Sultan Hazrat Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Simani

GAUS UL AALAM MEHBOOB E YAZDANI
MAKHDOOM SULTAN SYED ASHRAF JAHANGIR SIMNANI ALAIHIR RAHMA

KI SO (100) SAALA HAYAT E MUQADASA PAR
EK IJMALI NAZAR

Silsila Ashrafia ke Baani Hazrat Qutubul Aqtab Gausul Aalam Mahboob e Yazdani Makhdoom Syed Maulana Auhaduddin Sultan Ashrafi Jahangir Simani Quddus Sirrahu ki Zaat Grami Agarche Kisi Rasmi Ta'Aaruf ke Muhtaaj Nahi hai Magar Qarieen ke zauqe Basarat aur apne is risaale ki Sa'Aadat ke liye ham unke zikr khair se Musharraf karte hain.

Walid Majid ka Name Mubrak
Sultan Syed Ibrahim Noor Bakhshi Samani (King of Simnan, Iran)
Sulatn Syed Ibrahim Alaihir Rahma (723 Hijri) Hadde Darja Kareemun Nafs aur Insaniyat Nawaaz the. Unka Taqwaa aur Ikhlas e Bil Amal ka Jazbaa Shahr e Simnan me Zurbul Misl tha. Deen se Unki Ghair Mamooli Wabistagi ki yah Aek Tabnaak Misal hai ki Unke Ahd (Government) me Hazaron Tishnagaane Iim dafn Manzile Maqsood par Pahunche aur Ulama o Mashaikh ke liye Unhone hamesha Apni Aqeedat ka Daaman phailaye Rakha.

Sultan Ibrahim Alaihir Rahma ne madarise Islamiya ki Sarparasti ke Sath Khankahon ki tamer o Taraqqi me bhi Numaya Hissa liya, Chunanche Simna ke Mash'hoor Khankah Sakkakiya ki dubara Tameer o Tausee sultan Ibrahim hi ki daste Karam se howi Jisko Hazrat Shaikh Alaauddaulaa Simnani Alaihir Rahma ne Aek Arse tak Apne Aurad o Wazaaif aur Rushd o Hidayat se Rawannaq Bakhsi. Khankah Mazkoora par Rozana so Dinar (100) kharch hote the.
(Lataife Ashrafi Jild 1 Page 2, Jild 2 Page 90-91, Ghausul Alam Page 12)

Walida Majida
Hazrat Bibi Khadija Begam Bint e Hazrat Khwaja Ahmad Yaswi
Hazrat Khwaja Ahmad Yaswi Alaihir Rahma (562 Hijri-1166 AD.) Tukistan ke Silsilaa e Khwajgaan ke Mash'hoor Buzurg the aur unka Shumaar Muqtadaa e Kamileen me tha. Sahibe Tarkhe Mashaikhe Chisht ne likha hai ki Woh Ataaliswi ke Naam se Mash'hoor the. "Ataa" Turkey ki Zuban me Baap ko Kahte hain.

                                                          (Tarikhe Mashaikh e Chist 216)
Aur Turkishtan ke Muqaam Yasi ki Nisbat se Yaswi Kahlaye. Hazrat Khawaja Ahmad Yashwi Alaihir Rahma, Hazrat Khwaja Yusuf Hamdani Alaihir Rahma ke Mureed o Khalifaa the. Jinke Bare me Nufhatul Ins ke Alfaz yah hain ki…
امام عالم وعارف ربانی صاحب الاحوال والمواھب الجزیلۃ
والکرامات والمقامات الجلیلہ


Hazrat Khawaja Yousuf Hamdani ke Char Jaleelul Qadr Khalifa the, Un me se Hazrat Khwaja Ahmad Yaswi Alaihirrahma Tableegh o Asha'at e Deen ke Khatir Turkistan pahunche aur Apne Silsila e Aradat o Bait ko Khoob Phailaya.
(Nufhatul Ins Page: 337-339, Khazeenatul Asfia Page: 531-532)

Syed Ashraf Jahangir Simnani Radi Allahu Anh Bin Syed Muhammad Ibrahim  bamuqaam Simnan (Kharasaan) jo unke walid ke zere Hakoomat tha paida huwe unki Walida Majid Khawaaja Ahmad Yaswi Alaihirrahman kee Beti (Doughter) the.
(Syed Ashraf Jahagir Simnan ki Ilmi Dini aur Ruhani Khidmat ka Tahqeeqi Jaizah Page No. 04)

Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Simani RadiAllahu Anh Saaton (Seven) Qiraton Ke Hafiz the aur unhone apni taleem 14 saal ki Umr me Khatm kar li thi. Tasawwuf se Shagf unhain Kusha kusha Alaaudaula Simnani Alahirrahma ki Khidmat me le gyaa jo apne waqt ke mashhoor sufi the. Unhi kee khidmat me woh aksar hazir rahte the apne walid ke wisal pr woh riyasat ke waris huwe magar thode hi dino baad apne bhai Muhammad Aaraf ko Takht supurd karke Saltanat se dast bardaar ho gye aur Hindustan ki taraf chal pade jis ki unhain Khawab me hidayat ki gyi thi Mawaraunnahar se hote huwe woh Bukhara aur Samaqand gye wahan se Aochh Pahunche Jahan unki Mulaqaat Makhdoom Jalal Uddin Bukhari se huwi jo jahan jahaniya Gasht ke Laqab se Mashhoor hain. Musalsal aur Door o Daraz ke Safar ke baad Jis dauraan Aap Delhi, Sindh o Ganga ke Maidani Elaqe aur Bihar, Bangal, Sunar Gaun (Jo Dhaka ke Nawaah me hai) bhi gye. Anjaam kaar aap RoohAbaad (Kichhichha Sharif Ka Purana Naam) Faizabad se 53 Meel (Miles) par Aek Gauon me Muqeem ho gye. Kichhauchha Sharif me Sakunat Ikhtiyar karne ke Baad Kuch din rah kar phir Aap Rooye Zameen ki Sair o Sayahat ko Nikle. Es Martaba Aap Makka Sharif, Madina Sharif, Karbaal Muallah, Najaf Ashraf, Turkey, Damishq, Baghdad, Kashan, Simnan, Mash'had wagairah se hote huwe Barahe raasta Multan o Delhi RoohAbaad Pahunche Anjaam Kaar Unhone wahin 28 Muharramul Haram 408 July 1405 A.D me Wafaat paayi aur Apni hi Khanqaah me Suparde Khak kye gye.
(Urdu Dairah Mu'aarif Islamia Part 02)

Hazrat Ghausul Aalam Mahboob Yazdani
Makhdoom Sultan Syed Ashraf Jahangir Simnani Quddus Sirrah Ki So Saala (Hundred Years) Hayat e Mubarkah Par AeK Ijmali Nazar

708 Hajri
Paidaish Ki Saal Hai Aur Sirf 05 Saal Ki Umr Mein Qirate Sab'aa Mein Quran Kareem Hifz Kiya.

722 Hijri
Takmeel E Uloom O Funoon 14 Saal Ki Umr Mein.

723 Hijri
          Takht Nashini (King of Sinmnan Iran) Walide Muhtaram Ke Wisal Ke Baad.
Hazrat Sultan Syed Makhdoom Ashraf, Gaus Ul Aalam Mehboob E Yazdani Ne Khidmat E Babarkat Walidah Majidah Mein Haazir Ho Kar Ijazat Talb Kee Ki Agar Hukm Ho To Main es Saltanat E Duniya Ko Tark Kar Ke Faqr Ikhtiyar Karun Aur Badshat Mulke Aakhirat Haasil Karun, Hazrat Ki Walidah Ne Farmaya "Ay Farzand Tum Paida Bhi Nahin Hue They Usse Pehle Hamare Jadde Amjad Sultan Ul Aarifeen Khwaja Syed Ahmad Rahmatullah Alaihe Ne Khwab Mein Basharat Di Thi Ke Tum Ko Aisa Farzand Nasib Hoga, Dunia Uski Aaftab E Wilayat Ki Chamak Se Roshan Ho Jaayegi Aur Uski Noor E Hidayat Ki Badolat Jahan Se Gumrahi Mitjaayegi.
                                                (Sahaefe Ashrafi Safa Jild 1 Safa No.73)

733 Hijri 
Tarke Saltanat (Badshahat Chhodna) Muddate Khilafat 10 Saal.

735 Hijri
Baiat O Khilafat Simnan Se Pandwa Shareef Ka Faasla 2 Saal Mein Tamam Hua. 735 Hijri Se 741 Hijri (6 Saal) Pehla Qiyaam Pandwa Shareef.

742 Hijri
Rawangi Pandwa Shareef Se.
742-43 Hijri (Ahde Saltanat Tuglaqya)
Jonpur Mein Pehli Aamad. Yaha'n Se Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Program Banaya Aur Ek Arsaa Tak Bilade Sharqiya Wa Mamalike Islamiya Ki Sair Farmate Rahe Jaziratul  Arab Ke Alawa "Misr" Rom" Shaam" Iraq" Aur Turkistan Ke Mukhtalif  Ilaqo Aur Shahron  Mein Bhi Aapka Guzar Hua Aur Us Waqt Ke Jumla Mashaikhe Izam Aur Auliya E Kabaar Se Aapne Fayuz Wa Barkaat Hasil Kiye.

750 Hijri
Mein Haji Nizam Yamni Moallif "Lataif E Ashrafi" Hazrat Gaus Ul Aalam Ke Silsila Iradat Mein Daakhil Huwe Jo Hazrat Ke Safar O Hazr Mein Aakhri Dum Tak Saath Rahe.

758 Hijri
Hindustan Wapsi Mamalike Sharqiya Ki Pehli Sayahat Ka Zamana Pandra (15) Saal Qayaas Kiya Gaya Hai. Bilaad e Sharqiya Ki Wapsi Ke Baad Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Dusri Baar Safar Pandwa Shareef Ikhtiyar Kiya Aur 04 Saal Tak Apne Peer O Murshid Ke Fuyuz O Barkaat Hasil Farma Kar Harmain Shareefain Ki Ziyarat Ka Do Baara Qasd Kiya Issi Safar Mein Aap Apni Khala Zaad Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Geelan (Jilaan) Pahonche Aur Apne Bhanje Syed Abdur Razzaq Noorul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Farmaya Yeh Hijri 764-65 Ka Waqia Hai.

764 Hijri
Ke Safar Ke Dauran Aap Apni Khala Zaad Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Gilan Pahonche Aur Apne Bhanje Hazrat Syed Abdur Razzaq Noor Ul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Kiya.
(Ref. Hayat E Gaus Ul Aalam Safa No.93)

768 Hijri
Hindustan Ko Dubara Wapsi (Mamalike Sharqiya Ki Dusri Sayahat Galiban 10 Saal Par Mushtamil Hai).
770 Hijri
Mansab E Gausiyat Par Faiz Hona Bamuqam Gulbarga Shareef.

782 Hijri 
Mehboob E Yazdani Ka Khitab Mila Bamuqam Rooha Baad Kichauchha Shareef Ussi Saal (Year) Mein Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Teesri Baar Apne Murshid Ka Niyaz Hasil Karne Ki Garaz
Se Pandwa Shareef Ka Safar Kiya. Jab Aap Qasba Muneer Sharif Bihar (Near Patna) Pahunche to Makhdoom e Bihar Hazrat Shaikh Sharfuddin Yahiya Muneri Alaihirrahma Ka Intiqaal Ho chuka tha. Aap Ne Hazrat Shaikh ki wasiyat ke Mutabiq Namaze Janazah Padhai aur Hazrat e Shaikh ke Fuyooz e Ruhani se Malaa Maal hokar Pandwa Sharif Ki Janib Rawana Huwe.

793 Hijri
Tameer e Aastana e Aaliya Ashrafia (Madda e Tarikh "Arshe Akbar hai)

810-803 Hijri
Pandawa Sharif me Aakhri Baar Hajri aur Qiyam ( Baad e Wafat Peer o Murshid aur Ba waqt Jan Nashen e Peer Zada Hazrat Qutub Aqtab Noor Qutub Aalam Pandawi)

804-805
Haijri Jonpur Mein Dusri Aamad (Ahad Sultan Ibrahim Saljoqi)

808 Hijri
 Mustaqil Qiyam RoohAbad ta Wisal E Mubarak
28 Muharramul Haraam 808 Hijri
.
Mazaar Sharif Roohabad Kichauchha Shareef India.
(Ref. Gaus Ul Aalam & Sahaefe Ashrafi)
Aamad E Makhdoom Ashraf Jahaan'gir Simnani Ki Khabar
Ba-Zubane Sultanul Hind Khwaja Gharib Nawaz

Risala Ghousiya me Sultan Ul Hind, Khwaja E Khwajgaan, Hazrat Khwaja Moin-Ud-Din Hasan Chishti Ajmeri Alayhirrahmato Wa Ridwaan Tehreer Farmate Hain..!!

"Mere Silsile Me Ek Ghous "Jahaan'geer" Paida Hoga Aur Woh Tarakki Ke Saath Mere Silsile Ko Jaari Karega...!"
(Ref: Risala Ghousiya)

Huzur  Ashraf  Simnaa  Ke Naam  Ka Sadqa
Hamari Jholiya Bhar Dijiye Ya Garib Nawaz

Aabad Rahe Ashraf Kaa Chaman
Ya Khwaja Moeen-Ud-Din Hasan

Khandan e Ashraf e Simna
 Aur
 Mahmood Ghanavi
Mahboob E Yazdani Syed Makhdoom Ashraf Ne Rasala "Ashraf Ul Fawaid" Mein Farmaya Hai Ke Mere Khandan Ki Azmat Aur Shaan Buland Hai Yaha'n Se Tasawwur Karna Chahiye Ke Mahmoud Ghaznawi Jaise Badshah Hamare Buzurgon Ke Ghulam Zaado Ne Saltanat Aur Badshahat Ki Hai.
(Ref: Ashraf Ul Fawaid")

Hazrat Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Ka Ilm Ajeeb Khudadaad Ilm Tha Ki Aap Rooye Zameen Mein Jaha'n Tashreef Le Gaye Wahi'n Ki Zuban Mein Taqreer Karte Aur Ussi Zuban Mein Kitab Likkh Ka Waha'n  Ke Logon Ke Liye Chhod Aate.
              (Sahaefe Ashrafi Jild 1 Safa No.115)

Tasaaneef e Jalilaa
Hazrat Meer Auhaduddin Sulatan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A) Tasanif-E-Kaseera They, Apke Khama-E-Paak Se Jo Sufiyana Tahreere Mukhtalif Unwaan Par Hai Sange Meer Ki Hasiyat Rakhti Hai, Haq Ta'ala Ne Ilm-E-Ladunni Ke Darwaza Ap Par Parwah Kar Diye The. Apki Zyadatar Tasaneef Safar Mein Raqam Hui Hai Safar Mein Qutub Khana Sath Sath Hota Tha Muta-Alaa Bahut Wasi Tha, Aap Mushkil Ash-aar Par Hazir Jawab The.
Hazrat Makhdoom-E-Paak Ne Khaas Taur Par Ilm-E-Tasawwuf Par Hazrat Noor-Ul-Ain Ki Farmaish Par Fatawa-E-Ashrafiya Tasneef Ki,
Fusoos-Ul-Hukm Ki Sharayi Likhi,
Qawaid-Ul-Aqaid Arabi Mein Douran E Makka Sharif Likhi,
Sheikkh Shahabuddin Soharawardi Ki Mash'hoor Kitaab Awariful-Ul-Muarif Ki Sharah Likhi,
Ashraf-Ul-Fawaid Gujrat Mein Taleef Farmayi,
Unme Aksar Risail Napaed Hai Kyoki Ye Risayil Aksar Safar Mein Likhe Gayi Thi. Muhaqqiqeen Ki Tahqeeq se Sabit huwa hai ki Syed Ashraf Jahangir Simnani Urdu Nasr Nigaari ke Pahle Adeeb o Musannif hain aur Aap Aathvi (Eight) Hijri Ke Mujadid hain.

01. Risal Ghuasiya
02. Manaqib e Ashab e Kamileen w Maratibe Khulafa e Rashideen
03. Basharatul Ikhwan
04. Irshadul Ikhwan
05. Fawaedul Ashraf
06. Ashraful Fawaid
07. Risala Wahdatulwajud
08. Tahqeeqaat e Ishq
09. Maktubate Ashrafi
10. Ashraful Ansab
11. Manaaqibus Saadaat
12. Fatwa Ashrafia
13. Diwan–E–Ashraf
14. Risal Tasawwuf o Ikhlaq (Urdu)
15. HujjatuzZaKereen
16. Basharatul Mureedin Risala Qabriyah
17. Kanzul Asrar
18. Lataef E Ashrafi
19. Sharah Sikandra Nama
20. Sharhe Awereful Mu'arif
21. Sharhe Fosusul Hakam
22. Quawaedul Aquaed
23. Tanbihul Akhwan
24. Musta Lehate Tasuwwuf
25. Tafseere Noor Bakhhia
26. Risala Dar Tajweze Tana e Yazeed
27. Bahrul Haqaeque
28. Kanzul Asrar.
29. Sirul Asrar
30. Nahve Ashrafia
31. Kanzuddaquaeque

            (Ref: Hayat Ghausul Aalam, Mahboobe Yazdani &
http://www.alahazrat.net/islam/syed-makhdoom-ashraf-jahangir-simnani.php)

Aadab E Peer O Murshid
Hazrat Makhdoom Ashraf Shah Jhahangir Simnani Radi'allahu Ta'ala Anhu Farmate Hain,
"Bargah E Ilahi Me Maqbuliyat Ka Mera Darjaa Agar Intehayi Bulandi Par Pahunche Ki Arshe Mo'alla Tak Mera Sar Jaye Tab Bhi Apne Murshid E Kamil Ke Aastane Par Hi Mera Sar Hoga.
(Seerat Fakhrul Aarefeen, 186)



Karamaat
Makhdum E Paak Ka Ek Budhe Lashkari
Ko Arfaa Ke Din Haj Ko Bhejna

          Peer Ali Baig Ek Muheem Ke Waste Lashkar Liye Ja Rahe The, Hazrat Mehboob E Yazdaani Ki Baargaah Me Dua Ki Darkhwast Ki, Aap Ki Dua Se Unko Fateh Haasil Huwi. Jab Fateh Ke Baad Peer Ali Baig Wapas Loute, Un'ke Lashkar Me Ek Budha Shakhs Tha Jo Saal- Haa-Saalo Se Ghaans Laya Kerta Tha. Us Budhe Shakhs Ne Nihaayat Hasrat Ke Sath Ye Kahaa Ki, "Aaj Youn E Arfaa Hy..!! Haaji Apne Qaaba E Maqsud Ko Pahuche Hoge. Kya Achha Hota Ki Mai Bhi Es Doulat Se Sarfara Hota..!!" Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Ye Sun Ker Us Budhe Shakhs Se Farmaya, "Kya Tum Haj Kerna Chahite Ho..?" Usne Arz Kiya, Agar Ye Doulat Nasib Hoti Tou Kya Hee Achha Hota. Hazrat Ne Farmaya.. "Aao" Woh Shakhs Hazrat Ke Kareeb Aaya. Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Dast E Mubarak Se Isharah Kiya Aur Farmaya.. "Jaao" Bil-Four Es Farman Ke Woh Shakhs Qaaba Sharif Pahuch Gaya. Aur Manasiq E Haj Ada Ki Aur 3 Roz Tek Qaaba Sharif Me Raha Ek Din Us Ko Dil Me Khayal Aaya Ki, Kaash Koi Shakhs Mujh Ko Mere Watan Pahucha Deta. Es Khayal Ke Aate Hee Us Ne Hazrat Mehboob E Yazdaani Ko Wahaa Hazir Dekha..!! Hazrat Ko Dekhte Hee Wo Fouran Aap Ke Kadmo Me Gir Pada Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Farmaya Ki "Jaao" Us Ne Apne Sar Uthaya To Woh Apne Ghar Watan Me Moujud Tha.
    (Ref: Lataif e Ashrafi – Sahaife Ashrafi)

Gustakh-E-Ashraf Ka Anjam
Hazrat Makhdum Sultan Syed Ashraf jahaangeer Simnani Radiallaho Anho Ka Ma'amul Tha Ke Aap Namaz-E-Jum'aa Ko Safar Wa Hajar Me Kabhi Tark Nahi Farmate The Jab Tek Ke Aastana-E-Roohabaad Me Jame'a Masjid Taiyaar Nahi Ki Thi., Ba-Maqam Kasbah Sambhuli Jo Aastana-E-Roohabaad Se 7 Kows Ke Faasle Per Tha Namaz Padhne Tashrif Le Jate The. Es Qasbah Me Oulmah Kasrat Se Rehte
The. Baa'd Ada E Namaz-E-Jum'aa Wahaan Ke Mullaon Aur Talbah Me Se Ek Shakhs Ne Hazrat Mehboob E Yazdani Ki Khidmat Me Maslah Ilm-E-Kalam Pesh Kiya Ke Bandah Ikhtiyar Rakhta Hai Ke Be-Ikhteyar Hai ??? Aur Teesri Baat Darmiyan Me Nahi Agar Ba-Ikhtiyar Kahe Tou Qadriyah Hote Hai Aur Be- Ikhteyar Kahe Tou Jabriyah Hote Hai. Pas Mazhab Darmiyan Jabr Aur Qadr Ke Jo Kahaa Hai Woh Kya Hai???

Hazrat Mehboob E Yazdani Ne Farmaya Ki "Yeh Masla Agle Ulmaa Ko Bhi Mushkil Tha Lekin Ba-Zahir Aysa Ma'alum Hota Hai Ke Insan Ko Ikhteyar Zaheri Hai Aur Jabr Ma'anwi Hai.Jaysa Ke Muqaddamah Yazdawi Me Hazrat Imam Fakhr-Ul-Islam Ne Farmaya Hai. "Ikhtiyar Bil-Surat Wa Jabr Fil-Ma'aani" Woh Talib-E-Ilm Apne Ghurur-E-Ilm Se Dalaail Na-Ma'aqul Pesh Kerne Laga. Hazrat Mehboob E Yazdani Ko Na Samjha Uski Murad Apni Ilmi Qabeliyet Zahir Kerna Thi Aur Uski Baa'z Baato Se Hasad Ki Boo Aati Thi..!!
Hazrat Mehboob E Yazdani Ne Har Baat Ka Jawab Diya Yahan Tek Dalaail Aur Bahas Ko Tawalat Hui Ke Us Talib-E-Ilm Se Koi Kalmah Khilaf-E- Adab Zahir Huwa Aur Hazrat Mehboob E Yazdani Ke Chehra-E- Mubarak Per Tajalli-E-Ism-Ul-Qahhar Zahir Huwi! Farmaya Ki "Abhi Teri Zuban Kaam Ker Rahi Hai..?" Yeh Farmate Hee Us Shakhs Ki Zuban Uski Munh Se Latak Padee..!! Phir Baat Kerne Ki Taqat Na Rahi..!! Tamam Hazerin-E-Majlis Es Waqe'aah Ko Dekh Ker Hayrat Me The Aur Hazrat Ke Samne Ma'azerat Ker Rahe The. Us Talib-E-Ilm Ki Maa Ek Gharib Budhiya Thi. Es Khabar Ko Sun Ker Hazrat Mehboob E Yazdani Ki Khidmat Me Hazir Hui Aur Nehayet Aajezi Wa Alhaah Se Ro-Ro Ker Arz Kerne Lagi. Hazrat Mera Yehi Ek Ladka Hai Aur Hindi Zuban Me Woh Arz Kerne Lagi. "Poot Bheek De" Jab Us Budhiya Maa Ki Aah Wa Zaari Hadd Se Ziyada Guzri Tou Farmaya Ke. "Teer Nishaane Per Pahuncha Huwa Wapas Nahi Aata Lekin Uski Zuban Uske Munh Ke Andar Aa Jayegi..!!
Magar Aasaar-E-Luknat Uski Zuban Se Na Jayega Balke Uski Jo Aoulad Payda Hogi Woh Bhi Hakli Payda Hogi Aur Koi Aalim Es Kasbe Me Zinda Na Rahega. Hazrat Maulana Nizamuddin Yamni Farmate Hai Ki Baad Chand Muddat Ke Mai Us Kasbe Me Gaya. Daryaft Kiya Tou Ma'alum Huwa Ke Woh Be-Adab Mar Gaya Uska Ek Ladka Moujud Hai., Uski Zuban Me Luknat Hai Aur Jo Kasbah Ulma Wa Foozla Se Bhara Huwa Tha Veeran Ho Gaya Baa'z Ulma Mar Gaye Aur Baa'z Ka Ilm Faramosh Ho Gaya Allah Tabarak Wa Ta'ala Har Shakhs Ko Buzurgaan-E-Deen Ki Khidmat Me Ba-Adab Rakhe..!!
Baa-Adab Baa-Nasib
Be-Adab Bad-Nasib
 (Sahaaif-E-Ashrafi/Page No.232-33)

Dil Ki Baat
Hazrat Abul Fazl Nizamuddeen Yamani Rahmatullahe Ta'ala Alaihe Jame Lataaif-E-Ashrafi " Apna Haal Yu'n Bayan Karte Hain Ke Ek Maqam Par Mera Guzar Hua, Ittafaqan Meri Nazar Ek Khubsurat Aurat Par Parhi Mera Dil Uske Ishq Mein Aisa Giraftar Hua Ke Uski Wajah Se Khana Peena Chhut Gaya, Yeh Raaz Kisi Par Zaahir Nahin Tha Jab Hasbe Maamul Mahboob-E-Yazdani Ki Khidmat Mein Haazir Hua, Jaise Hi Huzoor Ki Nazar Mujh Par Padi Aap Muskuraye Aur Qissa Ishqe Majnu Zuban Par Aaya Farmaya Ke Allah Ta'ala Ne Majnu Ko Sharfe Ishqe Haqeeqi Se Musharraf Farmaya Tha, Dusro'n Ke Liye Aisa Ishq Majazi Nuksan Pahonchata Hai.
Hazrat Ke Farmate Hi Mere Dil Se Us Aurat Ka Ishq Jaata Raha Yeh Aapke Tasarruf Ka Asar Tha Warna Aatishe Ishq Ka Jaana Muhaal Hai.
(Sahaaif-E-Ashrafi Jild 1 Safa No.251)

Mureedon ke Liye KhushKhabri
770 Hijri Ko Mahboob-E-Yazdani Maqam E Roohabad Mein The Ke Ek Kaseer Jama'at, Das Hazaar (10,000) Aadmiyo Ki Mahboob-E-Yazdani Ke Daste Mubarak Par Sharf E Iradat Se Musharraf Hue (Mureed Hue)
Tamam Mureedo'n Ke Naam Hasbe Dastur Daftar Mein Likkhe Jaate They Jab Daftar Mureedo'n Ka Bahut Ho Gaya, Khuddam Ne Arz Kiya Ki Kasrat Mureedo aur Khulafa Is Qadar Hai Ke Uski Hifazat
Mushkil Hoti Hai,
Mahboob-E-Yazdani Ne Farmaya Ke Mureedo'n Ka Daftar Utha Lao, Logon Ne Haazir Kiya.
Hazrat Ne Apne Daste Mubarak Mein Daftar Ko Uthaya Aur Ek Ek Warq Paani Mein Dhone Lage Aur Farmaya Ke Maine Unke (Mureedo'n Ke) Gunaho Ke Naam E Aamaal Dho Diya Aur Magfuro'n Mein Unke Naam Likkhe Gaye Hain, Haq Ta'ala Se Maine Khwahish Ki Hai Ke Koi Shaher Aur Koi Zameen Aur Koi Jangal Purab, Pachhim, Utar, Dakhan Mein Mere Mureed O Khulfa Honge Magar Dozakh Mein Koi Mera Mureed O Khalifa Nazar Nahin Aayenge.
(Sahaaif E Ashrafi Jild 1 Safa No.145)

Khandan Chisht Ahle Bahisht
Hazrat Mahboob E Yazdani Gaus Ul Aalam Sultan Syed Makhdoom Ashraf Ne Farmaya Ke Har Is Faqeer Ko Is Qadar Mashaikh E Kasira Se Faiz Haasil Hua Hai Ke Jiski Sharah Had Se Bahaar Hai Lekin Yeh Banda Khaash Parwarish Yafta Khandan E Chisht Ahle Bahisht Ka Hai.
                                                          (Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No 37)

Sahabi e Rasool se Mulaqaat
Ghausiyat ke Aala Tareen Martabe par Faiz hone ke ilawa Hazrat Syed Ashraf Jahangeer Simani Quddus Sir ne Hazrat Syedina Abur Razaa Haji Ratan Ibn Hindi Radi Allah Anh jo Sahabi e Rasool the ke Deedar o Mulaqaat ka Sharf bhi Hasil farmaya.
(Ref: Lataife Ashrafi Jild 1 Page 378)

Es Lihaaz se Aap Taabai huwe aur is imtiyazi wasf ne Hazrat ki Zaate garami ko Jumla Mashaikh ke Darmiyan Maufard aur Be missal bana diya.
Wisal Mubarak
Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangeer Simnani ne Tamam Aalam ki Sair o Siyahat 30 Saal tak farmayi aur Taqreeban Panch (500) Aulia Allah se Mulaqaat huwi.
1.     Hazrat Shaikh Alaudduala
2.     Hazrat Shaikh Kamal Uddin Abdur Razzaq Kashi
3.     Hazrat Khwaja Syed Banda Nawaz Gaisoo Daraz
4.     Hazrat Imam Yafai
5.     Hazrat Khawaja Bahauddin Nashband
6.     Hazrat Syed Jalal Uddin Bukhari
7.     Hazrat Khaleel Ataar
8.     Hazrat Meer Syed Ali Hamdani
9.     Hazrat Nimatallah Wali
10.Hazrat Meer Sadar e Jahan
11.Hazrat Khawaja Muhammad Parsa
12. Hazrat Shaikh Qawaamuddin CHishti Lucknowi
13. Harat Khawaja Ahmad Qutub Uddin Chisti
14.Hazrat Shaikh Badi Uddin Zinda Shah Madar
15.Hazrat Syed Jamal Uddin Khurd Sikandarpuri
16. Hazrat Shaikh Muhammad Qasim Multan
17. Hazrat Shaikh Abul Wafaa Khawarzmi
18. Hazrat Nooruddin Bin Asad Uddin
19. Hazrat Syed Ja'far Bahraichi
20. Hazrat Shaikh Salih SamarQandi
21.Hazrat Syed Meer Sadeedullah
22. Hazrat Syed Noorul Haque Pandavi
23. Hazrat Qazi Shahabuddin Daulat Abadi
24. Sahabi e Rasool Shaikh Abur Raza BaBa Ratan
25. Hazrat Najmuddin ibn Sahibe Hidaya
26. Hazrat Shaikh Safi Uddin Rudaulvi
27.Hazrat Burhan Uddin Muhammad Ibn Taqi
28. Hazrat Khawaja Hafiz Shirazi  (Ridwanullahi Ta'alaa Alaihim Ajmaeen)
(Ref: Syed Ashraf Jahangeer ki Ilm khidmat Hayat Gausul Aalam)
Taqreeban Panch so (500) Aulia Allah se Milna huwa aur Khawariq  Aadat  o Karamaat ka is qadr Zahoor huwa ki Arab o Azam Qadmon par Qurabaan hone lagaa aur Rooye Zameen Barkaat e Ashrafia se Sairab ho gyi Jiski Tafseel lataife Ashrafi me hai lihaza Shaiqeen uski taraf tawajjuh kren.
28 Muharramul Haram 808 Hizri ko Dargaah Kichhauchha Sharif me Bawaq e Asr Mahfile Shamaa me Muskuraate huwe Mahboobe Haqiqi se Ja mile.

Inna Lillah wa Inna Aliahi Razeoon

No comments:

Post a Comment