Eid ul Fitr Ki Namaz Ka Tariqa, Niyat, Dua with Eid Takbir Aur Shawal Ke 06 Roze

 


E

id Ul fitr: Aalam e Islam Ka Aik Mazhabi Tehwar Hai Jo Mah e Ramadaan Al Mubarak Ki Ekhtataam Ki Nishaan Dahi Karta Hai Aur Har Saal Badi Aqeedat O Josh O Kharosh Se Yakum Shawaal Ko Manaya Jata Hai Jab Ki “Shawwaal” Islami Taqweem Ka Daswaan Maheena Hai. Eid Arabi Zubaan Ka Lafz Hai Jis Ke MaAni (Meaning) Khooshi, Jashnn,  Farhat Aur Chehal Pehal Ke Hain Jab Ki Fitr Ke MaAni (Meaning) Roza Kholne Ke Hain, Yani Roza Todna, Ya Khatam Karna.

Eid Ulfitr Ke Din Rozon Ka Silsila Khatam Hota Hai, Is Roz Allah Taala Bandon Ko Roza Aur Ebadat E Ramadaan Ka Sawab Ataa Farmata Hai. Lihaza Is Tehwar Ko Eid Ul fitr Qarar Diya Gaya Hai.

Allah TaAlaa Farmata hai:

  وَلِتُکْمِلُوا الْعِدَّۃَ وَلِتُکَبِّرُوا اللہَ عَلٰی مَا ھَدا کُمْ  ) پ۲، البقرۃ: ۱۸۵ (

Translation: Rozon Ki Ginti Poori Karo Aur Allah Ki Barayi Bolo Ki Us Ne Tumhen Hidaayat Farmayi. (Al Quran: 02/185)

Hadith Sharif: Hazrat Syuduna Maaz Ban Jabal Radi Allah Taala Anhu Se Riwyat, Ki Farmatay Hain :”Jo Paanch Raton Me Shab Bedaari Kare Us Ke Liye Jannat Wajib Hai, Zil Al-Haja Ki Aathween, Naween, Dasween Raatain Aur Eid Ul Fitr Ki Raat Aur Shabaan Ki Pandharween Raat Yani Shab e Baraat.(Ref. Al Targheeb Wa Al Taheeb Hadith 02, Jild 02 Page 98)

Hadith Sharif: Tirmizi O Ibn Maaja O Darmi Hazrat Buraida Radi Allah Taala Anhu Se Rawayat, Ki' ' Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Eid Ul Fittar Ke Din Kuch Kha Kar Namaz Ke Liye Tashreef Le Jate Aur Eid Al Adh’ha Ko Naa Khate, Jab Tak Namaz Naa Padh Lete. (Ref: Jami Al Tirmazi Hadith 542, Jild 02, Page 70)

Hadith Sharif: Tirmizi O Darmi Ne Hazrat  Abu Hurairah Radi Allah Taala Anho Se Riwayat Ki, Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Eid Ko Aek Raste Se Tashreef Le Jate Aur Dosre Raste Se Wapas Hote.' ' (Ref: Jami Al Tirmazi Hadith 541, Jild 02, Page 69)

Mas’ala: Eidain ( Eid Al Fitr & Eid Al Adh’ha) Ki Namaz Wajib Hai Magar Sab Par Nahi Balki Unhein Par Jin Par JumuAa Wajib Hai Aur Us Ki Adaa Ki Wohi Shartain Hain Jo Jumua Ke Liye Hain, Sirf Itna Farq Hai Ke Jumua Mein Khutba Shart Hai Aur Eidain ( Eid Al Fitr & Eid Al Adh’ha)  Mein Sunnat, Agar Jumua Mein Khutba Nah Padha To Jumua Nahi Huwa,  Aur Is Mein Nah Padha To Namaz Hogayi Magar Bura Kiya. Dosra Farq Yeh Hai Ki Jumua Ka Khutba Qabl Namaz Hai Aur ( Eid Al Fitr & Eid Al Adh’ha)  Ka Baad Namaz, Agar Pehle Padh Liya To Bura Kiya, Magar Namaz Hogayi Lautai Nahi Jaye Gi Aur Khutba Ka Bhi EiAada Nahi Aur Eidain ( Eid Al Fitr & Eid Al Adh’ha) Mein Nah Azaan Hai Na Iqamat , Sirf Do baar Itna Kehne Ki Ijazat Hai:. اَلصَّلٰوۃُ جَامِعَۃٌ As Salaatu Jamiah. (Ref: Fatawa e Hindiyah Jild 01, Page 150)

Mas’ala: Bila wajah Eid Ki Namaz Chodhna Gumraahi aur Biddat hai (Al Johrah An Naiyarah Page 119)

 

Eid Ke Din Ki Mustahbaat:

Note: Mustahib Woh Hai Ki Jis Ko Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Ya Aap (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ke Sahaba Ne Kiya Ho, Ya Is Ko Achha Khiyaal Kiya Ho, Ya TabaaEeen Ne Is Ko Achha Samjha Ho, Lekin Is Ko Hamesha Ya Aksar Na Kiya, Balki Kabhi Kiya Aur Kabhi Tark Kiya Ho, Is Ka Karna Sawaab Hai Aur Nah Karna Gunah Aur Mojib e Azaab Nahi Aur Is Ko Sunnat Zaedah Aadiyah Ya Sunnat Ghair MoAkkidah Bhi Kehte Hain.

* Hajamat Banwana.
*Naakhun Tarashwana.
*Ghusal Karna.
*Miswaak Karna.
*Achay Kapde Pehanna, Naya Ho To Naya Warna Dhula huwa.
*Angothi Pehanna.
*Khushbu Lagana .
*Subah Ki Namaz Mohalle Ki Masjid Me Padhna.
*Eidgaah Jald Chala Jana .
*Namaz Se Pahle Sadqa e Fitr Adaa karna.
*Eidgaah Ko Paidal jana .

*Dosre Rasta Se Wapas Aana .

*Namaz Ko Jane Se Pehle Chand Khjoren Kha Lena. Teen, Paanch, Saat Ya Kam O Besh Mager Taaq (Be Jod) Hoon, Khujooren Na Hoon To Koi Mithi Cheez Kha Le, Namaz Se Pehle Kuch Na Khaya To Gunahgaar Na Huwa Magar Isha Tak Na Khaaya To Etaab Kiya Jayega. (Fatawa E Hindiyah Jild 01, Page 149, Al Durre Mukhtar Jild 03 Page 54)

Mas’ala: Sawari Par Jane Mein Bhi Harj Nahi Magar Jis Ko Paidal Jane Par Qudrat Ho Is Ke Liye Paidal Jana Afzal Hai Aur Wapsi Mein Sawari Par Aane Mein Harj Nahi. (Al Johrah Al Naiyarah Page 119)

Mas’ala:Aapas Me Mubarak Dena Mustahib Hai Aur Rasta Mein Buland Aawaz Se Takbeer Na Kahe. (Ref: Al Durr e Mukhtar Jild 03, Page 56)

 

Eid Ul Fitr Ki Namaz Ki Niyat

Niyat ki maine 2 rakat namaz Wajib Eid Ul Fitr ki, Zayed 6 Takbiro ke, Muh Kaaba shareef ki taraf, Picha is Imam ke, Allah o Akbar.

Namaz Eid Ka Tareeqa

Yeh Hai Ki Do Rak’At Wajib Eid Ul Fitr Ya Eid Al Azhah Ki Niyat Kar Ke Kaanon Tak Haath Uthaye Aur Allahu Akbar Keh Kar Haath Bandh Le Phir Sana Parhe, Phir Kaanon Tak Haath Uthaye Aur Allahu Akbar Kehta Huwa Haath Chodh De, Phir Haath Uthaye Aur Allahu Akbar Keh Kar Haath Chodh De Phir Haath Uthaye Aur Allahu Akbar Keh Kar Haath Bandh Le Yani Pehli Takbir Mein Haath Bandhay, Is Ke Baad Do Takbeeron Mein Haath Latakaye Phir Chothi Takbeer Mein Bandh Le. Is Ko Yun Yaad Rakhay Ke Jahan Takbir Ke Baad Kuch Parhna Hai Wahan Haath Bandh Liye Jayen, Aur Jahan Padhna Nahi Wahan Hath Chodh diya Jayen.  

Phir Imam Auozu Aur Bism Allah Aahista Parh Kar Jahr Ke Sath Alhamd Aur Surat Padhe, Phir Ruku O Sajda Kere, Doosri Rak’At Mein Pehle Alhamd O Surat Padhe Phir Teen Baar Kaan Tak Haath Le Ja Kar Allahu Akbar Kahe Aur Haath Na Bandhe Aur Chauthi Baar Baghair Haath Uthaye Allahu Akbar Kehta Huwa Ruku Me Jaye, Is Se Maloom Hogaya Ki Eidain Me Zayed Takbeerain Chhe (06) Huien, Teen Pehli Me Qira’T Se Pehle Aur Takbir Tehrima Ke Baad Aur Teen Doosri Me Qira’T Ke Baad, Aur Takbir Ruku Se Pehle Aur Un Chhouon Takbooron me Haath Uthaye Jayen Ge Aur Har Do Takbeeron Ke Darmain Teen Tasbeeh ki Qadar Saktaa Kare aur Eidain Me Mustahab yah hai Ki Pahle Rakat me Surah Jumuaa Aur Dosri Rakaat me Surah Al Munafiqoon Padhe.

 

Takbeer e Tashreeq

Aek Baar Buland Awaaz se Kahna Wajib aur Teen Baar Afzal Ise Takbeer e Tashreeq Kahte hain. (Bahar e Shariat)

 

Dua for Eid Ul Fitr

Shawwal Ke 06 Roze Ki Fazilat

Hazrat Aboo Ayyub Ansari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Ramdan-ul-Mubarak Ke Roze Rakhe, Phir Us Ke Baad Shawwal Ke Chhe (06) Roze Rakhe. Fazilat: Goya Us Ne Umr Bhar Ke Roze Rakhe.” [Muslim As-Sahih, 02/822, Raqam-1164, Tirmidhi As-Sunan, 03/132, Raqam-759, Aboo Dawood As-Sunan, 02/324, Raqam-2433]



No comments:

Post a Comment