Huzoor Imam ul Awliya, Sarwar e Anbiya, Baais e Ijaad e Aalam, Fakhr e Maujudat, Mehboob e Rabbul Aalameen, Rahmat ul lil Aalameen, Shafi ul Muznibeen, Manba e Faiz e Anbiya Wa Mursaleen, Ma'dan e Uloom e Awwaleen Wa Aakireen, Waseeta e Par Fazl o Kamal, Mazhar e Par Husn o Jamaal Aur Khalifa e Mutlaq Wa Naaib e Kul Hazrat e Baari Ta'ala Jalla Jalaluhu Ke Hain.
Aap ﷺ Ka Nasab Shareef:
Huzoor
Syedna Muhammad ﷺ Bin Abdul Allah Bin
Abdul Muttalib Bin Hashim Bin Abdul Manaf Bin Qusai Bin Kilab Bin Murrah Bin
Kaab Bin Luwai Bin Ghalib Bin Fihr Bin Maalik Bin Nadhir Bin Kinanah Bin
Khuzaimah Bin Mudrikah Bin Ilyas Bin Mudar Bin Nizaar Bin Maad Bin Adnan Aur
Walida Maajida Ki Taraf Se Huzoor Ka Shajra Shareef Ye Hai: Hazrat
Muhammad ﷺ Bin Aaminah Bint Wahb Bin Abdul Manaf Bin
Zuhrah Bin Kilab Bin Murrah. (Sahih Al Bukhari)
Kunniyat:
Abu Al Qasim.
Walida Ka Naam: Aaminah Bint
Wahb.
Wiladat:
Baroz Dushanba 12/ Rabi ul Awwal Aam ul Feel.
Walid e Majid Ka
Inteqaal Wiladat Se Qabal Hi Bahalat e Safar Madina Munawwarah Mein Ho Chuka
Tha. Aap ﷺ Ki Kifalat Aap Ke Dada Abdul Muttalib Ne Ki
Aur Haleema Sa’diyah Ne Doodh Pilaya. Phir Jab Aap ﷺ Ki Umar Mubarak 6 Saal
Ki Hui To Aap Ki Walida Maajida Aap Ko Madina Aap Ke Nanhaal Le Gayi, Wapsi
Mein Ba Maqam Abwa Unka Inteqaal Hua Aur Aap ﷺ Ki Parwarish Umm e
Aiman Ke Supurd Hui. Jab Aap 8 Saal Ke Hue To Dada Ka Saya Bhi Sar Se Uth Gaya,
Kifalat Ka Zimma Aap Ke Chacha Janab e Abu Talib Ne Liya. 9 Saal Ki Umar Mein
Chacha Ke Saath Shaam Ka Safar Kiya. Aap ﷺ Yateem Paida Hue The
Aur Mahol Wa Muashra Sara But Parast Tha; Magar Aap Baghair Kisi Zaahiri Taleem
Wa Tarbiyat Ke Na Sirf Un Tamaam Aalaishon Se Paak Saaf Rahe; Balke Jismani
Taraqqi Ke Saath Saath Aqal Wa Fehm Aur Fazl o Kamal Mein Bhi Taraqqi Hoti
Gayi; Yahan Tak Ke Sab Ne Yaksa Wa Yak Zubaan Ho Kar Aap Ko Sadiq Wa Ameen Ka
Khitaab Diya. Bachpan Mein Chand Qiraat Par Ahl e Makkah Ki Bakriyan Bhi
Charayi; Aur 25 Saal Ki Umar Mein Shaam Ka Dosra Safar Hazrat Khadijatul
Kubra رضی اللہ عنہا Ki Tijarat Ke Silsile
Mein Kiya Aur Is Safar Se Wapsi Ke Do Maah Baad Hazrat Khadijatul Kubra رضی اللہ عنہا Se Aqd Hua. 35 Saal Ki
Umar Mein Quraish Ke Saath Tameer e Kaaba Mein Hissa Liya Aur Pathar Dhoiye,
Hajar e Aswad Ke Baare Mein Quraish Ke Uljhe Hue Jhagde Ka Hakeemana Faisla
Kiya Jis Par Sabhi Khush Ho Gaye. Baad Mein Aap Ko Khalwat Pasand Aayi; Chunanchah
Ghaar e Hira Mein Kai Kai Raatein Ibadat Mein Guzar Jaati Thi.
Ailan e Nabuwat Se
Pehle Aap ﷺ Sachay Khwab Dekhnay Lage, Khwab Mein Jo
Dekhte Wohi Hota. Jab Umar Mubarak 40 Ko Pahunchi To Allah Ta'ala Ne Aap Ko
Ailan e Nabuwat Ka Hukm Diya, Aap ﷺ Ghaar e Hira Mein The
Ke Jibreel علیہ السلام Surah Iqra Ki Ibtidaai
Ayatain Le Kar Naazil Hue. Us Ke Baad Kuch Muddat Tak Wahi Ki Aamad Band Rahi,
Phir Lagataar Aane Lagi. Wahi Asmani Aap Tak Pahunchane Ke Liye Jibreel e
Ameen علیہ السلام Ka Intikhab Hua Jin Ko
Hamesha Se Ambiya علیہم السلام Aur Baari Ta'ala Ke
Darmiyan Waseeta Ban ne Ka Sharaf Haasil Tha Aur Jin Ki Sharafat, Quwwat,
Azmat, Buland Manzilat Aur Amanat Ki Khud Allah Ne Gawahi Di Hai. Is
Wahi e Ilahi Ki Roshni Mein Aap ﷺ Ki Aisi Tarbiyat Hui
Ke Aap ﷺ Har Aitbaar Se Kaamil Ban Gaye. Aur Aap ﷺ Ki Zindagi Ka Har
Pehlu Ummat Ke Liye Ek Behtareen Uswah Hasanah Ban Kar Samnay Aaya. Ummat Ke
Har Fard Ke Liye Bil Khusoos Aam Logon Ke Liye Bhi Aap ﷺ Ki Hayaat Wa Zaat
Mubarakah Ek A'la Misaal Hai, Jise Wo Samne Rakh Kar Zindagi Ke Har Shobay Mein
Mukammal Rehnumai Haasil Kar Saktay Hain.
Pehla Daur: Teen Baras Tak
Huzoor ﷺ Poshida Tor Par Aur Raazdaari Ke Saath Da'wat
Wa Tableegh Ka Fareeza Ada Farmaate Rahe, Is Darmiyan Mein Sabse Pehle Ibtidaai
Da'wat Par Auraton Mein Hazrat Khadijatul Kubra رضی اللہ عنہا, Mardon Mein Hazrat
Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ, Bachon Mein Hazrat
Ali رضی اللہ عنہ, Azaad Shuda Ghulamon
Mein Hazrat Zaid Bin Harithah رضی اللہ عنہ Aur Ghulamon Mein
Hazrat Bilal رضی اللہ عنہ Sab Se Pehle Imaan
Laye, In Ke Baad Bohat Se Azaad Aur Ghulam Is Daulat Se Bahra Mand Hue. Sab Se
Pehle Islam Laanay Wale Jo Sabiqeen e Awwaleen Ke Laqab Se Sarfaraz Hue.
Dosra Daur: Teen Saal Ke Baad Is
Khufia Da'wat Se Musalmanon Ki Ek Jamaat Tayyar Ho Chuki Thi, Is Ke Baad Allah
Ta'ala Ne Aap ﷺ Par Surah Shoara Ki Ayat e Mubarakah Naazil
Farmaayi: Wa Andhir A'sheerataka Al Aqrabeen. Aap ﷺ Ko Alania Da'wat Wa
Tableegh Ka Hukm Hua Chunanchah Aap ﷺ Ne Koh e Safa Ki Choti
Par Khade Ho Kar Qabeela Quraish Ko Pukara. Jab Sab Quraish Jama Ho Gaye To
Aap ﷺ Ne Irshaad Farmaya Ke Tumhain Allah Ke Azaab
Se Darta Hoon Agar Imaan Nahi Lao Gay To Tum Par Azaab e Ilahi Utaray Ga.
Tamaam Qaum Ko Sirf Allah Ta'ala Ki Ibaadat Karne Aur But Parasti Chhodne Ki
Puri Quwwat Se Da'wat Di. Yeh Sun Kar Tamaam Quraish Jin Mein Aap Ke Chacha Abu
Lahab Bhi Maujood Tha, Sakht Naraaz Hue Aur Shan e Risalat Ka Inkaar
Kiya.
Teesra Daur: Ab Waqt Aagaya
Ke Ailan e Nabuwat Ke Chauthe Saal Surah Hijr Ki Ayat: Fasda' Bima Tu'maru Wa
A'ridh Anil Mushrikeen Naazil Farmayi Aur Mehboob e Haq ﷺ Ko Yeh Hukm Farmaya Ke
Is Da'wat e Haq Ko Alaan e Aama Mein Bayan Farmaiye. Jab Aap Arlaniya Taur
Par Deem e Mubeen Ki Dawaat Farmane Lage. Shirk o But Parasti Ki Khullam
Khulla Burayi Farmayi. Tamaam Quraish, Ahl e Makkah, Tamaam Kuffar o Mushrikeen
Aap Ki Mukhalifat Me Jama Ho Gye Aur Ezaa Rasaniyon Ka Aek Taulani Silsila
Shuru Ho Gya. Kuffar e Makkah Khandan Banu Hashim Ke Inteqam Aur Ladai Bharak
Uthne Ke Khauf Se Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ko Qatal Karne Ki
Himmat To Na Kar Sake, Magar Tarah Tarah Ki Takaleef Aur Eza Rasaniyon Se Aap
Par Zulm O Sitam Ke Pahaad Todne Lage. Har Kocha O Bazaar Mein Propaganda Shuru
Kar Diya Kuffar Mushrikeen Ne Aap Par Aur Islam Qabool Karne Wale Musalmanon
Par Itne Mazalim Dhaye Ke Jin Ke Tasavvur Se Rooh Kanp Uthti Hai. Kuffar O
Mushrikeen Is Baat Par Musir The Ke Musalmanon Ko Itna Tang Karo Ke Wo Islam Ko
Chor Kar Phir Shirk O Kufr Mein Mubtala Ho Jayen. Isliye Qatal Karne Ke Bajaye
Har Tarah Ke Zulm O Sitam, Sazaon, Aur Eza Rasaniyon Aur Jaansooz Azaabon Ke
Sath Sataate The. Magar Khuda Ki Qasam! Mahboob e Khuda Ne Unhein Sharab e
Tauheed Ke Wo Jaam Pila Rakhe The Ke In Farzandaan e Tauheed Ne Istiqlal,
Istiqamat Ka Wo Manzar Paish Kar Diya Ke Pahadon Ki Chotiyaan Sar Utha Kar
Hairat Se In Bala Kashaane Islam Ke Jazba, Quwat e Imani Ke Sath Istiqamat Ka
Nazarah Karti Rahin. Be Rehm, Sangdil, Darinda Sifat Kafiron Ne In Ghareeb, Be
Kas Musalmanon Par Jabro Karah Zulm O Sitam Ka Koi Daqeeqa Baqi Na Chhoda Magar
Ek Bhi Musalman Ke Paaye Istiqlal Mein Tazalzul Nahin Aaya.
Ailan e Nabuwat Ke Saatwen Saal Kuffar e Makkah Ne Jab Dekha Ke Islam Roz Baroz
Phailta Ja Raha Hai To Ghaiz O Ghazab Mein Aapay Se Bahar Ho Gaye. Huzoor
Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Khandan Ke Sath Mukammal Social Boycott
Kar Diya Gaya Aur Quraish Ne Banu Hashim Aur Banu Abdul Muttalib Ke Khilaf Ek
Muaahida Par Dastakhat Kiye Ke Jab Tak Ye Log Aanhazrat Sallallahu Alaihi Wa
Aalihi Wasallam Ko Hamare Hawalay Nahin Karte, Us Waqt Tak In Se Har Qisam Ka
Muqata'a Kiya Jayega. Iske Natije Mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Apne Khandan Aur Chacha Abu Talib Ke Sath Shaib e Abu Talib Mein Teen Saal
Mehsoor Rahe. Teen Saal Ka Zamana Itna Sakht Aur Kathin Tha Ke Sangdil Aur
Zalim Kuffar Ne Har Taraf Pehra Bitha Diya Tha Ke Kahin Se Bhi Ghaati Ke Andar
Khanay Peenay Ka Samaan Jane Na Paye. Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Aalihi
Wasallam Aur Khandan e Banu Hashim In Hosh Ruba Masaaib Ko Jheeltay
Rahe.
Muaahida Ki Dastawaizat
Ko Deemak Ne Kha Liya. Hazrat Abu Talib Ne Logon Ko Aagah Kiya Ke Mera Bhatija
Kehta Hai, Muaahida Ki Dastawaizat Ko Deemak Kha Gayi Hai, Jahan Khuda Ka Naam
Likha Hua Tha Wo Hissa Bach Gaya Hai. Ye Sun Kar Mut'im Bin Adi Kaaba Ke Andar
Gaya Aur Dastawaiz Utaar Laaya. Waqai Bajuz Allah Ke Naam Ke Saari Dastawaiz
Keeron Ne Kha Li Thi. Iske Baad Ye Muhasra Khatam Hua. Mansur Bin Akrama Jisne
Ye Dastawaiz Likhi Thi, Us Par Qahr e Ilahi Toot Pada Aur Uska Haath Shal Ho
Kar Naakara Ho Gaya.
Isi Saal Aap Sallallahu
Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Chacha Abu Talib Shaib e Abu Talib Se Nikal Kar
Ghar Jab Aaye To Hazrat Abu Talib Shadeed Illat Ke Baad Intiqal Kar Gaye.
Chacha Abu Talib Ki Wafat Ke Baad Aap Bohat Maghmoom Rehne Lage Aur Aap
Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ki Ghamgusar Zaujah Mutahhara Hazrat
Khadijah Al Kubra Razi Allah Anha Ki Wafat Hui. Abhi Abu Talib Ke Intiqal Ka
Zakhm Taaza Tha Ke Makkah Mein Abu Talib Ke Baad Jis Hasti Ne Rahmat e Aalam
Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ki Nusrat Aur Himayat Mein Tan, Man, Dhan
Sab Kuch Luta Diya Wo Hazrat Khadijah Thi. Jab Duniya Mein Aap Ka Koi Mukhlis O
Ghamkhwar Nahin Tha, Ye Dono Hastiyaan Aap Ke Sath Jan Nisaar Aur Madadgar
Rahi. Ab Dono Is Duniya Mein Na Rahe. Aap Ke Qalb e Mubarak Par Itna Sadma
Guzra Ke Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ne Is Saal Ka Naam Aam ul
Huzn Rakh Diya. Quraish Ki Eza Rasani Aur Barh Gayi. Aap Sallallahu Alaihi Wa
Aalihi Wasallam Ahl e Taaif Ki Tableegh Ke Liye Tashreef Le Gaye, Unhone Ek Bhi
Na Suni Balki Ulta Dar Paay Eza Hue. Isliye Ye Saal Aam ul Huzn (Gham Ka Saal)
Kahlata Hai.
11 Nabuwat: Isi Saal Aap
Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ko Mairaj Hui. Panj Gana Namaz Farz Hui.
Aanhazrat Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ne Hajj Ke Mauqe Par Arab Ke
Mukhtalif Qabail Ko Dawat Di. Chunancha Madina Ke Qabeela Khazraj Ke 6 Aadmi
Musalman Hue.
12 Nabuwat: Is Saal Aws Aur Khazraj Ke 12 Afraad Ne
Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Se Bait Ki. Ye Bait Aqaba Oola Kehlati
Hai.
13 Nabuwat: Is Saal Madina
Ke 70 Mardon Aur 20 Aurton Ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Se Bait
Ki. Ye Bait Aqaba Saniya Kehlati Hai.
Madina Mein Islam Ki Roshni Ghar Ghar
Phail Chuki Thi. Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ne Sahaba Kiram
Alaihimur Rizwan Ko Hijrat e Madina Ka Hukm Farmaaya. Quraish Ko Pata Chala To
Unhon Ne Dar ul Nadwa Mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ko Qatal
Karne Ka Napak Mansooba Banaya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke
Ghar Ka Muhasra Karliya. Allah Ta’ala Ne Unka Ye Mansooba Khaak Mein Mila Diya.
Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ko Hijrat Ka Hukm Hua. Aap Sallallahu
Alaihi Wa Aalihi Wasallam Kafiron Ke Ghere Se Ba Itminan Nikle Aur Hazrat Abu
Bakr Razi Allah Anhu Ke Ghar Pahunche, Un Ko Sath Le Kar Ghaar e Thawr Tashreef
Le Gaye. Yahan 3 Din Rahe, Phir Hijrat Farmaayi Aur Madina Ki Nawahi Basti Quba
Pahunche. Yahan Se Islam Ka Ek Naya Daur Shuru Hota Hai. Quba Mein 14 Din Qayam
Raha, Wahan Ek Masjid Banayi. Wahan Se Madina Tayyiba Muntaqil Huye. Hazrat Abu
Ayyub Ansari Razi Allah Anhu Ke Ghar Qayam Farmaaya. Masjid e Nabwi Sallallahu
Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ki Tameer Farmaayi, Azaan Shuru Hui Aur Jihad Ka Hukm
Hua.
Huzoor Sallallahu
Alaihi Wa Aalihi Wasallam Aur Aap Ke Ashab Apna Sab Kuch Makka Mein Chor Kar Be
Sar o Samani Ki Haalat Mein Madina Aaye Thay. Is Par Bhi Kuffar e Makka Raazi
Na Huye. Madina Mein Bhi Sukh Ka Sans Na Lene Diya. Ahl e Madina Ke Bhi Jaan Ke
Dushman Ho Gaye. Ab Tak Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ko Allah Ki
Taraf Se Ye Hukm Tha Ke Logon Ko Islam Ki Dawat Dijiye Aur Kuffar O Mushrikeen
Ki Ezaaon Par Sabr O Tahammul, Bardasht Ka Hukm Tha. Isi Liye Musalmanon Par
Kuffar Ne Baday Baday Pahaad Tod Diye Magar Musalmanon Ne Kabhi Apne Difa Mein
Hathiyar Nahin Uthaya. Lekin Hijrat Ke Baad Jab Kuffar O Mushrikeen Musalmanon
Ke Jani Dushman Ho Gaye Aur Unka Jeena Doobhar Kar Diya, Ab Rab e Zuljalal Ne
Musalmanon Ko Ye Ijazat Di Ke Jo Log Tum Se Jung Ki Ibtida Karo Tum Bhi Unse
Lar Sakte Ho.
Allah Ta’ala Ne Zameen O Aasman (Ya’ni Nizaam
e Aalam) Ko Jis Haalat Par Paida Kiya Tha, Zamana Apne Halaat O Waqiyaat Ka
Daira Mukammal Karne Ke Baad Phir Us Maqam Par Dobara Aagaya Hai. Goya Zuban e
Nabuwat Is Amr Ka Ailan Farma Rahi Thi Ke Nizaam e Aalam Ke Ek Daur Ka Khatma Ho
Chuka Hai Aur Aaj Se Doosre Daur Ka Aaghaz Ho Raha Hai Aur Dunya e Insaniyat Ko
Nizaam e Aalam Ke Naye Daur Ke Aaghaz Par Khutba Hujjat ul Wida Ke Zariye
Bilkhusoos Aur Apni Taleemat O Hidayaat Ke Zariye Bil Umoom Naya Aalmi Nizaam
Ataa Kar Raha Hoon. Zaroori Tha Ke Is Mauqe Par Aap Pichlay Nizaam Aur Iske
Jahilana Umoor Ko Mansookh Karne Ka Ailan Bhi Farmate, So Irshaad
Farmaaya: “Khabardar! Jahiliyat Ka Saara (Zalimana Aur Istehsali) Nizaam
Mein Ne Apne Paon Se Rond Dala Hai Aur Aaj Se Nizaam e Jahiliyat Ke Saare Khoon
(Qisas, Deeyat Aur Intiqam) Kaladim Qarar Diye Jate Hain Aur Aaj Se Nizaam e
Jahiliyat Ke Saare Soodi Len Den Bhi Khatam Kiye Jate Hain.”
In Do Ailanat Ke Baad Is Amr Mein Kisi Shak Ki Koi Gunjaish Baqi Nahin Rehti Ke
Khutba Hujjat ul Wida Fil Haqiqat Ek Naye Nizaam Ka Ailan Tha. Huzoor Ke
Farmaeen Se Ye Amr Wazeh Hai Ke Islam Deen e Aman, Mohabbat Aur Rahmat Hai. Aap
Ne Hujjat ul Wida Ke Mauqe Par Irshaad Farmaaya: “Allah Ta’ala Ne Tum Par
Tumhare Khoon, Tumhare Maal Aur Tumhari Aabruyein Haraam Kar Di Hain Aur In
Cheezon Ko Aisi Izzat Bakhshi Hai Jo Izzat Tumhare Is Sheher Mein, Is Mahine
Mein, Is Din Ko Haasil Hai. Kya Mein Ne Paigham e Haq Pohncha Nahi
Diya?” Sabhi Ne Baik Zubaan Jawaban Arz Kiya, “Ji Haan, Zaroor!” Is
Wazehiyat Ke Baad Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ne Sab Haazireen Ko
Talqeen Farmaayi:
“Suno! Jo Log Yahan Maujood Hain, Unhein
Chahiye Ke Ye Ahkaam Aur Ye Baatein Un Logon Tak Pohncha Dein Jo Yahan Is Waqt
Maujood Nahin Hain. Ho Sakta Hai Ke Koi Jo Yahan Maujood Nahin, Tum Se Zyada
Samajhne Aur Mehfooz Rakhne Wala Ho.”
Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ne Apni Hayat e Tayyiba Ke Aakhri
Aur Numayan Mauqe Par Aalam e Insaniyat Ko Paigham e Aman Diya Aur Is Amr Ki
Pabandi Par Zor Diya Ke Apne Amal O Kirdar Se Qayam e Aman Ko Har Satah Par
Mumkin Banayein. Muashray Ko Puraaman Banane Ke Liye Farogh O Iblagh Ka
Mujassam Ban Jayein. Ye Ek Haqiqat Hai, Aaj Karah e Arzi Ko Aman O Aman Ka
Markaz Banane Ke Liye Mustafa Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Aata
Kardah Manshoor Se Zyada Mo’asar Aur Jame’ Zabta Kahin Aur Dastiyab Nahin.
Hijrat Ke Gyarhween
Saal 12 Rabi ul Awwal Baroz Peer Bmutabiq 12 June 632 Aiswi Ko 63 Saal Ki Umar
Mein Aap ﷺ Ka Wisaal Zahiri
Hogaya Aur Hazrat Syedatuna Aisha Siddiqa Razi Allah Ta’ala Anha Ke Hujray
(Ghar) Mein Tadfeen Hui.
(Ref:Seerat Syed ul Anbiya, Seerat Mustafa/Seerat
un Nabi ﷺ /Haadi e Aalam ﷺ Wa Deegar Kutub Se
Makhoz).
No comments:
Post a Comment