Hazrat Gaus Ul Aalam Mehboob E Yazdani Makhdoom Sultan Syed Ashraf Jahangir Simnani


Hazrat Gaus Ul Aalam Mehboob E Yazdani
 Makhdoom Sultan Syed Ashraf Jahangir Simnani Alaihir Rahma Ki So (100) Saala Hayat E Muqadasa Par Ek Ijmali Nazar

Walid Majid ka Name Mubrak: Sultan Syed Ibrahim Noor Bakhshi Samani (King Of Simnan Iran)
Walida Majida Ka Naam: Bibi Khadija Begam (She belonged to the dynasty of Khwaja Ahmed Yeswi who was a distinguished Sufi (Mystic) of his time and founder of Yewaisia order)
708 Hajri Paidaish Ki Saal Hai Aur Sirf 05 Saal Ki Umr Mein Qirate Sab'aa Mein Quran Kareem Hifz Kiya.

722 Hijri Takmeel E Uloom O Funoon 14 Saal Ki Umr Mein.

723 Hijri Takht Nashini (King Of Sinmnan Iran) Walide Muhtaram Ke Wisal Ke Baad.

733 Hijri  Tarke Saltanat (Badshahat Chhodna) Muddate Khilafat 10 Saal.

735 Hijri  Baiat O Khilafat Simnan Se Pandwa Shareef Ka Faasla 2 Saal Mein Tamam Hua.
735 Hijri Se 741 Hijri (6 Saal) Pehla Qiyaam Pandwa Shareef.

742 Hijri Rawangi Pandwa Shareef Se.
742-43 (Ahde Sultanat Tuglaqya) Jonpur Mein Pehli Aamad.

Yaha'n Se Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Program Banaya Aur Ek Arsaa Tak Bilade Sharqiya Wa Mamalike Islamiya Ki Sair Farmate Rahe Jaziratul  Arab Ke Alawa "Misr" Rom" Shaam" Iraq" Aur Turkistan Ke Mukhtalif  Ilaqo Aur Shahron  Mein Bhi Aapka Guzar Hua Aur Us Waqt Ke Jumla
Mashaikhe Izam Aur Auliya E Kabaar Se Aapne Fayuz Wa Barkaat Hasil Kiye.

750 Hijri Mein Haji Nizam Yamni Moallif "Lataif E Ashrafi" Hazrat Gaus Ul Aalam Ke Silsila Iradat
Mein Daakhil Hue Jo Hazrat Ke Safar O Hazr Mein Aakhri Dum Tak Saath Rahe.

758 Hijri Hindustan Wapsi Mamalike Sharqiya Ki Pehli Sayahat Ka Zamana Pandra (15) Saal Qayaas Kiya Gaya Hai Bild Sharqiya Ki Wapsi Ke Baad Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Dusri Baar Safar Pandwa Shareef Ikhtiyar Kiya Aur 04 Saal Tak Apne Peer O Murshid Ke Fuyuz O Barkaat Hasil Farma Kar Harmain Shareefain Ki Ziyarat Ka Do Baara Qasd Kiya Issi Safar Mein Aap Apni Khala Zaad Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Geelan (Jilaan) Pahonche Aur Apne Bhanje Syed Abdur Razzaq Noorul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Farmaya Yeh Hijri 764-65 Ka Waqia Hai.
764 Hijri Ke Safar Ke Dauran Aap Apni Khala Zaad Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Gilan Pahonche Aur Apne Bhanje Hazrat Syed Abdur Razzaq Noor Ul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Kiya.
(Ref. Hayat E Gaus Ul Aalam Safa No.93)

768 Hijri Hindustan Ko Dobara Wapsi " " Mamalike Sharqiya Ki Dusri Sayahat Galiban 10 Saal Par
Mushtamil Hai.

770 Hijri Mansab E Gausiyat Par Faiz Hona Bamuqam Gulbarga Shareef.

782 Hijri  Mehboob E Yazdani Ka Khitab Mila Bamuqam Rooha Baad Kichauchha Shareef Ussi Sana (Year) Mein Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Teesri Baar Apne Murshid Ka Niyaz Hasil Karne Ki Garaz
Se Pandwa Shareef Ka Safar Kiya.

804-805 Haijri Jonpur Mein Dusri Aamad (Ahad Sultan Ibrahim Saljoqi)
808 Hijri Wisal E Mubarak 28 Muharramul Haraam.
Mazaar Sharif Roohabad Kichauchha Shareef India.
(Ref. Gaus Ul Aalam & Sahaefe Ashrafi)

Aamad E Makhdoom Ashraf Jahaan'geer Simnani
Ki Khabar
Ba-Zubane Sultanul Hind Khwaja Gharib Nawaz

Risala Ghousiya Me Sultan Ul Hind, Khwaja E Khwajgaan,Hazrat Khwaja Moin-Ud-Din Hasan Chishti Ajmeri Alayhirrahmato Wa Ridwaan Tehreer Farmate Hain..!!
"Mere Silsile Me Ek Ghous "Jahaan'geer" Payda Hoga Aur Woh Tarakki Ke Saath Mere Silsile Ko Jaari Karega..!!"

Huzur  Ashraf  Simnaa  Ke Naam  Ka Sadqa
Hamari Jholiya Bhar Dijiye Ya Garib Nawaz

Aabad Rahe Ashraf Ka Chaman
Ya Khwaja Moeen-Ud-Din Hasan

!!.. Ashrafi Naaz Ker Tu Ashraf Per ..!!
!!.. Koun Paata Hai Khandaan Aysa ..!!

Murshid E Makhdoom E Simna Qutb E Bangaal
Shah Alaaul Haq Pandavi Radiyallahu Anhu

Urs:- 23, Rajabul Murajjab, Mazar :- Pandva Sharif, (West Bengal India Neer Katihar)
Aap Kon the ???
Hazrat Sayyedna Makhdoom Alaul Haq Pandvi Chishti Radiyallahu Anhu Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simanani Radiyallahu Anhu Ke Pir O Murshid He Aur Aaina E Hind Hazrat
Sayyedna Makhddom Sirajuddin Akhi Chishti
Radiyallahu Anhu Ke Khalifa He Aur Ye Aaina E Hind Hazrat Sayyedna Makhddom Sirajuddin Akhi Chishti Radiyallahu Anhu Sultanul Mashaikh Hazrat Sayyedna Khwaja Nizamuddin Aulia Mehboob E Ilahi Radiyallahu Anhu Ke Chahite Khalifa He.
(Ref. Sajra Aalia Qadri Chishtia Ashrafi)


Shaan-E-Makhdoom Ashraf Jahangir Samnani

Hazrat Meer Auhaduddin Sulatan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani(R.A) Tasanif-E-Kaseera They, Apke Khama-E-Paak Se Jo Sufiyana Tahreere Mukhtalif Unwaan Par Hai Sange Meer Ki Hasiyat Rakhti Hai, Haq Ta'ala Ne Ilm-E-Ladunni Ke Darwaza Ap Par Parwah Kar Diye The. Apki Zyadatar Tasaneef Safar Mein Raqam Hui Hai Safar Mein Qutub Khana Sath Sath Hota Tha Muta-Alaa Bahut Wasi Tha, Aap Mushkil Ash-aar Par Hazir Jawab The.
Hazrat Makhdoom-E-Paak Ne Khaas Taur Par Ilm-E-Tasawwuf Par Hazrat Noor-Ul-Ain Ki Farmaish Par Fatawa-E-Ashrafiya Tasneef Ki,
Fusoos-Ul-Hukm Ki Sharayi Likhi,
Qawaid-Ul-Aqaid Arabi Mein Douran E Makka Sharif Likhi,
Sheikkh Shahabuddin Soharawardi Ki Mash'hoor Kitaab Awariful-Ul-Muarif Ki Sharah Likhi,
Ashraf-Ul-Fawaid Gujrat Mein Taleef Farmayi,
Unme Aksar Risail Napaed Hai Kyoki Ye Risayil Aksar Safar Mein Likhe Gayi Thi.
Gaus Ul Alam Mehboob-E-Yazdani Hazrat Meer Auhaduddin Sultan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani(R.A.) Kichauccha Sharif Has Written A Number Of Books On Different Subjects Which Indicate That He Was An Unparalleled Savant Of Theology And Other Related Subjects Of His Time. Books Written By Him Are As Follows:
(1)   Kanzul Asrar.
(2) Lataef E Ashrafi

(3) Maktubate Ashrafi

(4) Sharhe Sikandar Nama

(5) Sirrul Asrar

(6) Sharhe Awereful Marif

(7) Sharhe Fosusul Hakam

(8) Quawaedul Aquaed

(9) Ashraful Ansab

(10) Bahrul Azkar

(11) Ashraful Fawaed

(12) Ashraful Ansab

(13) Fawaedul Ashraf

(14) Tanbihul Akhwan

(15) Bashara Tuzzakerin

(16) Basharatul Ikhwan

(17) Musta Lehate Tasuwwuf

(18) Manaquibe Khulfae Rashedin

(19) Hujjaluzza Kerin

(20) Fatwa Ashrafia

(21) Tafseere Noor Bakhhia

(22) Irshadul Ikhwan

(23) Resala Wahdatulwajud

(24) Resala Dar Tajweze Tane Yazid

(25) Bahrul Haquaeque

(26) Nahve Ashrafia

(27) Kanzuddaquaeque

(28) Basharatul Mureedin

(29) Diwan–E–Ashraf.



Hazrat Syed Abdur Razzaq Noorulain
Jaame Lataif E Ashraf (Hazrat Nizam Yamani Rahmatullah Alaih) Qareebtees (30) Saal Safar Aur Hazar Mein Haazir E Khidmat Rahe Us Muddat Mein Kabhi Yaad Nahin Ki Hazrat Makhdoom Ashraf Ne Koi Hukm Farmaya Ho Aur Hazrat Syed Abdur Razzaq Noorulain Ke Siwa Dusre Ne Uski Baja Aawri Mein Sabqat Ki Ho.
(Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.172)
Hazrat Sayyedna Makhdoom Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Aulad E Gous E Aazam He :-

1. Qutb E Rabbani Gous E Samdani Sultan Mira Mohyuddin Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

2. Hazrat Sayyedna Taajuddin Abdur Razzaq Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

3. Hazrat Sayyed Abu Swaleh Nasr Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

4. Hazrat Sayyed Abu Nasr Mohammad Jilani Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

5. Hazrat Sayyed Zahiruddin Ahmed Jilani Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

6. Hazrat Sayyed Saifuddin Yahya Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

7. Hazrat Sayyed Shamshuddin Mohammad Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

8. Hazrat Sayyed Alauddin Ali Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

9. Hazrat Sayyed Badruddin Hasan Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

10. Hazrat Sayyed Abul Abbas Ahmed Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

11. Hazrat Sayyed Abdul Gafoor Hasan Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

12. Hazrat Sayyed Abdur Razzaq Noorul Ain Jilani Ashrafi Radiyallahu Anhu…
Aala Hazrat Farmate Hain …
“Teri Nasle Paak Me He Bachcha Bachcha Noor Ka
Tu He Aine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka”
Ek Martaba Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani Radiyallahu Anhu Ne Hazrat Sayyedna Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Se Farmaya Ki…
“Mene Apne Aap Ko Tum Par Mukammal Nisaar Kar Diya Aur Tumse Koi Dareg Na Ki Aur Tumhari Aulad Ke Haq Me Allah Ta’ala Se Ye Bhi Darkhwast Ki He Ke Hamesha Maqbool O Mas’ood Rahe”

“Aur Tumhari Aulad Ke Har Tabqe Me Ek Rijaalul Gaib Aur Majzoob Hoga Aur Ek Aisa Shakhs Hoga Jiske Andar Meri Haalat Utar Aaegi”

Hazrat Sayyedna Sarkar Makhdoom Paak Radiyallahu Anhu Ne Farmaya Ke “Buzurgo Ko Roohe Unki Aulad Ke Sath Rehti He”
(Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani)

Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simani Radiyallahu Anhu Ne Hazrat Sayyedna Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Se Farmaya Ke..

“Mene Tumhari Aulad Ko Khazana E Ilahiya Me Sharik Kiya Hai Aur Haq Ta’ala Se Darkhwast Ki Hai Ki Agar Abdur Razzaq Ki Aulad Qaane’a Ho Yaani Duniya Se Be Ragbat Ho To Unko Kisi Ka Mohtaj Na Karna. Adna Si Tavajjoh Se Unke Kaam Ban Jaaenge”
Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simani Radiyallahu Anhu Ne Farmaya Ke “Farzanadane Noorul Ain Azizul Vujud Honge. Main Hayaat Va Mamaat Me Unke Sath Hoon Uske Baad Aapne Ye Do Sh'er Padhe” (Jiska Tarjuma Ye He)

“Jo Shakhs Aulia Ko Murda Samajhta He Wo Khud Murda He. Aulia Zinda Hai. Ashraf Zinda He, Murda Nahi. Jaha Se Use Pukaroge Pahonch Jaaege”

(Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani)



Hazrat Syed Abdur Razzaq Noor Ul Aain
Ka
Shajra E Nasab

Huzoor Muhammad Mustafa Sallallahualaihiwasallam
Syedatuna Fatematuz Zahra Radiyallahuanha
Imam Hassan Mujtaba Radiyallahuanhu
Syeduna Hasanul Mussana Radiyallahuanhu
Syeduna Abdullah Mahaz Radiyallahuanhu
Syeduna Musa Joon Radiyallahuanhu
Syeduna Abdullah Saani Radiyallahuanhu
Syedna Musa Saani Radiyallahuanhu
Syedna Daud Radiyallahuanhu
Syedna Syed Muhammad Radiyallahuanhu
Syedna Yahya Zahid Radiyallahuanhu
Syeduna Abdullahil Jeeli Radiyallahuanhu
Syeduna Abu Saaleh Musa Jangi Dost Radiyallahuanhu
Al Qutbur Rabbani Wal Gaussus Samdani Wal Mahboobus Subhani Syedna Abu Muhammad
Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani Radiyallahuanhu
Syedna Abu Bakrin Tajuddeen Abdur Razzaq Radiyallahuanhu
Syeduna Abu Saaleh Imaduddeen Radiyallahuanhu
Syeduna Abu Nasr Muhammad Radiyallahuanhu
Syeduna Saifuddeen Yahya Hamaviyu Radiyallahuanhu
Syeduna Shamsudeen Jeeli Radiyallahuanhu
Syeduna Alauddeen Ali Radiyallahuanhu
Syedna Badruddeen Hassan Radiyallahuanhu
Syedna Abul Abbas Ahmad Radiyallahuanhu
Syedna Abdul Gafur Jeeli Radiyallahuanhu
Syeduna Makhdumul Aafaq Syed Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahuanhu
Sadate Kichauchha Sharif Ka Nasab Hazrat Syed Abdur Razzaq Noor Ul Aain Se Milta Hai.

Noorul Ain" Khitaab Ki Wajah

Hazrat Sayyedna Abdurrazzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Hazrat Mahkhdoom Ashraf Jahaangir Simnani Radiyallahu Anhu Se Aese Maanus Huve Ke Har Waqt Khidmate Aqdas Me Haazir Rehte The. Aapke Waalidain Karimain Ne Jab Aapki Is Bepanaah Aqidat Va Muhabbat Ko Dekha To Apne Huquq Maaf Kar Diye Aur Aapko Hazrat Sayyed Makhdoom Ashraf Jahaangir Simnani Radiyallahu Anhu Ke Supurd Kar Diya. Hazrat Makhdum Paak Radiyallahu Anhu Ne Aapko Qubul Farmaya. Uloom Va Funoon Se Aaraasta Kiya.Ruhaani Aur Baatini Talkin Va Tarbiyat Farmayi. Suluk Ki Manaazil Tay Karaayi.Aapko Ilm-E-Ma'arifat Aur Ishq-O-Muhabbat Ke Aala Darja Par Pahucha Diya..
Ek Martaba Hazrat Makhoom Sayyed Ashraf Jahaangir Simnani Radiyallahu Anhu Ke Saamne Buzurg Zaadgi Ka Zikr Aaya To Aapne Farmaya….
" Buzurgzaade Buzurg Logo Ke Tarike Par Kam Paaye Jaate Hai Aur Mai Aesa Buzurgzaada Rakhta Hu Ke Wo Buzurgzaada Hi Nahi Balke Uska Kaam Buzurg Paida Karna Hai. "
"Aur Log Aulad Ko Pusht Se Paida Karte Hai Aur Maine To Noorul Ain Ko Aankho Se Paida Kiya Hai."


Aur Ek She'ar Hazrat Makhdum Paak Radiyallahu Anhu Ki Zabaan Mubarak Se Nikla Jiska Tarjuma Ye Hai Ki…
"Maine Apni Aankho Ke Noor Se Kya Noor Dekha Hai Jo Meri Aankho Ka Noor Ban Gaya."
Us Din se Aapka Khitaab "Noorul Ain" Ho Gaya.
(Ref. Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani)


Zikr E Hazrat Noor-Ul-Ayn
Radiallaho Anho
Hazrat Makhdoom Ala-Ul-Haq Pandvi Ganj E Nabaat Alayhirrahmahto Wa Ridwaan Ne Kamal E Basharat Ke Saath Apne Murid E Khas Hazrat Mehboob-E-Yazdani Se Irshad Farmaya Ke.
Saiyyed (Syed Makhdoom ashraf Jahangir Simnani) Mubarak Ho Tumhare Farzand E Dini Ke Liye Baargaah E Parwardigar Me Khwahish Kee Hai Ke Tumhare Waste Farzand Sar-E-Halqa-E-Silsila Aur Tumhare Khandan Ka Peshwah Ho Aur Tumhara Naam Zamane Me Is Farzand Se Roushan Ho. Aur Woh Farzand Tumhare Khandan Ka Hoga !!!
Hazrat Mehboob-E-Yazdani Ne Farmaya ki..
Haq Ta'ala Ne Mujh Ko 2 Ne'mate Ata Ki Ek Sirr Aur Dusri Sar Dono Ko Farzand Noor-Ul-Ayn Ke Uper Se Qurban Ker Diya..!!
Hazrat Mehboob-E-Yazdani Ke Sam'ne Buzurg'zadgi Ka Zikr Aaya Farmaya.,
Buzurg'zade Buzirgon Ke Tariqe Per Kam Paaye Jaate Hai Aur Mai Aysa Buzurg'zada Rakhta Ki Buzurg'zada Nahi Balke Uska Kaam Buzurg Payda Karne Ka Hai  Aur Log Aoulad Ko Apni Pusht Se Payda Karte Hain Maine Noor-Ul-Ayn Ko Apni Aankhon Se Payda Kiya Hai Baa-Wajud Yeh Ke Karabat Ki Nisbaten Rakhta Hun..!!
Hazrat Noor-Ul-Ayn Radiallaho Anho Ki Umr Sharif 120 Saal Ki Thi..!!
Aap Ki Wiladat 752 Hijri Me Hui.
12 Baras Ki Umr Sharif Me Hazrat Mehboob-E-Yazdani Ki Khidmat Me Haazir Hue..!!
48 Baras Tek Hazrat Mehboob-E-Yazdani Ki Khidmat Me Rahe..!!
40 Baras Tek Hazrat Mehboob-E-Yazdani Ke Wisal E Zaheri Ke Baad Sajjada-E-Hidayat Per Rounak Afroz Reh Ker Bandgaan E Khuda Ko Faiz Pahunchate Rahe..!!
7 Zil'qada 872 Hijri Me Aap Ne Wisal Farmaya.
(Urs :- 7, Zilqa’ad, Mazar :- Kichhouchha Sharif)
Wisaal Sharif :- 7, Zilq'adatul Haraam, Hijri 872
Umr Sharif :- Ek So Bees/120 Saal

Mazar Sharif :- Aapka Mazar Sharif Hazrat Makhdoom Paak (Radiyallahu Anhu) Ke Gumbad Sharif Ke Andar Purab(East) Ki Jaanib Hai.
(Sahaaif E Ashrafi/Part-2/Page Nk.54 To 61)

Makhdoome Aafaaq Hazrat Sayyedna Abdurrazzaq " Noorul Ain" Ashrafi Jilani (Radiyallahu Anhu) Hazrat Sayyedna Makhdoom Sayyed Ashraf Jahaangir Simnani (Radiyallahu Anhu) Ki Khaala Zaad Bahan Ke Saahabzaade Hai.
Hazrat Sayyedna Abdurrazzaq "Noorul Ain" (Radiyallahu Anhu) Ke Paanch(5) Sahabzaade Huve.
Jis Waqt Hazrat Sayyedna Makhdoom Sayyed Ashraf (Radiyallahu Anhu) Ne "Aapko Apna Sajjaadanashin Banaaya To Aapse Ye Bhi Farmayake Apne Farzando Ko Bhi Khilaafat Va Sajjadagi Se Sarfaraz Karna."

Paancho Beto Ke Naam Ye Hai

Hazrat Sayyed Shamshuddin,

Hazrat Sayyed Hasan,

Hazrat Sayyed Hussain,

Hazrat Sayyed Farid,

Hazrat Sayyed Ahmed (Radiyallahu Anhum)."


Hazrat Sayyed Shah Hasan Qattal(Radiyallahu Anhu) Ko Hazrat Sayyedna Abdurrazzaq "Noorul Ain"(Radiyallahu Anhu) Ne "Apna Sajjadanashin Banaaya Aur Aaj Bhi Aapke Aulad Va Amjaad Me Aastana-E-Aaliya Ki Sajjadagi Qaayam Hai."


"Ashrafi Naaz Kar Tu Ashraf Par,

Kon Paata Hai Khandaan Aesa."


(Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani)
Hazrat Mahboob E Yazdani Awwal Safar Mein Iraq Se Sahabzadh Noor Ul Aain Ko Saath Liye Shaher Bukhara Mein Tashreef Laaye Aur Khwaja Naqshband Rahmatullahe Ta'ala Se Mulaqat Hui Toh Aapne Puchha, Baccha Kaun Hai? Hazrat Mahboob E Yazdani Ne Arz Kiya Ke Mera Farzand Hai Aur Maine Inko Apni Farzandi Mein Qubool Kiya Hai Yeh Ladka Aoulade Gaus Ul Saqlain Se (Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No.,65)

Hazrat Mahboob E Yazdani Ke Saamne Buzurg Zaadgi Ka Zikr Aaya, Farmaya : Buzurg Zaade Buzurgon Ke Tareeqe Par Kam Paaye Jaate Hain Aur Mai Aisa Buzurg Zaada Rakhta Hoo'n Ke Buzurg Zaada Hi Nahin Balke Uska Kaam Buzurg Paida Karne Ka Hai,! Aur Log Aoulad Ko Apni Pusht Se Paida Karte Hain, Maine "Noor Ul Aain" Ko Apni Aankhon Se Paida Kiya Hai (Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No.57)

Aadab E Peer O Murshid
Hazrat Makhdoom Ashraf Shah Jhahangir Simnani Radi'allahu Ta'ala Anhu Farmate Hain,
" Bargah E Ilahi Me Maqbuliyat Ka Mera Darja Agar Intehayi Bulandi Par Pahunche Ki Arshe Mo'alla Tak Mera Sar Jaye Tab Bhi Apne Murshid E Kamil Ke Aastane Par Hi Mera Sar Hoga.
(Seerat Fakhrul Aarefeen, 186)


Khandan e Ashraf e Simna (King of Simnan)
 Aur
 Mahmood Ghanavi
Mahboob E Yazdani Syed Makhdoom Ashraf Ne Rasala "Ashraf Ul Fawaid" Mein Farmaya Hai Ke Mere Khandan Ki Azmat Aur Shaan Buland Hai Yaha'n Se Tasawwur Karna Chahiye Ke Mahmoud Ghaznawi Jaise Badshah Hamare Buzurgon Ke Ghulam Zaado Ne Saltanat Aur Badshahat Ki Hai

Makhdum E Paak Ka Ek Budhe Lashkari Ko Arfaa Ke Din Haj Ko Bhejna
 

Peer Ali Baig Ek Muheem Ke Waste Lashkar Liye Ja Rahe The, Hazrat Mehboob E Yazdaani Ki Baargaah Me Dua Ki Darkhwast Ki, Aap Ki Dua Se Unko Fateh Haasil Huwi. Jab Fateh Ke Baad Peer Ali Baig Wapas Loute, Un'ke Lashkar Me Ek Budha Shakhs Tha Jo Saal- Haa-Saalo Se Ghaans Laya Kerta Tha. Us Budhe Shakhs Ne Nihaayat Hasrat Ke Sath Ye
Kahaa Ki, "Aaj Youn E Arfaa Hy..!! Haaji Apne Qaaba E Maqsud Ko Pahuche Hoge. Kya Achha Hota Ki Mai Bhi Es Doulat Se Sarfara Hota..!!" Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Ye Sun Ker Us Budhe Shakhs Se Farmaya, "Kya Tum Haj Kerna Chahite Ho..?" Usne Arz Kiya, Agar Ye Doulat Nasib Hoti Tou Kya Hee Achha Hota. Hazrat Ne Farmaya.. "Aao" Woh Shakhs Hazrat Ke Kareeb Aaya. Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Dast E Mubarak Se Isharah Kiya Aur Farmaya.. "Jaao" Bil-Four Es Farman Ke Woh Shakhs Qaaba Sharif Pahuch Gaya. Aur Manasiq E Haj Ada Ki Aur 3 Roz Tek Qaaba Sharif Me Raha Ek Din Us Ko Dil Me Khayal Aaya Ki, Kaash Koi Shakhs Mujh Ko Mere Watan Pahucha Deta. Es Khayal Ke Aate Hee Us Ne Hazrat Mehboob E Yazdaani Ko Wahaa Hazir Dekha..!! Hazrat Ko Dekhte Hee Wo Fouran Aap Ke Kadmo Me Gir Pada Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Farmaya Ki "Jaao" Us Ne Apne Sar Uthaya To Woh Apne Ghar Watan Me Moujud Tha.
!!.Subhanallah ..!!

!!.. Ashrafi Naaz Ker Tu Ashraf Per ..!!
!!.. Koun Paata Hai Khandaan Aysa ..!!




Gustakh-E-Ashraf Ka Anjam
Hazrat Makhdum Sultan Syed Ashrafjahaangeer Simnani Radiallaho Anho Ka Ma'amul Tha Ke Aap Namaz-E-Jum'aa Ko Safar Wa Hajar Me Kabhi Tark Nahi Farmate The Jab Tek Ke Aastana-E-Roohabaad Me Jame'a Masjid Taiyaar Nahi Ki Thi., Ba-Maqam Kasbah Sambhuli Jo Aastana-E-Roohabaad Se 7 Kows Ke Faasle Per Tha Namaz Padhne Tashrif Le Jate The. Es Qasbah Me Oulmah Kasrat Se Rehte
The. Baa'd Ada E Namaz-E-Jum'aa Wahaan Ke Mullaon Aur Talbah Me Se Ek Shakhs Ne Hazrat Mehboob E Yazdani Ki Khidmat Me Maslah Ilm-E-Kalam Pesh Kiya Ke Bandah Ikhtiyar Rakhta Hai Ke Be-Ikhteyar
Hai ??? Aur Teesri Baat Darmiyan Me Nahi Agar Ba-Ikhtiyar Kahe Tou Qadriyah Hote Hai Aur Be- Ikhteyar Kahe Tou Jabriyah Hote Hai.
Pas Mazhab Darmiyan Jabr Aur Qadr Ke Jo Kahaa Hai Woh Kya Hai???
Hazrat Mehboob E Yazdani Ne Farmaya Ke "Yeh Masla Agle Ulmaa Ko Bhi Mushkil Tha Lekin Ba-Zahir Aysa Ma'alum Hota Hai Ke Insan Ko Ikhteyar Zaheri Hai Aur Jabr Ma'anwi Hai.Jaysa Ke Muqaddamah Yazdawi Me Hazrat Imam Fakhr-Ul-Islam Ne Farmaya Hai. "Ikhtiyar Bil-Surat Wa Jabr Fil-Ma'aani" Woh Talib-E-Ilm Apne Ghurur-E-Ilm Se Dalaail Na-Ma'aqul Pesh Kerne Laga. Hazrat Mehboob E Yazdani Ko Na Samjha Uski Murad Apni Ilmi Qabeliyet Zahir Kerna Thi Aur Uski Baa'z Baato Se Hasad Ki Boo Aati Thi..!!
Hazrat Mehboob E Yazdani Ne Har Baat Ka Jawab Diya Yahan Tek Dalaail Aur Bahas Ko Tawalat Hui Ke Us Talib-E-Ilm Se Koi Kalmah Khilaf-E-
Adab Zahir Huwa Aur Hazrat Mehboob E Yazdani Ke Chehra-E- Mubarak Per Tajalli-E-Ism-Ul-Qahhar Zahir Huwi! Farmaya Ki "Abhi Teri Zuban Kaam Ker Rahi Hai..?" Yeh Farmate Hee Us Shakhs Ki Zuban Uski Munh Se Latak Padee..!! Phir Baat Kerne Ki Taqat Na Rahi..!! Tamam Hazerin-E-Majlis Es Waqe'aah Ko Dekh Ker Hayrat Me The Aur Hazrat Ke Samne Ma'azerat Ker Rahe The. Us Talib-E-Ilm Ki Maa Ek Gharib Budhiya Thi. Es Khabar Ko Sun Ker Hazrat Mehboob E Yazdani Ki Khidmat Me Hazir Hui Aur Nehayet Aajezi Wa Alhaah Se Ro-Ro Ker Arz Kerne Lagi. Hazrat Mera Yehi Ek Ladka Hai Aur Hindi Zuban Me Woh Arz Kerne Lagi. "Poot Bheek De" Jab Us Budhiya Maa Ki Aah Wa Zaari Hadd Se
Ziyada Guzri Tou Farmaya Ke. "Teer Nishane Per Pahuncha Huwa Wapas Nahi Aata Lekin Uski Zuban Uske Munh Ke Andar Aa Jayegi..!!
Magar Aasaar-E-Luknat Uski Zuban Se Na Jayega Balke Uski Jo Aoulad Payda Hogi Woh Bhi Hakli Payda Hogi Aur Koi Aalim Es Kasbe Me Zinda Na Rahega. Hazrat Maulana Nizamuddin Yamni Farmate Hai Ki Baad Chand Muddat Ke Mai Us Kasbe Me Gaya. Daryaft Kiya Tou Ma'alum Huwa Ke Woh Be-Adab Mar Gaya Uska Ek Ladka Moujud Hai., Uski Zuban Me Luknat Hai Aur Jo Kasbah Ulma Wa Foozla Se Bhara Huwa Tha Veeran Ho Gaya Baa'z Ulma Mar Gaye Aur Baa'z Ka Ilm Faramosh Ho Gaya Allah Tabarak Wa Ta'ala Har Shakhs Ko Buzurgaan-E-Deen Ki Khidmat Me Ba-Adab Rakhe..!!

Baa-Adab Baa-Nasib
Be-Adab Bad-Nasib

(Sahaaif-E-Ashrafi/Page No.232-33 Written By: Ham-Shabeeh E Ghous E Aazam Mehboob-E-Rabbani Hazrat Syed Ali Hussain Kichhouchhwi "Ashrafi Miyan" Alayhirrahmato Wa Ridwaan)

 
Hazrat Meer Auhaduddin Sultan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani(R.A) Ne Farmaya Ki..

Haq Ta'ala Ne Mujhe Basharat Di Hai, Jo Shaks Tera Ye Kalaam Padega Wo ---Daakhil-E-Hasnaat--- Hoga.
(Lataif-E-Ashrafi P-16,17)

Muddat Tees (30) Saal Tak Mere Wuzoo Ka Bacha Hua Paani Is Farzand Ne Piya He Allah Ta'ala Ki Bargah Mein Maine Dua Ki Hai Ke Aasar Is Aabe Hayat Ke Aur Barkaten Aur Fawaid Uske Farzand
Noor Ul Aain Aur Unki Aulad Mein Qayamat Tak Baaqi Rahega Be Hurmate Nabi.
(Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No.65)

770 Hijri Ko Mahboob-E-Yazdani Maqam E Roohabad Mein The Ke Ek Kaseer Jama'at, Das Hazaar Aadmiyo Ki Mahboob-E-Yazdani Ke Daste Mubarak Par Sharf E Iradat Se Musharraf Hue (Mureed Hue)
Tamam Mureedo'n Ke Naam Hasbe Dastur Daftar Mein Likkhe Jaate They Jab Daftar Mureedo'n Ka Bahut Ho Gaya, Khudam Ne Arz Kiya Ke Kasrat Mureedo Khulafa Is Qadar Hai Ke Uski Hifazat
Mushkil Hoti Hai,
Mahboob-E-Yazdani Ne Farmaya Ke Mureedo'n Ka
Daftar Utha Lao, Logon Ne Haazir Kiya- Hazrat Ne Apne Daste Mubarak Mein Daftar Ko Uthaya Aur Ek Ek Warq Paani Mein Dhone Lage Aur Farmaya Ke Maine Unke (Mureedo'n Ke) Gunaho Ke Naam E Aamaal Dho Diya Aur Magfuro'n Mein Unke Naam Likkhe Gaye Hain, Haq Ta'ala Se Maine Khwahish Ki Hai Ke Koi Shaher Aur Koi Zameen Aur Koi Jangal Purab, Pachhim, Utar, Dakhan Mein Mere Mureed O Khulfa Honge Magar Dozakh Mein Koi Mera Mureed O Khalifa Nazar Nahin Aayenge.
(Sahaaif E Ashrafi Jild 1 Safa No.145)
Hazrat Abdur Razzaq Noor Ul Aain Farmate Hain Ke Ek Roz Hazrat Mahboob-E-Yazdani Par Ajeeb Kaifiyat Taari Thi Saathiyo Se. Basharat Aamez Baaten Farma Rahe They Ussi Dauran Meri Taraf
Tawajoh Ki Aur Dekhte Rahe Phir Basharat Ke Saath Farmaya: Maine Apna Sab Kuchh Tum Par Nisaar Kar Diya Hai Koi Juzw Tum Se Bacha Kar Nahin Rakkha Aur Tumhare Farzando'n Ke Liye
Haq Ta'ala Se Darkhwast Ki Hai Ke Hamesha Mas'ood Wa Maqbool Rahen Aur Yeh Ke Un Mein Har Tabqe Mein Ek Rijalul Gaib Mein Se Aur Ek Majzub Hoga.
(Lataaif-E-Ashrafi Jild 7 Safa No.177)
Hazrat Abul Fazl Nizamuddeen Yamani Rahmatullahe Ta'ala Alaihe Jame Lataaif-E-Ashrafi " Apna Haal Yu'n Bayan Karte Hain Ke Ek Maqam Par Mera Guzar Hua, Ittafaqan Meri Nazar Ek Khubsurat Aurat Par Parhi Mera Dil Uske Ishq Mein Aisa Giraftar Hua Ke Uski Wajah Se Khana Peena Chhut Gaya, Yeh Raaz Kisi Par Zaahir Nahin Tha Jab Hasbe Maamul Mahboob-E-Yazdani Ki Khidmat Mein Haazir Hua, Jaise Hi Huzoor Ki Nazar Mujh Par Parhi Aap Muskuraye Aur Qissa Ishqe Majnu Zuban Par Aaya
Farmaya Ke Allah Ta'ala Ne Majnu Ko Sharfe Ishqe Haqeeqi Se Musharraf Farmaya Tha, Dusro'n Ke Liye Aisa Ishq Majazi Nuksan Pahonchata Hai,
Hazrat Ke Farmate Hi Mere Dil Se Us Aurat Ka Ishq Jaata Raha Yeh Aapke Tasarruf Ka Asar Tha Warna Aatishe Ishq Ka Jaana Muhaal Hai.
(Sahaaif-E-Ashrafi Jild 1 Safa No.251)
Hazrat Sultan Syed Makhdoom Ashraf, Gaus Ul Aalam Mehboob E Yazdani Ne Khidmat E Babarkat Walidah Majidah Mein Haazir Ho Kar Ijazat Talb Ki Ke Agar Hukm Ho Toh Mai Is Saltanat E Duniya Ko Tark Kar Ke Faqr Ikhtiyar Karun Aur Badshat Mulke Aakhirat Haasil Karun, Hazrat Ki Walidah Ne Farmaya "Ay Farzand Tum Paida Bhi Nahin Hue They Usse Pehle Hamare Jadde Amjad Sultan Ul Aarifeen Khwaja Syed Ahmad Rahmatullah Alaihe Ne Khwab Mein Basharat Di Thi Ke Tum Ko Aisa Farzand Nasib Hoga, Dunia Uski Aaftab E Wilayat Ki Chamak Se Roshan Ho Jaayegi Aur Uski Noor E Hidayat Ki Badolat Jahan Se Gumrahi Mitjaayegi.
 (Sahaefe Ashrafi Safa Jild 1 Safa No.73)
Hazrat Mahboob E Yazdani Gaus Ul Aalam Sultan Syed Makhdoom Ashraf Ne Farmaya Ke Har Is Faqeer Ko Is Qadar Mashaikh E Kasira Se Faiz Haasil Hua Hai Ke Jiski Sharah Had Se Bahaar Hai Lekin Yeh Banda Khaash Parwarish Yafta Khandan E Chisht Ahle Bahisht Ka Hai.
 (Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No37)

Hazrat Khwaja Nizamuddeen Yamani Lataaif E Ashrafi Mein Farmate Hain Ke Mai 30 Baras Kamil Hazrat Mahboob E Yazdani Ke Hamrah Safar O Hazar Mein Haazir Raha Is Muddat Mein Mujh Ko Yaad Nahin Ke Hazrat Mahboob E Yazdani Ne Agar Kisi Kaam Ke Liye Irshad Farmaya Siwaye
Sahabzaadah NoorUlAain Ke Koi Sabqat Na KarSaka.

(Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No.56)
Mahboob E Yazdani Gaus Ul Aalam Sultan Syed Makhdoom Ashraf Jahangeer Ne Farmaya Ke Hum Ne Abdur Razzaq Aur Uski Aulad Ko Khazana E Ilaahi Se Mila Diya Hai Agar Iski Aulad Qana'at Ikhtiyaar Karegi Toh Hum Ne Baargahe Haq Mein Dua Ki Hai Ke Khabhi Kisi Ke Mohtaj Na Honge.
(Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.175)
Makhdoom Paak Ne Noorul Aain Ke Haath Mubarak Ko Pakad Kar Farmaya Ke Baba Haji Abdur Razzaq Hum Ko Apne Se Juda Na Jaano.
(Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.202)
Hazrat Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Ka Ilm Ajeeb Khudadaad Ilm Tha Ke Aap Roohe Zameen Mein Jaha'n Tashreef Le Gaye Wahi'n Ki Zuban Mein Taqreer Karte Aur Ussi Zuban Mein Kitab Likkh Kar Waha'n Ke Logon Ke Liye Chhod Aate.
(Sahaefe Ashrafi Jild 1 Safa No.115)
Do You Know This also....?
4 Million Non- Muslims Accepted Islam At The Hands Of Hazrat Meer Auhaduddin Sultan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani(R.A)[Rahmatullah Taa'la Alaiy]...
Sirajul 'Arifeen Zubdat As-Sualiheen, Ghous Al-'Alam Sultan Hazrat Sayed Makhdoom Ashraf
Jahangeer Simnani (Radi Allahu Ta'ala Anho) The Reformer And Revivalist (Mujaddid) Of The 8th
Century (Hijrah).


Books Related To
Gaus Ul Alam Mehboob-E-Yazdani Hazrat Meer Auhaduddin Sultan Sayed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani (R.A.)Kichauccha Sharif.(U.P), India, As Follows :-
1. ^ 'Hayate Syed Ashraf Jahangeer Simnani' By Syed Waheed Ashraf Published In 1974, India .

2. ^ ‘'Muqaddema-E- Latāif-E-Ashrafi' Book In Persian, Published By Maharaja Sayajirao University Of Baroda, Vadodara, Gujarat, India

3. ^ Akhbarul Akhyar' By Abdal Haqq Muhaddith Dehlwi [D.1052h-1642 Ce ]. A Short Biography Of The Prominent Sufis Of India Have Been Mentioned In This Book Including That Of Hazrat Syed Ashraf Jahangeer Simnani.

4. ^ Sufi Martyrs Of Love: The Chishti Order In South Asia And Beyond By Ernst, Carl W. And Lawrence, Bruce B., Publisher=Palgrave Macmillan, New York.

5. ^ ‘An Overview Of Sufi Literature In The Sultanate Period’ By Dr. Bruce B Lawrence, Khuda Bakhsh Oriental Public
Library, Patna.


6. ^ 'Society And Culture In Medieval India 1206-1556 A.D By Rashid, A. In 1969, Publisher Firma K. L. Mukhopadhyay.

7. ^ 'Lataife Ashrafi' By Ashraf Jahngir Simnani, Compiled By Nizam Yemeni, Edited And Annotated By Syed Waheed Ashraf And Published In 2010, Publisher Makhdoom Syed Ashraf Jahangir Academy,17 Kalyan Society, Outside Pani Gate, Baroda-390019, Gujarat, India .

8. ^ 'Zikre Ashraf' By Maulana Syed Qadeer Ahmad Ashrafiul Jilani, Published 1974

9. ^ 'Historical Dictionary Of Sufism By John Renard, The Scare Crow Press, Inc, 2005, Isbn 0-8108-5342-6 , Page 222
10. ^ Dictionary Of Indo Persian Literature By Nabi Hadi, Abhinav Publications, New Delhi, 1995, Page 93


11. ^ Biographical Encyclopaedia Of Sufis: South Asia By N. Hanif, Sarup & Sons, Newdelhi 2000, Page 28

12. ^ The Rise Of Islam And The Bengal Frontier, 1204-1760 By Richard Maxwell Eaton, Univesity Of California Press, 1993, Page 71,

13. ^ The Throne Carrier Of God: The Life And Thought Of Ala'ad-Dawla As-Simani By Elias J Jamal , State University Of Newyork Press, 1995.

14. ^ The Sufi Saints Of Indian Subcontinent By Zahurul Hasan Sharib, Munshi Ram Manohar Publishers, India,2006, Page 144

15. ^ The Ruby In The Dust: Poetry And History Of The Indian Padmavat By Sufi Poet
Muhammad Jayasi By Thomas De Bruijn, Aup - Leiden University Press, 2012.



















2 comments:

  1. Masha Allah Allah hazrat ke aastane ki jiyarat karne ki taufeeq aur rafeeq ataa farmaaye

    ReplyDelete