Kab tak ( Nek) a'amaal me susti karogy ?
aur kab tak jhhothi Khawahishaat ki takmeel ki hirs rakhogy ? tum muhlat se
dokha khate ho aur maut ky hamle ke yaad nahi karte ho jise tum ne janaa hai (
Aulad ) Woh matti ke liye hai aur jo kuch tamer kiya ( Makaan) Woh weeraan hone
ke liye hai aur jo kuch tum ne jamaa kiya hai ( Maal o Daulat )Woh khatm hone ke liye hai aur tumhare amal
qiyamat ky din ky liye aek aamaal name me mahooz hain.
Poem Tranalate:
(1) Agar ham marne ky baad
yunhi chhod diye jayen to phir maut har zinda ky liye raahat ban jaye….
(2) Magar jab ham mar jayengy
to do bara uthaye jayengy aur iske baad har shai (Cheez) ke baare me ham se
puchha jayegaa….
Gunahoon ke 10 Nuqsanaat:
Ameerul Momeneen Hazrat Syyeduna Umr Bin
Khattab Radiallah Anh ne farmaya ki tum Allah ke is farmaan se hargiz dhoke me
na padnaa..
Taraslation:
Jo 1 (One) neki laaye to us ky kiye us
jaise 10(Ten)hain aur jo buraai laye to usy badla na milegaa magar us ke
barabar….
Kyunki Gunaah agarche aek hi ho apne saath
10 buri khaslatain ly kar aata hai….
(1) Jab banda Gunaah karta hai
to Allah ko Gazab dilata hai aur Woh usy pura krne pr qudrat rakhta hai.
(2) woh(Gunahgaar)Iblees
maloon ko khush karta hai.
(3) Jannat se door ho jata hai
(4) Jahannam se qareeb ho jata
hai.
(5) woh apni sabse pyari cheez
yani apni jaan ko takleef deta hai.
(6) Woh apne batin ko napaak
kar baithta hai halanki woh paak hota
hai.
(7) Aamaal likhne wale
Firiston ya Kiraman Katebin ko izaa deta hai.
(8) Woh Nabi Kareem Sallallahu
Alaihi wa Alihi wa sallam ko Roaza e Mubarkah me ranjeeda kar deta hai.
(9) Zameen aur Asmaan aur
tamam makhlooq ko apni nafarmani par gawaah bana leta hai.
(10) Woh tamam insaanon se
Khiyanat aur Rabbul Alameen ki nafarmani kara hai.