Ramadaan Ki Mahine Mein Allah TaAla Ne Musalmanoon Par Roze
Farz Kiye Hain. Roza Islam Ke Paanch Bunyadi Arkaan Mein Se Aik Hai. Quran
Kareem Mein Irshad Baari TaAla Hai:' Aye Imaan Walo! Tum
Par Isi Terha Roze Farz Kiye Gaye Hain Jaise Tum Se Pehle Logon Par Farz Kiye
Gaye the, Taaki Tum Parhaizgaar Ban Jao, (Surah Al-l- Baqarah). Hazrat
Abu-Hurairah Razi Allah Anho Se Riwayat Hai Ke Huzoor Akram ﷺNe Roza Ki Fazilat
Bayan Karte Huwe Farmaya” Jis Ne Imaan Ki Haalat Mein Sawab Ki Niyat Se
Ramadaan Ke Roze Rakhe Us Ke Sabiqa Gunah Muaaf Kar Diye Jate Hain. Is Ka Pehla
Ashra Rahmat, Dosra Ashra Mughfirat Aur Teesra Ashra Nijaat e Jahannam Hai.
Ramadaan Ki Raton Mein Aek Raat Shab e Qadar Hai Jis Mein Ibadat Karna Hazaar
Mahino Se Afzal Batlaya Gaya Hai. Goya Iss Raat Ki Ibadat Poori Zindagi Ki
Ibadat Se Ziyada Bahtar Hai. Is Maah Ziyada Se Ziyada Sadqa O Khairaat Kiya
Jana Chahiye. Ghaur Talab Hai Ki Zakat Islam Ka Aek Aham Tareen Fariza Hai, Is
Ki Farziyat Se Inkaar Karna Kufr Hai. Zakat Daine Wale Ka Fareeza Hai Ki Sab Se
Pehle Apne Aa-izza O Aq-raba Mein Fuqarah O Masakeen Ko Talaash Kare. Agar Mil
Jayen To Yahi Awwaleen Mustahiq Hain.
Roza Ki Niyat Se Mutaliq Masail
uRamadaan Al Mubarak Ke
Roze Ki Niyat Subah Sadiq Tuloo Hone Se Pahle Kar lena Behtar Hai. u Niyat Zabaan Se Ada Karna Zaroori Nahi
Hai' Bas Dil Mein Iradah Kar lena Hi Kaafi Hai. u Sehri Khaye Baghair Bhi Roza Ki Niyat Ki Ja Sakti Hai' Albatta
Sehri Khana Mustahib Aur Barket Ka Ba-is Hai. uKuch Log To Azaan Khatam Hone Tak Khate Rehte Hain, Jo Sara-Sar
Ghalat Hai, Is Liye Ki Azaan Ki Ibtida Subah Sadiq Ke Tuloo Hone Par Hoti Hai,
Jab Ke Sehri Ka Waqt Subah Sadiq Ke Tuloo Hote Hi Khatam Hojata Hai.
Eftar Se Mutaliq Masail:
uNabi Akram ﷺ Ke Farmaan Ke Mutabiq Sooraj Ghuroob Hote Hi Roza Eftar Kar lena
Chahiye, Eftar Mein Takheer Karne Ko Nabi Akram ﷺ Ne Kher Ke Manafi Aur Deen Ke Ghalbe Ke Khilaaf Qarar Diya
Hai. uiftaar Ki Ibtida “بسم اللہ” Se
Kere Aur Baad Yeh Dua Padhi Jaye. اَللّٰہُمَّ
لَکَ صُمْتُ وَعَلٰی رِزْقِکَ اَفْطَرْتُ. (Sunan Abu-Dawood: 3258) ”Aye Allah! Mein Ne Tere Liye Roza
Rakha Aur Tere Diye Huwe Rizaq Par Iftaar Kiya. u Taza Khajoor Se Roza Eftaar Karna Mustahib O Masnoon Hai,
Agar Khajoor Muyassar Nah Ho To Pani Se Roza Eftaar Karna Chahiye, Is Liye Ke
Nabi ﷺ Ka Bhi Yahi Mamool
Tha. u Eftaar Ka Waqt Dua Ki
Qabuliat Ka Waqt Hota Hai, Is Liye Eftaar Se Chand Minute Pehle Se Hi Khashoo O
Khujoo Ke Sath Dua Ka Ihtimaam Karna Chahiye.
Mareez Se Mutaliq Masail
uAgar Mareez Ko Roza
Rakhne Ki Wajah Se Mout Ya Uzoo Ke Zaya Hone Ka Khadsha Ho To Woh Roza Chhod
Sakta Hai Aur Sehat Haasil Ho jane Ke Baad Un Rozon Ki Qaza Kere Ga. u Agar Usse Yaqeen Hojaye Ki Ab Woh Is Bimari
Se Sehat-Yab Nahi Ho Sakta To Woh Apne Qaza Shuda Rozon Ka Fidya Ada Kere Ga.
Namaz e Taraveeh Ke Masail
Ramadaan Al Mubarak Mein Ebadat Karne Ka Aek Zareya Taraveeh Ko Pabandi
Se Padhne Ka Bhi Hai Hazrat Syeduna Abu Huraira Razi Allahu Anho Se Riwayat Hai
Ki Huzoor Alaihissalam ne Irshad Farmaya Ki, “Jo Ramadaan Mein Qiyam Kare Emaan Ki Wajah Se
Aur Sawab Talab Karne Ke Liye, Us Ke Agle Sab Gunah Bakhash Diye Jayen Ge
(Sahih Muslim, Al-Hadith :759, Page 382) Ramadaan Ki Raton Mein Esha Ki Namaz
Ke Baad Mard Aur Aurat Dono Par 20 Rakaten Sunnat E Muakkada Hai. Mard Hazraat
Masjid Mein Namaz e Jamaat Ke Sath Ada Karen Aur Aurtain Ghar Mein Allag Se Ada
Karen. Ise 02 Rak-At Mein Parheen, Har 04 Rak-At Ke Baad Yeh Tasbeeh Padheen.
سُبْحَانَ
ذِی الْمُلْکِ وَالْمَلَکُوْتِ¡
سُبْحَانَ ذِی الْعِزَّةِ وَالْعَظَمَةِ وَالْهَيْبَةِ وَالْقُدْرَةِ
وَالْکِبْرِيَآئِ وَالْجَبَرُوْتِ ¡
سُبْحَانَ الْمَلِکِ الْحَيِّ الَّذِیْ لَا يَنَامُ وَلَا يَمُوْتُ سُبُّوْحٌ قُدُّوْسٌ
رَبُّنَا وَرَبُّ الْمَلَائِکَةِ وَالرُّوْحِ ¡ اَللّٰهُمَّ اَجِرْنَا مِنَ النَّارِ يَا مُجِيْرُ يَا مُجِيْرُ
يَا مُجِيْر۔
Aitekaf Ke Masail
Aitekaf Har Waqt Sunnat Hai Aur Sab Se Behtar Ramadaan Ka Aakhri Ashra
Mein Aitekaf Karna Hai, Kyunki Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allah Anhuma Se
Marwi Hai :”Huzoor Nabi Akram ﷺ Ramadaan Ke Aakhri Ashra Mein Aitekaf Baitha Karte The.' ' (Al
Sunan Ibn e Majjah: 02:373, Al Raqam 1773) Imam Al Sajiden Hazrat e Syedna Imam
Zain Al Aabedin Apne Walid Syeduna Imam Hussain Razi Allah Anho Se Riwayat
Karte Hain Ki Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya :”Jis Shakhs Ne Ramadaan Al Mubarak Mein 10
Din Ka Aitekaf Kiya, Us Ka Sawab 02 Hajj Aur 02 Umrah Ke Barabar Hai. (Imam
Baheqi, Shuabul Eman 03:425, Al Raqam: 3966). Aitekaf Sunnat Kifayah Hai. Agar
Sab Tark Karen To Sab Gunahgaar Hon Ge Aur Agar Basti Mein Aek Ne Bhi Kar Liya
To Sab Bari Ul zimmah Ho Jayen Ge. Ramadaan Al Mubarak Ki 20 Tareekh Ko Sooraj
Ghuroob Hone Se Kuch Pehle Aitekaf Shuru Kiya Jata Hai Aur Eid Ka Chand Nazar
Aane Tak Jari Rehta hai.
Sadqa e Fitr Ke Masail
Har Sahib e Nisaab Muslim Mard
Aurat Ko 02 KG 45 Gram Gandum Ya Is Ki Qeemat Apni Aur Is Ke Na Baligh Bachon
Ki Taraf Se Ada Kare. Sadqa e Fittar Namaz Eid Se Pehle Ada Karna Sunnat Hai.
Agar Nahi Diya To Baad Mein De De, Ada Ho Jaye Ga. Ghair Muslimon Ko Sadqa Fitr
Dena Jaaiz Nahi.
No comments:
Post a Comment