Wuzoo Ka
Masnoon Tareeqa Hadees Nabwi Ke Mutabiq Yeh Hai :
Hazrat
Syeduna Imam Hussain Razi Allah Anho Se Marwi Hai Ki Mere Waalid e Muhtarm
Hazrat Syeduna Moula Ali Bin Abi Taalib Razi Allah Anho Ne Mujh Se Wuzoo Ka
Pani Talab Farmaya. Mein Ne Wuzoo Ka Pani Laa Kar Haazir e Khidmat Kiya. Aap
Razi Allah Anhu Ne Wudu Farmana Shuroo Kiya. Aap Razi Allah Anho Ne Pani Mein
Haath Daalne Se Qabal Dono Hathon Ko Teen Dafaa Dhoya.
Us Ke
Baad Teen Martaba Kulli Farmai Aur Teen Dafaa Naak Saaf Farma-i Us Ke Baad Aap
Ne Munh Ko Teen Dafaa Dhoya Phir Aap Ne Dayen Haath Ko Kohni Tak Teen Martaba
Dhoya Phir Bayen Haath Ko Isi Terhan Dhoya Phir Aap Ne Apne Sir Mubarak Par Aek
Dafaa Maseh Farmaya. Us Ke Baad Dayen Paon Ko Takhnon Tak Teen Dafaa Dhoya Phir
Aise Hi Bayen Ko Is Ke Baad Aap Ne Khade Ho Kar Pani Laane Ka Hukum Sadir
Farmaya. Mein Ne Bartan Jis Mein Wudu Ka Bacha Huwa Pani Tha,
Haazir e
Khidmat Kiya To Aap Ne Khade Khade Is Se Pani Pi Liya. Mein Hairan Huwa To Phir
Aap Ne Mujhe Dekh Kar Irshad Farmaya :' ' Hairan Nah Hooh Kyunki Mein Ne Aap Ke
Nana Jaan Ko Aise Hi Karte Huwe Dekha Jaise Tum Mujhe Karta Dekh Rahe Ho.
Huzoor Nabi Akram ﷺ Isi Terhan Wudu Farmate Aur Aap Wudu Ka Bacha Huwa Pani Khade
Ho Kar Peete The.' '(Nisai Al Sunan 1:51-52 Al Hadith 95)
Wazu Karne Ka Sunnat Tariqa
(1)
Bismillah Padhna
Jab Wazu Karne Ka Irada Kare To Sab Se
Pehle (Bismilla-Hirrahmanir-Rahim) Padh Le Tab Wazu Karna Shuru Karen. Jab Tak
Ba Wazu Rahenge Farishte Nekiyan Likhte Rahenge. (Al Muazam Al Sagheer Lil
Tabrani 01:73 Al Hadith 184)
(2)
Hathon Ko Gatte Tak Dhona
Phir Dono Haatho Ko Gatto Tak(Kalaiyon)
Teen Martaba Dhoye.
(3)
Miswak Karna
Phir Miswak Kar Ke Right Hand Se 3 Baar
Kulli Kare Apne Halaq Aur Daanton Ko Acchi Tarah Saaf Kare,Agar Daant Ya Taali
Me Koi Cheez Chipki Ho To Usko Saaf Kare. Imam Ghazil Alaihirrahmah Farmate
Hain Ki Miswak Karte Waqt Allah TaAla Ke liye Zikr Aur Quran e Kareem Padhne Ki
Niyat Honi Chahiye. (Ahyaul Uloom 1:182)
(4)
Naak Me Paani Dalna
Phir Dahine Haath Se 3 Baar Naak Me Pani
Dale Pani Yahan Tak Ko Dale Ki Naak Ki Naram Haddi Tak Paani Pahunch Jaye Phir
Bayein(Left) Hand Ko Choti Ungli Se Naak Saaf Kare .
(5)
Chehre Ko Dhona
Uske Baad Dono Hathon Me Paani Lekar 3
Baar Is Tarah Se Dhoye Ki Baal Ke Ugne Ki Jagah Se Lekar Thody Tak Dahini
Kanpati Aur Bayien Kanpati Tak Koi Jagah Chootne Na Paaye. Aur Dadhi Ka Khilal
Kare Yani Dadhi Me Ungliyan Daal Kar Bahar Ki Taraf Kheenche Taqi Pani Andar
Tak Chala Jaye.
Note :-Agar
Ihraam Bandhe Huye Ho To Dhadhi (Beard) Me Khilal Na Kare.
(6)
Kuhniyon Sameet Haath Dhona
Phir Kuhniyon Sameet Ya Kuch Upar Tak Dono
Hathon Ko 3 Teen Baat Acchi Tarah Dhoye.
(7)
Masah Karna
Phir 1 Baar Masah Kare Masah Is Tarah Ki
Dono Haat Paani Se Tar Karke Angoothe Aur Kalme Ki Ungli Chhod Kar Dono Hathon
Ko Teen Teen Ungliyon Ki Nok Ek Dusre Se Milaye Aur Poori 6 Ungliyon Ke Pet Ki
Jad Maathe Per Rakh Kar Piche Guddi Tak Le Jaye Aur Is Tarah Karen Ki Kalme Ki
Dono Ungliyan Aur Dono Angoothe Aur Hatheli Sir Per Na Lagne Paaye.Ab Guddi Se
Haath Wapis Maathe Ki Taraf Is Tarah Layen Ki Dono Guddiyan Sar Ke Dahini Aur
Bayien Hisse Per Se Hoti Hui Maathe Tak Wapis Aajaye.Ab Kalme Ki Ungli Ke Pet Se
Kaan Ke Andar Ke Hisso Kaa Aur Angoothe Ke Pet Se Kaan Ke Upar Ka Masah
Kare.Aur Ungliyon Ki Peeth Se Gerdan Ka Masah Kare Lekin Haath Gale Per Na Jaye
Kyunki Gale Ka Masah Karna Makrooh Hai.
(8)
Dono Pairon Ko Dhona
Masah Karne Ke Baad Ab Dahina Pair Ungliyon
Ki Taraf Se Takhne Tak Dhoye Rakhne Ke Saath Kuch Uper Tak Dhoye ,Phir Isi
Tarah Bayaan Pair Bhi Dhoye, Haath Aur Pair Ki Ungliyon Me Khilal Kare .Ab Wazu
Kahtam Huwa. (Dur Mukhtar/ Raddul Muhtar/ Bahar e Shariat/Anwar e Shariat
Page 20-21)
No comments:
Post a Comment