Fatiha Ka Tariqa

  Isaal E Sawab Kisi Yaani Quran E Muqaddas Ki Tilawat, Nafli Ibadat, Kalima Sharif, Zikr O Wazaif, Durood O Salam, Ya Nafli Namaz Ka Sawab, Ya Badni Ya Maali Ibadat Ka Sawab Dusro Ko Pahuchana ZAIJ Hai Aur Isiko Isaale E Sawab Ya “FATIHA” Ek Aam Jaban Me Kehte Hai. Isal E Sawab Karna MUSTAHAB Amal Hai Kiya To Sawab Nahi Karne Pe Gunaah Nahi Iska Munkir Gumraah Hai. Isaal E Sawab K Lafzi Maa’na HaiSAWAB PAHUCHANA Isko Sawab BakshnaBhi Kehte Hai Magar Buzurgo K Liye Sawab Bakshna Kehna Munasib Nahi SAWAB NAZR Karna Kahna Adab K Zyada Karib Hai.

Imam Ahmad Raza Aala Hazrat Alaihirrahmah Farmate Hain Ki Huzoor E Aqdas Khwaah Nabi Ya Wali Ko Sawab Bakshna Kehna Beadabi Hai Bakshna Bade Ki Taraf Se Chote Ko Hota Hai Balki Nazr Karna Ya Hadiya (Tohfa) Kahen. (Fatawa E Razviya Vol : 26, Pg : 609)
Qurani Ayat 01:

Aur Wo Jo Unke Baad Aaye Arz Karte Hai Aye Hamare Rab ! Hume Baksh De Aur Hamare Bhaiyo Ko Jo Hum Se Pehle Imaan Laaye Aur Hamare Imaan Waalo Ki Taraf Se Keena Na Rakh, Aye Rab Hamare ! Beshak To Hi Bahot Meharbaan Rahem Waala Hai. (Surah Al Hashr Ayat 10)

Qurani Ayat Ayat 02:

“Aye Hamare Rab Mujhe Baksh De Aur Mere Maa Baap Ko Aur Sab Musalmaan Ko Jis Din Hisab Kayam Hoga” (Surah Ibrahim Ayat 41)

Is Aayat Me Allah Ne Musalmano K Is Dua Ko Bataur E Tareef Bayan Farama Raha Jo Musalman Apne Guzre Huwe Musalman Bhaiyo K Liye Duwa E Bakshish O Magfirat Maag Rahe Hai Agar Wisal Karke Logo Ko Zindo Se Koi Nafa Na Pahuchta To Quran Hargeez Usko Bataur Tareef O Istehsan Bayan Na Karta Dua To Ek Shaks Ne Maanga Par Iska Faida Sabko Pahuch Khwah Wo Zindo Ho Ya Murda.

 Qurani Ayat Ayat 03:

Aur Un Ke Baad Aane Wale Arz Karte Hain: "Aye Hamare Rab! Humein Aur Hamare Un Bhaiyon Ko Bakhsh De Jo Hum Se Pehle Iman Laye."

Khaleefa E Huzoor Ala Hazrat Ashrafi Miyan Kichhauchhwai Hakeemul Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yar Khan Na'eemi (Rahmatullah Alaih) Farmate Hain Ki Yahan Se Do Mas'ale Maloom Huwe:

1.      Sirf Apne Liye Dua Na Kare, Buzurgo Ke Liye Bhi Kare.

2.   Buzurgan-E-Deen (Rahmatullah Alaihim Ajma'in), Khasosan Sahaba Karaam Wa Ahl E Bayt (Radi Allahu Anhum Ajma'in) Ke Urs, Khatam, Niyaz, Fateha Waghaira Ye Aala (Behtareen) Cheezen Hain Ke In Mein Un Buzurgo Ke Liye Dua Hai." (Tafsir Noor Al-Irfan, 28/873)

 Hadith Sharif 01:

Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Ne Farmaya: Jab Insan Mar Jaata Hai To Us Ke Aamaal Ka Silsila Khatm Ho Jaata Hai Siwaye Teen Cheezon Ke Un Ka Ajr Use Barabar Milta Rahta Hai.

1.      Ek Woh Saqda Jis Ka Nafa Zaari Rahe.

2.   Dusra Woh Elm Jis Se Faayda Uthaaya Jaaye.

3.    Teesra Woh Nek Awlaad Jo Us Ke Liye Duaa Kare.

References: : (Sahi Muslim Vol : 03, Kitab No 25 - Kitabul Wasaya, Pg : 1255, Hadith : 1631/ Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Kitab No 18 - Kitab Al Wasaya, Pg : 117, Hadith : 2880) / Imam Bukhari Ne Al Adab Ul Mufrad, Vol : 01, Pg : 28, Baab No 19 - Barril Walidain Baadl Mautameen, Hadith : 38)

Is Hadith Se Kuch Logo Ne Galat Istedlal Kiya Aur Isi Tarah K La Ilm Kaum E Wahabiya K Muballig Ne Hume Ye Hadith Bhej ke Kaha K Tum Log Kya Kya Khane Pine Ki Cheez Pe Isaal E Sawab Karte Ho Jabki. Hadith Me Sirf Ye 3 Amal Ka Zikr Hai Sadqa, Ilm Aur Aulad Ki Dua.

Maut K Baad Insaan Khud To Amal Nahi Kar Sakta Par Uske Badle Me Koi Agar Khud Amal Kare Aur Uska Sawab Us Faut Shuda Ko Nazr Kare To Sawab Us Tak Pahuchta Hai Ye Maana Hai. Uska Jawab Me Humne Jab Usko Bahot Si Wo Hadith Pesh Ki K Inke Elawa Bhi Chizo Se Isaal E Sawab Hota Hai To Wo Khamosh Hogaye Jo Hum Yaha Bhi Niche Pesh Kar Rahe Hai.

 Hadith Sharif 02:

Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua Tahira Radi Allaho Anha Se Rivayat Hai K Ek Shaks Nabi E Karim Kee Bargaah Me Haajir Huwa Aur Arz Kiya :

Meri Walida Achanak Faut Hogyi Hai Aur Mera Khayal Hai Ki Agar Wo (Bawakte Naz’a) Guftgoo Kar Sakti To Sadke (Kee Adaygi Ka Hukm) Karti, Agar Mein Us Kee Taraf Se Khairat Karoo’n To Kya Use Sawab Pahuchega ??

Nabi E Karim Ne Farmaya ‘Haan’

Reference : Sahi Bukhari Vol : 03, Kitab 55 - Kitabul Wasaya, Baab No 19 - Sadakat K Sawab Ka Shudagan Tak Pahuchne, Hadith : 2760 / Sahi Muslim Vol : 02, Kitab 12 : Al Zakat, Baab No 15 : Sadakat K Sawab Ka Shudagan Tak Pahuchna, Hadith : 1004/Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Kitab No 18 : Kitabul Wasaya, Baab No : 1068 Pg : 118, Hadith : 2881/Albani Ne Bhi Isko Sahi Likha Hai/Sunan Nasai, Vol : 06, Kitab No 30 : Kitabul Wasaya, Baab No : 07 Kisi Shaks Ki Maut Par Uske Ghar Waalo K Sadke Karne Ka Bayan, Pg : 250, Hadith : 3649/Imam Nasai Sunan Al Kubra, Vol 04, Pg : 109, Hadith - 6476)

Kuch Logo Ne Yaha Pe Bhi Ek Mantik Saamne Laaya Aur Kaha Yaha Puchne Waale Ko Shak Tha K Unki Walida Kuch Wasiyat Karti Jo Na Kar Saki Isliye Izazat Mili Hai Halanki Ye Fakat Khud Sakhta Soch Hai Hadith Ka Maana Nahi Hai Aur Ye Khayal Fakat Jahalat La Ilmi Aur Isaal Se Gumraah Karne Ka Rasta Hai. Chahe Wasiyat Ho Ya Na Ho Chahe Wasiyat Ka Gumaan Ho Na Ho Har Aitbaar Se Isaal Kiya Jaa Sakta Hai. Chunanche Shara E Sahi Muslim Imam Nawawi As Shafai Alaihirrahmah Is Hadith Ki Shara Me Likhte Hai “Is Hadith Se Saabit Hua K Agar Mayyat Ki Taraf Se Sadka Diya Jaaye To Mayyat Ko Iska Fayda Aur Sawab Pahuchta Hai Isi Par Ulema Ka Ittefak Hai”
Reference: (Al Minhaj Bi Shara E Sahi Muslim - Kitabuz Zakat, Baab : Wasail Sawab Sadkat, Vol : 01, Pg : 324,)

 Hadith Sharif 03:

Hazrat Abdullah Ibn Abbas RadiAllahu Anhu Se Rivayat Hai K Ki Kabeela Juhayna Kee Ek Khatoon Ne Huzoor Kee Bargaah Me Haajir Hokar Arz Kiya : Meri Walida Ne Haj Ki Mannat Maani Thi Lekin Wo Hajj Na Kar Saki Yaha Tak Ki Faut Ho Gayi. Kya Mai Unki Taraf Se Hajj Karo’on ?

Huzoor Ne Farmaya Ha’n Tum Uski Taraf Se Hajj Karo.Bhala Batao Kya Tumhari Walida Par Karz Hota To Kya Tum Ada Na Karti ?

Phir Allah TaAla Ka Haq Ada Karo Wo Zyada Haq Daar Hai K Uska Haq Ada Kiya Jaaye.”

References : (Sunan Nasai, Vol : 05,Kitab 24 Kitabul Hajj, Baab No 07 -Faut Shuda Logo K Badle Hajj Ka Bayan Jo Hajj Ki Mannat Rakhte The‏‏, Pg : 116, Hadith : 2632 /Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg : 322, Hadith : 3612/Imam Tabrani Al Muajamul Kabir, Vol : 12, Pg : 50, Hadith : 12443)
       Note : Imam Nasai Ne Sunan Nasai , Kitabul Hajj Me Is Tarah Ki Kaafi Rivayat Jama Ki Hai. Pata Chala K Faut Shuda K Haq Me Haj Bhi Kiya Jaa Sakta Hai.

 Hadith Sharif 04 :

Hazrat Abu Hurrairah RadiAllahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Kee Khidmat Me Ek Shakhs Ne Arz Kiya : Ya Rasool Allah ! Mera Baap Fawt Ho Gaya Hai Aur Us Ne Maal Chhoda Hai Aur Waseeyat Bhi Nahin Kee Agar Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Karoo’n To Kya Yah (Sadqa) Us Ke Gunaahon Ka Qaffara Ho Jaayega?

Aap Ne Farmaya : Haa’n.”

References : (Sahi Muslim Vol : 03, Pg : 1254, Kitab No 25 - Al Wasayiat, Baab No 02 - Sadakat K Sawab Ka Shudagan Tak Pahuchna, Hadith : 1630/Sunan Nasai, Vol : 06, Pg : 251, Kitab 30 Kitabul Wasaya, Baab No 02, Shudagan K Badle Sadkat Karne K Fazail, Hadith : 3625/Sunan Ibn Majah, Vol : 02, Pg : 206, Kitab No 22 - Kitab Al Wasaya, Hadith : 2716)

Hadith Sharif 05 :

Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Bargah-E-Risalat Me Arz Kiya : Ya Rasoolallah ! Meri Waalida Fawt Ho Chuki Hai Agar Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Doo’n To Kya Woh Use Koi Nafa Dega ?

Aap Ne Farmaya : Ha’n ! Us Ne Arz Kiya :Mere Paas Ek Baag(Garden) Hai Aap Gawaah Rahein Mein Ne Yah Baag Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Diya.”

References : (Sunan Tirmizi, Vol : 02, Pg : 56, Kitab Az Zakat, Baab No 33, Hadith : 669/Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 118, Kitab No 18 - Kitabal Wasaya, Hadith : 2882/Albani Ne Bhi Abu Dawood Ki Hadith Ko Sahi Kaha Hai /Sunan Nasai Vol : 06, Pg : 252, Kitab No 30 Kitab Al Wasaya, Baab No 07, Hadith : 3655/Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 04, Pg : 110, Hadith : 6482)

       Is Hadith E Paak Se Wajeh Hua K Yaha Na To Wasiyat Ka Gumaan Tha Na Hi Kuch Aur Sawal Karne Ne Waale Ne Fakat Bargaah E Risalat  Se Masla Ka Jawab Maanga Aur Mila. In Tamam Hadith E Paak Se Humne Wajeh Kiya K Sirf Sadqa,Ilm Aur Aulad Ki Dua Hi Nahi Balki Agar Fautshuda K Haq Me Hajj Kare To Bhi Kabool Hai,Yaha Tak K Unke Haq Me Baag(Garden) Bhi Sadka Kar Diya Ab Jab Jab Log Baag Se Nafa Uthate Honge Sawab Milta Rahega.

Huzoor Akram (Peace Be Upon Him) Farmate Hain Ki : Meri Ummat Gunan Samit Qabr Me Dakhil Hogi Aur Jab Nikle Gi To Be Gunaah Hogi Kyunki Woh Momin Ki Duaaaon Se Bakhsh Di Jati Hai. (Ref. Fatihar Aur Esal E Swaab Ka Tariqa Page No. 6)

 Isal e Swab / Fatiha Ka Faidah:

Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Meri Ummat Gunan Samit Qabr Me Dakhil Hogi Aur Jab Nikle Gi To Be Gunaah Hogi Kyunki Woh Momin Ki Duaaaon Se Bakhsh Di Jati Hai. (Ref. Fatihar Aur Esal E Swaab Ka Tariqa Page No. 6)

Jo Koi Tamam Momin Mardon Aur Auraton Ke Liye Dua E Maghfirat Karta Hai. Allah Ta'aala Uske Har Mard Aur Aurat Ke Ewaz (Badle) Aek Neki Likh Deta Hai.

Ay Hamare Rab! Meri Aur Har Momin Aur Momina Ke Maghfirat Farmaa. Ameeen. (Ref. Fatihar Aur Esal E Swaab Ka Tariqa Page No. 8)

Jo Ba Niyat E Sawaab Apne Waliden Dono Ya Aek Ki Qabr Ki Ziyarat Kare Hajje Maqbool Ke Barabar Sawaab Paye Aur Jo Ba Kasrat Unki Qabr Ki Ziyarat Karta Ho. Farishte Uski Qabr Ki (Yani Jab Yeh Faut Hoga) Ziyarat Ko Aayen. (Ref. Fatihar Aur Esal E Swaab Ka Tariqa Page No. 3)

Isal e Swab/ Fatiha Ka Tariqa:

Wazu Karne Ke Bad Qibla Roo (Kaba Shari Ke Traf Munh Kar Ke) Baith Jayen Jis Cheez Par Fatiha Dena Ho Usko Samne Rakh Le. Samne Rakhna Sirf Mubaah Aur Jaaiz Hai. Agar Woh Cheez Dhaki (Pack) Hai To Khol (Open Kar) Le Aur Looban Agarbatti Sulgaye (Agar Maujood Ho To) Fir 11 Bar Darood Sharif Padhkar Panj (Panch) Qurani Aayat Sharif Ki Tilawat Kare Ya Jitna Zyadah Ho Sake Tilawat Kre.

 11 Bar Durood Sharif: 

اَللّٰھم صَلِّ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَّ عَلیٰ آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلیٰ إِبْرَاهِيمَ وَ عَلیٰ آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ، اللّٰهُمَّ بَارِكَ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَ عَلیٰ آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلیٰ إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ

Allaahumma Salli 'Alaa Muhammadinw Wa 'Alaa 'Aali Muhammad; Kamaa Sallayta 'Alaa 'Ibraaheema Wa 'Alaa 'Aali 'Ibraaheem, 'Innaka Hameedum Majeed. Allaahumma Baarik 'Alaa Muhammadinw Wa 'Alaa 'Aali Muhammad; Kamaa Baarakta 'Alaa 'Ibraaheema Wa 'Alaa 'Aali 'Ibraaheem, 'Innaka Hameedum Majeed.

 Aayat Sharif:

لَقَدْ جَآءَكُمْ رَسُوْلٌ مِّنْ اَنْفُسِكُمْ عَزِیْزٌ عَلَیْهِ مَا عَنِتُّمْ حَرِیْصٌ عَلَیْكُمْ بِالْمُؤْمِنِیْنَ رَءُوْفٌ رَّحِیْمٌ(128)

Laqad Jaakum Rasoolun Min Anfusikum Aaazeezun Aaalayhi Ma Anit-tum Hareesun Alai-kum Bil Mu Minee n Raoofun Raheem 0 F-In Tawallaw Faqul Hasbi Yallahu La Ila h illa Hu w Alay hi Tawakkal tu W-hu w Rabbul Arshil Azeem Laqad Jaaa'akum Rasoolum Min Anfusikum 'Azeezun 'Alaihi Maa 'Anittum Hareesun 'Alaikum Bilmu'mineena Ra'oofur Raheem (Quran Para 11 Surah Tauba 128)

 Surah Al-Kaafiroon

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ

 قُلْ یٰۤاَیُّهَا الْكٰفِرُوْنَۙ(۱) لَاۤ اَعْبُدُ مَا تَعْبُدُوْنَۙ(۲) وَ لَاۤ اَنْتُمْ عٰبِدُوْنَ مَاۤ اَعْبُدُۚ(۳) وَ لَاۤ اَنَا عَابِدٌ مَّا عَبَدْتُّمْۙ(۴) وَ لَاۤ اَنْتُمْ عٰبِدُوْنَ مَاۤ اَعْبُدُؕ(۵) لَكُمْ دِیْنُكُمْ وَ لِیَ دِیْنِ۠(۶)

Bismillahir Rahmanir Raheem

·       Qul Yaa Ayyuhal Kaafiroon (1)

·       Laa A'budu Maa Ta'budoon (2)

·       Wa Laa Antum 'Aabidoona Maa A'bud (3)

·       Wa Laa Ana 'Aabidum Maa 'Abattum (4)

·       Wa Laa Antum 'Aabidoona Maa A'bud (5)

·       Lakum Deenukum Wa Liya Deen (6)

 Surah Al-Ikhlas

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ ﴿﴾

 قُلْ هُوَ اللّٰهُ اَحَدٌۚ(۱) اَللّٰهُ الصَّمَدُۚ(۲) لَمْ یَلِدْ ﳔ وَ لَمْ یُوْلَدْۙ(۳) وَ لَمْ یَكُنْ لَّهٗ كُفُوًا اَحَدٌ۠(۴)

Bismillahir Rahmanir Raheem

·       Qul Huwallahu Ahad (1)

·       Allahu Assamad (2)

·       Lam Yalid Walam Yoolad (3)

·       Walam Yakun Lahu Kufuwan Ahad (4)

 Surah Al-Falaq

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ ﴿﴾

 قُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ الْفَلَقِۙ(۱) مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَۙ(۲) وَ مِنْ شَرِّ غَاسِقٍ اِذَا وَقَبَۙ(۳) وَ مِنْ شَرِّ النَّفّٰثٰتِ فِی الْعُقَدِۙ(۴) وَ مِنْ شَرِّ حَاسِدٍ اِذَا حَسَدَ۠(۵)

Bismillahir Rahmanir Raheem

·       Qul A'oozu Bi Rabbil-Falaq (1)

·       Min Sharri Ma Khalaq (2)

·       Wa Min Sharri Ghaasiqin Iza Waqab (3)

·       Wa Min Sharrin-Naffasaati Fil 'Uqad (4)

·       Wa Min Sharri Haasidin Iza Hasad (5)

 Surah Al- Naas

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ ﴿﴾

 قُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ النَّاسِۙ(۱) مَلِكِ النَّاسِۙ(۲) اِلٰهِ النَّاسِۙ(۳) مِنْ شَرِّ الْوَسْوَاسِ ﳔ الْخَنَّاسِﭪ(۴) الَّذِیْ یُوَسْوِسُ فِیْ صُدُوْرِ النَّاسِۙ(۵) مِنَ الْجِنَّةِ وَ النَّاسِ۠(۶)

Bismillahir Rahmanir Raheem

·       Qul A'oozu Birabbin-Naas (1)

·       Malikin-Naas (2)

·       Ilaahin-Naas (3)

·       Min Sharril Waswaasil Khannaas (4)

·       Allazee Yuwaswisu Fee Sudoorin-Naas (5)

·       Minal Jinnati Wann-Naas (6)

 Surah Al Fatiha:

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ ﴿﴾

 اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَۙ(۱) الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِۙ(۲) مٰلِكِ یَوْمِ الدِّیْنِؕ(۳) اِیَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَّاكَ نَسْتَعِیْنُؕ(۴) اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَۙ(۵) صِرَاطَ الَّذِیْنَ اَنْعَمْتَ عَلَیْهِمْ ﴰ غَیْرِ الْمَغْضُوْبِ عَلَیْهِمْ وَ لَا الضَّآلِّیْنَ۠(۷)

Bismillahir Rahmanir Raheem

·       Alhamdu Lillahi Rabbil ‘Aalameen (1)

·       Ar-Rahmanir-Raheem (2)

·       Maaliki Yawmid-Deen (3)

·       Iyyaka Na’budu Wa Iyyaka Nasta’een (4)

·       Ihdinas-Siraatal-Mustaqeem (5)

·       Siraatal-Lazeena An’amta ‘Alaihim, Ghayril-Maghdoobi

·       Alaihim Wa Lad-Daaalleen (7)

 Surah Al Baqarah

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ ﴿﴾

 الٓمّٓۚ(۱) ذٰلِكَ الْكِتٰبُ لَا رَیْبَ ﶈ فِیْهِ ۚۛ-هُدًى لِّلْمُتَّقِیْنَۙ(۲) الَّذِیْنَ یُؤْمِنُوْنَ بِالْغَیْبِ وَ یُقِیْمُوْنَ الصَّلٰوةَ وَ مِمَّا رَزَقْنٰهُمْ یُنْفِقُوْنَۙ(۳) وَ الَّذِیْنَ یُؤْمِنُوْنَ بِمَاۤ اُنْزِلَ اِلَیْكَ وَ مَاۤ اُنْزِلَ مِنْ قَبْلِكَۚ-وَ بِالْاٰخِرَةِ هُمْ یُوْقِنُوْنَؕ(۴) اُولٰٓىٕكَ عَلٰى هُدًى مِّنْ رَّبِّهِمْۗ-وَ اُولٰٓىٕكَ هُمُ الْمُفْلِحُوْنَ(۵)

Bismillahir Rahmanir Raheem

·       Alif-Laam-Meem (1)

·       Zaalikal Kitaabu Laa Rayba Fee hi Hudal Lil-Muttaqeen (2)

·       Allazeena Yu’minoona Bilghaibi Wa Yuqeemoonas-Salaata Wa Mimmaa Razaqnaahum Yunfiqoon (3)

·       Wallazeena Yu’minoona Bimaa Unzila Ilaika Wa Maaa Unzila Min Qablika Wa Bil Aakhirati Hum Yooqinoon (4)

·       Ulaaa’ika ‘Ala Hudam-Mir-Rabbihim Wa Ulaaa’ika Humul Muflihoon (5)

 Aayaate-E- Khamsah

وَ اِلٰهُكُمْ اِلٰهٌ وَّاحِدٌۚ-لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ الرَّحْمٰنُ الرَّحِیْمُ۠(سورہ البقرہ 163)اِنَّ رَحْمَتَ اللّٰهِ قَرِیْبٌ مِّنَ الْمُحْسِنِیْنَ(سورہ الاعراف56 )وَ مَاۤ اَرْسَلْنٰكَ اِلَّا رَحْمَةً لِّلْعٰلَمِیْنَ(سورہ الانبیاء 107)مَا كَانَ مُحَمَّدٌ اَبَاۤ اَحَدٍ مِّنْ رِّجَالِكُمْ وَ لٰكِنْ رَّسُوْلَ اللّٰهِ وَ خَاتَمَ النَّبِیّٖنَؕ-وَ كَانَ اللّٰهُ بِكُلِّ شَیْءٍ عَلِیْمًا۠(سورہ الاحزاب 40)اِنَّ اللّٰهَ وَ مَلٰٓىٕكَتَهٗ یُصَلُّوْنَ عَلَى النَّبِیِّؕ-یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا صَلُّوْا عَلَیْهِ وَ سَلِّمُوْا تَسْلِیْمًا(سورہ الاحزاب 56(

·       Durood e Ahle Bait

اَللّٰهُمَّ اجْعَلْ صَلَوَاتِكَ وَبَرَكَاتِكَ عَلیٰ مُحَمَّدِ النَّبِيِّْ وَأَزْوَاجِهٖ أُمَّهَاتِ الْمُؤْمِنِينَ وَذُرِّيَّتِهٖ وَأَهْلِ بَيْتِهٖ كَمَا صَلَّيْتَ عَلیٰ اٰلِ إِبْرَاهِيْمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَّجِيدٌ0 سُبْحٰنَ رَبِّكَ رَبِّ الْعِزَّةِ عَمَّا یَصِفُوْنَ(سورہ الصافات 180)وَ سَلٰمٌ عَلَى الْمُرْسَلِیْنَ(سورہ الصافات181)وَ الْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ(سورہ الصافات 182(

·       Wa Ilaahukum Ilaahun Wahid, Laa Ilaaha Illaa Huwa Ar-Rahman Ar-Raheem. (Surah Al-Baqarah 163)

·       Inna Rahmatallahi Qareebum Minal Muhsineen. (Surah Al-A'raf 56)

·       Wa Ma Arsalnaka Illa Rahmatan Lil-'Aalameen. (Surah Al-Anbiya 107)

·       Ma Kaana Muhammadun Abaa Ahadin Min Rijaalikum Wa Laakin Rasoolallahi Wa Khaataman-Nabiyyeen. Wa Kaanallahu Bikulli Shay'in 'Aleema. (Surah Al-Ahzab 40)

·       Inna Allaha Wa Malaa'ikatahu Yusalloona 'Alan-Nabiyyi. Yaa Ayyuhallazeena Aamanoo Salloo 'Alayhi Wa Sallimoo Tasleema. (Surah Al-Ahzab 56)

Drood e Ahle Bait: Allahumma jj'Al Salawatika Wa Barakatika Ala Muhammadin Al-Nabiyyi Wa Azwajihi Ummahat Al-Mu'mineen Wa Dhurriyatihi Wa Ah-li Baytihi Kama Sallayta Alaa Ali Ibrahim, Innaka Hameedun Majeed.

·       Subhaana Rabbika Rabbil-'Izzati 'Amma Yasifoon. (Surah As-Saffat 180)

·       Wa Salaamun 'Alal-Mursaleen. (Surah As-Saffat 181)

·       Walhamdu Lillahi Rabbil-'Aalameen. (Surah As-Saffat 182)

Ab Fatihaa Padhne Wala Hath Uthakar Buland Aawaz Se " Al- Fatiha" Kahe. Sab Log Ahista Se Yani Itni Aawaz Se Ki Sirf Khud Sune Surah Al- Fatiha Padhen. Ab Fatiha Padhane Wala Is Tarah Elaan Kare Mere Islami Bhaiyo! Aap Ne Jo Kuch Bhi Padha Hai Uskaa Swab Mujhe De Dejiye. Tamam Hazireen Kah Den"Aap Ko De Diyaa" Ab Fatiha Padhana Wala Esal E Swaab Kar De.

Eisal E Swaab Ke Liye Duaaa Ka Tariqa:

Ya Allah! Jo Kuch Padha Gayaa (Agar Khana Wagirah Hai To Is Tarah Se Bhi Kahiye) Aur Jo Kuch Khana Wagairah Pesh Kiya Gya Hai Uska Swaab Hamare Naaqis Amal Ke Laiq Nahi Bilki Apne Karam Ke Shayaane Shaan Mar-Hamat Farma Au Eise Hamari Janib Se Huzoor Rahmatul Lil Aalameen Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Bargaah Me Nazr Pahuncha. Sarkar – E – Madina Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Tawassut (Waseele) Se Tamam Inbiyaa – E- Karaam Alaihimus Salaam, Tamam Sahaaba – E- Karaam Alaihimur Rizwaan, Tamam Auliyaa E Ezaam Rahimullahussalaam Ki Janab Me Nazr Pahuncha. . Sarkar – E – Madina Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Tawassut (Waseele) Se Syyedunaa Aadam Safiyullah Alaa Nabiyina Wa Alaihissalatu Wassalaam Se Le Kar Ab Tak Jitney Insaan Wa Jinnat Musalmaan Huwa Aur Qiyamat Tak Honge Sab Ko Pahucha. Es Dauraan Bahter Yah Ki Jin Jin Buzugon Ko Khusoosan Esaal Se Swaaab Karna Hai Unka Bhi Naaam Le Te Jayiye. Apne Maaa Baaap Aur Apne Peer O Murshid Ko Bhi Naam Ba Naam Eisaaal E Swaab Kijiye.

Note: Faut Shudgaan Me Se Jin Jin Ka Naam Lete Hain Unko Khushi Hasil Hoti Hai Agar Kisi Ka Bhi Naaam Na Len Sirf Itna Hi Kah Len Ki Ya Allah! Eska Sawaab Aaj Tak Jitne Ahle Imaan Huwe Un Sab Ko Pahunchaa Tab Bhi Har Aek Ko Pahunch Jayegaa. In Sha Allah

Ab Hasb E Mamool Duaaa Khatm Kar Dijiye. (Agar Thoda Thoda Khana Aur Pani Nikala Tha To Who Dosre Khano Aur Pani Me Daal Dijiye).