Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 14

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Yazeed Ko Paleed Likhna Jaiz hai
"Yazid Beshak Paleed Tha, Isey Paleed Likhna Aur Kehna
Jaiz Hai au ise Rehmatullahi Alaih Na Kahegaa magar Naasbi ki Ahle Bait Risalat ka Dushman hai.
(Fatawa Razawiya 14/603)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Hinduon ke Mele me Shirkat
Kuffar ke Mailon Maslan Dashara Wagiarah dekhne ke liye jana Mulaqan Najaiz hai Agar inka Mazhabi melaa hai jis me woh Apne Mazhabi Nuqna  Nazar se Kufr o Shirk karenge, Kufr ki Awaaz se Chillayenge to Zahir hai aesi surat me Jana Sakht Haram hai Agar Yahi Mazhabi Melaa nahi lawh o La'ab (Khel Kood) ka hai Jab bhi Naa mumkin o Mukarat o Qabaa'ah se Khali ho aur Mukaraat ka Tamasha Banana Jaiz nhi.                         (Irfan e Shariat 1/27)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Moonchein Lambi karna
"Moonchein Itni Barhana Ke Mun Me Aayen, Haraam o Sakht Gunaah Aur Mushrikon Ki Mushabihat Hai".
(Ahkaam e Shariat V2)
Note: Hazrat Allama Muhammad Shahzad Turabi Qadri ki Kitab "Bidaat ke Khilaaf 100 Fatwe" ka Zaroor Muta'alaa kren.
Baarga Khudawandi me Duaa hai ki  ham sakbo Shariat o Sunnat Par Amal karne aur Dosron Tak Haq Baat Pahuchane ki Taufeeq de. Is Choti se Risal me kahin koi Galati Qasdan ya Sahwan ho gyi ho Ay Hamare Rab hamain Muaaf kar de aur iska Swaab Kul Momin wal Mominaat ke Arwah me Pahuchaa.
اللھم اغفرلی ولکل مومن ومومنہ
SHAJRAH E Qadria Barkatia Razvia Nooria
Bismillah hir rahman nir raheem
Ya  Ilahi Rahem  Farma Mustafa   Ke   Waaste
Ya Rasoolallah Karam Ki’jiye Khuda Ke Waaste.
Mushkile Hal kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waaste
Kar  Balaa-e-Rad  Shaheede  Karbala Ke Waaste
Sayyid-e-Sajjaad Ke Sadqe me Saajid Rakh Mujhe
I’lm-e-Haq de Baaqir-e-I’lm -e- Huda  Ke Waaste
Sidqe  Saadiq  Ka  Tasadduq   Saadiqul  Islam   Kar
Be Ghazab Raazi ho  Kaazim aur Raza Ke  Waaste
Bahre  Ma’roof wa  Sirri  Ma’roof de  Be’khud   Sirri
 Jund-e-Haq me Ghin Junaid-e-Baa Safa Ke Waaste
       Behre Shibli Shere Haq  Duniya Ke Kutto Se Bacha
                     Ek  ka Rakh  Abde-Waahid    Be Riya  Ke   Waaste
Bul Farah Ka Sadqa Kar Ghum ko Farha de Husn o Sa’ad
Bul   Hassan aur  Bu  Saeede  Sa’ad-e-zaa  Ke   Waaste
Qaadiri Kar Qaadiri Rakh  Qaadiriyo  me ut’ha
Qadre Abdul Qaadire Qudrat Numa Ke Waaste
Ahsanal laahu Lahu Rizqan se de Rizqe Hassan
Banda’e   Razzaaq   Taajul Asfiya   Ke  Waaste
Nasraabi Saaleh Ka Sadqa Saaleho Mansoor Rakh
De Hayaat-e-Deen Muhiy’ye Ja Fizaa Ke Waaste
Toor-e-Irfaan wa Uloo wa Hamd wa Husna wa Bahaa       De Ali Moosa  Hassan  Ahmad   Bahaa  Keh    Waaste
Bahr-e-Ibraheem Mujh Par Naar-e-Ghum Gulzaar Kar
Bheek De Daata  Bhekaari   Badshaaah   Ke   Waaste
Khana’e Dil ko Zia De Roo’e Imaan Ko Jamaal
Sheh Zia Maula Jamaalul Awliya  Ke  Waaste
  Deh Muhammad Keh Liye Rozi Kar Ahmad Keh Liye
  Khaane Fazlullahaaa  se  Hissah  Gadaa Ke Waaste
Deeno Duniya Ki Mujhe Barkaat de Barkaat se
Ishqe Haq de Ishqi-e-Ishq Intima  Keh  Waaste
Hubbe Ahle Bait  de  Aale  Muhammad  Ke  Liye
Kar Shaheede Ishqe Hamza Peshwa Ke Waaste
  Dil Ko Ach’cha Tann Ko   Sutra Jaan Ko Pur  noor Kar
  Achchhe Pyaare Shamsuddeen Badrul Ulaa Ke Waaste
Do Jahan me Khaadime Aale Rasoolullah  Kar
Hazrat e Aale Rasool e Muqtadaa Ke Waaste
   Noor-e-Jaan wa Noor-e-Imaan Noor-e-Qabro Hashr De
   Bul  Husain-e   Ahmad   e   Noori   Liqaa     Ke   Waaste
Kar ‘Ata Ahmad Raza eh Ahmade Mursal Mujhe
       Mere Maula Hazrat e Ahmad  Raza  Ke Waaste
Sadqa in A'ayan ka de Chhe Aen Ezz, ilm o Amal
Afw  o  irfaan  Aafiyat  is  be  nawaa ke waste

امین بجاہ حبیبہ الکریم صلی اللہ علیہ وعلی الہ واصحابہ وازواجہ وسلم

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 13

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Zalzalaa Kyun Aata hai ?
"Zalzala Aane Ka Asli Baais Aadmiyon Ke Gunah Hen Aur Paida Yun Hota He Ke Ek Pahar Tamam Zamin Ko Muheet He, Iske Raishey Zamin Ke Andar Sab Jaga Pheley Hue Hen Jese Barey Darakht Ki Jaren Door Tak Andar Anadar Phelti Hen, Jis Zamin Par MuazALLAH Zalzaley Ka Hukum Hota He, Pahar Us Jaga Ke Raishey Ko Junbish Deta He Aur Zamin Hilne Lagti He".       (Fatawa Razawiya 27/93)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Kya Ghaus Paak Pahle Hambali the ???
"Ghous e Paak Hamesha Se Hambli They. Jab Mansab e Ijtehad Hasil Hua Aur Mazhab e Hanbal Kamzor Hota Dekh Kar Uskey Mutabiq Fatwa Dya K Huzur Mohiuddin Aur Deen e Mateen Ke Ye Charon Sutoon Hen, Jis Sutoon Me Zouf Dekha, Taqwiyat Farmayi".    (Fatawa Razawiya 2/433)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Tash aur Shatrang ka Khelna
"Taash o Shatranj Donu Na Jaiz Hain Aur Taash Zyada Gunah o Haraam Ke Is Me Tasaweer Bhi Hain".
                                 
(Fatawa Razawiya 24/113)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Anbya e Karaam Ke Fuzlaat e Sharifa
       "Anbya e Karaam Ke Na Sirf Fuzlaat e Sharifa (Jism Se Kharij Hone Wale Zaayed Maaddey Misl e Boul o Baraz Wagera) Paak Bulke Inke Waldain Kareemain Ke Wo Nutfey Bi Paak Hen Jin Se Ye Hazraat Paida Hue"
 (Shifa Sharif V1 Page 168)
 (Zurqani V1 Page 194)
 (Malfuzat Page 456)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Payinche Takhne Se Niche Rakhna
"Payinche Takhne Se Niche Rakhna Bhi Makrooh e Tanzihi Hai Yani sirt Khilaf e Ulaa Jabki Ba niyyate Takabbur Na ho".                 (Fatawa Razawiya 27/93)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Aek se Ziyadah Angothi Pahanna
       "Mard Ko Anguthi Sirf Chandi, Ek Nag, 4.5 Masha Se Km Wazan Ki, Ek Waqt Me Ek Pehana Jaiz He"
(Ahkam e Shariat 2/30)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Sadat e Karam ko Zakat dena
"Zakaat Saadaat e Karaam w Saa'ir Bani Hashim Par Haraam e Qat'ai Hai Jis Par Ijmaa Hai"
 (Meezan ul Kubra 2/13)       
(Fatawa Razawiya 10/99)
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Sheikhen ka Gustakh
"Sheikhen (Abubakr o Umer) Ka Gustakh Mutlaqan Kafir Hai" "Siddiqu e Akbar Ki Sahabiat Ka Munkir Kafir He"
(Durr e Mukhtar 1/83)
"Inki Khilafat Ka Munkir Kafir Aur Maula Ali RadiAllahu Anh Ko Sab Se Afzal Janne Wala Gumrah Hai".
(Khazana tul Muftin 1/28)

(Fatawa Razawiya 14/250)

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 11

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Maale Haram
"Maal e Haraam Qabil e Qubool Nahi, Na Isey Raah e Khuda me Sarf Karna Rawaa, Na Is Par Sawab Hai Balki Naraa Wabaal hai".              (Fatawa Razawiya 21/105)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Maahe Safar ke Ayyam
"Aksar Log Safar Ki Kuch Makhsus Taarikhon Jaise 03,13,23 Ya 08,18,28 wagairah Tawrikh aur  Panjshanba, EkShanbah o Chahaar Shanba Me Shaadi Wagera Nahi Kartey, Ye Sab Batil o Be Asal He". (Fatawa Razawiya 23/272)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Akhri Budh ki Sharai Haisiyat
"Safar Ki Aakhri Budh Ki Koi Asal Nahi Na Is Din Huzoor () Ki Sehat Yaabi Ka Koi Suboot He".
(Fatawa Razawiya 10/117)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Yazeed Paleed le liye Maghfirat ke Namaz Be Asl hai
"Imam Zainul Abdin RadiAllahu Anh Ne Yazid Paleed Ko Magfirat K Liye Koi Namaz Nahi Batayi, Ye Riwayat Be Asal Hai".                                     (Fatawa Razawiya 10/117)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Ghause Azam aur Malikul Maut
Hazrat Ghaus e Azam RadiAllah Anh ka Malikul Maut se Zanbeel (Thaila) Chheen lene wala Waqia Khurafa e Jahaal se hai, Syedne Ezrail Alahissalam Malaika se hain aur Rasul Malaika Auliya e Bashar se Bil Ijmaa Afzal hain to Musalmano ko Aesi Abateel Wahiya se Ahtaraaz lazim hai.
(Fatawa Razawiya 28/ 419

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Roza Mushkil Kushaa ke Naam ka
Roza Khas Allah ke liye hai Agar Allah Ta'ala ka Roza rakhen aur iska Swaab Maulaa Ali RaziAllahu Anh ki Nazr Karen to Harj nahi Magar is me yah karti hain ki Roza Aadhi Raat tak Rakhti hain, Sham ko Iftar Nhi karti, Aadhi Raat ke baad Ghaar ka Kiwad ( Darwaza) khol kar kuch Mangti hain Us waqt Roza iftar karti hain Yeh Shaitani Rashm hai.
(Fatawa Razviya 4/66)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Daarhi Mundwane Wala Shakhs Faasiq
"Daarhi Mundwane Aur Katarwane Wala Shakhs Faasiq e Mo'lin He, Usko Imam Banana Gunaah He"
                                         (Ahkaam e Shariat 2/321)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Kala Khizab Haram hai  
Khizaab e Siyaah ya is ki misl Haram hai
(Ash'atul lam'aat jild 3 Page 409)
من خضب باالسواد سود اللہ وجھہ یوم القیمۃ
Jo siyah Khizaab karegaa Allah Ta'aalaRoze Qiyamat uska munh kaala karegaa.
(Majma'al' Zawaid hadis 8814 jild 5 page 293)
الصفرۃ خضاب المومن والحمرۃ خضاب المسلم والسواد خضاب الکافر
Zard Khizaab Momin Ka Hai Aur Surkh Muslim Ka Aur Siyah Kafir Ka.  
(Majma'al' Zawaid Hadis 8815 Jild 5 Page 293)
ان اللہ یبغض الشیخ  الغریب
Allah Dusman rakh ta hai Buddhe kawwe ko
(Kanz Al Ummal Hadis 17331 jild 6 page 284)
اول من اختضب  بالسواد فرعون
Sab se pahle jis me siyah (Black) khizaab kiya firuon tha.
        (Firdause Al Akhbar delaimi Hadis 47 jild 1 page 35)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Gaiso/Lambe Baal Rahkhna
Shanon tak gaiso jaiz hain balki sunnat se sabit hain aur shaanon se niche baal karna auraton se khas aur mard ko haram hai.                                    (Ahkam Shariat)


Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Khade Hokar Khana Khana
"Dawato Me Log Khare Hokar Khate Hen. Huzur Ne Beth Kar Aur Jootey Utaar Kar Khane Ka Hukum Dya"
(Fatawa Africa Page38)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Khade Hokar Pishab karna
"Huzoor Sallallahu Alaihi w Sallam Ne Farmaya!
Be Adabi Aur Bad Tehzibi He Ke Admi Kharey Hokar Peshab Karey".                                (Fatawa Africa Page 09-10)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Qabron Par Joota Pahan kar Chalna
Imam Ahmed Raza Khan Alaihirrahma Ne Joota Pehan Kr Qabron Par Chalne Ko Ahl e Quboor Ki Touheen Qarar Dya.
(Fatawa Razawiya 4/107)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Bijli kya cheez hai ???

"ALLAH Ne Badalon Ke Chalane Ke Lye Ek Farishta Muqarrar Kya He, Jiska Name Ra'ad He, Uska Qadd Buhat Chota He, Uske Haath Me Ek Buhat Bara Koraa He, Jab Wo Koraa Badal Ko Maarta He Uski Tari Se Aag Jharti He Uska Name BIJLI He."                    (Fatawa Razawiya 27/23)