Question 1 :
Kis Sahabi Kay Urs Par
Sab Say Zyada Log Jama Hotay Hai?
Answer 1:
Hazrat Tamim Ansari
(Radiallahanhu) Kay Urs Sharif Jinki Mazar Kolam Sharif Samundar Kay Kinaray
Madras Chennai Main Hai Aur Usi Tarah Hazrat Bilal Habsi(Radiallahanhu) Jinki
Mazar Damascus Mulkay Sham Main Hai, Hazrat Salman Farsi (Radiallahanhu) Iraq,
Hazrat Ali (Radiallahanhu) Najaf, In Sahabi Kay Urs Par Sab Say Zyada Log Jama
Hotay Hai.
Question 2 :
Nabi Pak (ﷺ) Kay Daur Kay Mashoor Qawaal Ka Naam Batao
?
Answer :
Qawaal Kay Manay
Buzrgo Kay Qaul Gane Wala Haqqani Chezian Ganay Wala...Dekhye Urdu Ki Mashoor
Lugat Ki Qitab " Firazul Lugat" Page 949 Writer Molvi Firozudin
Deobandi. Nabi Pak (ﷺ) Ki Bargah Kay Mashoor Naat Khwaan Aur Shayar Hazrat Hassan Bin
Thabit, Hazrat Abdullah Ibn Rawah, Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanha
Ajmain) Hai. Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanhu) Nay Sab Say Pehla Burda
Sharif Likha "Banat Suad" Is Ka Naam Hai English Main Isay "The
Poem Of The Scarf" Bhi Kehtay Hai Jisay Aap Nay Aqa (ﷺ) Ko Sunaya Is Par Nabi Pak (ﷺ) Bohat Kush Huye Aur Aap (ﷺ) Nay Inko Apni Kamli (Scarf) Mubarak Tohfay Kay Taur Par Diya,
Ye Kamli Mubarak Sahaba E Karam (Radiallahanha Ajmain) Jab Jang May Jatay To
Apnay Sath Lejatay Aur ALLAH In Sahabiyo Ko Fatah Dila Deta Aaj Bhi Ye
Kamli(Scarf) Turkey Main Topkapi Palace Main Rakhi Hai, Is Tarah Nabi Pak (ﷺ) Ki Shaan Mai Ye Sahaba (Radiallahanha Ajmain) Aksar Kalaam
Padtay Aur Nabi Pak (ﷺ) Khud In Kay Liye Ethmam Farmatay Balki Inaam Bhi Ata Farmatay {Ref : Mishkat Sharif
Page 410, Bukhari Sharif Volume 1 Page 100, Bukhari Sharif Volume 2 Page 773,
Shara Muslim Volume 1 Page 49}
Question 3 :
Sahaba Karam Nay Sab Say
Pehlay Jis Mazar Par Chadar Chadaye Wo Kaunsi Rang Ki Thi ?
Answer :
Sahaba Karam Nay Sab
Say Pehlay Jis Mazar Par Chadar Chadaye Wo Nabi Pak (ﷺ) Ka Mazar Pur Anwar Hai Jis Par Surkh(Red) Rang Ki Chadar
Chadai Gaye {Muslim
Saharf Volume 1, Kitab-Ul-Janaiz Hadees 2136}
Question 4 :
Sab Say Pehlay Jis Sahabi
Nay Eid Milad Un Nabi Pak (ﷺ) Manaya Unka Naam Kya Hai? Isi Sawal Ko
Kaye Log Is Tarah Bhi Puchtay Hai Ki Kis Sahabi Nay Nabi Pak (ﷺ) Ka Urs Manaya To In Dono Sawal Ka Jawab
Ek Hi Hai Kyun Ki Milad 12 Rabi Ul Awwal Ko Manaya Jata Hai Jo Ki Nabi Pak (ﷺ) Ki Paidaish Aur Parday Ki Tariq Hai Is
Din Hi Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain Khas Mehfil E Milad Rakhtay Madina
Sharif Main.
Answer :
Nabi Pak (ﷺ) Ka Milad Sab Say Pehlay Khud ALLAH Subhanwatala Nay Manaya Wo
Bhi Ambiya Ki Jamat May Alam-E-Arwah Main Jahan ALLAH Nay Tamam Ambiya Alaih
Salam Say Gawahi Li Aur Apnay Mehboob Mohammed (ﷺ) Par Iman Lanay Ki Baat Kahi { Ref : Quran Sharif Para 3, Surah
Ale Imran Ayat 81 And 64, Surat Tauba Ayat 128.} Iskay Baad Nabi Pak (ﷺ) Nay Khud Apna Milad Bayan Farmaya { Ref Mishkat Sharif
Page 513, Muslim Sharif Volume 1 Page 138 & 282, Tirmadi Volume 2 Page 203}
Aur Sahab Karam Main
Koi Aisa Sahabi Nahi Hai Jis Nay Milad Nabi Pak (ﷺ) Na Manaya Ho, Sahaba Karam Ka To Khas Kaam Raha Hai Ki Aap
Jaha Bhi Jatay Milad Padtay Apnay Nabi Ki Tarif Aur Tausif Bayan Kartay Yahi To
Milad Hai Pura Quran Sharif Hai Kya Siwaye Milad E Mustafa(Sal Lal Laho Tala
Alaihi Wasalm) Aur Deegar Ambiya Karamy Ki Tarif Hi To Hai Yahi Milad Hai.
Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) Main Say Khas Taur Par Nabi Pak (ﷺ) Ka Milad Padhnay Walay Hazrat Amir Ansari (Radiallahanhu) Hai
{ Ref : Islak Moaazam Page 79} Aur Hazrat Jaffar Tayyar (Radiallahanhu) Hai Jin
Hone Najashi Badsha Jo Ki Abyssinia (Ethiopia) Ka Raja Tha Aur Christan Tha Us
Kay Darbar Main Nabi Pak (ﷺ) Ki Milad Padhi Aur Bataya Ki Hamaray Nabi Pak (ﷺ) Kya Hai Unka Martaba Kya Hai Aur Unkay Farman Kya Hai { Ref : Bukhari
Sharif, Muslim Sharif, Ibn Maja, Baab-E-Hadees "Al Hijrat"}
Hazrat Abu Bakar
Siddiq (Radiallahanhu) Nay Nabi Pak (ﷺ) Nay Bohat Sa Khana Banwaya Aur Fatiha Padha Us Khanay Par Aur
Puray Madina Sharif Main Taksim Kiya Jab Logo Nay Pucha Ki Aaj Kya Hai To Digar
Janay Walo Logo Nay Farmaya Ki Aaj Nabi Pak (ﷺ) Ka Urs Hai (Fathul Ma'ani)
Question 5 :
Jo Sahaba Karam Ya Rasool
ALLAH Al Madad Ya Ali Al Madad Ka Nara Lagatay Unkay Naam Bataye?
Answer :
Ya Mohammed Ya Rasool
Allah (ﷺ) Ka Nara Lagana Pukarana Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) Ki
Sunnat Hai {Ref : Muslim Sharif
Vol2 Bab-E-Hadis "Al Hijrat", Ibn Maja Volume1 Page 419, Tirmadhi
Volume 2 Page 197, Bukhari Sharif Page 193,}
Hazrat Qaab –Ibn -Hamza
(Radiallahanhu) Nay Yahi Nara Lagaya (Fatwa As Sham Page 298) Aur Mashoor Sahabi Hazrat Abdullah Ibn Umar (Radiallahanhu) Kay
Jab Pair Sun Hogaya To Aap Nay Ya Mohammed Keh Kar Pukara {Shifa Sharif Vol2
Page 20, Bukhari Sharif Adab Al-Mufrad Page No 404 Hadith No. 964}
Ya Ali Al Madad Kehna
Bhi Jayaz Hai (Tirmidhi
Sharif Abwabul Anaqib 3713) Huzoor Nabi Pak (ﷺ) Nay Khud Farmaya Main Jiska Madadgar Hu Ali Uska Madad Gaar
Hai.
Question 6 :
Sahaba Karam
(Radiallahanha Ajmain) 12 Rabiul Awaal Sharfi Ko Kis Rang Ka Jhanda Lehratay
Thay?
Answer :
Sahaba Karam Nay
Amad-E- Nabi Pak (ﷺ) Par Mukhtalif Kism Kay Jhanday Lehra Kar Apni Kushi Ka Izhar
Kiya Hai
{ Madarajatul Nabuwat
Vol 2 Page 62} Balki Mashoor Sahabi Hazrat Barida Aslami Nay To Apnay Amama
Sharif Ko Jhnada Banakar Apnay Nezay Par Lehraya Tha { Madrajajatul Nabuwat
Vol2 Page 62}
Note :
Aap Kay Mutalbay Par
Quran Aur Hadees Sharif Ki Roshni Main Aap Kay Sawalat Kay Jawab Dekhar Humnay
To Sahi Aqida Musalaman Honay Ka Sabut Pesh Kardiya Magar Inhi Batao Ko Shirk
Aur Biddat Bata Kar Bhole Bhale Musalamano Ko Gumrah Karnay Wale Kya Sahi Aqida
Musalamn Ho Saktay Hai?
Kya Quran Aur Hadees
Kay Farman Ko Shirk Aur Biddat Kehnay Wala Kya Musalman Ho Sakta Hai?
Kya Har Wo Cheez Jo
Nabi Pak (ﷺ) Kay Zamanay Main Na Thi Ya Isko Kisi Sahabi Nay Na Kiya Ho To
Kya Wo Har Chiz Shirk Aur Biddat Hai Insaf Kijye.
1) Kya Qayda Baghdadi
Jo Hum Bachpan Main Padtay Hai Say Lekar Bukhari Sharif Tak, Dars-E-Nizami Ki
Tamam Kitabay Alawa Quran Sharif Kay Na Nabi Pak (ﷺ) Kay Zamany May Thi Na Sahaba Karam Wa Tabaey Nay Isko Padha
Aur Na Padhaya.
2) Baad Namaz Fajar
Bila Naga Quran Sharif Ki Tilawat Karna Na Nabi Pak (ﷺ) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Say Na Kisi Tabaeen Say.
3) Baad Namaz E Isha
1000 Martaba Pabandi Say Darood Sharif Padhna Na Nabi Pak (ﷺ) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Na Kisi Tabaen Say.
4) Masjidon Ko Pokhta
Banana, Minar Banana, Ghumbad Aur Mehrab Lagana, Masjido Main Shandar Kalin
Bichana, AC Lagana, Paint Lagwana, Har Waqt Ki Namaz Ka Ghadi Kay Time Say Waqt
Fix Karna, Madarso Kay Liye Zamin Wakaf Karna, Mustakil Madarsay Banwana,
Madarso Main Talba Kay Rehnay Ya Khanay Ka Intezam Karwana, Madarso Main Chanda
Dena, Alim, Fazil, Mufti Waghyra Ki Dastar Bandi Karwana, Madaris Ka Salana
Jalsa Karwana, Deen-E-Kitabay Chapwana Aur Takseem Karna, Quran Majeed Par
Zeer, Zabar, Pesh Lagana, Azan Wa Namaz Main Mike, Loud Speaker Waghyra Ka
Istemal Karna Is Main Say Koi Bhi Cheez Na Nabi Pak (ﷺ), Wa Sahaba Ya Tabaen Kay Zamanay Main Na Thi Magar Aaj In
Chezo Kay Bagair Hum Apni Mazhabi Umoor(Kaamo) Ko Ada Nahi Kar Saktay. Aaj Ye
Sari Chezain Hamrai Mazhabi Shinaqt Hai Inkay Bagair Hum Apni Mazhabi Zindagi
Sahi Tarikay Par Nahi Guzar Saktay. Insaf Say Bataye Kya Ye Sari Chezain Bhi
Shirk Wa Bidat Hai Agar Nahi Aur Wakye Nahi To Isi Tarah Koi Nek Kaam Nabi Pak
(ﷺ) Kay Zamany Kay Baad
Kiya Jaye To Wo Bhi Shirk Aur Bidat Nahi Hoga. Haan Is Baat Ka Khyal Zaroori
Hai Ki Wo Shairyat Kay Khilaf Na Ho. Nabi Pak (ﷺ) Nay Khud Apnay Baad Achay Kaam Karnay Waley Ko Pasand Kiya Hai
Balki Aisa Kaam Karnay Walo Ko Dugna Ajar Wa Sawab Ki Kush Khabri Bhi Sunaye
Hai.
Hadith Sharif
Hazrat Jarir Ibn
Abdullah Bajli (Radiallahanhu) Say Riwayat Hai Ki Nabi Pak (ﷺ) Nay Irshad Farmay Ki Jo Shaksh Islam Main Acha Tariqa Ijaad
Kareyga Isay Iska Sawab Mileyga Aur Jitnay Log Iskay Bad Is Par Amal Karengy Wo
Sab Kay Barabar Isay Sawab Mileyga.
Ref.
{Musnad Ahmad Ibn
Hambal Vol 5 Page 547 / Muslim Sharif Kitab Uz Zakat Page 327/ Kitabul Ilm Page
341/ Nisayee Sahrif Kitab Uz Zakat Page 356/Mishkat Sharif Page 33}
Tawajo Farmaye
Milad,
Qayam,Fatiha,Isale Sawab, Darood-O-Salam, Waghaira Mamulat Ahle Sunnat Wal
Jammat Agar Bazahir Daur-E-Sahaba Main Apko Nazar Nahi Atay To Kya Sirf Isi
Buniyad Par In Chezo Ko Aur Inkay Alawa Dusray Neek Kamo Ko Jiska Zikr Pehlay
Guzar Chuka Hai Bidaat Aur Shirk Kehna Durust Hoga? Hargiz Nahi Balki Ye Bohat
Badi Jihalat Aur Nadani Hai Aur Shariyat Ki Halal Aur Mubah Chezo Ko Bagair Kisi
Dallel-E-Mana Kay Haram Aur Shirk Biddat Batana Shariyat Islamia Say Khuli Hui
Bagawat Hai Aur Deen-E-Mustafa Kay Khilaf Bohat Badi Jasarat Hai.
Note :
Sawal Ye Hai Ki Agar
Ye Batain Sahab Karam Say Sabit Nahi To Kya Kisi Sahabi Nay In Batao Ko Na Karnay
Say Mana Kiya ?
Aur Jab Kisi Sahabi
Nay Mana Nahi Kiya To Aap Kaun Hotay Hai Mana Karnay Walay Aur Agar Apkay Pass
Koi Ayat Ya Hadees Sharif Ho Jahan In Chezo Ki Manaye Ki Gaye Hai To Pesh Kijye
Warna Musalaman Apki Be Buniyad Batao Ko Bina Dallel Kyu Manay.
ALLAH Tala Ap Logo Ko
Sahi Aqal Aur Samajh Ata Farmaey.
Kuch Logo Nay Thoday
Aur Bhi Sawalat Kiya Hai Jaisay Kis Sahabi Nay Gyarwi Ki Niyaz Karwaye Aur Kis
Sahabi Nay Azan Say Pehlay Salat Padhi?
In Kay Jawabo Kay
Hawale Say Upar Samjha Diya Gaya Hai Kafi Detail Main Ki Har Cheez Sahaba Kay
Daur Say Sabit Nahi Hai To Ab Aisay Sawalat Jinka Koi Maqsad Nahi Ho Sirf Logo
Ki Gumrahi Ka Sabab Na Banay.
Ab Apko Apkya Mazhab
Ka Sahi Aqida Dikhnay Kay Liye Apsay Chand Sawalat Matloob Hai?
Question 1 :
Nabi Pak (ﷺ) Kay Ilm Ko
Shaitan Lain Kay Ilm Say Kam Batane Wale Sahabi Ka Naam Bataye
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Pehswa Maulana
Rashid Gangohi Nay Apni Qitab "Barahainay Kaatiya " Page 55 Nay Likha
Hai Aisa Kis Sahabi Nay Kaha Ye Sabit Kijye (Maazallah)
Question 2 :
Wo Kaunsay Sahabi
Hai Jinhoone Nay Kaha Ki Nabi Pak (ﷺ) Mazallah Mar Kay Mitti Main Milgaye?
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail
Dhelvi Apni Kitab "Taqviyatul Imam" Page 88 Main Likha Hai Ye Kis
Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijye.
Question 3 :
Auliya ALLAH Ambiya Ko ALLAH Rabul Izzat Ki Bargah Main
Chamar Say Zyda Zali Batane Wali Ayat Ya Hadees Pesh Kijye Ya Kisi Sahbi Ka
Qual Ho To Hawala Dijye?
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail
Dhelvi Apni Kitab "Taqviyatul Imam" Page 20 Main Likha Hai Ye Kis
Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye.
Question 4 :
Namaz Main Nauzbillah Nabi Pak (ﷺ) Ka Khayal Kho Janwaro Aur Pagalo Kay
Khayal Say Badtar Batane Wale Sahbei Ka Naam Bataye?
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail
Dhelvi Apni Kitab " Siratay Mustakim" Page 167 Main Likha Hai Ye Kis
Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye.
Question 5:
Nabi Pak (ﷺ) Ki Qabar Paak
Ki Ziyar Ko Kis Shabai Nay Galat Bataya?
Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Imam Ibn
Taimiya Apni Kitab "Fatawa Ibn Taimiya" Main Likha Hai Ye Kis Sahabi
Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye.
Question 6 :
ALLAH Kay Mehboob Say Mohabat Karnay Inki Arwah Ko Isale
Sawab Karna Inkay Wasilay Say Dua Krna Khaday Hokar Salato Salam Padhna Awliya
Ki Qabro Ki Ziyarat Karna Waha Quran Padhna Kis Ayat Say Ya Hadees Say Shirk
Sabit Hota Hai Ya Kisi Sahabi Nay Mana Kiya Ho Ye Bataye?
Agar Apkay Pass Iska Jawab Quran Aur Hadees Sahrif Ki Roshni
Ya Sahaba Karam Kay Qaul Kay Mutabik Hai To Pesh Kijye Aur Agar Nahi Hai To
Qabl Iskay Ki Maut Apsay Tauba Ka Waqt Cheen Lay Apnay Batil Aqayad Say Tauba
Kijye Aur Masoom Musalmano Ko Mushrik Banaay Say Baaz Aye…
Note: Ye sara jawabat Mufti Akhtar Raza Misbahi Nay Diya
Hai (Sadar Mufti Darool Uloom Makhdoomiya Jogeshwari west Bombay India)....Plz
in sawalat kay jawabat ko itna failaye taki koi gumrah na ho sakay.
No comments:
Post a Comment