Hazrat Syed Abdur Razzaq
Noorulain
Sahabe Sajjada Syed Ashraf
Jahageer Simnani
RadiAllah Anh
Syed Ashraf Jahangeer Simnani ne Zindagi
Tajarrud me Guzari isliye Aapke Salaasil Nasbi aur Bait Aap ke Farzind e Man'wi
aur Khaleefa e Barhaq Hazrat Syed Abdurrazzaque Noorul Ain Radillahu Anh se
Chalte hain. Hazrat Syed Abdurrazzaque Noorul Ain Radillahu Anh Hazrat Ghausul
Aazam Syeduna Shaikh Abdul Qadir Jilani Hasani Husain RadiAllahu Anh ki Aulaad
me se hain. Hazrat Noorul Ain ke waliden ne unhain Bachpan hi me Syed Ashraf
Jahangir simnani ke supurd kar diya tha aur Irshad farmaya "inki Aulaad
meri Aulaad hai" Yahi Wajah hai ki Aaj bhi Hazrat Noorul Ain Ki Aulaad
Syed Ashraf Jahangir Simnani ki Aulaad kahlaati hai.
Shajra e Nasab
Huzoor Muhammad Mustafa Sallallahualaihiwasallam
Syedatuna Fatematuz Zahra Radiyallahuanha
Imam Hassan Mujtaba Radiyallahuanhu
Syeduna Hasanul Mussana Radiyallahuanhu
Syeduna Abdullah Mahaz Radiyallahuanhu
Syeduna Musa Joon Radiyallahuanhu
Syeduna Abdullah Saani Radiyallahuanhu
Syedna Musa Saani Radiyallahuanhu
Syedna Daud Radiyallahuanhu
Syedna Syed Muhammad Radiyallahuanhu
Syedna Yahya Zahid Radiyallahuanhu
Syeduna Abdullahil Jeeli Radiyallahuanhu
Syeduna Abu Saaleh Musa Jangi Dost Radiyallahuanhu
Mahboobus Subhani Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiyallahuanhu
Syedna Abu Bakrin Tajuddeen Abdur Razzaq Radiyallahuanhu
Syeduna Abu Saaleh Imaduddeen Radiyallahuanhu
Syeduna Abu Nasr Muhammad Radiyallahuanhu
Syeduna Saifuddeen Yahya Hamaviyu Radiyallahuanhu
Syeduna Shamsudeen Jeeli Radiyallahuanhu
Syeduna Alauddeen Ali Radiyallahuanhu
Syedna Badruddeen Hassan Radiyallahuanhu
Syedna Abul Abbas Ahmad Radiyallahuanhu
Syedna Abdul Gafur Jeeli Radiyallahuanhu
Syeduna Syed Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahuanhu
Note: Sadate Kichauchha Sharif Ka Nasab Hazrat Syed Abdur Razzaq Noor Ul Aain
Se Milta Hai.
(Ref: Shajra Silsila Aalia Qadira Ashrafia)
Aulad e Ghause
Azam
Sayyedna Makhdoom Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahu
Anhu Aulad E Gous E Aazam Hai:
1. Qutb E Rabbani Gous E Samdani Sultan Mira Mohyuddin Shaikh Abdul Qadir
Jilani Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…
2. Hazrat Sayyedna Taajuddin Abdur Razzaq Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…
3. Hazrat Sayyed Abu Swaleh Nasr Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…
4. Hazrat Sayyed Abu Nasr Mohammad Jilani Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…
5. Hazrat Sayyed Zahiruddin Ahmed Jilani Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…
6. Hazrat Sayyed Saifuddin Yahya Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke
Shehzade…
7. Hazrat Sayyed Shamshuddin Mohammad Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke
Shehzade…
8. Hazrat Sayyed Alauddin Ali Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu….
Aapke Shehzade…
9. Hazrat Sayyed Badruddin Hasan Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke
Shehzade…
10. Hazrat Sayyed Abul Abbas Ahmed Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke
Shehzade…
11. Hazrat Sayyed Abdul Gafoor Hasan Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke
Shehzade…
12. Hazrat Sayyed Abdur Razzaq Noorul Ain Jilani Ashrafi Radiyallahu Anhu…
(Ref: Shajra Silsila Aalia Qadira Ashrafia)
Aala Hazrat Farmate Hain …
“Teri Nasl e Paak Me He Bachcha Bachcha
Noor Ka
Tu He Aine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka”
Alaaul Haque Alaihirrahma Ki Pashangoi
Hazrat Makhdoom Ala-Ul-Haq Pandvi Ganj E
Nabaat Alayhirrahmahto Wa Ridwaan Ne Kamal E Basharat Ke Saath Apne Murid E
Khas Hazrat Mehboob-E-Yazdani Se Irshad Farmaya Ki.
Saiyyed (Syed Makhdoom ashraf Jahangir
Simnani) Mubarak Ho Tumhare Farzand E Dini Ke Liye Baargaah E Parwardigar Me
Khwahish Kee Hai Ke Tumhare Waste Farzand Sar-E-Halqa-E-Silsila Aur Tumhare
Khandan Ka Peshwah Ho Aur Tumhara Naam Zamane Me Is Farzand Se Roushan Ho. Aur
Woh Farzand Tumhare Khandan Ka Hoga !!!
Khwaja Naqshband Alaihirrahma
Se Mulaqat
Hazrat Mahboob E Yazdani Awwal Safar
Mein Iraq Se Sahabzadh Noor Ul Aain Ko Saath Liye Shaher Bukhara Mein Tashreef
Laaye Aur Khwaja Naqshband Rahmatullahe Ta'ala Se Mulaqat Hui Toh Aapne Puchha,
Baccha Kaun Hai? Hazrat Mahboob E Yazdani Ne Arz Kiya Ke Mera Farzand Hai Aur
Maine Inko Apni Farzandi Mein Qubool Kiya Hai Yeh Ladka Aoulade Gaus Ul Saqlain
Se hai.
(Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No., 65)
Taleem o Tarbiyat
Mahboob Yazdani Syed Ashraf Jahangeer
Simnani ne inki Taleem o tarbiyat par khusosi tawwajah di aur aksar uloom o
funoon khud unhain padhaay Khusoosan Ilm e Tasawwuf o tariqat ki taleem di aur
apni suh'bat e Ba faiz se mustafeez farmaya. Syed Ashraf Jahangeer simanani
Maktoobate Ashrafi Me farmate hain ki…
"Silsila Noor Bakhshiya me sattar
(70) Ashkas ne is durwesh se Aek Saal me Quraan Paak ka Hifz kiya jin me bandah
Abdurrazzaque Noorul Ain ne bhi Aek saal ke dauraan Makhdoom Khidmat me Quraan
Paak ko Qirat e Saba'a ke sath Hifz kiya Is ke baad Uloom e Sharaiya o Usool e
Faraiyaa ko Hasil kiya.
(Ref: Lataife Ashrafi Part 3 By Nizam Yamani)
Isse Pata chalaa ki Syed Abdurrazzaque
Noorul Aen Al Hasani Al- Hussain Hafize Quraan bhi the aur aap ne Ghausul
Aalam Mahboobe Yazdani Syed Ashraf
Jahangir Simnani ki Zer e Nigraani Quraan Paak Saba'a qira'at se Hifz kiya iske
baad deegar Uloom o funoon hasil kiye.
Khidmat e Peer o
Murshid
Jaame Lataif E Ashraf (Hazrat Nizam
Yamani Rahmatullah Alaih) Qareeb tees (30) Saal Safar Aur Hazar Me Haazir E
Khidmat Rahe Us Muddat Mein Kabhi Yaad Nahin Ki Hazrat Makhdoom Ashraf Ne Koi
Hukm Farmaya Ho Aur Hazrat Syed Abdur Razzaq Noorulain Ke Siwa Dusre Ne
Uski Baja Aawri Mein Sabqat Ki Ho.
(Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.172)
Noorul Ain"
Khitaab Ki Wajah
Syed Abdurraque Noorul Ain ke Kyi Alqaab
the. "Noorul Ain, Qurratul Ain, Shaikhul Islam, Makhdoomul Aafaque
wagairah lekin inme "Noorul Ain" hi Mash'hoor huwe.
Ek Martaba Hazrat Makhoom Sayyed Ashraf
Jahaangir Simnani Radiyallahu Anhu Ke Saamne Buzurg Zaadgi Ka Zikr Aaya To
Aapne Farmaya…. "Buzurgzaade Buzurg Logo Ke Tarike Par Kam Paaye Jaate Hai
Aur Mai Aesa Buzurgzaada Rakhta Hu Ke Wo Buzurgzaada Hi Nahi Balke Uska Kaam
Buzurg Paida Karna Hai. "
"Aur Log Aulad Ko Pusht Se Paida
Karte Hai Aur Maine To Noorul Ain Ko Aankho Se Paida Kiya Hai." Aur Ek
She'ar Hazrat Makhdum Paak Radiyallahu Anhu Ki Zabaan Mubarak Se Nikla Jiska
Tarjuma Ye Hai Ki…
"Maine Apni
Aankho Ke Noor Se Kya Noor Dekha Hai Jo Meri Aankho Ka Noor Ban Gaya."
Us Din se Aapka
Khitaab "Noorul Ain" Ho Gaya."
(Ref. Tazkira Hazrat
Makhdoom Ashraf Simnani)
Shaikhul-Islam Ka
Laqab
Hazrat Syed Abdurrazzaque ka Aek Laqab
"Shaikhul Isalm" bhi hai jo apne waqt ke Jaleelul Qadr Buzurg Hazrat
Shaikh Qaseen Quddus sirrah ne Aap ko Ataa farmaya tha Hazrat Shaikh Qaseem
Turkistan ke Mashaikh me se the aur Tariqat me buland Maqaam rakhte the Apki
Ruhani Azmat o shan ka andaza is se lagaya ja sakta hai ki Hazrat Bahauddin
Naqshaband aur syed Ashraf Jahangir Simnani jaise Shahbaaz e Tariqat ne un se
faiz hasil kiya. Syed Ashraf jahangeer farmate hain "jab Farzind Syed Abdurrazzaque NoorulAin ko lekar Hazrat
Qaseem ki Khidmat me hazir huwa to unhone Hasb o Nasb ke bare me Daryaft kya
maine Arz kiya ki Saadat zel se hain aur Hazrat Ghause Azam Shaikh Abdul Qadir
Jilani RadiAllah Anh ke Aulad se hain maine unhain apna farzind bana liya hai
aur sab hi mashaikh ne inko qubool kiya hai Farmaya ki hamne bhi Qubool kiya ki
Tumhara Farzind Hamara farzind hai Haq ta'alaa se ham ne duaa ki hai ki yah apne zamane ke Shaikhul
Islam hoon In Sha Allah.
(Ref: lataife Ashrafi Jild 2)
Noorul Ain Ki
Shadi Aur Aulad
Jab Syed Ashraf Jahangeer Simnani Syed
Abdur Razzaq Noorul Ain ki Zahir o Batini Tarbiyat farma chuke aur unhain uloom
o funoon se Arasta farma diya to aap unki Shadi Ki fikr huwi chunanche Aapne
Hindustan ke Sadaat ke Gharano me Unke Liye talaash shuro ki aur un khawadon
kee Nasb ki Tahqeeq bhi aap ke paas pahle se hi Sadaat ke Shajre the kyunki Aap
ne Aek kitab "Ashraful Ansaab" ke Naam se Tahreer ki thi. Jis me
Hindustan ke Rahne Wale tamam Sadaat ke Shajron ki tahqeeq kit hi isliye aapko
dushwari nhi huwi aur Aap ne Aek Sahihun Nasab Syed Gharane me Noorul Aen ki
Shadi kar di. Syed Abdurazzaque Ke Panch Sahibzede huwe. Unke Naam Yeh Hain:
1. Hazrat Sayyed Shamshuddin,
2. Hazrat Sayyed Hasan,
3. Hazrat Sayyed Hussain,
4. Hazrat Sayyed Farid,
5. Hazrat Sayyed Ahmed (Radiyallahu Anhum)."
Yeh Panchon Shahibzade Ilm o Fazl aur
Taqwa o Parhezgaari me Apni Misal Aap the kyuki Inki Tarbiyat Do Azeem Hastiyon
yani Syed Ashraf Jahangir Simnani aur Syed NoorulAin ki Zere Nigrani huwi thi.
Jab tarbiyat karne wale aese hoon to phir tarbiyat pane walo ke Maqaam ka
Andaza koun kar sakta hai.
Jis Waqt Hazrat Sayyedna Makhdoom Sayyed
Ashraf (Radiyallahu Anhu) Ne "NoorulAin Apna Sajjaadanashin Banaaya To
Aapse Ye Bhi Farmaya ki Apne Farzando Ko Bhi Khilaafat Va Sajjadagi Se Sarfaraz
Karna."
Hazrat
Sayed Shah Hasan Qattal (Radiyallahu Anhu) Ko Hazrat Sayyedna Abdurrazzaq
"Noorul Ain"(Radiyallahu Anhu) Ne "Apna Sajjadanashin Banaaya
Aur Aaj Bhi Aapke Aulad o Amjaad Me Aastana-E-Aaliya Ki Sajjadagi Qaayam
Hai."
Mahboobe Yazdani
Ki Duaa
Noorul Aen ke
Aulad ke Haque me
Ek Martaba Gousul Aalam Hazrat Sayyedna
Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani Radiyallahu Anhu Ne Hazrat Sayyedna Abdur
Razzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Se Farmaya Ki…
“Mene Apne Aap Ko Tum Par Mukammal
Nisaar Kar Diya Aur Tumse Koi Dareg Na Ki Aur Tumhari Aulad Ke Haq Me Allah
Ta’ala Se Ye Bhi Darkhwast Ki He Ke Hamesha Maqbool O Mas’ood Rahe”
“Aur Tumhari Aulad Ke Har Tabqe Me Ek
Rijaalul Gaib Aur Majzoob Hoga Aur Ek Aisa Shakhs Hoga Jiske Andar Meri Haalat
Utar Aaegi”
Hazrat Sayyedna Sarkar Makhdoom Paak
Radiyallahu Anhu Ne Farmaya Ke “Buzurgo Ko Roohe Unki Aulad Ke Sath Rehti He”
(Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani)
Mazeed aapn Hazrat NoorulAin Se Farmaya Ki…“Mene
Tumhari Aulad Ko Khazana E Ilahiya Me Sharik Kiya Hai Aur Haq Ta’ala Se
Darkhwast Ki Hai Ki Agar Abdur Razzaq Ki Aulad Qaane’a Ho Yaani Duniya Se Be
Ragbat Ho To Unko Kisi Ka Mohtaj Na Karna. Adna Si Tavajjoh Se Unke Kaam Ban
Jaaenge”
Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom
Ashraf Jahangir Simani Radiyallahu Anhu Ne Farmaya Ke “Farzanadane Noorul Ain
Azizul Vujud Honge. Main Hayaat o Mamaat Me Unke Sath Hoon Uske Baad Aapne Ye
Do Sh'er Padhe” (Jiska Tarjuma Ye He)
“Jo
Shakhs Aulia Ko Murda Samajhta He Wo Khud Murda He. Aulia Zinda Hai. Ashraf
Zinda He, Murda Nahi. Jaha Se Use Pukaroge Pahonch Jaaege”
(Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani)
Hazrat Abdur Razzaq Noor Ul Aain Farmate
Hain Ke Ek Roz Hazrat Mahboob-E-Yazdani Par Ajeeb Kaifiyat Taari Thi Saathiyo
Se. Basharat Aamez Baaten Farma Rahe They Ussi Dauran Meri Taraf
Tawajoh Ki Aur Dekhte Rahe Phir Basharat Ke Saath Farmaya: Maine Apna Sab Kuchh
Tum Par Nisaar Kar Diya Hai Koi Juzw Tum Se Bacha Kar Nahin Rakkha Aur Tumhare
Farzando'n Ke Liye
Haq Ta'ala Se Darkhwast Ki Hai Ke Hamesha Mas'ood Wa Maqbool Rahen Aur Yeh Ke
Un Mein Har Tabqe Mein Ek Rijalul Gaib Mein Se Aur Ek Majzub Hoga.
(Lataaif-E-Ashrafi Jild 7 Safa No.177)
Mahboob E Yazdani Gaus Ul Aalam Sultan
Syed Makhdoom Ashraf Jahangeer Ne Farmaya Ke Hum Ne Abdur Razzaq Aur Uski
Aulad Ko Khazana E Ilaahi Se Mila Diya Hai Agar Iski Aulad Qana'at Ikhtiyaar
Karegi Toh Hum Ne Baargahe Haq Mein Dua Ki Hai Ke Khabhi Kisi Ke Mohtaj Na
Honge.
(Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.175)
Makhdoom Paak Ne Noorul Aain Ke Haath
Mubarak Ko Pakad Kar Farmaya Ke Baba Haji Abdur Razzaq Hum Ko Apne Se Juda
Na Jaano.
(Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.202)
Lataife Ashrafi ki Ebaaraton se Pata
chalta hai ki Syed Ashraf Jahangeer Simnani ne Syed Abdur Razzaq NoorulAin aur
Unki Aulad ke Bare me Bahut Sari Bisharaten di aur Unke Haq me Duayen Farmayin
dar Haqiqat yeh unki Duaon hi ka Nateeja
hai ki Aulad NoorulAin ki Aulad me se Aese Jayyed Aur Kibar Sufiya Paida
huwe Jinhone Apne Ilm o Amal Taqwa o Parhez gaari aur Ruhaniyet ki wajah se
duniya me Naam paida kiya aur Ilmi o Deeni Khidmat Anjam diye In Shaksiyaton
me:
Mahboobe Rabbani Ala Hazrat Ali Husain Ashrafi Miyan
RadiAllahAnh
Raisul Mutakallameen Hazrat Syed Ahmad Ashraf Alaihirrahma
Muhaddise Azam Hind Syed Muhammad Ashraf Alaihirrahma
Qubbe Rabbani Syed Muhammad Tahir Ashraf Alaihirrahma
Ameer e Millat Hazrat Syed Amir Ashraf Ashraf Alaihirrahma
Mujahide Dauran Allama Syed Muzaffar Hussain Ashraf Alaihirrahma
Sarkar e Kalan Syed Mukhtar Ashraf Alaihirrahma
Ashraful Ulama Syed Muhamad Hamid Ashraf Alaihirrahma
Shaikhe Azam Syed Muhammad Izhar Ashraf Alaihirrahma
Hakeem e Millat Syed Qutubuddin Ashraf Alaihirrahma
Baba e Millat Syed Tanveer Ashraf
Ashrafiyul Jilani Alaihirrahma wagairah Ke Asma Qabil Zikr hain Jinki Ilmiyat o
Rohani aur Tableegi Khidmaat ko Dekh kar Andaza Hota hai ki Syed Ashraf
Jahangeer Simnani Ki Duaayen NoorulAin ki Aulaad ke Bare me Kis Tarah Puri Huwi
aur Unka Asar Aaj bhi Unki Aulaad me Baqi hai aur In Sha Allah Qiyamat tak Baqi
rahegaa.
Mera Dushman
Hazrat Mehboob-E-Yazdani Farmaya.
Buzurg'zade Buzirgon Ke Tariqe Per Kam
Paaye Jaate Hain Aur Mai Aysa Buzurg'zada Rakhta Ki Buzurg'zada Nahi Balke Uska
Kaam Buzurg Payda Karne Ka Hai Aur Log Aoulad Ko Apni Pusht Se Payda
Karte Hain Maine Noor-Ul-Ayn Ko Apni Aankhon Se Payda Kiya Hai Baa-Wajud Yeh Ki
Karabat Ki Nisbaten Rakhta Hoon mazeed Aap Farmate hain ki "Jo Hamare
Farzindon ka Dost hai woh Hamara Dost aur Jo hamare Farzindon ka Dushman woh
hamara Dusman aur Jo Hamara dushman woh Jumlaa Khandane Chisht aur Doodman e
Ahle Bahisht ka Dushman hai".
(Lataif E Asharafi Jild 3)
Wisal Mubarak
Syed Abdur Razzaque Noorul Ain ne 7
Zilhajje 872 Hijri me wisal faramya. Mutabar Riwayat se pata chalta hai ki Syed
Abdur Razzaq Noorul Ain ne Apni Zindagi hi main Apne Sahibzadgaan ko tabarruk
aur Mukhtalif Ilaqoon ki Wilaayat ataa farma dee thi aur unke liye Maqaam
tajweez kar diye the taki who apne apne maqaam pr rahte huwe tableeg e deen ka
farizaaa adaa kar saken chunanche Bade Sahibzaade Syed Sha Hasan ko Apna Jaan
Nasheen banaya aur wilayat Kichhauchha Ataaa ki dosre Sahibzaade Syed Sha
Hussain ko Wiladat e Jaun poor Ataa ki teesre Sahibzaade syed Sha Ahmad ko
Wiladat e Jais (Rae Bareily) Ataa ki aur Chote Sahibzaade Syed Shah Farid ko
Wiladat Bara Banki Ataa ki isi tarah aapne Taman Sahibzaadgaan ko Elaqe ataa
farmaye lekin Apna Jan Nasheen Syed Shah Hasan hi ko Banaya.
(Hayat Muhaddis e Azam Hind)
(Urs: - 7, Zilqa’ad, Mazar: -
Kichhouchha Sharif
Mazar Sharif: - Aapka Mazar Sharif Hazrat Makhdoom Paak (Radiyallahu Anhu) Ke
Gumbad Sharif Ke Andar Purab (East) Ki Jaanib
(Sahaaif E
Ashrafi/Part-2/Page Nk.54 to 61)
Aakhri Baat
Jo koi bhi es Po se Faidah Uthaye
Woh Mujh Faqeer e Jilan Gaday e Ashraf ke Husn Khatima ki Du'aa
kre Allah usy Jazaa e Khair de Ameeen.
وما توفیقی الا بااللہ علیہ توکلت و الیہ انیب
Faqeer e Jilan Gada
e Ashraf
Aale Rasool Ahmad Al- Ashrafi Al- Qadri
Kingdom of Saudi
Arabia
Books Related To:
Gaus Ul Alam Mehboob-E-Yazdani Hazrat Meer Auhaduddin Sultan
Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A.) Kichauccha Sharif.(U.P), India,
As Follows :-
1. ^ 'Hayate Syed Ashraf Jahangeer Simnani' By Syed Waheed
Ashraf Published In 1974, India.
2. ^ ‘'Muqaddema-E- Latāif-E-Ashrafi' Book In Persian, Published By Maharaja
Sayajirao University Of Baroda, Vadodara, Gujarat, India
3. ^ Akhbarul Akhyar' By Abdal Haqq Muhaddith Dehlwi [D.1052h-1642 Ce]. A Short
Biography Of The Prominent Sufis Of India Have Been Mentioned In This Book
Including That Of Hazrat Syed Ashraf Jahangeer Simnani.
4. ^ Sufi Martyrs Of Love: The Chishti Order In South Asia And Beyond By Ernst,
Carl W. And Lawrence, Bruce B., Publisher=Palgrave Macmillan, New York.
5. ^ ‘An Overview Of Sufi Literature In The Sultanate Period’ By Dr. Bruce B
Lawrence, Khuda Bakhsh Oriental Public
Library, Patna.
6. ^ 'Society and Culture in Medieval India 1206-1556 A.D By
Rashid, A. In 1969, Publisher Firma K. L. Mukhopadhyay.
7. ^ 'Lataife Ashrafi' By Ashraf Jahngir Simnani, Compiled By Nizam Yemeni,
Edited And Annotated By Syed Waheed Ashraf And Published In 2010, Publisher
Makhdoom Syed Ashraf Jahangir Academy,17 Kalyan Society, Outside Pani Gate,
Baroda-390019, Gujarat, India .
8. ^ 'Zikre Ashraf' By Maulana Syed Qadeer Ahmad Ashrafiul Jilani, Published
1974
9. ^ 'Historical Dictionary Of Sufism By John Renard, The Scare Crow Press,
Inc, 2005, Isbn 0-8108-5342-6 , Page 222
10. ^ Dictionary Of Indo Persian Literature By Nabi Hadi, Abhinav Publications,
New Delhi, 1995, Page 93
11. ^ Biographical Encyclopaedia Of Sufis: South Asia By N. Hanif, Sarup &
Sons, Newdelhi 2000, Page 28
12. ^ The Rise Of Islam And The Bengal Frontier, 1204-1760 By Richard Maxwell
Eaton, Univesity Of California Press, 1993, Page 71,
13. ^ The Throne Carrier Of God: The Life And Thought Of Ala'ad-Dawla As-Simani
By Elias J Jamal , State University Of Newyork Press, 1995.
14. ^ The Sufi Saints Of Indian Subcontinent By Zahurul Hasan Sharib, Munshi
Ram Manohar Publishers, India,2006, Page 144
15. ^ The Ruby In The Dust: Poetry And History Of The Indian Padmavat By Sufi
Poet
Muhammad Jayasi By Thomas De Bruijn, Aup - Leiden University Press, 2012.
15. ^ Ghausul Aalam by Muhaddis Azam Hind
16. ^ Syed Ashraf Jahangir Simnani Ke Ilmi o Adbi Khidmat
17. ^ Nufhatul Ins Page: 337-339, Khazeenatul Asfia Page:
531-532
18. ^ Sajra Aalia Qadri Chishtia Ashrafi
19. ^ Risala Ghousiya,
20. ^ Tahqeeqi Jaizah Page No. 04
21. ^ Tarikhe Mashaikh e Chist 216
22. ^ Seerat Fakhrul Aarefeen, 186
23. ^ Tazkira Hazrat
Makhdoom Ashraf Simnani