Namaz Padhne Se Pehle Yeh Zaroori Hai Ki Namazi Ka Badan, Kapde Aur Namaz Ki Jagah Paak Ho, Sitr Dhanpna Huwa Ho Aur Namaz Ka Waqt Hogaya Ho. Phir Ba-Wudu Qibla (Kaabe Sharif) Ki Taraf Munh Kar Ke Dono Paon Ke Darmiyan Kam Se Kam 04 Ungeliyan Aur Ziyada Se Ziyada Aik Balisht Ka Faasla Karke Khada Ho. Jo Namaz Padhni Hai Us Ki Dil Se Niyat Kare Aur Zubaan Se Kehna Mustahib Hai. Niyat Kar ne Ka Tariqa Yeh Hain Jaise:
Farz Namaz Ki Niyat: Jis Waqt Ki Namaz Aur Jitni Raka’At Hoon, Niyat Mein Un Ka Zikar Kiya Jaye. Jaise Ki Zohar Ke Farzon Ki Niyat Yun Ki Jaye Gi Ki Main Niyat Karta / Karti Hoon 04 Rak-At Farz Namaz e Zahar Ki, Waste Allah TaAla Ke, Munh Mera Kaaba Shareef Ke Taraf. Agar Imam Ke Peeche Hoon To Phir Kaha Jaye :' Peeche Is Imam Ke.' Us Ke Baad Takbir E Tehrima Yani Allah Akbar Keh Kar Haath Bandh Le.
Sunnat Namaz Ki Niyat: Main Niyat Karta / Karti Hoon.... Rak-At Sunnat Namaz.... Ki, Waste Allah TaAla Ke, Munh Taraf e Kaaba Shareef Ke, Allahu Akbar.
Nafil Namaz Ki Niyat: Main Niyat Karta / Karti Hoon.... Rak-At Nafil Namaz.... Ki, Waste Allah TaAla Ke, Munh Taraf e Kaaba Shareef Ke, Allahu Akbar.
Wajib Namaz Ki Niyat: Main Niyat Karta / Karti Hoon 03 Rak-At Witr Wajib
Namaz Esha Ki, Waste Allah TaAla Ke, Munh Taraf e Kaaba Shareef Ke, Allahu
Akbar.
Phir Dono Haath Apne
Kaanon Ki Lo Tak Le Jayen Is Terhan Ke Hatheliyan Qibla Sharif Rukh Hoon Aur
Ungelian Nah Khuli Huwi Ho. Nah Mili Huwi, Balke Apni Normal Haalat Mein Hoon.
Allahu Akbar Kehta Huwa Haath Neeche Laaye Aur Naaf Ke Neeche Bandh Le Is
Terhan Ke Dahni Hatheli Bayen Kalayi Ke Sire Par Ho Aur Beech Ki Teen Ungelian
Bayen Kalayi Ke Pusht Par Aur Angotha Aur Chungilayan (Chhoti Ungli) Kalayi Ke
Agal Bagal Ho Aur Sanaa Padhen.
سُبْحَانَکَ
اللّٰهُمَّ وَبِحَمْدِکَ، وَتَبَارَکَ اسْمُکَ وَتَعَالٰی جَدُّکَ، وَلَا اِلٰهَ
غَيْرُکَ۔
''Aye Allah! Hum Teri Paki Bayan Karte
Hain, Teri Tareef Karte Hain, Tera Naam Bahut Barket Wala Hai, Teri Shaan Bahut
Buland Hai Aur Tere Siwa Koi Ibadat Ke La-iq Nahi.' ' (Tirmizi, 1 : 283, Al Hadith
: 243 )
Phir Tauooz Padhen:
أَعُوْذُ بِاﷲِ
مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
''Main
Shaitan Mardood Se Allah Ki Panaah Mangta / Maangti Hoon.' '
Phir Tasmiyah Padhen:
بِسْمِ
اﷲِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
“Allah
Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Meharban Hamesha Reham Farmane Wala Hai.' '
Phir Surah Al Fatiha
Padhen:
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَO
الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِO مَالِكِ يَوْمِ
الدِّينِO إِيَّاكَ نَعْبُدُ
وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُO اهْدِنَا
الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَO
صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْO غَيْرِ
الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلا الضَّالِّينَO
( 1 )
Sab Khoobiyan Allah Ko Jo Maalik Saare Jahan Walon Ka, ( 2 ) Bahut Meharban
Rehmat Wala, ( 3 ) Roz e Jaza Ka Maalik, ( 4 ) Hum Tujhi Ko Poojain Aur Tujhi
Se Madad Chahain, ( 5 ) Hum Ko Seedha Rasta Chala, ( 6 ) Rasta Un Ka Jin Par Tu
Ne Ahsaan Kiya, ( 7 ) Na Un Ka Jin Par Gazabb Huwa Aur Na Behke Huoon Ka , (Al
Quran:01)
Khatam
Par Ameen Aahista Kahe, Us Ke Baad Koi Surat Ya Teen Ayatain Padhe Ya Aik Aayat
Ke Teen Ke Barabar Ho, Ab Allahu Akbar Kehta Huwa Ruku Mein Jaye Aur Ghutnon Ko
Haath Se Pakde, Is Terhan Ke Hatheliyan Ghutne Par Ho Aur Ungeliyan Khoob Phaili
Ho, Nah Yun Ke Sab Ungeliyan Aik Taraf Ho Aur Nah Yun Ki Chaar Ungeliyan Aik
Taraf, Aik Taraf Faqat Anghutha Aur Peeth Bichhi Ho Aur Sir Peeth Ke Barabar Ho,
Ouncha Neecha Nah Ho Aur Kam Se Kam Teen Baar
سُبْحَانَ رَبِّیَ الْعَظِيْمِ
'' Pak
Hai Mera Parwar-Digaar Azmat Wala.' ' (Tirmizi Shareef, , 1:300, Al Hahidh : 261 )
Kahe
Phir
سَمِعَ
اﷲُ لِمَنْ حَمِدَهْ
''
Allah TaAla Ne Is Bande Ki Baat Sun Li Jis Ne Us Ki Tareef Ki.' Kahta Huwa Seedha Khada Ho Jaye Aur Munfrid
(Akela) Ho To Us Ke Baad.
اَللّٰھُمَّ
رَبَّنَا وَ لَکَ الْحَمْدُ
'' Aye
Hamare Parwar-Digaar! Tamam Tareefen Tere Liye Hain.' ' (Muslim, Al Sahih
1:239-234 Al Hadith 392)
Kahe
Phir Allahu Akbar Kahta Huwa Sajda Me Jaye Yun Ki Pehle Ghutne Zameen Par Rakhe
Phir Haath Phir Dono Hathon Ke Beech Mein Sir Rakhe, Nah Yun Ke Sirf Peshani Chhu Jaye Aur Naak Ki Noak
Lag Jaye, Balki Peshani Aur Naak Ki Haddi Jamaye Aur Baazuon Ko Karwaton Aur
Pait Ko Ranon Aur Ranon Ko Pindliyon Se Juda Rakhe Aur Dono Paon Ki Sab Ungliyon
Ke Pait Qibla Roo Jame Ho Aur Hatheliyan Bichhi Ho Aur Ungeliyan Qibla Ko Ho Aur
Kam Az Kam Teen Baar
سُبْحَانَ
رَبِّیَ الْأَعْلَی
Translation:
Paak Hai Mera Parwar-Digaar Jo Buland Tar Hai.' ' (Abu Dawood, 1: 337, Al Hadith : 886) Kahe Phir Phir Haath Aur
Dahna Qadam Khada Kar Ke Is Ki Ungeliyan Qibla Rukh Kare Aur Baayaan Qadam Bichhaa
Kar Us Par Khoob Seedha Baith Jaye Aur Hatheliyan Bichhaa Kar Ranon Par Ghutnon
Ke Paas Rakhe Ki Dono Haath Ki Ungeliyan Qibla Ko Ho Usay Jalsa Kehte Hain.
Hazrat Syedna Ibn Abbas Razi Allah Anho Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi Akramﷺ Dono Sajdon Ke Darmiyan Darj Zail Dua
Mangte :
اَللَّهُمَّ
اغْفِرْلِيْ وَارْحَمْنِي وَعَافِنِي وَاهْدِنِيْ وَارْزُقْنِيْ
''Translation:
Aye Allah! Mujhe Bakhash De, Mujh Par Raham Farma, Mujhe Aafiat De, Mujhe
Hadaayat Par Qaim Rakh Aur Mujhe Rozi Ataa Farma.' ' (Abu Dawood, Al Sunnan
1:322 Al Hadith 850) Phir Allahu Akbar Kehta Huwa Sajde Ko Jaye Aur Isi Terhan
Sajda Kare, Phir Sir Uthaye, Phir Haath Ko Ghutne Par Rakh Kar Panjoo Ke Bal
Khada Ho Jaye, Ab Sirf Bismillahir Rahmanir Raheem Padh Kar Qirat Shuru Kar De Phir
Isi Tarah Rooku Aur Sajde Kar ke Dahina Qadam Khada Kar Ke Bayan Qadam Bichha
Kar Ke Baith Jaye Aur Attihiyat Padhen:
اَلتَّحِيَّاتُ ﷲِِ وَالصَّلَوٰتُ وَالطَّيِّبَاتُ، اَلسَّلَامُ
عَلَيْکَ اَيُّهَا النَّبِیُّ وَرَحْمَةُ اﷲِ وَبَرَکَاتُهٗ، اَلسَّلَامُ
عَلَيْنَا وَعَلیٰ عِبَادِ اﷲِ الصّٰلِحِيْنَ. اَشْهَدُ اَنْ لَّا اِلٰهَ اِلَّا
اﷲُ وَاَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُوْلُهٗ
''Translation:
Tamam Qauli, Fe-a-li Aur Maali Ebaadaten Allah Hi Ke Liye Hain, Aye Nabiﷺ! Aap Par Salam Ho Aur Allah Ki Rehmat Aur
Barkaten Ho, Ham Par Aur Allah Ke Tamam Naik Bundon Par Bhi Salam Ho, Mein
Gawahi Deta Hoon Ki Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Mein Gawahi Deta Hoon Ki
Hazrat Muhammad ﷺ Allah Ke Bande Aur Us Ke Rasool Hain.' '
(Tirmizi Sharif, 5:542, Al Hadith 3587)
Khiyal
Rahe Ki Is Mein Koi Harf Kam O Besh Nah Kare Aur Is Ko Tashahhud Kehte Hain Aur
Jab Kalima Laa Ke Qareeb Puhanche, Dahine Haath Ki Beech Ki Ungli Aur Angothe Ka
Halqa Banaye Aur Chhungliyan Aur Is Ke Paas Wali Ko Hathely Se Mila De Aur Lafz
Laa Par Kalima Ki Ungli Uthaye Magar Is Ko Junbish Nah De Aur Kalima iIla Par
Gira De Aur Sab Ungeliyan Foran Seedhi Kar Le, Agar Do Se Ziyada Rakaate Padni
Hain To Uth Khara Ho Aur Isi Terhan Parhe Magar Farzom Ki Un Rakaato Mein Alhamd Ke Sath Surah Milana Zaroori Nahi, Ab Pichhla
Qaidah Jis Ke Baad Namaz Khatam Karega, Is Mein Tashahhud Ke Baad Durood e Ibrahimi Padhe : Huzoor Nabi
Akram ﷺ 02, 03 Ya 04 Rak-At Wali Namaz Ke Qaidah Akhirah
Mein Hamesha Durood e Ibrahim Padhte The Jo Darj Zail Hain:
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّعَلٰی آلِ مُحَمَّدٍ،
کَمَا صَلَّيْتَ عَلَی إِبْرَاهِيْمَ وَعَلَی آلِ إِبْرَاهِيْمَ، إِنَّکَ حَمِيْدٌ
مَّجِيْدٌ. اَللّٰهُمَّ بَارِکْ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّعَلٰی آلِ
مُحَمَّدٍ، کَمَا بَارَکْتَ عَلَی إِبْرَاهِيْمَ وَعَلَی آلِ إِبْرَاهِيْمَ،
إِنَّکَ حَمِيْدٌ مَّجِيْدٌ.
'' Aye
Allah! Rahmaten Nazil Farma Hazrat Muhammad ﷺ Par Aur Un Ki Aal Par, Jis Terhan Tune
Rahmaten Nazil Ki Hazrat Ibrahim Alaihis Salam Par Aur Un Ki Aal Par, Be-Shak
Tu Tareef Ka Mustahiq Badi Buzurgi Wala Hai. ''Aye Allah! Tu Barkaten Nazil
Farma Hazrat Mohammad ﷺ Par Aur Un Ki Aal Par, Jis Terhan Tune
Barkaten Nazil Farmayen Hazrat Ibrahim Alaihis Salam Par Aur Un Ki Aal Par,
Be-Shak Tu Tareef Ka Mustahiq Badi Buzurgi Wala Hai. (Bukhari Al Saheeh 3: 1233
Al Hadith 3190)
Durood
Shareef Ke Baad Dua e Masurah Padhen:
اَللّٰھُمَّ اغْفِرْلِیْ وَلِوَالِدَیَّ وَلِمَنْ تَوَالَدَ
وَلِجَمِیْعِ الْمُؤْمِنِیْنَ وَالْمُؤْمِنَاتِ وَالْمُسْلِمِیْنَ
وَالْمُسْلِمَاتِ الْاَحْیَاءِ مِنْھُمْ وَالْاَمْوَاتِ اِنَّکَ مُجِیْبُ الدَّعْوَاتِ
بِرَحْمَتِکَ یَا اَرْحَمَ الرَّاحِمِیْنَ ۔
Translation:
Aye Allah! Tu Bakhash De Mujh Ko Aur Mere Walidain Ko Aur Us Ko Jo Paida Huwa
Aur Tamam Momnin O Mominat Aur Ko, Be-Shak To Duaon Ka Qubool Karne Wala Hai Apni
Rehmat Se, Ae Sab Meharbaanon Se Ziyada Meharban .
Ya
Koi Dua e Masura Padhen Jaise:
اَللّٰھُمَّ اِنِّیْ ظَلَمْتُ نَفْسِیْ ظُلْمًا کَثِیرًا وَّ
اِنَّہٗ لَا یَغْفِرُ الذُّنُوْبَ اِلَّا اَنْتَ فَاغْفِرْلِی مَغْفِرَۃً مِّنْ
عِنْدِکَ وَارْحَمْنِیْ اِنَّکَ اَنْتَ الْغَفُوْرُ الرَّحِیْمُ ۔
Translation:
Ae Allah! Mein Ne Apni Jaan Par Bahut Zulm Kiya Hai Aur Beshak Tere Siwa
Gunaaho Ka Bakhsne Wala Koi Nahi Hai, Tu Apni Taraf Se Meri Mughfirat farma Aur
Mujh Par Reham Kar, Be Shak Tu Hi Bakhsne Wala Meharban Hai.
Ya Yeh Dua Padhen:
Transalion:
Aye Allah! Teri Panah Mangta Hoon Azaab e Qabar Se Aur Teri Panah Mangta Hoon
Maseeh Dajjal Ke Fitnah Se Aur Teri Panah Mangta Hoon Zindagi Aur Mout Ke
Fitnah Se Aye Allah! Teri Panah Mangta Hoon Gunah Aur Tawan Se Aur Teri Panah
Mangta Hoon Deen Ke Ghalba Aur Mardon Ke Qehar Se .
Ya
Yeh Padhen:
اَللّٰھُمَّ رَبَّنَا اٰتِنَا فِی الدُّنْیَا
حَسَنَۃً وَّفِی الْاٰخِرَۃِ حَسَنَۃً وَّقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Aye
Hamare Parvar-Digaar! Tu Hum Ko Duniya Mein Neki De Aur Akhirat Mein Neki De
Aur Hum Ko Jahannam Ke Azaab Se Bacha. Aur Is Ko Baghair Allahumma Ke Nah Padhe,
Phir Daahine Shane Ki Taraf Munh Kar Ke اَلسَّلاَمُ عَلَیْکُمْ وَ رَحْمَۃُ اللّٰہ Kahe,
Phir Bayen Taraf اَلسَّلاَمُ عَلَیْکُمْ وَ رَحْمَۃُ اللّٰہ Kahe Ab Aap, Ki Imam Ya Tanha Mard Ki Namaz Mukammal Huwi. Muqtadi Ke Liye Is Mein Ki Baaz Baat Jaaiz Nahi, Maslan Imam Ke Peechhe Surah Fatiha Ya Aur Koi Surat Padhna. Aurat Bhi Baaz Umoor Mein Mus’tasna Hai, Maslan Haath Bandhne Aur Sajda Ki Haalat Aur Qadah Ki Soorat Mein Farq Hai. Jis Ko Ham Bayan Karenge. (Insha Allah)