Mahe Ramadaan Ki Fazilat O Masa-il ( Roman Urdu)

 

Ramadaan Ki Mahine Mein Allah TaAla Ne Musalmanoon Par Roze Farz Kiye Hain. Roza Islam Ke Paanch Bunyadi Arkaan Mein Se Aik Hai. Quran Kareem Mein Irshad Baari TaAla Hai:' Aye Imaan Walo! Tum Par Isi Terha Roze Farz Kiye Gaye Hain Jaise Tum Se Pehle Logon Par Farz Kiye Gaye the, Taaki Tum Parhaizgaar Ban Jao, (Surah Al-l- Baqarah). Hazrat Abu-Hurairah Razi Allah Anho Se Riwayat Hai Ke Huzoor Akram Ne Roza Ki Fazilat Bayan Karte Huwe Farmaya” Jis Ne Imaan Ki Haalat Mein Sawab Ki Niyat Se Ramadaan Ke Roze Rakhe Us Ke Sabiqa Gunah Muaaf Kar Diye Jate Hain. Is Ka Pehla Ashra Rahmat, Dosra Ashra Mughfirat Aur Teesra Ashra Nijaat e Jahannam Hai. Ramadaan Ki Raton Mein Aek Raat Shab e Qadar Hai Jis Mein Ibadat Karna Hazaar Mahino Se Afzal Batlaya Gaya Hai. Goya Iss Raat Ki Ibadat Poori Zindagi Ki Ibadat Se Ziyada Bahtar Hai. Is Maah Ziyada Se Ziyada Sadqa O Khairaat Kiya Jana Chahiye. Ghaur Talab Hai Ki Zakat Islam Ka Aek Aham Tareen Fariza Hai, Is Ki Farziyat Se Inkaar Karna Kufr Hai. Zakat Daine Wale Ka Fareeza Hai Ki Sab Se Pehle Apne Aa-izza O Aq-raba Mein Fuqarah O Masakeen Ko Talaash Kare. Agar Mil Jayen To Yahi Awwaleen Mustahiq Hain.

Roza Ki Niyat Se Mutaliq Masail

uRamadaan Al Mubarak Ke Roze Ki Niyat Subah Sadiq Tuloo Hone Se Pahle Kar lena Behtar Hai. u Niyat Zabaan Se Ada Karna Zaroori Nahi Hai' Bas Dil Mein Iradah Kar lena Hi Kaafi Hai. u Sehri Khaye Baghair Bhi Roza Ki Niyat Ki Ja Sakti Hai' Albatta Sehri Khana Mustahib Aur Barket Ka Ba-is Hai. uKuch Log To Azaan Khatam Hone Tak Khate Rehte Hain, Jo Sara-Sar Ghalat Hai, Is Liye Ki Azaan Ki Ibtida Subah Sadiq Ke Tuloo Hone Par Hoti Hai, Jab Ke Sehri Ka Waqt Subah Sadiq Ke Tuloo Hote Hi Khatam Hojata Hai.

Eftar Se Mutaliq Masail:

uNabi Akram Ke Farmaan Ke Mutabiq Sooraj Ghuroob Hote Hi Roza Eftar Kar lena Chahiye, Eftar Mein Takheer Karne Ko Nabi Akram Ne Kher Ke Manafi Aur Deen Ke Ghalbe Ke Khilaaf Qarar Diya Hai. uiftaar Ki Ibtida “بسم اللہ” Se Kere Aur Baad Yeh Dua Padhi Jaye. اَللّٰہُمَّ لَکَ صُمْتُ وَعَلٰی رِزْقِکَ اَفْطَرْتُ. (Sunan Abu-Dawood: 3258) ”Aye Allah! Mein Ne Tere Liye Roza Rakha Aur Tere Diye Huwe Rizaq Par Iftaar Kiya.  u Taza Khajoor Se Roza Eftaar Karna Mustahib O Masnoon Hai, Agar Khajoor Muyassar Nah Ho To Pani Se Roza Eftaar Karna Chahiye, Is Liye Ke Nabi Ka Bhi Yahi Mamool Tha. u Eftaar Ka Waqt Dua Ki Qabuliat Ka Waqt Hota Hai, Is Liye Eftaar Se Chand Minute Pehle Se Hi Khashoo O Khujoo Ke Sath Dua Ka Ihtimaam Karna Chahiye.

Mareez Se Mutaliq Masail

uAgar Mareez Ko Roza Rakhne Ki Wajah Se Mout Ya Uzoo Ke Zaya Hone Ka Khadsha Ho To Woh Roza Chhod Sakta Hai Aur Sehat Haasil Ho jane Ke Baad Un Rozon Ki Qaza Kere Ga. u Agar Usse Yaqeen Hojaye Ki Ab Woh Is Bimari Se Sehat-Yab Nahi Ho Sakta To Woh Apne Qaza Shuda Rozon Ka Fidya Ada Kere Ga.

Namaz e Taraveeh Ke Masail

Ramadaan Al Mubarak Mein Ebadat Karne Ka Aek Zareya Taraveeh Ko Pabandi Se Padhne Ka Bhi Hai Hazrat Syeduna Abu Huraira Razi Allahu Anho Se Riwayat Hai Ki Huzoor Alaihissalam ne Irshad Farmaya Ki,  “Jo Ramadaan Mein Qiyam Kare Emaan Ki Wajah Se Aur Sawab Talab Karne Ke Liye, Us Ke Agle Sab Gunah Bakhash Diye Jayen Ge (Sahih Muslim, Al-Hadith :759, Page 382) Ramadaan Ki Raton Mein Esha Ki Namaz Ke Baad Mard Aur Aurat Dono Par 20 Rakaten Sunnat E Muakkada Hai. Mard Hazraat Masjid Mein Namaz e Jamaat Ke Sath Ada Karen Aur Aurtain Ghar Mein Allag Se Ada Karen. Ise 02 Rak-At Mein Parheen, Har 04 Rak-At Ke Baad Yeh Tasbeeh Padheen.

سُبْحَانَ ذِی الْمُلْکِ وَالْمَلَکُوْتِ¡ سُبْحَانَ ذِی الْعِزَّةِ وَالْعَظَمَةِ وَالْهَيْبَةِ وَالْقُدْرَةِ وَالْکِبْرِيَآئِ وَالْجَبَرُوْتِ ¡ سُبْحَانَ الْمَلِکِ الْحَيِّ الَّذِیْ لَا يَنَامُ وَلَا يَمُوْتُ سُبُّوْحٌ قُدُّوْسٌ رَبُّنَا وَرَبُّ الْمَلَائِکَةِ وَالرُّوْحِ ¡ اَللّٰهُمَّ اَجِرْنَا مِنَ النَّارِ يَا مُجِيْرُ يَا مُجِيْرُ يَا مُجِيْر۔

Aitekaf Ke Masail

Aitekaf Har Waqt Sunnat Hai Aur Sab Se Behtar Ramadaan Ka Aakhri Ashra Mein Aitekaf Karna Hai, Kyunki Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allah Anhuma Se Marwi Hai :”Huzoor Nabi Akram Ramadaan Ke Aakhri Ashra Mein Aitekaf Baitha Karte The.' ' (Al Sunan Ibn e Majjah: 02:373, Al Raqam 1773) Imam Al Sajiden Hazrat e Syedna Imam Zain Al Aabedin Apne Walid Syeduna Imam Hussain Razi Allah Anho Se Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah Ne Irshad Farmaya :”Jis Shakhs Ne Ramadaan Al Mubarak Mein 10 Din Ka Aitekaf Kiya, Us Ka Sawab 02 Hajj Aur 02 Umrah Ke Barabar Hai. (Imam Baheqi, Shuabul Eman 03:425, Al Raqam: 3966). Aitekaf Sunnat Kifayah Hai. Agar Sab Tark Karen To Sab Gunahgaar Hon Ge Aur Agar Basti Mein Aek Ne Bhi Kar Liya To Sab Bari Ul zimmah Ho Jayen Ge. Ramadaan Al Mubarak Ki 20 Tareekh Ko Sooraj Ghuroob Hone Se Kuch Pehle Aitekaf Shuru Kiya Jata Hai Aur Eid Ka Chand Nazar Aane Tak Jari Rehta hai.

Sadqa e Fitr Ke Masail

Har Sahib e Nisaab Muslim Mard Aurat Ko 02 KG 45 Gram Gandum Ya Is Ki Qeemat Apni Aur Is Ke Na Baligh Bachon Ki Taraf Se Ada Kare. Sadqa e Fittar Namaz Eid Se Pehle Ada Karna Sunnat Hai. Agar Nahi Diya To Baad Mein De De, Ada Ho Jaye Ga. Ghair Muslimon Ko Sadqa Fitr Dena Jaaiz Nahi.