ala ne is ke iraday ke khilaaf ussay saza
di aur us ke iraday ke darmiyaan haiyl ho gia pas Allah ta’ala ne ussay halaak
kiya jo charoon 4 (yazeed,uqba,ibn ziyad,ibn sa’ad) ko halaak kerne wala hai
aur us ne ghaalib muqtadar ki tarah grift ki aur isi tarah tere Rab ne zaalim
bastiyoun per grift ki, bilashuba uski grift dardnaak aur sakht hoti hai.
Al’bidaya
wan’nahay, vol 8, page 283
Yazeed
Lanti Hai
Ahadith Aur Tareekh Ki Roshni Mein Dekhte Hain
YAZEED LANTI KAISE HUA?
HOW YAZEED CURSED?
In ahadith ko parhne aur ooper hone wale
waqiyat ke ba’d koi insane yazeed ko raheemullah nhe kahega aur na us ko
jannati bole ga.
AHADITH
HADEES: 1
MADINA HARAM HAI.
Hazrat Abdullah bin abbas radi Allah anhuma se
rawayat hai ke :
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
“Aey Allah! Mein ne Madina ko isi tarah haram
qarar diya hai jis tarah tu ne Makkah Mukarma ko haram banaya hai.
1: Ibn abi shaiba, al’musnaf, 296/7, raqm
36228
2: Abu ya’la, al’musnad, 402/4, raqm 2526
HADEES: 2
Hazrat Abdullah bin Abbas radi Allah anhuma se
rawayat hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya:
“Her Nabi k liye koi na koi harm hai aur mera
harm Madina hai.
1: Ahmed bin humble, al’musnad, 318/1
2: Tabrani, al’majum al’awsat, 356/6, raqm
6607.
3: Ibn juh’d, almusnad,492/1, 3427.
4: Delmi al’firdous, 335/3, raqm 5007.
5: Haithmi, Majmuaz’zawa’id, 301/3.
HADEES: 3
Hazrat jaber bin
Abdullah radi Allah anhuma se marwi hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Farmaya:
”Kisi fard(human) ke liye jaiz nhe ke
Madina mein larrne ke liye hathiyar utthaey”.
1: Ahmad bin humble, al’musnad, 347,393/3
2: Sunnan abu dawood, 216/2, raqm 2035.
: baihaqi, sunnan al’kubra, 201/53
4: shokani, neelal awtaar, 101/5
Hadees: 4
Hazrat Anas Radi Allah Anho farmate hain ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya hai ke:
“Yahan se wahan tak Madina haram hai, na is ke
darakhtoon ko kata jaey aur na yahan kisi jurm ka irtakab kiya jaey, lehaza jis
shakhs ne yahan koi jurm kiya, us per Allah ta’ala, us ke farishtoon aur tamam
Insanoon ki lannat ho.
1: Sahih Bukhair, 601/2, raqm 1768
2: Sahih Muslim, 999/2. raqm 1371
3: Sahih Muslim, 995/2, raqm 1370
4: Ahmad bin Humble, Al’musnad, 526/2, raqm
10816
5: Baihaqi Sunnan Al’kubra, 197/5, raqm 9739
Hadees: 5
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat
hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
“Jo shakhs is sheher waloon (yanni ahle
madina) ke sath burai kerne ka irada kray ga Allah ta’ala ussay (dozakh mein)
is tarah phiglaey ga jaisa ke namak pani mein gul jata hai.
1: Sahih Muslim, 1007/2, raqm 1386
2: Sunnan Ibn Majah, 1039/2, raqm 3114
3: Ahmed Bin Humble, Al’musnad, 279/2, 309,357
4: Abdur’Razzaq, Al’musannaf, 264/9, raqm
17155, 17157
5: Sahih Ibn Habban, 54/9, raqm 3737
6: Hameedi, Al’musnad 492/2, raqm 1147
Hadees: 6
Hazrat Jaber radi Allah anho se rawayat hai
ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya;
“Jo ahle madina ko khauf’zada krayga (qayamat
ke din) Allah ta’ala ussay khauf’zada krayga.
1: Sahih Ibn Habban, 55/9, raqm 3738
2: Ahmed bin Humble, Almusnad, 55,56/4
3: Nisa’I sunnan al’kubra
4: Abdur Razzaq, al’musnaf
5: Tabrani, majum al’kabeer
Hadees: 7
Hazrat ebada bin saamat radi Allah anho aur
Hazrat saaheb bin khalad radi Allah anho se rawayat hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam
ne Allah Rabul izat ki bargah mein arz kiya: “Aey Allah jo bhi Ahle Madina per zulm kray ya unhain daraey to tu ussay dra.
Aur us per Allah ta’ala, Malaika aur tamam logoon ki lannat ho. Us se Allah
ta’ala faraiz qabool farmaey ga na nawafol.
1: Tabrani Al’mahjum Al’kabeer, 144/7, raqm
6636
2: Tabrani Al’mahjum Al’osat, 53/4, raqm 3589
3: Delmi, Al’firdous, 505/1, raqm 2067
4: Muqadasi, Al’ahadeesul Mukhtaar, 330/8,
raqm 399
5: Mudhari, Al’targheeb Wal’tarheeb, 152/2,
raqm 1891
YAZEED LANTI KAISE HUA. AB DEKHTE Hain
…
Short revision
Yazeed ne muslim bin uqba se kaha ke tumara
bhala ho un logoon ke ba’d (jo madina mein qaid hain) zindagi ka kiya
maza! Uttho aur logoon ko le kr rawana ho aur apni khabar mujhe dete
rehna. Gharz ye elaan hua ke logo Hijaz (makkah aur madina ke area ko hijaz
kehte hain) ki taraf rawana ho. Aao apna apna wazeefa pora pora le lo isk
alawa so so dinar her shakhs k hath mein ba’tor e ehanat diye jaeengy. Gharz
bara 12 hazar admi hijaz mein jane k liye uthh kharry hoey. Aur ibn ziyad ko
yazeed ne likha tha ke tu ibn Zubair radi Allah anho se larrne ko rawana ho
Muslim bin uqba ne 3 din tak madina ki loot
shaamiyoun ke liye jaiz (mubah) ker di. Logoon ko qatal phhirte the aur un ka
maal loot lete the.
Tareekh Tabri Vol 4 page 261
Muslim bin uqba ne jissay salf masraf bin uqba
kehte hain Allah is buray aur jahil insane ka bhala na kray yazeed ke hukam ke
mutabiq madina ko 3 din ke liye mubah ker diya. Allah yazeed ko iski naik jaza
na de aur us ne bahut se amwaal ko aur qarah ko qatal ker diya aur madina ke
bahut se amwaal ko loot liya. Aur jaisa ke bahut se morkheen(historian) ne
bayan kiya hai ke bahut sa shar o fasad paida hogia aur jin logoon ko us ke samne
bandh ker qatal kiya gia un mein hazrat ma’qal bin sanan bhi thy.
Almadaiyni ne bayan kiya ke muslim
bin uqba ne madina ko 3 din k liye mubah ker diya aur wo jis shakhs ko pate
ussay qatal ker dete aur amwaal ko loot lete. Auratoon se zana kiya. Kehte hain
ke in ayaam mein khawand ke baghair aik hazar auratoon ko hamal (pregnant)
hogia. Almadaiyni ne ba’hawala abi qurta bayan kiya hai kehishaam bin
Hassaan ne bayan kiya hai ke mar’raka(adventure) harah ke ba’d ahle madina ki
aik hazar auratoon ne khawand ke baghair bachoon ko jannam diya. Aur
sadaat sahaba radi Allah anhum ki aik barri jamaat ro’posh ho gai. Ansaar
aur muhajreen ke 700 sarkarda log, aur mawali ke sarkarda log aur jin azad aur
ghulam waghairham ko mein nhe janta wo 10 hazar thy.
Al.bidaya wan’nahaya vol 8, pages 280.281,282
Hazrat Abdullah bin abbas radi Allah anhuma se
rawayat hai ke
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
“Aey Allah! Mein ne Madina ko isi tarah haram
qarar diya hai jis tarah tu ne Makkah Mukarma ko haram banaya hai.
1: Ibn abi shaiba, al’musnaf, 296/7, raqm
36228
2: Abu ya’la, al’musnad, 402/4, raqm 2526
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se rawayat
hai ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya:
“Jo shakhs is sheher waloon (yanni ahle
madina) ke sath burai kerne ka irada kray ga Allah ta’ala ussay (dozakh mein)
is tarah phiglaey ga jaisa ke namak pani mein gul jata hai.
1: Sahih Muslim, 1007/2, raqm 1386
2: Sunnan Ibn Majah, 1039/2, raqm 3114
3: Ahmad Bin Humble, Al’musnad, 279/2, 309,357
4: Abdur’Razzaq, Al’musannaf, 264/9, raqm
17155, 17157
5: Sahih Ibn Habban, 54/9, raqm 3737
6: Hameedi, Al’musnad 492/2, raqm 1147
Hazrat Anas Radi Allah Anho farmate hain ke:
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya hai ke:
“Yahan se wahan tak Madina haram hai, na is ke
darakhtoon ko kata jaey aur na yahan kisi jurm ka irtakab kiya jaey, lehaza jis
shakhs ne yahan koi jurm kiya, us per Allah ta’ala, us ke farishtoon aur tamam
Insanoon ki lannat ho.
1: Sahih Bukhair, 601/2, raqm 1768
2: Sahih Muslim, 999/2. raqm 1371
3: Sahih Muslim, 995/2, raqm 1370
4: Ahmad bin Humble, Al’musnad, 526/2, raqm
10816
5: Baihaqi Sunnan Al’kubra, 197/5, raqm 9739
Aik ghaibi awaz ko suna gia
Aey Hazrat Hussain radi Allah anho ko azrah e
zulm qatal kerne walo! Tumain azaab o saza ki basharat ho, tamam ahle aasman ,
Nabi,Maalik aur log tumaray khilaaf bad’dua ker rahay hain, tum per Hazrat
daood,Hazrat Moosa aur haamil anjeel alaihemussalam ki taraf se lannat ki gai
hai.
Al.bidaya Wan’nahaya Vol 8 Page 254
Muslim bin uqba ne yazeed ke hukam ke mutabiq
Madinah ko teen din ke liye mubah ker diya.
Al.bidaya Wan’nahaya Vol 8 Page 280
Ab aap sab ne apni ankhoon se parh lia ke madina
mein koi jurm kray ga to us per Allah ki , farishtoon ki, aur tamam insanoon ki
lannat hoti hai. Yazeed ne army bheji aur us ne 3 din madina mubah ker diya
apni fauj ke liye aur loot maar ki aur auratoon se zina kiya. To ye sab kerne
se kiya wo lannati nhe hoa. Waqia karbala aur Makkah mein hone wali sang bari
aur aatish zani ko bhi chhorr dain to bhi Madina mein kiye gaey jurm us
per lannat kerne k liye kaafi hain.
Ye sab jaan lene ke ba’d koi jahil he ho sakta
hai jo kahe ke yazeed jannati hai aur us ko raheemullah aur rahmatullah kehna
jaiz hai.
Umeed hai ke log zakir naik jaise gumrah kun
logoon se bachne ke koshish krain gay kion ke jin ki ye zakir naik pairvi krta
hai wo lannati hain wo sahih nhe hain to in ka aqeeda kaise theak ho sakta hai.
Allah ne her aik ko aqal e saleem ata ki hai yehi sochne aur samajhne k liye.
Allah ham sab ko naik aur seedhi rah per
chalaey.. aameen.
Itni Ahadees jo Imam Hussain Alaihessalam ke
hawalay se hain, aur 61 hijri ki ahadees hain aur Yazeed ke hawalay se ahadees
hain aur bani Ummayya ke hawalay se hain aur itne tareekhi books ke hawala jaat
jin mein sab kuch saaf bayan howa hai ke yazeed ne kiya kia aur us ka character
kaisa tha.kiya in Ahadees ke ba’ad bhi hamain is per scholars ki commentary ki
zaroorat par sakti hai?
Akhir mein Yazeed ko Raheemullah kehne waloon
ke liye aik hadees paish hai jis mein Khalid bin Yazeed bin Muawiya ki pusht se
niklne wala Sufiyani jo shaam ka ilaqay se Imam Mehdi k khilaaf aik lashkar
bhejay ga. Aur us ka lashkar baida ke muqam per zameen ke andher dhans jaey ga.
To aap Yazeed ko to pehle he raheemullah kehte hain us se mohabbat kerte hain
to zahir hai sufiyani us ki olad se hoga to sufiyani se bhi aap log mohabbat
krain gay.. ham to aaj bhi Hussain se Mohabbat kerte hain aur kal Mehdi
Alaihessalam se mohabbat krain gay. INSHA ALLAH
HADEES NICHAY HAI
YAZEED KI PUSHT SE AIK FITNA SAAZ SUFIYANI
NIKLAY GA
Hazrat Ali Radi Allah Anho se manqol hai
ke: wo Sufiyani (jo akhri zamanay mein shaam ke ilaqoon per qaabz o
hukamran hoga) “Nasli tor per Khalid Bin Yazeed Bin Muawiya” ki pusht se talluk
rakhta hoga, wo barray sar aur aur chichak zada chehray wala hoga. Us ki ankh
mein aik safaid dhaba hoga, damishq ki taraf us ka zahoor hoga. Us ke
tabedaroon ki ziyada’ter qabila kalb se talluk rakhne wale logoon per mushtamil
hogi,
Logoon ka khoon bahana us ki khas adat hogi,
yahan tak ke wo haamla auratoon ke pait chalk ker ke bachoon ko halaak ker diya
kray ga.woh jab Hazrat Imam Mehdi Alaihessalam ke zahoor ki khabar sunay ga to
un se jung kerne k liye aik lashkar bhejay ga to un se jung kerne k liye aik
lashkar bhejay ga jo shikast kha jaey ga, us ke ba’d wo sufiyani ba’zat e khud
aik lashkar le ker Hazrat Imam Mehdi Alaihessalam ke muqablay ke liye chala
jaey ga lakin wo muqaam e baida per pohanch ker apne tamam lashkar waloon ke
sath zameen mein dhans jaey ga aur koi shakhs bhi zinda nhe bachay ga siwaey
aik shakhs ke jo Hazrat Imam Mehdi Alaihessalam ko Sufiyani aur us ke lashkar
ki ibratnaak hasher ki khabar sunaey ga.
Alamat e Qayyamat Se Mutallik Rasool e Akram
Sallallahu Alaihe Wasallam Ki Paish’goiyaan
Writer Mohammed Haroon Muawiya
Page 47
Ab is hadees se bhi sabit hogia hai ke yazeed
aur us ke pairokaroon ne Hazrat Imam Hussain Alaihessalam ko Shaheed kiya
tha. Aur anqareeb e qayyamat Aale Ali ya Aale Hussain se Imam Mehdi
Alaihessalam ko shaheed krne ke liye Yazeed ke betay Khalid ki pusht se
Sufiyani bhi Hazrat Mehdi Alaihessalam ko shaheed kerne ke liye jaey ga lakin
is baar mamla aur result mukhtalif hoga aur is baar Allah ki ghaibi imdad Aale
Ali ke sath hogi aur Yazeedi pairokar maray jaeen gay.Yazeed bhi Shaam ka
hukamran tha Aur Sufiyan bhi shaam ka hukamran hoga.Imam Hussain bhi Madina se
thy aur Imam Mehdi Alaihessalam bhi Madina ke hoon gay..Phir pata chale ga ke
jo log ab Yazeed ko jannati aur Raheemullah kehte hain tab kis ka sath dain
gay. Offcourse apne mehboob yazeed ki aal olad ka sath dain gay.
Kuch Scholars ki Commentary Yazeed ke Hawalay
se
Shaykh ul Islam Ibn Hajr al-Asqalani
(rahmatullah alaih)
Imam Ibn Hajr (rahmatullah alaih) made the
whole title in his book al-Imta bil al-Arb’ain as “SENDING LANAH ON YAZID
(Lanati)”Loving and glorifying him (Yazid) is not done “EXCEPT BY A HERETIC”
who has void belief because he (Yazid) had such characteristics that his lover
deserves to be faithless, because to love and hate just for the sake of God is
a sign of faith.
[Publisher's name: Dar ul Kutb al iLmiyyah,
Beirut, Lebanon, Book name: al-Imta bil al-Arba'in al-Matbainatus Samah
(الإمتاع بالأربعين المتباينة السماع), Author: Imam Ibn Hajr al Asqalani (rah),
Publication date: 1997, Page No. 96]
. In Tafseer Ruh al Maani Declairing
Yazeed a kafir
“Allamah
Alusi stated, Yazeed the impure denied the Prophethood of Rasulullah (salallaho
alaihi wasalam). The treatment that he meted out to the people of Makka, Medina
and the family of the Prophet proves that he was a kaafir”.Once in the
gathering of Amir Ul Mominein Hazrat Ummar Bin Abdul Aziz .people talked about
yazeed, someone among the people said ( Amir Ul Mominein to Yazeed ) Hazrat
Ummar Bin Abdul Aziz replied in anger,” you call Yazeed ( Bad Character
Person as Amir Ul Mominein?. Than Hazrat Ummar Bin Abdul Aziz gave order
of 20 lashes to the person who called Yazeed Amir Ul Mominein
[ Tahdheeb Al'Tahdheeb Vol 1 Page 361]
The Proof of Sending Curses(Lanat) on Yazid!
Translation:The Proof of sending Lanah upon
Yazid is derived from this (ayah), as was mentioned by Al-Barzanji (rahmatullah
alaih) in his Al-Ashaat and Imam Haythami (r rahmatullah alaih) in As-Sawaiq
from Imam Ahmed (rahmatullah alaih) that his son Abdullah asked him about
sending Lanah on Yazid, and how sending Lanah upon him is mentioned in the book
of Allah (i.e. Quran). Imam Ahmed (rahmatullah alaih) in proof of (sending
Lanah upon Yazid) mentioned these verses:Would ye then, if ye were given the
command, work corruption in the land and sever your ties of kinship? Such are
the men whom Allah has cursed…(47:22-23), So could there be a greater fitnah
than the actions committed by Yazid?
[Ruh ul Ma’ani by Imam Al-Alusi, Volume
9 Under Surah Mohammed 22-23]
Yazeed k bete Mawiya Ne Kaha k Mere Bap Yazeed
Ne Jub Hukumat Sanbhali Tu Woh Is Ka Ahl Hi Na Tha. Us Ne Rasool ke Nawase Se
naza’ ki. Aakhir Uski umr Ght Gaee Or Nasal Khatam Ho Gaee…. Hamain Malum hai k
Usne Rasool ke Qurabat Daron Ko Qatl Kia Or sharab Ko Halaal Kia Or Baitullah
Ko Weeran.{As Sawaiq ul muhriqa by Imam ibn e hajar makki Page:134}
20 korray
Nofal bin abu al’dharat kehte hain ke mein
Umer bin abdul aziz ke pass baithha tha. Aik shakhs ne yazeed ka zikr kiya.
Ameer ul’momaneen yazeed bin muawiya ne youn kaha, Umer Bin Abdul Aziz ne
kaha tu ne ussay ameer ul-momaneen kaha hai. Phir ussay bees 20 korray lagane
ka hukam kiya.
Tareekh-ul-Khulafa Page 301
Abu al’farj ibn jozi ne yazeed per lannat ko
jaiz qarar diya hai
Al.bidaya Wan’nahaya Vol 8 Page 284
Ibn Jauzi’s comments on Yazeed
Ibn Jauzi in Wafa al-Wafa:
“Yazeed appointed his cousin Uthman bin
Mohammed bin Abu Sufyan as Governor of Madina. He sent a delegation to visit
Yazeed who bore gifts so that they might take the oath of allegiance to him.
Upon their return they said ‘We have returned having visited a man who has no
religion, he drinks, plays instruments, keeps the company of singers and dogs
[civil word for bestiality], we declare that we have broken our allegiance to
him. Abdullah bin Abi Umro bin Hafs Mukhzumee commented ‘Yazeed gave me gifts.
But the reality is this man is an enemy of Allah (swt) and a drunkard. I shall
separate myself from him in the same way that I remove my turban [from my
head]…
Ibn Hajr’s comments on Yazeed
In Sawaiqh al Muhriqa:
“One group have deemed Yazeed to be a kaafir,
another has stated he was a Muslim but a fasiq (transgressor), a fajir (one
that commits debauchery) and a drunkard. There is consensus over his fisq
(transgression). One party of Ulema have stated that you can curse him by name,
this includes individuals such as Ibn Jauzi and Ahmad. One group made up of
individuals such as Ibn Jauzi deem Yazeed a kaafir, others say he was not a
kaafir but rather this is a matter that has caused a difference of opinion.
The majority of Ahl’ul Sunnah all agree that
he was a fasiq (transgressor), a fajir (one that commits debauchery) and a
drunkard. Waqidi had recorded a narration ‘Verily we opposed Yazeed fearing
Allah (swt) would reign stones down on us, Yazeed considered nikah (marriage)
with mothers and sisters to be permissible and drank alcohol”.
“Dhahabi narrates that when Abdullah bin Kuzai
returned from Damascus he stated that Yazeed performs zina with his mother,
sister and daughters. We had better start a movement to oppose Yazeed otherwise
stones may reign down on us”
This is one reason why Ibn Hajar al Makki
calls Yazeed one of the most debased men in history.
Ibn Taymiya’s condemnation of unjust Yazeed
Ibn Taymiya in Minhajj:
“Yazeed had the sword and hence he had the
power to deal with anyone that opposed him. He had the power to reward his
subjects with the contents of the treasury, and could also withhold their
rights. He had the power to punish criminals; it is in this context that we can
understand that he was the khalifah and king. Issues such as Yazeed’s piety or
lack of it, or his honesty or lack of it, is another matter. In all of his
actions Yazeed was not just, there is no dispute amongst the people of Islam on
this matter”.
Shariat Mukhammad Majid ‘Ali Shakir
stated in Badh Shariat:
“Some say ‘Why should we discuss such a thing
since he [Yazeed] was a King and he [Husayn] was also a King’ – one who makes
such comments {refusing to hold opinion on Yazeed and Husayn (as)] is accursed,
a Kharijee, Nasibi and hell bound. The dispute is over whether he [Yazeed] was
a kaafir. The madhab of Abu Hanifa stipulates that he was a fasiq and fajir,
nor was he a kaafir nor a Muslim”.
Yazeed used to copulate with his mother and
sisters We read in Tabaqath:
“Abdullah bin Hanzala the Sahaba stated ‘By
Allah we opposed Yazeed at the point when we feared that stones would reign
down on us from the skies. He was a fasiq who copulated with his mother, sister
and daughters, who drank alcohol and did not offer Salat”
Other sources:
1. Tabaqath al Kabeera Volume 5 page 66 Dhikr
Abdullah bin Hanzala and Volume 4 page 283
2. Tareekh ul Khulafa page 209 Dhikr Yazeed
3. Sawqih al Muhriqa page 132 Dhikr Yazeed
4. Mustadrak al Hakim Volume page 522
5. Al Isaba Volume 3 page 469
6. Ya Nabi al Mawaddath page 326
7. Tareekh Ibn Asakir Volume 7 page 275
8. Fatawi Abdul Hai page 79
9. Tareekh al Islam Volume 2 page 356
10. Al Masalaik Sharh Muwatta Imam Malik page
435
The Fatwa of Allamah Baghdadi – Yazeed denied
the Prophethood, to curse him is an act of Ibadath
We read in Tafseer Ruh al Ma’ani page 72
commentary of Surah Mohammed:
“The wicked Yazeed failed to testify to the
Prophethood of Hadhrath Mohammed (sallallahualyhiwasalam). He also perpetrated
acts against the residents of Makka, Medina and the family of the Prophet . He
indulged in these acts against them during their lives and after their deaths.
These acts are so conclusively proven that had he placed the Qur’an in his
hands it would have testified to his kuffar. His being a fasiq and fajir did
not go unnoticed by the Ulema of Islam, but the Salaf had no choice but to
remain silent as they were living under threat.”
The Fatwas of Qadhi Abu Ya’ala and Abu Husayn
deeming it permissible to curse Yazeed
Ibn Katheer in al Bidaya stated:
“Whoever frightens Medina incurs the wrath of
Allah, His Angels and all the people – and some Ulema have deemed it
permissible to curse Yazeed. This includes individuals such as Ahmed ibn
Hanbal, Allamah Hilalee, Abu Bakr Abdul Aziz, Qadhi Abu Ya’ala and his son
Qadhi Abu Husayn. Ibn Jauzi wrote a book deeming it permissible to curse
Yazeed”.
Al Suyuti personally cursed Yazeed
In Tareekh ul Khulafa page 207, Dhikr
Shahadath Husayn we read as follows:
“May Allah’s curse be upon the killers of
Husayn and Ibn Ziyad”.
Qadhi Thanaullah Panipati deemed it
permissible to curse the kaafir Yazeed
We read in Tafseer Mazhari Volume 5 page 21,
under the commentary of Surah Ibrahim verse 28 as follows:
“The Banu Umayya were initially kaafir, then
some of them presented themselves as Muslim. Yazeed then became a kaafir. The
Banu Umayya maintained their enmity towards the family of the Prophet , and
killed Husayn in a cruel manner. The kaafir Yazeed committed kufr in relation
to the Deen of Mohammed (sallallahualyhiwasalam) proven by the fact that at the
time of the killing of Husayn he made a pointed reference to avenging the
deaths of his kaafir ancestors slain in Badr. He acted against the family of Mohammed
(sallallahualyhiwasalam), Banu Hashim and in his drunken state he praised the
Banu Umayya and cursed the Banu Hashim from the pulpi
Jin scholars ne yazeed per lannat na bhejne ka
kaha hai ta ke wo lannat us ke baap ya kisi sahabi ki lannat ka zariya na ban
jaey.
No comments:
Post a Comment