Murshid E Makhdoom E Simna
Qutb E Bangaal
Shah Alaaul Haq Pandawi
Radiyallahu Anhu
Qudwatul Aarifeen, Zahdus Salikeen Rahnumaye
Ahle Yaqeen Peshwaye Buzurgaane Deen Hazrat Shaikh Alaaul Haque Ganj Nabat apne
waqt ke jaleelul qadr Buzurg, Sahibe Taqwa w Ruhaniyat aur Muqtada e Arbaab e
Wiladat the Yani Ilm w fazl, Zuhd o Taqwa w Parhezgaari me apni missal nahi
rakhte the. Tariqat me Aap Hazrat Siraj Uddin Usman Al-Maroof Akhi Aainaa e
Hind Rahmatullahi Alaih ke Mureed aur Khaleefa the Shaikh e Muhaqqiq Abdul
Haque Muhaddis Dehlvi Alaihirrahma ne Apni Kitab Akhbarul Akhyaar me Aap ke
Tazkire me likha hai woh farmate hain:
Ibtadaai Zamane me Maaldaar aur Ghani
hone ki wajah se Nihayat hi Shan o Shaukat se rahaa karte the magar jab Siraj
Akhi ke Mureed huwe to Sab kuch chhod (Tark Karna, Munh Pherna) kar Fakeerana
aur Mastanaa waar Gosha Nasheeni Ikhtiyar kar li.
(Ref. Akhbarul Akhyaar translated by Maulana Sub'han Mahmood)
Aap ne Apne Shaikh Akhi Siraj Aainaa e
Hind ki Bahut Zyadah khidmat ki. Din, Raat, Safar o Hajar me unke sath rahe aur
fuyooz o barkaat Hasil kiye jab Safar par jate to aap ka saamaan apne sar par
rakh kar milon paidal safar karte aur unki khidmat me kisi qism ki kami nahi
aane dete the. Shaikh aapki khidmat se Bahut khush huwe aur jo kuch Ruhani
Nimaten unhain apne Shaikh Hazrat Sultanul Mashaikh Nizamuddin Mahboobe Ilahi
se mili theen woh sab ki sab Unhone Aapko Ataa farmaa deen Aur
Rhaniyat ke Azeem mansab par faiz farma diya. Shaikh Alaauddin Ganj Nabat ne
apne Ilm w Ruhaniye ke zariye Bangal aur Bihar me Rushd o Hidayat ka Silsila
Shuru kiya aur tishnagaane Marifat ko sairaab kart e rahe. Aapka Silsilaa Nasb
Al-Mulaqab Saifullah Hazrat Khalid Bin Waleed RadiAllahu Anh se milta hai.
Sahibe MiratulAsrar ne Aapki Shan o Azmat bayat karte huwe likha hai:
"Aap Ke Kamaalaat ka Andaza es baat
se ho sakte hai ki Meer Syed Ashraf Jahangeer Simnani Jaise Shahbaaz aur Buland
Parwaz Hazrat Khawaja Khizr Alaihissalam ki Rahnumai se Mulk Khurasaan Simnan
ki Baadshahi chhodkar Aap ki Khidmat me Pahunche aur Husn e Tarbiyat se Martaba
e Takmeel o Irshad par Pahunche Bawajood ki Auliya e Kibaar se Aapko Raste me
Mulaqaat huwi lekin sab ne yahi farmaya ki Tumhara Murshid Bangaal me hai
Wahaan jaao"
Shaikh Aalauddin Ki Khankah Garddbon,
Faqeeron aur be sahara logon ki Ummedon ka Markaz thi Jahaan har waqt Hazaron
ki tadaad me log hazir rahte hote aur daaman e Muraad bhar kar jate the aapki
Khanqaah ka Kharch Badshah e waqt ke Kharch se bhi ziyadah tha Baadshah ko es
par bahut ziyadah Hairat hoti thi. Aek Martabaa Baadshah ne kaha ki Shayed
Unhone Baitul Maal ke Afsar se koi Saaz baaz ki hai Jab hi yah itnaa kharch
karte hain phir usne Hukm diya ki Aap is Shahar se Nikal jayen
aur Sunaar Gauon me rahen. Aap Fauran apne Mureedon ke Hamraah
rawaana huwe aur Sunaar Gauon me Iqaamat Ikhtiyaar kar li aur Khadim se farmaya
ab tak jitna Rozana Jitna Kharch karte the ab isse dugna Kharch karo Khadim ne
Hukm ki Tameel ki aur aap ke langar ka Kharch dugna ho gya. Esi tarah majmaa
lagaa rahta tha log aate the aur apni muraaden pate the lekin bazahir koi
zariya e Muaash nazar nahi aata tha. Haqeeqat me aapko dast gaib tha jis ki
wajah se aap be andaza kharch karte the aur phir kabhi kami nahi hoti thi aap
Makhlooq ke bajaye Khaliq par bharosa karte the. Yahi wajah thi ki aap ko
itminaan e Qalb aur tawakkal ki daulat hasil thi. Aap Maqam e tawakkal par
Faa'iz the isliye har waqt Allah ki taraf Mutawajjah rahte the.
Uloom Marifat me aapka martaba nihayat
hi buland tha kabhi kabhi josh ke Aalam me Syed Ashraf Simnani Se farmate the
ki…
"Aayaate Quraani ki tafseer,
Fusoolsul Hukam aur Fatoohat e Makkiya ke Nukaat mujh se Hasil kar lo main Aek
Darakht hoon jise hilaao to tumhain Azeeb o Ghareeb Phal milenge".
(Ref: Hayat Syed Ashraf Jahangeer)
Shaikh Alaauddin Ganj Nabaat ke Irshad e
Paak se Pata chalta hai ki woh tariqat me Ilmiyat o Ruhaniyat ke kitne Buland
Maqaam par Faa'iz the.
Hazrat Sayyedna Makhdoom Alaul Haq
Pandvi Chishti Radiyallahu Anhu Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf
Jahangir Simanani Radiyallahu Anhu Ke Pir O Murshid Hain Aur Aaina E Hind
Hazrat Sayyedna Makhddom Sirajuddin Akhi Chishti Radiyallahu Anhu Ke
Khalifa He Aur Ye Aaina E Hind Hazrat Sayyedna Makhddom Sirajuddin Akhi Chishti
Radiyallahu Anhu Sultanul Mashaikh Hazrat Sayyedna Khwaja Nizamuddin Aulia
Mehboob E Ilahi Radiyallahu Anhu Ke Chahite Khalifa He.
(Ref: Sajra Aalia Qadri Chishtia
Ashrafi)
Urs: - 23, Rajabul Murajjab, Mazar: -
Pandawa Sharif,
(West Bengal near Katihar India)
No comments:
Post a Comment