Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Aur Radd e Bid'at Qist. 05

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Urs Ka Din Muqarrar Karne Me Maslihat
"Auliya Ki Arwah e Tayyiba Ko Unke Wisal Ke Din Quboor e Karima Ki Taraf Tawajju Zyada Hoti He, Chuna Chey Wo Waqt Jo Khaas Wisaal Ka He, Akhaz e Barakat Ke Liye Zyada Munasib Hota Hai". (Malfuzat Sharif Page 383)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Urs Me Aatish Baazi aur Niaz Ka Khana Lutana
"Aatish Baazi Israaf Hai Aur Israaf Haraam He, Khane Ka Aise Lutana Be Adabi Aur Be Adabi Mehrumi He, Maal Ka Israf He. Roshni Agar Masaliha e Shariya Se Khali Ho To Wo Bi Israaf He".                      (Fatawa Razawiya 24/112)
"Randiyo Ka Naach Be Shak Haraam Hai, Urson Me Be Qaid Jaahilo Ne Ye Maasiyat Phelayi He"
(Fatawa Razawiya 29/92)
       "Agar Wajd Saadiq (Sacha) Aur Haal Gaaib Aur Aqal Mastoor Aur Is Aalam Se Door He To Is Par To Qalam Hi Jaari Nhe, Agar Ba Takalluf Krta He To Haraam, Riya Ke Lye He To Jahannam Ka Mustahiq Aur Saadiqeen Ke Sath Tashbih Ki Niyyat He To Hasan He"
(Al-Malfuzat Page 231)

Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Sajda ALLAH K Siwa Kisi K Liye Nahi
Gairullah Ko Sajda e Ibadat Shirk Aur Tazimi Haraam".
(Azzubdatu zZakiyya... Page 5)
       "Qabro Ki Taraf Shama Lejana Bid'at Or Maal Ka Ziyaa Hai" Aage Kuch Soorton Me Jaiz Likha.
(AlBareequl Manaar... Page 9)
       "Farzi Mazaar Banana Aur Uske Sath Asal Ka Sa Muamla Karna Na Jaaiz Aur Bid'at He".
(Fatawa Razawiya 9/425)
Masjid ke Naam se Chanda Usool kar ke khana Jana wala Jahannam ke Mustahiq hai aur Aek Masjid ka Lota (Bartan) dosre Masjid me le jane ki mumaniyat hai Muslamano ko Dono (Masjid) ko banana aur Abad kar na farz hai.
(Al Malfooz 1/117)  
Aala Hazrat Aur Radde Bid'aat
Qabrustan me joota pahan kar jaanaa
Hadis Sharif No. 01: Talwaar ki dhaar par paauon rakhnaa mujhe is se aasan hai ki muslamano ke qabr par paauon rakhon.
(Kanz Al Umaal Jild 15 Page 276 Hadis 42563)
Hadis Sharif No. 02: Agar main angare par paauon rakhon yahan tak ki woh joote ka talaa mod (Pighlakar) kar mere talwe tak pahuch jaye to yah mujhe is se zyadah pasand hai ki kisi musalman ki qabr par paauon rakhon.
(Ibn e Majjah 1567 jil 2 page 250)
(Al malfooz 2/268)
Apne murdon ko buzugron ke paas dafn karo ki in ki barkat ke sabab un azaab nhi kiya jata hai
ھم القوم لا یشقی بھم جلیسھم
Woh woh log hain ki in kaa ham nasheen bhi bad baakht nahi hota
ادفنوا موتا وسط قوم صالحین
Apne murdoon ko nekiyon ke darmiyan dafn karo
(Kanz Al umaal Hadis 42364 jild 15 Page 254)
(Al malfooz 2/270)
Marne ke baad Masnooi Daat nikal lena chahiye agar koi takleef na ho aur is ke toote huwe dant (Teeth) kafan me rakh diye jayen.

                                                (Al Malfooz 3/358)

No comments:

Post a Comment