Wilayat kya hai? Wali kise kahte hai??
(T.RUHUL BYAN)
WALI Wo Hai Jisko Dekhne Se Khuda Yaad Aa Jaye WALI Ka Zahir Shariat Se Aarasta Aur Baatin Tariqat Se Muzayyan Ho.
(ALHADEES)
WALI wo Hai Jo Imaan Aur Taqwa Dono Ka Jame'a Ho.
(AL QURAN)
WALI Ke Ye Mana Hai- Qarib, Nazdiq, Muheeb, Siddiq, Madadgaar. (QAAMUS)
Hazrat Imaam Raazi (Radiyallahu Anhu) Farmate Hai- "WALI wo Hai Jiska Aqida Durust Aur Amaal Shariat K Mutabik Ho"
(TAFSIRE KABIR)
WALI wo Hai Jiske Dil Me Allah Aur Rasool Ke Siwa Kisi Ke Liye Koi Jagah Na Ho, Wo Kisi Se Mohabbat Aur Nafrat Allah Ke Liye Karta Hai.
(TAFSIRE MAZHARI)
WALI wo Hai Jiska Dil Zikr-e-Ilaahi Me Mustagrak Rahe Raat-Din Tasbih Tehlil Me Masruf Rahe, Jiska Dil Khuda Ki Mohabbat Se Labrez Rahe.
(T.MAZHARI)
Hafiz Ibne Asqalaani Farmate Hai- "WALI se Muraad Wo Shakhs Hai Jo Aalim-Billah Ho Aur Ikhlas K Sath Daaemi Ibadat Karta Hai"
(FAT'HUL BAARI)
WALI wo Momin-e-Kaamil Hai Jo Aarif Billah Hota Hai Har Qism Ke Gunaho Se Bachta Hai Lazzat Aur Shehwat Me Dakhil Hone Se Bachta Hai.
(SHARHUL MAQAASID)
Sarkar Gaus-e-Aazam-"Agar Tum Kisi Ko Hawa Me Udta Hua Dekho Lekin Wo Shariat Ka Paband Na Ho To Wo Istidraaj (JAADU) hai, Wilayat Nahi"
"WALI wo Hai Jisne Nafs, Shaitan, Duniya Aur Apni Khwahishat Se Muh Mod Liya Aur Apne Chehre Ko Allah Ki Taraf Fair Liya Ho"
(HAZRAT SHAIKHUL ISLAM)
WALI wo Hai Jo Faraiz Se Qurbe Ilaahi Aur Ita'at-e-Ilaahi Me Mashgul Rahe Aur Uska Dil Noore Jalaale Ilaahi Me Mustagrak Rahe.
(TAFSIRE KABIR)
"Agar Koi Hatheli Par Sarso Jama Kar Aur Hawa Me Udkar Bhi Dikhaye Magar Shariat Par Uska Amal Na Ho To Wo Hargiz Wali Nahi"
(MUJADDID ALFESAANI)
Shariat Ke Khilaf Kaam Karne Wala Hargiz Wali Nahi, Wali Shariat Ka Muqaabla Nahi Karta, Namaz Padhne Ke Liye Kaha Jaye To Inkar Nahi Karta.
(SARKAR AALAHAZRAT)
Shaikh Abul Abbas Farmate Hai- "WALI RA WALI yani Khuda Ko Pehchanna Asaan Hai, Magar Wali Ko Pehchanna Mushkil Hai."
(T.RUHUL BYAN)
Hazrat Shaikhul Islam- "WALI wo Hai Jo Duniya Aur Aakhirat Dono Se Berukhi Kar Ke Allah Ke Siwa Kisi Dusri Chiz Ka Taalib Na Ho"
(IRAFAN-E-AULIYA)
WALI ki Khubiya- Wali Namaz-Roza Ka Paband Ho, Muttaqi Ho, Sunnat-e-Rasool Ka Aamil Ho, Tamam Mohabbato Se Zyada Muhabbat-e-Rasool Rakhta Ho.
Hazrat Shaikhul Islam- "WALI wo Hai Jiske Chehre Par Haya, Ankho Me Tari, Dil Me Paki, Zuban Par Taarif, Vade Me Wafa Aur Baat Me Shifa Ho"
Allah K Wali Ki Nigah- Mufti-e-Aazam Hind Ko Huzur Ahmad-e-Noori Ne 6, Maah Ki Umr Me Mureed Kiya Aur Khilafat Ata Farma Kar Wali Bana Diya.
Koi WALI kitna Hi Bada Kyu Na Ho Wo Kisi SAHABI k Pair Ki Dhool K Barabar Bhi Nahi Ho Sakta,
(MIRQAAD j-9 s-282)
No comments:
Post a Comment