Dawat-E-Islami Par Aitarazat Ke Jawabaat



Dawat e Islami ke khilaf Social Media Par
 Pehlaye gae kuch Aitrazat or Unke Jawaabaat

Aitraz 1.
Allah  Azzujal ki baar Gaah me Gustaakhi ki "zaalim Baadshah se tashbeeh deKar" Jispar Ulmaa-e-Ahlesunnat ne Hukme Takfeer farmaayi Aur Huzoor Taajush'sharia ne bhi uske is qaul bad tar az baul ko Luzumi kufr hasbe Soorate Saayil farmaaya Aur farmaya ki jis mufti ne is ibaarat ke likhne Waale par kufr ka fatwa diya hoga to mujhe ummeed hai ki tehqeeq kar Ke diya hoga.

Jawab 1. 
Ameer e Ahle sunnat ki taraf galat mansoob karda fatwaa ka aks aur uska khulasaa....



Aur phir gor'talb baat ye hai ki khud Akhtar Raza Sahab ka kuch arsa pehle ye bayan aa chuka hai ki unki taraf se Ameer e Dawat e Islami (Ilyas Qadri) par koi kufar ka fatwa nahi, urs e Razvi 2013 - Muhadis e kabeer ka bayan suna jaye, unhon ne apne or Akhtar Raza sahab ki taraf se ye wazeh kiya hai ki (mafhoom) humne Ameer e Dawat e Islami par kufr ka koi fatwa sadir nahi kiya.
Kuch log mujhse aur Akhtar Raza sahab ke hawale se mash'hoor karte hain ki humne kufr ka fatwa diya, humne ab tak aisa koi fatwa nahi diya, jo log bila wajah'e'shirai Ameer Dawat E Islami par fatwa e kufr ki tashheer kar rahe hain wo log zaroor is biyan ko sune !---

Aitraz 2. 
Huzoor Sayyedana Sarkaar e Do Aalam Sallallaahu Alaihe wasallam ki shaan me be Adbiya munh Bhar k baki Dekho is Ilyaas Attaar ki kitaab'Sarkar ka paigaam Attaar k naam' aur 'mugeelaan e madina' Apne naam k aage Durud e Paak chapwaaya, Huzur Sallallaho Alaihe wasalam ko maaz'allaah Ilyaasi Channel par Aaye, aesa likh kar chapwaaya, Maaz'allaah summa Maaz'allaah, Huzoor Sallallaho Alaihe wasallam ko kaha ki Allaah ne Huzoor Sallallaho Alaihe wasalam ko hukm diya k mere Ilyaas ko mera salaam kehna. Maaz'allaah summa Maaz'allaah.

Jawab 2.
 Aitraz Number 2 me aik sath kai aitrazaat kar diye gaye hain, khair jahan tak baat rahi ki Ameer Ahle Sunnat ke naam ke sath Sallallahu Alaihi wasalam likha geya, ye printing ki galati thi, jis par tahriri tor par kai bar muafi mangi ja chuki hai,



Baqi jo issi Aitraz Number 2. me aur aitrazat kiye gae ki(Huzoor Sallallaho Alaihe Wasallam ko kaha ki Allaah ne Huzoor Sallallaho Alaihe wasalam ko hukm diya k mere Ilyaas ko mera salaam kehna, (Maaz'allaah summa Maaz'allaah) ka Jawab 2. 
Risale ke scan page hazir hain, isme aisa kuch nahi, jisse kisi Qism ki toheen ka pehlu nikalta ho, aur na hi is risale par kisi mo'atbar o mustanid Muftiyan e karam ka koi fatwa hai yehi waja hai ki ye risala ab tak Dawat e Islami ki official website Dawateislami.net par b majood hai



Aitraz Number 2. me kiye gae Aik aur Aitraz (Huzur Sallallaho alaihe wasalam ko maaz'allaah Ilyaasi Channel par Aaye, Aesa likh kar chapwaaya. Maaz'allaah summa Maaz'allaah) ka jawabis aitraz me jhoot se kam liye geya hai, scan page hazir hain or ap parh sakte hain inme aisa kuch nahi likha howa 



issi Aitraz me Madani channel jiska naam Madine e Paak ki mubarik nisbat se rakha geya hai usko badal kr ilyasi channel kaha geya jo ki gustakhi bhi hai or be'adbi bhi, Allah Aitraz karne walo ko Aqal e saleem ataa kare or apni is baat par raju krne ki tofeeq de! Ameen poore Risale ka link hazir hai, abhi bhi koi shak'shub'hat hoto faqeer hazir hai http://goo.gl/p6dGOy-----------
Aitraz 3. Huzur e Purnoor Sarkaar Gaus e Paak ki shaan me badGoyi yun ki ki Sarkaar e Gause-Aazam Radi Allahu ta'ala Anhu ko 'madni munna' kaha maaz'allaah summa maaz'allaah.
jawab 3is aitraz k hawale se bhi risale ka scan hazir hai Dawat e Islami me bachhe ko Madani munna kaha jata hai khair bat mukhtasir ap scan parhe phir bhi kisi Qism ka dil o dimaag me koi sawal uthe to fakeer hazir hai  


Aitraz 4. Sarkaar e SulTaanul Hind radi allahu ta'ala anhu ki baargaah me ahaanat aese ki k, Tasweer chaap kar batwaayi.
jawab 4. motariz ko sharai suboot dena chaahiye ke ye tasweer Dawat e Islami ne hi chhaapa.
Aitraz 5. Huzoor e Purnoor Sayyadi Sarkaar Aalahazrat Radi Allahu ta'ala anhu ki sarkaar me yun gustaakhi ki, apni jihaalat o zalaalat aamez harkaton ko mansoob ilak Fataawa e Razaviya Shareef kiya, Ki Murde ki tasveer jaiz ki daleel gadhi aur jhootha hawala Fatawa Razavia Shareef se dene ka daawa kiya Almalfooz shareef me se Jo Ibaaratein radde wahaabiya me thi unko wahaa se mitaakar chhapwaaya.
jawab 5. Aitraz Number 2. ki tarhan aitraz Number 5. me bhi aik aitraz ke sath kai aitrazat kiye gae hain,is aitraz me miyat wale masle par jis tarhan ke ilfaz motariz ne apni kum aqali ke bais istemal kiye hain uska jawab hum pehle bhi kai bar de chuke hain links hazir hai fatwa razvia shareef ke scan pages k....  1)http://goo.gl/9cpF51 2)http://goo.gl/exIzsV 
video links...  
issi Aitraz Number 5 me (Almalfooz shareef me se Jo Ibaaratein radde wahaabiya me thi unko wahaa se mitaakar chhapwaaya)ka jawab :iska jawab bhi hazir hai..  





Aitraz 6. Rad'de wahaabiya k khilaaf apni tanzeem me sarGarm e tarbiyat, Ki Inke tanzeem ki manshoor me se Radde Wahabiya khaarij rakha Balke radde wahaabiya karne waalo ki mukhaalifat ki.
Jawab 6. ye jhoot hai ki Dawat e Islami rad e bad'mazhb nahi krti, jab koi shaks Ameer e Ahle sunnat - Ameer e Dawat e Islami (Ilyas Attar Qadri razvi ziyai damat e bar'ka'ta'ho'mul aliya) se bait hota hai to usse sub se pehle jis baat ka paband kiya jata hai, usme sub pehle usse rad e bad'mazhb ka kaha jata hai, jaisa ap is tehreer me parh skte hain 




Rad e badmazhab par Darul iftah dawat e Islami k kai fatwe a chuke hain, jin'me se kuch ye  hain  





 Part 2.
Part 3.

is Aitraz k hawale se aur bhi bahut kuch majood hai, agr kisi ka koi or sawal ya aitraz hoto Comment Box me ya inbox me pochh skta hai.
Note: agar likhne me koi galati'kotahi hogai hoto meri islah farma kar aj're azeem hasil kariye.

By: Usama Sultan
https://www.facebook.com/Attari786.12?fref=ts
&
 Aale Rasool Ahmad Al-Ashrafi Al-Qadri
Email: aalerasoolahmad@gmail.com

Santh Pran Nath Ji About Islam


संत प्राणनाथ जीः (मारफत सागर क़यामतनामा) में 
इसलाम के बारे में कहते हैं -

आयतें हदीसें सब कहे, खुदा एक मुहंमद बरहक।
और कोई आगे पीछे, बिना मुहंमद बुजरक
अर्थात् क़ुरआन हदीस यही कहती है कि अल्लाह मात्र एक है और मुहम्मद  सल्लाहु अलैहि व सल्लम  का संदेश सत्य है इन्हीं के बताए हुए नियम का पालन करके सफलता प्राप्त की जा सकती है। मुहम्मद सल्लाहु अलैहि व सल्लम को माने बिना सफलता का कोई पथ नहीं।






 पेरियार ई॰ वी॰ रामास्वामी
(राज्य सरकार द्वारा पुरस्कृत, द्रविड़ प्रबुद्ध विचारक, पत्रकार, समाजसेवक व नेता, तमिलनाडु)
इस्लाम के बारे में विचार 

‘‘...हमारा शूद्र होना एक भयंकर रोग है, यह कैंसर जैसा है। यह अत्यंत पुरानी शिकायत है। इसकी केवल एक ही दवा है, और वह है इस्लाम। इसकी कोई दूसरी दवा नहीं है। अन्यथा हम इसे झेलेंगे, इसे भूलने के लिए नींद की गोलियाँ लेंगे या इसे दबा कर एक बदबूदार लाश की तरह ढोते रहेंगे। इस रोग को दूर करने के लिए उठ खड़े हों और इन्सानों की तरह सम्मानपूर्वक आगे बढ़ें कि केवल इस्लाम ही एक रास्ता है’’
‘‘…
अरबी भाषा में इस्लाम का अर्थ है शान्ति, आत्म-समर्पण या निष्ठापूर्ण भक्ति। इस्लाम का मतलब है सार्वजनिक भाईचारा, बस यही इस्लाम है। सौ या दो सौ वर्ष पुराना तमिल शब्द-कोष देखें। तमिल भाषा में कदावुल देवता (Kadavul) का अर्थ है एक ईश्वर, निराकार, शान्ति, एकता, आध्यात्मिक समर्पण एवं भक्ति। कदावुल’ (Kadavul) द्रविड़ शब्द है। अंग्रेज़ी भाषा का शब्द गॉड (God) अरबी भाषा में अल्लाहहै। ….भारतीय मुस्लिम इस्लाम की स्थापना करने वाले नहीं बल्कि उसका एक अंश हैं’’
‘‘…
मलायाली मोपले (Malayali Mopillas), मिस्री, जापानी, और जर्मन मुस्लिम भी इस्लाम का अंश हैं। मुसलमान एक बड़ा गिरोह है। इन में अफ़्रीक़ी, हब्शी और नेग्रो मुस्लिम भी है। इन सारे लोगों के लिए अल्लाह एक ही है, जिसका न कोई आकार है, न उस जैसा कोई और है, उसके न पत्नी है और न बच्चे, और न ही उसे खाने-पीने की आवश्यकता है।’’
‘‘…
जन्मजात समानता, समान अधिकार, अनुशासन इस्लाम के गुण हैं। अन्तर के कारण यदि हैं तो वे वातावरण, प्रजातियाँ और समय हैं। यही कारण है कि संसार में बसने वाले लगभग साठ करोड़ मुस्लिम एक-दूसरे के लिए जन्मजात भाईचारे की भावना रखते हैं। अतः जगत इस्लाम का विचार आते ही थरथरा उठता है’’
‘‘…
इस्लाम की स्थापना क्यों हुई? इसकी स्थापना अनेकेश्वरवाद और जन्मजात असमानताओं को मिटाने के लिए और एक ईश्वर, एक इन्सानके सिद्धांत को लागू करने के लिए हुई, जिसमें किसी अंधविश्वास या मूर्ति-पूजा की गुंजाइश नहीं है। इस्लाम इन्सान को विवेकपूर्ण जीवन व्यतीत करने का मार्ग दिखाता है’’
‘‘…
इस्लाम की स्थापना बहुदेववाद और जन्म के आधार पर विषमता को समाप्त करने के लिए हुई थी। एक ईश्वर और एक मानवजातिके सिद्धांत को स्थापित करने के लिए हुई थी; सारे अंधविश्वासों और मूर्ति पूजा को ख़त्म करने के लिए और युक्ति-संगत, बुद्धिपूर्ण (Rational) जीवन जीने के लिए नेतृत्व प्रदान करने के लिए इसकी स्थापना हुई थी’’
— 
द वे ऑफ सैल्वेशनपृ॰ 13,14,21 से उद्धृत
(18
मार्च 1947 को तिरुचिनपल्ली में दिया गया भाषण)
अमन पब्लिकेशन्स, दिल्ली, 1995 ई॰