Rajabul Murajjab ki 22 tarikh ko Musalmaan Hazrate syyiduna Imam
jafar Sadique Radi Allahu Anh ke Isaale sawaab ke liye kheer, puriyaa'n pakate
hain jinhain Konday Sharif kahaa jata hai. Iske na jaiz ya gunaah hone ki koi
wajah nahi, haan Baa'z auraten kondon ke niyaaz ke mauqe par "Das
Bibi ki Kahani"lakadhaare Ki Kahani"
wagairah padti hain yah jaiz nahi hai kyunki yeh dono'n aur janaabe syyidah ki
kahani sab man ghharat hain inko naa padaa Karen, iske bajaaye Quraan Sharif,
Durood Sharif, Kalimah Shafir wagairah ya sirf surah Yaseen Sharif pad liya
kren ki das Quraan Khatm karne ka swab milegaa. Yah bhi yaad rahe ki konday hi
me kheer khana, Khilana Zaroori nahi dosre bartan me bhi khaa aur khilaa sakte
hain aur isko ghhar se bahar bhi le ja sakte hain.
(Kaan ki waapsi Page No. 15)
KONDEY Ki Haqeeqat # 01
Har AHL E AQIDAT
Maah e RAJAB Me
MATTI Ke New Bartan Me
Poori, Kheer Ya Halwa Wagera
Karte Hen
Aur Usey IMAM JAFFER radiyALLAHu anhu
Ki Niyaz Ka Naam Dete Hen
Specially
22 Rajab Ko Khilatey Hen
Ye Kondey Kehlatey Hen
Jo Esaal e Sawab K Lye Hota He Aur Ye Jaaiz He
Cont...
KONDEY Ki Haqeeqat # 02
Ye ESAAL E SAWAB Ki Ek Shaakh He Jo Ke Jaaiz Aur Mubaah Hi Nahi Balke Mustahab Amar He
Jis Ka Inkaar Mahaz
JIHAALAT o ENAAD He
Kyun Ke ESAAL E SAWAB
QURAN o SUNNAT Aur AEMMA e KIRAAM Ke AQWAL
Se Na Sirf Saabit He Balke Mashaik e Karaam Ka Is Par Amal Bhi Raha He
Cont...
KONDEY Ki Haqeeqat # 03
Q.Kya Esaale Sawab Jaaiz He?
A.Hazrat Saad Ne Arz Ki SARKAR Meri Maa Ka Inteqal Hogaya
To Konsa Sadqa Afzal He?
Farmaya PAANI Ka!
Unho Ne KuNWA[Well] Khdwaya Or Kaha Ye Saad Ki Maa Ka He
(Abu Daud J1 P#236)
(Musnad e Ahmed J5 P#275)
Behiqee Snan Kubra J4 P#185
Cont...
KONDEY Ki Haqeeqat # 04
Q.Kya Hamara Esaal e Sawab Puhanchta He?
A.
ALLAH Jannat Me Kisi Bandey Ke Darjaat Buland Karega To Wo Arz Karega,
Aye ALLAH Ye Darja Kese Buland Hua?
ALLAH Farmaye Ga Ke Tere Betey Na Tery Lye Istigfar Kya
(Adab ul Mufrid P#30)
(Ibn e Maja 268)
(Tibrani Osat J5 P#349)
Cont...
KONDEY Ki Haqeeqat # 05
Q.Kin Ulama Ne KONDEY Ko Jaaiz Likha?
1.Sadru Sharia Molana Amjad Ali
2.Muhaddis e Azam Pakistan Molana Sardar Ahmed
3.Hakeem ul Ummat Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi
(Kondey Ki Fazeelat)
4.Molana Abdul Mustafa Aazmi(Jannati Zewar P#389)
5.Mufti Khalil Khan Qadri
W Deegar
Cont...
KONDEY Ki Haqeeqat # 06
Q.Kya Kondey FARZ Hen?
A.
KONDEY Karna FARZ ya WAJIB To Nhe Lekin MUSTAHAB Amal Zarur He
Karne Wala Sawaab Paaye Ga Lekin Na Karne Par Gunaah Nhe
Magar Jo Isey Haraam Kehte Hen Wo Ek Naik Amal Se Roktey Hen
Unhe Chahye Ke Apna QIBLA Durust Karlen, ALLAH Hidayat Dey
Cont...
KONDEY Ki Haqeeqat # 07
Q.Imam Jaffer Ka Wisal 15 Rajab Ko Hua To Phir 22 Rajab Ko Kondey Kyun..?
A.Esaal e Sawab Ke Lye Usi Din Hona Ye Shart Nahi
Balke Mahine, Saal Ya Zindagi Me Jab Chahen Kar Sakte Hen,
Aur Aam Mushahida He K AHLESUNNAT 22 RAJAB Ko Hi Nhe Balke Poore Saal Ehtmaam Karte Hn
Cont..
KONDEY Ki Haqeeqat # 08
Q.RAJAB Ki 22 Ko Ameer Muawya Radiyallahu anhu ka Wisal Hua, Is Lye RAAFZI (Shia) Khushi Me Sheerni Pakatey Hen,
To Is Surat may 22 Rajab Ko Niyaz Taqseem Karna Kesa..?
A.
Shari'at Ka Usool He Ke
K Kisi Achey Amal Ko Bad Mazhab Apna Len To Is Waja Se Usey Tark Nhe Kya Jaaye Ga Balke Koi Aisa Imtyaz Karna Hoga Jis Se Faraq Zaahir Ho
Jesey 10 Muharram Ka Roza Yahodi Rakhtey To Sarkar Ne 9 ya 11 Ke Roze Ki Talqin Bi Farmayi
Cont..
KONDEY Ki Haqeeqat # 09
Q.SUNNI Aur SHIYA
Ke KONDO Me Farq Kya He?
A.Darasal Shiya Khaas 22 Rajab Hi Ko KONDEY Banate Hen
Aur SUNNI To Saara Mahina Hi Banatay Hen
Aur Sub Se Bara Fark NIYAT He
K SUNNI
IMAM JAFFER Ko Esaal e Sawab Karte Hen Jab Ke Shiya
HAZRAT MUAWYA K Bugz Me Aisa Karte Hen
Cont...
KONDEY Ki Haqeeqat # 10
Aamaal Ka Dar O Madaar Niyyato Par He (Bukhari)
Jo KONDEY Esaal e Sawab K Lye Karey Us K Lye JAZAA
Aur Jo Bugz Me Kare Usey SAZAA
Agar Koi Shetani Wasawis Ka Shikaar Hokar 22 Ke Kondon Ko Rafziyo Se Mushabihat Kahe Aur Usey Na Jaaiz Samjey To Wo Kisi Aur Din Hi Karley
Cont..
KONDEY Ki Haqeeqat # 11
Q.Kya NIYAZ Jaaiz He?
A.Quran o Hadis Me Kahi Niyaz Ki Mumaniat Nhe
Balke Quran Me Irshad:
"To Khao Us Me Se Jis Pr ALLAH Ka Name Lya Gaya,
Agar Tum Uski Aayaten Mantey Ho"
(Al-In'am V#118)
Yaani Jis Pr ALLAH Ka Name Zikar Kya Gaya
Jese NIYAZ Pr FATIHA K Waqt Quran Parha
Cont..
KONDEY Ki Haqeeqat # 12
HALAAL Cheezen Na Khaney Walo Ko Tambeeh!!
'Aur Tumhe Kya Hua He K Is Me Se Na Khao Jis Par ALLAH Ka Name Lya Gaya
Halaan Ke Wo Tum Par Tafseel Se BAYAN Kar Chuka He Jo Is Ne Tum Par HARAAM Farmaya'
(Al-In'aam V#119)
Aur Niyaz Par Jo FATIHA Dete Hen Wo Qur'an Se Hi He
Cont...
KONDEY Ki Haqeeqat # 13
Q.Halaal Khane Ko Haram Kehna Kesa?
A.
Aur ALLAH Ne Unhe Jo Rozi Di, Wo Usey Haraam Thehratey Hen ALLAH Pr Jhoot Bandhte Hue, BeShak Wo GUMRAH Hue
(Al-An'aam V#140)
Agar FATIHA Di Aur Khana Haraam Hua To
Phir To Har Khaana Haraam Hua Ke BISMILLAH To
Parhi Hi Jaati He
Cont...
KONDEY Ki Haqeeqat # 14
Rasheed Gangohi Deobndi K Nazdik Isaal e Sawab Ki Niyat Se Kondey Jaiz
Fatawa Rashidya P183
Ji?
Ya To Kondey Na Jaiz
Ya Gangohi... :)
KONDEY Ki Haqeeqat # 15
Q.Hum Kondey (Kheer Poori) Ki Niyaz Kyun Karte Hen?
Halwa Khana Meethe Aaqa Alahissalatuwassalam Ki
SUNNAT Par Amal He
(Bukhari 2/718)
"NABI Halwey Aur Shehad Ko Mehboob Rakhtey"
"Ghee Ka Gundha Hua
PARATHA (Puri) Sarkar Ko Pasand..."
(Ibne Maaja)
"Musalman Ko MEETHA LUQMA
Khilane Par Hashr Ki Takleef Se MEHFOOZ..."
(Sharahus Sudoor)
Malum Hua Ke MEETHA Luqma Sarkar Ko Pasand
To UMMATI Hone Ke Natey Hame Bi Pasand Hona Chahye
KONDEY Ki Haqeeqat # 16
Pichli Ki Janey Wali Baaton Se Malum Hua K
Kondey Jaaiz Bulke
Kaar e Sawab Hen
Lekin Jo Is Din AMEER Muawiya (RadiyALLAHu Anhu) Se Dushmani Ki Wajah Se KONDEY Karey To Wo Sun Ley,
"Jis Ne Anbiya Ko SUB (Gaali Di) Baka, Wo QATAL Kya Jaye Ga Aur Jis Ne Mere SAHABA Ko SUB (Gaali Di) Baka Usey Korey Lagaen Jayen"
(Jamiul Sagheer J2 P173)
(Fatahul Kabeer J3 P196)
Jo Bugz RakheyWo Apney Anjaam Ka Intezar Karey!
gosht kha kar kondey ki niyaz ka khana nahi kha sakta kya ye sahi hai?
ReplyDeleteGhost Khane Ya na Khane se Konde ka koi taluk nai..Agar Ghost halal hai allah ke naam se Ziba hua hai.. to Kabhi bhi kha sakte..Hatta ke Konde ke din bhi..App Konde mein Hallal Ghost bhi Bana sakte
Deletekondey ki niyaz me khana khila kar haath bahar dhoney nahi dete balki ek bartan me haath dhula kar wo paani ku khadda khod kar dafan kiya jata hai kya ye sahi hai?
ReplyDeleteYeh Galat Rivayat hai..Hum konde ka Khana kahi bhi bahar apne padosi ya kisi rishtedaar ko bhi de sakte..Yeh Rivayat galat hai.. To inse parez kare..Haath bhi bahar dho sakte.. aur Khana bhi bahar le ja sakte..jaise koi hi aur Fatiha Khani par hota hai
Deletekondey ki niyaz me safra banaya jata hai jaha kondey me poori kheer aur fruits rakhe jaate hain. is safre ki haqeeqat kya hai?
ReplyDeleteآپ سوالوں کا جواب
ReplyDeleteیہ سب کام من گھڑت ہیں جیسے نذر و نیاز کھاتے ہیں اور کھلاتے ہیں باالکل اسی طرح کریں
Kunde ki kahani batade
ReplyDelete